Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Monday, December 12, 2016

Deoband ke mujadid



Deoband ke mujadid

Na tum Sadme Hume dete Na hum faryad yun karte 

Na Khulte raaz sarbasta Na yun ruswaiya hoti.


Is Risala me insha ALLAH taala hum Deobandiyat kay mujadid per guftugu karege,Isse pehle ki mein us mujadid ka zikr karu ya naqaab uthau ,toh pehle me yah batadu ki mujadid hota kya hai,kay aaplogo kay zahen me yeh baat aajaye ki mujadid ek bahut bada maqaam hai ,ek bahut bada mansab hai ,AlimBanne kay liye ilm hasil karne kay liye sabse pehli shart hai Mohabbat e Rasool,Inayat e rasool,Jis Aalim kay dil me Mohabbat e rasool naho woh Aalim nahi hota aur mohabbat e rasool kay saath jis per Rasul ALLAH ka fazl o karam na ho woh ilm ki gehrai tak nahi jaa pata hai,toh ilm kay liye 2 chiz lazmi hai ,ilm ka husool aur fazle rasul toh aisa shaks hi alim banta hai fir aalimo me sabse zyada badkar fazl o karam hota hai,Aalimo me jisko ullema ka sardar banaya jaati hai use hum zaban me mujadid kehte hai. 
Toh aakhir yeh mujadid hota kya hai ? toh me iske 3 Hadees bataur e Tabrruk, fazilat kay liye , barkat kay liye yaha niche aaplogo ko batadeta hu aur aap yeh 3 hadees se andaza lagalege ki mujadid ka mansab kitna ucha hota hai. 

Hadees :-1 
Imam Baihaqi rehmutullahalaih ne “Kitabuz Zuhad” Jild 2 Hadees no. 207 , Safa no. 118 per naqal ki hai, 
Imam Abu Nuaym rehmutullahalaih ne apni kitab “Hilyatul Auliya” Jild 8 Safa 200 per naqal kiya hai 
Imam Delvi rehmutullahalaih ne “Masnadul Firdaus” JIld 4 Safa 198 per naqal kiya hai 
Tarjuma : “Hazrat ibn Abbas Radiallataala anhu se riwayat hai kay Rasul ALLAH ne irfshad farmaya kay JIsne meri sunnato ko mazbuti se thaame rakha us waqt kay jab ummat fasaad me mubtila hojaye usko ajar diya jaata hai100 shaheedo kay barabar” 
Toh Mujadid woh hota hai jo Sunnat ko thaamne wala hota hai yeh mujadid ki fazilat haiaur woh sunnato ko sirf thaamta nahi hai balki jo sunnatein mitai jaa chuki hai unko zinda farmaata hai, toh khud kitne ajar e sawab per mushtahiq hota hai ? 100 shaheedo kay barabar. 


Hadees :-2 
Imam Ibn Asakir radiallataala anhu ne “Tarikhe Damiq’sh Al-Kabir” Jild 1 Safa no.61 per naqal ki hai “Kanzul Ummal” me JIld 10 Hadis no. 2920 Safa no. 229 per naqal ki hai 
Tarjuma : “ Hazrat Imam Hassan radiallataala anhu se riwayat haikay RAsul ALLAH ne Irshad farmaya ALLAH ki rehmat ho mere Khulfa per yaha takke yeh alfaz NABI Sallallahualaihiwasallam ne 3 martaba farmaye , Sahaba e kram ne arz kiya ,A ALLAH kay Nabi jis per aap rehmat bhej rahe hai yeh aapke khulfa woh kaun hai? NABI Sallallahualaihiwasallam ne irshad farmaya mere khulfa woh hai jo meri miti hui sunnato ko zinda karege” 
Mujadid wahi hai jo Sunnat mit gai ho use zinda karta hai 


Hadees :- 3 
“Abu Dawud Sharif” Jild 3 Hadis 887 Kitabul Malahin(jungo ka bayan) per naqal kiya hai , goya ki yeh hadees yaha laakar batate hai ki Jihad talwar se kare aur shaheed hojaye uska muqaam wahi hai jo Qalam se jihad kare. 
Tarjuma : “Hazrat Abu hurera Radiallataala anhu se riwayat hai jo kuch mujhe Ilm hai NAbi Sallallahualaihiwasallam se jo mila us ilm me yeh bhi baat hai ki ALLAH kay NABI ne Irshad farmaya Beshak ALLAH taala is ummat me mabus fermata hai har sadi kay andar aur woh deen me tajdid karta hai aur deen ko nikhaar deta hai.” 
Yeh Hadees sarhatan mujadid kay bare me aai hai. Ab humare Islam me kitne mujadid aa chuke hai me unki thodi se fehrisht pesh kardeta hu isse aaplogo kay ilm me izzafa hojaye ki Ala Hazrat tak kaun kaun se mujadid aa chuke hai lekin isse pehle me yeh baat batadu ki kuch kuch sadiyo me 2 2 bhi mujadid guzre hai aur 3 3 bhi mujadid tasleem kiye gaye. 


1) Pehli Sadi kay Mujadid Hazrat Umar bin Abdul Aziz Radiallataala anhu hai 
2) Dusri Sadi kay Mujadid Hazrat Imam Mohammad bin Idris(Imam Shafai) Radiallataala anhu hai. 
3) Is Sadi me ek aur Mujadid hai Hazrat Imam Abul Hasan Ashari Radiallataala anhu 
4) Teesri Sadi me Hazrat Imam Abu Mansur Matrudi rehmatullah alaih 
5) Aur iske aalawa Hazrat Imam Abu JAfar Tahawi Radiallataala anhu hai 
6) Aur isi teesri sadi me Imam Ibn Jarir Radiallataala anhu bhi mujadid hai 
7) Chauthi Sadi me Imam Abu Haamad Al Asrafaini Radiallataala anhu 
8) Panchwi sadi kay Mujdadid hai Hazrat Sayedna Mohammad Ghazali Radiallataala anhu 
9) Chatwi sadi kay Mujadid hai Imam Fakruddin raazi Radiallataala anhu (Jinhone Tafseer e Kabeer likhi hai) 
10) Saatvi sadi kay Mujadid hai Imam Baqi Radiallataala anhu 
11) Aathvi sadi Hijri kay mujadid hai Imam Hafiz Zainuddin iraaqi Radiallataala anhu 
12) Isi tarah aathvi sadi hijri me Imam Shamsuddin Jazri Radiallataala anhu 
13) Navvi sadi Hijri kay Mujaddid hai Imam Jalaluddin Suyuti Radiallataala anhu 
14) Aur isi Navvi Sadi me Imam Shamsuddin sakhavi Radiallataala anhu 
15) Dasvi sadi kay mujadid hai Hazrat Allama Shamsuddin Shuab Radiallataala anhu 
16) Ghyarvi sadi kay mujadid hai Hazrat Shaikh Ahmed Sarhandi Alafsaani Radiallataala anhu 
17) Baarwi sadi Hijri kay Mujadid hai Hazrat Sultan Mohuyuddin Aurangzeb Alamgir Radiallataala anhu 
18) Isi zamana BArwi sadi me aur 2 Mujadid hai , Hazrat Mohammad Abdul Baqi zarkhani ,Hazrat Imam Abdul Ghani Nabalsi Radiallataala anhum 
19) Terwi Sadi Hijri kay Mujadid hai Hazrat Shah Abdul Aziz Muhaddis Dehlvi Radiallataala anhu 
20) Aur CHaudvi Sadi Hijri kay Mujadid hai Imam Ahmed Raza Radiallataala anhu 
Lihaza yeh Fehrisht Batati hai ki pehli sadi Hijri se lekar chaudvi sadi Hijri tak , Har sadi me Mujadid ALLAH taala bhejta raha aur jab chahega ALLAH taala apne deen kay nikhar kay liye mujadid bhejta rahega. 
Chaliye ab me unwan per aata hu, Ki Humara Mujadid aur Tumhara Mujadid, yaha baat hum apne sadi ki karrahe hai , apne daur ki karrahe hai aur hum Imam Ahmed raza ko apna Mujadid maante hai,lekin yeh Hum maante hai magar kya humare mukhalifin dusre firqe kay hazraat kya woh bhi aala Hazrat ko mujadid mante hai ? toh zaahir yeh hai woh nahi maante aur naahi unki izzat o ehtram kay qail nahi toh aakhir woh log kisko mujadid kehte hai???? 
Toh chaudvi sadi Hijri ka mujadid batate hai woh hai Deoband kay Maualana Ashraf Ali Thanvi aur yehi hai Is risale ka unwaan. 
Ab Maulana Ashraf Ali thanvi ka level in deoband kay nazdeek kya hai , uske liye me bahut saare hawale pesh karsakta hu lekin me chahta hu ki risala chota aur awaam ise pura padhe Haq jaane haq tasleem kare isliye sirf yaha 2 Hawale pesh karta hu jisse yeh wazeh hojaye jisme nadwa kay log bhi hai ki woh sab Ashraf Ali Thanvi ko bahut bada Mujadid maante hai tasleem karte haiaur kitna bada mujadid maante hai , hawala zarur padhe : 


Hawala :-1 
Malfuzat Mohammad Ilyas inhi kay yaha se chapi,inhi kay Maulana ne likhi hai 

Scan page 

                                                                        Yeh🖕 Upar Scan page hai. 
Ab Tablighi Jamat kay founder Mohammad Illyas khandelvi janab kehte hai Talim Ashraf Ali thanvi ki ho aur tarika mera yaani Khandelvi sahab ka ho,me apne dhang se talimat ashraf ali thanvi ko aam karna chahta hu toh pata chala ki Ashraf Ali thanvi ka maqaam inke itna bada hai ki puri ek new Jamaat hi bana daali jiska naam Tablighi Jamaat rakha aur kehte hai ki saari duniya me Ashraf Ali thanvi ki taalim ko aam karege.Is hawale se baat saaf zaahir hojaati hai ki Tablighi Jamaat walo kay nazdeek Ashraf Ali thanvi ka Level bahut bada hai yehi wajah ki Deoband me kisi aalim ki talimat ka intekhab nahi kiya gaya aur agar kiya toh sirf Ashraf Ali thanvi ka kiya gaya 

Hawala # 2 

Yeh ek dusri kitab hai jo ruswaye zamana hai jo humare(Ahle sunnat wal Jamat) radd me likhi gai hai aur Deoband ko is kitaab per bada fakhr hai aur iska naam hai “Mutalaye Barelviyat” ,Is kitaab me Jhut fareb ilzam tarashi makkari sab chizen dekhne milegi sab kuch is kitaab me maujud hai jo ilzaam aala Hazrat per lagaya gaya hai.aurjo is kitaab ay hame’en hai usko humare Ahle sunnat wal Jamaat kau Munazir Hazrat Farooq Khan razvi ne diya hai ki woh jab chahe jaaha chahe is kitaab ko mauzu banakar Munazra karle , Ab istaab me bade ilzam lagaye hai lekin Ashraf Ali thanvi ki badi tariff ki gai hai. 
Kitab kay likhne wale hai Dr. ALLAMA KHALID MEHMOOD SAHAB jo PHD hai, ALLAH taala hi jaane kis fann me inhone PHD ki hai bairhaal hum samajte hai ,JHUT me hi PHD ki hai.Khair yeh Risala inki kitab ka Postmortem kay liye nahi toh waqt bachate hue aage badhta hu. 




Upar Kay scan page se kya pata chalta hai, Ab pata nahi Mohammad Ali Jinah kehte bhi the ya nahi kyukay koi hawala Maujud nahi , aur ibarat se malum hojaata hai ki Ashraf Ali thaanvi Sabse Bade ALLAMA the us waqt Hindustan me , inse bada koi Aalim nahi tha. 
Lihaza yeh 2 Hawale kaafi hai yeh samajne kay liye ki Deoband kay mujadid Ashraf Ali thanvi sabse bade Mujadid guzre aur inse bada koi aalim nahi pure Deoband me aur tablighi Jamaat bhi isliye banai ki Ashraf Ali thanvi ki taalim aam ki jaaye. 
Ab sabse Bada masla yeh hai ki yeh jo daawah karte hai , jiska hawala mene updar diya hai, kya woh haq hai , kya yeh sach hai toh iske liye hum kahi aur nahi jayege balki Ashraf Ali thanvi ki kitaab se dalil talab karte Hai.Hum jhut fareb lappas wagaira jaise chizon ka sahara nahi lete isliye ki har aadmi apni hesiyat khud jaanta hai. 
Ab aage badhne se pehle me yeh batadu ki Aala Hazrat aur Ashraf Ali thanvi kay bich me jo ikhtelaf hai woh kufriya ibarat ko lekar hai jaisa kay Hifzul Iman me NABI Sallallahualaihiwasallam kay ilmko janwar aur pagal se tasbeeh dekar kufr kiya aur deobandiyat aaj tak us ibarat ko hataa na sake balki ek naya tarika ijaad kiya haiaur ki asal me muamla yeh ki jhagda is kitab ko lekar nahi hai ,jhagda yeh hai ki Maualana Ashraf Ali thanvi aur aala Hazrat dono madarsa e deoband me ek saath padhte the,dono ek saath taalim haasil karte the, Imam Ahmed Raza pathaan tha ghusse kay bade tez the toh ek din ghussa aagaya kisi baat per Ashraf ali thanvi se jhagda hogaya aur ghusse me kehdiya ki tu kafir hai aur iske baad madarsa e deoband chodkar aagaye aur fir woh apni is baat per itne qaim rahe ki puri zindagi Ashraf ali thanvi ko kaafir kaafir kaafir bolte rahe. 
Ab isme 2 ilzam hai deoband kay 1) Imam Ahmed raza aur Ashraf Ali thanvi ek hi madarsa me padhte the. 2) Jhagde ki bina per Kafir kaha. 
Yeh Do ilzam hai deobandiyat ki taraf se , aur me insha ALLAH yeh dono ilzamo ka Jawaab deduga. 
Sabse pehle hum ibteda se dekhte hai ki jiska koi saani nahi hai Hindustan me , jiska ilm tarazu me ek taraf rakhe aur Hindustan kay ullema ka ek taraf toh Ashraf ali ka palda jhuk jaaye,aaye hum dekhte hai ki yeh shaks aala Hazrat kay humpalda(barabari) kay layak bhi hai ya nahi. 
Sabse Pehle hum dekhte hai ki Imam Ahmed raza ki Paidaish ki tarikh kya hai ,Hazrat Malakul ullema Hazrat Zafaruddin razvi ki kitaab hai jiska naam hai “Hayat e Aala Hazrat” 





Ab Ashraf Ali Thanvi sahab kaha paida hote hai,inki bhi khabar lete hai. 
Kitab ka naam Ashrafus sawaneh,Deoband se chapi hai idaara e talifat e Ashrafiya zilla muzaffar nagar UP se likhne khas khalifa Molvi Ashraf ali thanvi kay Hazrat Khwaja Azizul Hasan gauri majzub sahab 







Ab gaur kare toh Ala Hazrat ki paidaish 1272 aur Alim bane 1286, ab 1272-1286 se minus karege toh ala Hazrat ki umar hoti hai 14saal ,yaani aala Hazrat ki umar me Alim banker faig hochuke the. 
Ab jab ala Hazrat ki umar 14 saal toh Ashraf Ali thanvi ki umar us waqt kitni thi ? Jawab : 6 saal ki thi. 
Ab pehla sawaal thanvi janab 6 saal kay the toh madarsa e deoband padhne kab gaye ?? aur dusra sawaal ki Jab Thanvi janab 6 saal kay the toh karte kya the ?? toh hum iski dalil aage padhege ki thanvi ne Deoband ka Madarsa kab join kiya. 
Ab hum yeh dekhte hai ki Thanvi 6 saal ki umar me kya karta tha aur ala Hazrat 6 saal ki umar me kay karte the. 
Hum Insha ALLAH taala Dalil inhi ki kitab se dege,hum jhut fareb lappasi ka sahara nahi lete Jaise deoband. 


Hawala:-1 






Yeh Kitab ka Front cover hai aur upar shuru me dekhiye kya likha hai : 
“Quran o Sunnat ki roshni me zindagi kay sekdo masail ka hakimana hal” 
Fir niche kitab ka naam likha hai. Malfuzat Hakimul ummat Jild 2 hai yeh 5Jildo me kitaab aati hai. 
Apne 6 saal ki umar me bachpane ka haal bayan karte hai Thanvi janab JIld 2 Qist no. 5 Malfuz o. 837 Safa no. 474. 







Likhte hai : “Ek Khel aur yaad aaya ek martaba merut me aisa hua kay barish kay ayyam the : bahar sehmi me baitha karte the walida sahiba ka inteqal hogaya tha ,Hum log walid sahab kay paas rehte the teen chaar paiya barabar bichi hui hoti thi walid sahab ki aur hum dono bhaiyo ki,mene rassi lekar paaye milakar khub kaskar bandiye aur padhkar sogaye ,phir walid sahab bhi aakar late gaye ittefak se barish I toh walid sahab uthe aur humko bbhi uthaya Bachpan ki neend thi hun hun karke fir sogaye walid sahab jhinjhilaye nahi uthte toh pada rehne diya apni char paai ghasiti ab waha teeno char paiyya ek saath chali aarahi hai,behad ghussa hue aur farmaya kay aisi aisi harkate karte hai ab sab bhig rahe hai chaku dhunda ittefak se jaldi me rassi katne kay liye chaku bhi na mila akhir khud hi bawarchi khane se chaku talash karke laaye aur in sab rassiyon ko kaata tab waha se char paiyya uth sakhi sahi toh yaad nahi ki is harkat per chapat lagi bhi ya nahi” 
*Pehla Waqya 6 saal ki umar me thanvi sahab kya karrahe the ,waqayat se pata chalta hai ki Thanvi sahab bade shararti the us waqt . 
Magar Aala Hazrat ki taraf aaiye,Humare Mujadid ki shan dekhiye ki aapne 4 saal ki umar me hi Quran shareef ka nazra khatam fara chuke the : Subhan ALLAH 
Aur jab 6 saal ki umar hui aala Hazrat jashn e miladunnabi kay mauke per paune 2 ghante bade ullema ki maujudgi me taqreer farma rahe the ,Yeh aala hazrat ki shan thi. 
Aur isi tarah aala Hazrat jab padh rahe the Quran e kareem ka nazra yaani aapki umar us waqt rahi hogi 3 ya 3.6 saal chunanche aapke bhatije Maulana Hasnain miya farmate hai ek martaba padh rahe aapke dada Maulana Raza ali khan khatiya per baithe hue hai,ustad ej dusri khatiya per baithe hai ,aur padha rahe hai,ustad ne jab padhaya toh jo huruf likha hua tha Quran ki tilawat karwa rahe the usper Zaber tha,magar aala Hazrat zer padh rahe the (Isko Seerat e Aala Hazrat safa 150 per Maulana Hasnain miya ne is waqya ko likha hai) toh kehte hai ki aala Hazrat xer se padhte the,Ustad ne toka ki zabar likha hua hai,zabar se padho ,magar aala hazrat use fir zer padhte the ,fir ustad ne 3 baar toka ,tab maulana raza ali khan jo waha baithe hue the aapke dada ne farmaya ki unhe thoda shak hua ta Quran shareef ka dusra nuskha mangwaya jaye,jab nuskha laaya gaya toh malum hua ki usme zer hi hai aur aala Hazrat sahi padh rahe the. Jabki aap abhi padh rahe hai,aap abhi Hafiz bhi na the,qari bhi na the abhi toh Quran e Kareem Nazra padh rahe hai. 
A tehqeeq hui kay jis nuskhe se ustad e aala Hazrat padha rahe the,usme galti se huruf per zabar aagaya tha,Maulana RAza ali apne pote se puchte hai ki sahabzaade jab ustad aapko zabar padha rahe the,tab aap zabar kyu nahi padh rahe the ,toh aala Hazrat farmate hai ki me chahta toh tha ki zabar padhu lekin meri zaban mere qabu me hi nahi thi (Subhan ALLAH) Chunanche Maulana Raza Ali peshani ko bosa dete aur farmate beta yeh ALLAH aur uske Rasul Sallallahualaihiwasallam ka Faiz hai aur yeh tum per khaas inayat hai ki tumse galat nahi kehelwata hai. 
Yeh Aala Hazrat ki 3.6 saal ki umar thi ki aap padh bhi rahe the aur Quran shareef me galat printing jo hui use sahi batakar aap use ujagar bhi karrahe the aur Thanvi sahab us waqt khatiya band rahe the mujadid sahab….. 
Chaliye ab aage badhte hai jab 7 ya 8 saal ki umar thi Thanvi sahab ki toh us waqt ki umar ka bhi ek waqya likhte hai 
Al Ifazatul yaumiya ki dusri jild 






                                                                 Iska safa no.475 Malfuz no.837 hai







Likhte hai “Farmaya me ek roz me Peshab kar raha tha bhai sahab ne aakar mere sir per peshab karna shuru kardiya,Ek Roz aisa hua bhai peshab karrahe the mene inke sir per peshab karna shuru kardiya ittefak se is waqt walid sahab tashreef le aaye ,farmaya yeh kya harkat hai mene arz kiya ek roz unhone mere sir per peshab kiya tha,Bhai ne iska bikul inkar kardiya Mukhtasir si pitai hui isliye ki mera daawah toh daawah hi rehgaya tha subut kuch na tha aur mere fail ka mushahida tha garz jo kisi ko na sujti thi woh hum dono bhaiyo ko sujti thi” 
Yeh Deoband kay Mujadid hai 7 ki saal ki umar me Bhai sahab kay sir per Peshab karrahe hai, ab bhai toh mujadid the nahi aur usne peshab kardiya toh mujadid sahab muaf kardete magar khunnas dekho ,nahi choduga , ab intezar me the ki bhai sahab peshab karte hue mile toh me bhi bhi sahab kay sir per peshab kardu. 
Sir per peshab karne k liye zaruri tha ki kisi bulandi per jaana ,toh yeh kisi uchi jagah per gaye aur peshab kardiya , aur kehte hai ki jo kisi ko na sujhti thi woh hum do bhaiyo ko sujthi thi.toh Thanvi sahab itne shararati the… 
Ab me aap logo batata hu ki 7 saal ki umar me thanvi sahab sir per peshab karrahe hai aur aala Hazrat 3.6 saal ki umar me ek jagah masjid kay paas baithe hai farmate hai ek buzurg waha tashreef laaye aur libas se arbi malum hote the,qarib aaye aur unhone Arbi zaban me mujhse guftugu ki kaha raza ali kay tum pote ho ,naqi ali khan kay sahabzaade ho ,ala Hazrat farmate hai mene arbi me hi unse guftugu ki taqreeban aadha ghanta guftugu ki ,bahut duaye diye aur chale gaye aur uske baad mene unko nahi dekha. 
Yeh aala Hazrat ki karamat hai ki Quran shareef ka nazra khatam karrahe hai 4 saal ki umar jabki 3.6(saade teen ) saal ki umar me aap Arbi me gufutgu karte hue nazar aarahe hai. 
Aala Hazrat ko ilm e ladunni tha kay aapko 3.6 saal ki umar me Arbi zaban me bhi umoor haasil tha. 
Yeh Humare Mujadid ki shaan thi aur yeh 7 saal yaani aala Hazrat ki double umar me sir per peshab karrahe the aur abhi toh Thanvi sahab ne madarse me dakhil bhi na hue the,yeh me aage batauga. 
Ab Jab aala Hazrat ki umar 8 saal hoti hai tab aala Hazrat Hidayatun Nav Arbi zaban me grammer ki kitaab sarf o nav ki kitaab ,uski Arbi zaban me sharah karte hue nazar aate hai (Subhan ALLAH) 
Ab Thanvi sahab ki ek aur shararat 7 saal ki umar me padhte hai. 
Al ifazatul Yaumia Jild 2 jiska Front cover mene do dafa upar diya hai. 
Qist no. 5 Malfuz no. 837 )






Likhte hai : “Ek sahab the sikhri kay humari sauteli walida kay bhai bahut hi nek o saada aadmi the walid sahab ne unko tikke kaam per rakha tha,ek martaba garmi me bhuke pyase pareshani me ghar aaye aur khana nikal kar khane me mashgul hogaye ,ghar kay saamne me bazaar hai,mene sadak kay saamne se kutte ka pilla chota sa pakda ghar laakar unki daal ki rikabi me rakh diya ,bechare roti chodkar khade hogaye kuch nahi kaha” 
Toh thanvi sahab 7 saal ki umar hai aur kehte bhi hai yeh ki jo inko sujti thi woh kisi ko bhi nahi sujhti thi. 
Aala Hazrat ko 3.6 saal ki umar me Quran padhna sujta tha aur inko 7 saal ki umar me kutte kay pillo ko rakhna sujta tha,bhai kay sir per peshab karna sujta tha,yeh the in deoband kay mujadid sahab. 
Thanvi sahab ne ghar me padhna shuru kiya walid sahab ne ek Hafiz ko bulaya aur padhna shuru karwaya , Thanvi sahab ab tak deoband me dakhila liya nahi,yeh kab lege me aage insha ALLAH tala batauga. 
Yeh Kitab Ashraf us Sawaneh,Jild awwal hai, yeh 3 jildo me aati hai 







Ab dekhiye Thanvi sahab Hifz karrahe hai toh us waqt inka aalam kyat ha,iska safa no. 20 hai jild 1 hai. 



Likhte hai : “Aur ek waqya hifiz qalam majeed kay baad ka yaad aaya,ek nabina hafiz the jinko qalam majeed bahut pukhta yaad tha aur iska unko naaz bhi tha unko Hazrat e wala qable bulug nawafil me qalam majeed sunaya karte the . ek baar ramzan shareef me dinko unse qalam majeed ka daur karrahe the,Hazrat e wala ne daur kay waqt unko mutnabbeh kardiya Hafizji me aaj tumko dhoka duga aur yeh bhi bata deta hu kay fula aayat me dhoka duga ,hafizji ne kaha kay miya jao tum mujhe kya dhoka de sakte ho bade bade hafiz toh mujhe dhoka de hi na sake,Hazrat e wala jab sunane khade hue aur us aayat per pahunche “_mene highlight kiya hai aayat ko_” toh bahut tarteel kay saath padha jaisa kay ruku karne kay qareeb Hazrat e wala ka mamul hai uske baad use aage jab “ayat highlight hai” padhne lage toh lafz ALLAH ko is tarah badha kar padha kay jaise ruku me jaa rahe hoaur taqbeer yaani ALLAH hu akbar kehne wale ho bas hafizji yeh samajkar kay ruku jaare hai fauran ruku me chale gaye idhar Hazrat e wala ne aage qirat shuru kardi “ayat highlight hai” udhar hafizji toh ruku me pahuche aur idhar qirat shuru hogai ,fauran hafizji sidhe khade hue is per Hazrat e waala be ikhtiyar hasi aagai aur kehkaha kar hass padhe aur hasi se is qadar maglub hue kay namaz todkar alag hogaye” 
Ab dekhiye kitni tauheen hai yeh Quran e kareem ki ,sarhatan tauheen karrahae hai Ashraf ali thanvi sahab jo ki mujadid hai,aur yeh Mujadid sahab dhoka dene me kis chiz ka sahara lete hai , ALLAH kay qalam ka , Maz ALLAH , kitni badi jurrat hai yeh ,aur gaur kare toh kehte hai dhoka kaise duga , toh batate hai fula aayat me duga, toh bataye ki jo Quran e kareem ka istemaal DHoka dene kay liye kare kya woh Mujadid hosakta hai ??? aur dusri chiz yeh ki ahsraf thanvi kay mutabik woh aayat me dhoka ki gunjaish thi isliye yeh aayat chuni , aur namaz kay dauran dhoka diya is tarah ALLAH lafz ko khicha jay jaise ruku me jaa rahe ho ALLAH hu akbar kehkar aur fir ashraf ali kay ustad jaise hi ruku me gaye toh ashraf ali ne aage qirat shuru kardi yaani namaz me dhoka , ab gaur kare toh ashraf ali ka saar dhyan is aayat se dhoka dene kay liye the ki inke ustad kab dhoka khate hai aur inki apne ustad per thi naaki namaz me , ab jaise hi dhoka khaaya toh thanvi sahab ko hasi aagai aur namaz ki ain haalat me haste haste laot paot hojate hai. 
Toh isse pata chalta hai ki Deoband kay mujadid ka yeh aalam tha ki namaz o zikr ki koi izzat nahi thi inke nazdeek,Quran e azeem ko yeh dhoke kay liye istemal kiya karte the aur usper yeh daawah hai ki yeh is sadi kay mujadid hai, 
Magar me aapko aala Hazrat kay bare batata chalu chunanche hasnain miya alaihirrehma aapke bhatije seerat e aala Hazrat me farmate hai kay aala Hazrat ki umar jab 8 saal hui toh musallama subut dars e nizami me jo kitab arbi me padhai jaati hai ,aala Hazrat us kitab ka hashiya likhte hue nazar aate hai aur uske baad jab aap apne walid se padhte the,toh aapka andaaz kyat ha padhne ka,zara gaur kare, 
“Ek martaba walid sahab ne aapko mashk karane kay liye take aapko likhna fatwa dena aajaye ,ek sawal aaya unke walid(hazrat maulana naqi ali khan) kay paas tab Hazrat ne sawal ki 2 copy kiye,ek aapne aala Hazrat ko diya aur kaha sahabzaade aap bhi iska jawab likhiye aur ek jawab khud walid ne likha ,ab jab dono jawabat aaye tab don okay jawab me ikhtilaf tha ,aala Hazrat ne jawab kuhc aur likha tha aur inke walid se sahab ne kuch aur likha.aala Hazrat ne kuch aur daleelein di aur walid sahab ne kuch aur Daleel di ,ab yaha ikhtilaf hogaya,walid sahab ne kaha sahabzaade tum humare abhi shagird ho ,tum hum se padhte ho humara fatwa sahi hai,aap apne fatwe se ruju karlijiye , yeh bachpane ka aalam hai,aala Hazrat farmate hai agarche hum aaphi kay shagird hai per fatwa humara sahi hai,daleelein huari sahi hai,ab dono ki alag alag daleelon per hal na nikla toh walid sahab ne kaha kay jo us waqt Rampur jo tha ullema ka ek bahut bada gaddh kehlata tha,kaha ullema e Rampur ki taraf ruju karte hai,aapka aur humara jawab ullema e Rampur kay paas bhejdete haiaur wahi faisla karege aur waha kasrat kay saath sekdo ullema e kram muftiya e kram the,Nana fazle hussain jo aala Hazrat kay fufa the,inke zariye woh fatwe Rampur pahuchaye gaye,jab ullema kay bich dono fatwe guzre toh walid kay fatwe se sirf 2 ullema ne ittefak kiya aur aala Hazrat kay fatwo per itni dastakhat kiye ki kagaz khatam hogaya magar dastakhatein baaki thi .toh walid sahab ne kya kiya,khushi se aankhon me aanu jhalakte hai,peshani ko bosa diya aur farmaya ki tumhara hi fatwa sahi me bhi iski tasdeek karta hu.” 
Yeh aala Hazrat ki shaan hai ki 8 ya 9 saal ki umar me apni walid sahab ki bhi islah karte hue nazar aate hai. Aur ashraf ali thanvi apne ustad ko dhoka dete hue nazar aate hai.kitna farq hai humare mujadid aur inke mujadid me. 
Hasnain miya farmate hai ki aala Hazrat ne koi kitab muqammal padhi hi nahi,ustad kuch padhate aur baaki aap khud mutalla karke padhlete khud hi samaj liya karte the. 
Yeh aala Hazrat ki shan hai jo ustado ki islah karrahe hai aur ashraf ali thanvi apne ustad ko dhoka de rahe hai. 
Usi waqt ki ek aur shararat Thanvi sahab ki 
Ifazatul yaumiya ki jild 2 hai,iska front cover ka scan mene pehle bhi diya hai.iska safa no. 475 malfuz no. 837 hai 







ikhte hai : “ek martaba merut me ilaha baksh sahab marhum ki kothi me jo masjid hai sab namaziyo kay jute jama karkay unke shamiyano me bhej diye,namaziyo me gul mach gaya ,chunanche jute kya hue ,ek shaks ne kaha yeh latak rahe hai,magar kisi ne kuch na kaha yeh khuda ka fazl tha bawajud in harkaro kay taklif mujhe kisi ne na pahuchai wahi kissa raha jaisa kay kisi ne kaha : tumko aata hai pyar per ghussa humko ghusse per pyaar aata hai” 
Toh yeh thanvi sahab,jinko sir per peshab karna , dhoka dena , namaziyo ko satana yeh sab sujta tha 
Ab aala Hazrat ka kya aalam hai ki 18 saal ki umar me baith kay liye Hazrat shah aal e rasul ki bargah me hazir hote hai mahrarah sharif jaise hi walid kay saath pahuche shah aal e rasul farmate hai sahabzaade aap hi ka toh intear tha hume , fauran baith kiya aur baith karne kay baad waise hi khilafat ataa farmadete hai ,aapke shagird aal e rasul kay baithe hai jo saalo se padh rahe hai riyadate karrahe hai,kuch logo ne arz kiya huzur yeh bareli kay sahabzade aye kam umar naujawan hai,aapne baith toh kiya kiya saath me inhe khilafat bhi ataa kardi jabki hum barso se mujahida karrahe hai,tab shah aal e rasool farmate hai,miya inke paad ilm o irfan tha bas nisbat ki zarurat thi ,tum kya jaano ahmed raza ka maqam kya hai,baroz e Qayamat mujhse ALLAH taala agar puche shah aal e rasool tu duniya se kya laaya hai toh me ahmed raza ko pesh karduga. 
Subhan ALLAH yeh aala Hazrat ki shaan hai. 
Aala Hazrat ki shaan hai yeh ki sab in per fakr karrahe hai aur yeh thanvi sahab hai jo sab per baujh banker baithe hai.. 
Jaisa mene pehle likha ki aala Hazrat 1286 me alim banker farig hogaye ab dekhte hai thanvi janab kab dakhila lete hai deoband me aur inki umar kyat hi. 
Ashrafus sawaneh Jild 1 ka safa no. 24 
Iska bhi front page mene pehle bhi diya hai. 










Likhte hai : “Madarsa e deoband me taqreeban paanch saal musalsal Talib e ilmi rehna hua aakhir zil qaida 1295 hijri me waha daakhil hue aur shuru 1301 hijri me farig al tehsil hogaye” 
Yeh dakhil hue madarsa e deoband me 1295 hijri me aur is waqt aala Hazrat ki umar hai 23 saal ,aala Hazrat alim bankar nikle 14 saal me aur jab yeh thanvi sahab dakhil horahe hai madarse me us waqt tak ala hazart 75 kitaabe deen per likh chuke the. 
Un kitabo kay naam jinhe aala Hazrat ne 23 saal umar tak likh chuke the : 
Sharah Hidayatun Nav Arbi zaban me Hashiya Musallama Subut Arbi zaban me Yeh Chand naam baaki bahut se likhi hai aapne. 
Ab zaahir si baat hai jab Ashraf ali thanvi 1295 me madarsa e deoband me dakhil hue tab taka ala Hazrat alim bankar farig ho chuke the,kitabe likh chuke the toh pata chala us waqt taka ala Hazrat ne madarsa e deoband ki shakal o surat tak na dekhi thi toh madarsa e deoband jaana aur dakhila lena toh bahut door ki baat hai. 
Chaliye ab aage dekhte hai jo mujadid tehre deoband kay ,aaplogo ne pehle hii padha hai ullema e deoband kay nazdeek ashraf ali thanvi ka itna ilm hai ki ek palne me ashraf ali ka ilm aur dusre me saare Hindustan ka ilm phir bhi ashraf ali palna jhuk jayega. 
Toh jo bhi humne padha,bachpane ka aalam samaj kar jaane dete hai, ab aalim bangaye buddhe hogaye,toh ab kya karte the Ashraf thanvi janab yeh padhte hai. 
Alim banne kay baad Thanvi sahab ka aalam kya tha,zarur padhe. 
Khatamatus Sawaneh Jild 1 Safa 48 Chapi hai maktabe talifate ashrafiya thana bhavan zilla muzaffarnagar UP se 
Likhte hai : “ Hazrat e Aqdas kisi kaam se farigh hote hi fauran tasbeeh sambhalte the aur baaz auqat mazahan farmate mene iska naam JAAL rakha hai kyukay log isse faste hai” 
Chote the toh Quran se logo ko fasate aur bade hue toh Tasbeeh jise yeh jaal kehte hai use fasate hai,aata jaa fasta jaa aata jaa fasta jaa…… 
Ab Humara Mujadid kya karta tha yeh bhi dekhiye 
Aala Hazrat apne ghar me tashreef farma hai aur us waqt bareli kay bade seth(paise wale)aate hai unka karobaar lakho ka hai woh mithai ka ek bada tokra lekar aagaye aur aala Hazrat ki khidmat me pesh karte hai,aala Hazrat ne farmaya kay isme kya hai ,arz kiya huzur isme mithai hai ,toh farmaya itni saari kyu laaye agar laana hi tha tohfatan toh thodi si late , kaha kay huzur sab ghar wale bache wagaira khayege aur tohfa qabul rasul ALLAH ki sunnat hai,tab aala Hazrat ne qabul farma liya ,aapne khadim ko Aawaz diye aur kaha yeh tokra andar rakh dijiye , ab aala Hazrat ne haal chal pucha seth sahab se , seth ne kaha bade pareshani hai karobar thande hai nuqsan horaha hai huzur kuch taaweez ataa farma di jiye,aala Hazrat apne khadim ko Aawaz dete hai aur kehte hai tokra bahar laao aur wapas seth ko dediya aur kaha yeh lejao, aur kaha ki Ahmed raza mithai kay badle taaweez nahi bechta,aapko taaweez hi chahiye that oh rishwat dene ki kya zarurat thi,ab jaye aur dobara aaoge toh aisi rishwat na laaye jab taaweez chahiye hoga. 
Yeh aala Hazrat ki shaan thi kay koi taaweez lene aaya toh paisa lene ki baat toh door thi aapne mithai tak qabul na ki aur ashraf ali thanvi tasbeeh isliye lekar baithte ki aata jaa fasta jaa 
Ab aage padhte hai 
Ifazatul yaumiya ki jild 1 )








Safa no. 252 Qist 2 malfuz no. 511 
Likhte hai : “Meri saari umar muft khori me kati hai,pehle toh baap ki kamai khai bas bich me bahut thode dino tankhwa se guzar hua phir iske baad se phir se wahi silsila muft khori ka jaari hai , yaani muddat se nazrano guzar hai na kuch karna padhta hai na kamana khana khane ko dono waqt milta hai” 
Toh pata chala ki Ashraf ali thanvi ki puri umar muft khori me guzri,aur tasbeeh lekar baithe isliye hai ki log faste jaaye aur nazrana dete jaye. 
Aala Hazrat duniya daaro se itne bazaar the ,Hasnain miya ek martaba ek sahab ko laate hai jo us waqt us zamane me angrezo ka daur tha aur galiban deputy collector the woh ,muslim the aur sayed zaade the,aala Hazrat kitab likhne me masruf the aur yeh Hazrat usi waqt tashref aapki bargah me laaye maulana hasnain miya kehte hai huzur yeh badi door se aapse milne kay liye aaye hai,aala Hazrat ne likhte likhte kaha “hhmm” ,maulana hasnain miya ne kaha ki huzur yeh humare shaher kay deputy collector hai,aala Hazrat ne dekha , fir likhneme masruf hogaye , fir hasnain miya ne kaha ki huzur yeh SAYYED zaade bhi hai ,ab jaise hi suna sayyed zaade hai qalam rakhdi aala Hazrat ne aur khade hogaye,kehte hai hasnain miya fuzul baate karte ho asal baa tab bata rahe ho pehle kyu nahi kaha ki sayed zaade hai aal e rasool hai,Deputy sahab ne kaha huzur bada tajjub hua ki aap humare audhe se kuch nahua lekin sayyed sunte hi khade hogaye,aala Hazrat ne farmaya ki aaptoh deputy collector hai agar malika e Victoria bhi aajati toh ahmed raza kay paas yehi beniyazi hoti.hume duniya daro se kya garaz,aapki nisbat rasul ALLAH se hai,hume is nisbat ki zarurat hai. 
Yeh beniyazi thi aala Hazrat ki aur yehi beniyazi aapke shehzaade mufti e aazam me i. 
Nanpaara ek shaher tha,uske nawab sahab ko shayri ka bada shauk tha,shaura jaate aur unke naam per qaside likhte aur bahut se inaamo se nawaze jaate ,unke kaano taka ala Hazrat kay kuch naatiya qalaam pahuche,toh jab adab dekha ilm ki gehrai dekhi,bahut mutasir hue,apne wazir ko bheja kay jao ab tak bade bade shaura ne humari shaan me qaside kahe ,yeh toh sab chaplus the ,maulana ahmed raza kay qalam me badi pukhtagi hai,unka adab bada gehra hai,jaiyye unke paas aur humari shaan me kuch qasida likhwa laiyye,wazir sahab aate hai aala Hazrat kay paas aur kehte hai me nanpaara kay nawaab ka wazir hu nawab sahab ne kaha hai ki aap qasida likh dijiye ,agar aapne koi accha qasida unki shaan me likhdiya ,aap daulato kay ambaar se nawaz diye jayege,aapko sone aur chandi me tol diya jayega,nawab sahab ki dariya e sakhawat bahut buland o baala hai,aala Hazrat ne qalam bulaya kagaz bulaya aur uske baad qasida nahi likhte ek sher likhte hai 
Karu ma dha hai ahle dual raza 
Pade is bala me meri bala 
Me gadha hu apne kareem ka 
Mera deen paara e naan nahi. 
Yeh Naat ka ek tukda bada hi famous hai. 
Ab bataye kaun hai mujadid , jo jaal lekar baitha hai aata jaa fasta jaa aur ek taraf aala Hazrat ki shaan hai ,sanjidgi se faisla le,humne jo bhi likha hai,hawalo kay saath hai,agar ek hawala bhi galat saait kardoge toh mujhe mujrim tehraye Yeh tamam hawalo ki kitaab aapke ghar ki hai Deoband kay buzurgo ne likhi hai,yeh humare ghar ki nahi hai, jab yeh character hai aapke mujadid ka jo ki tumhare gharwalo ne likha hai toh badi sharam ki baat hai yeh likhne ki ashraf ali ka ilm Hindustan me sabse zyada hai (mutalla barelviyat)
Ab dekhte hai Kamalate Ashrafiya : isme bada kamal kiya hai Ashraf ali thanvi ne 








Likhne wale Hazrat Maulana mohammad isa sahab ilhabaadi khalifa e hakim ul ummat,iska safa no. 378 )




ikhte hai : “Farmaya Daawat or Hadiye me halal wa haram ko zyada nahi dekhta kyukay me muttaqi nahi” 
Yeh hai Mujadid sahab, na halal dekhte hai na haram dekhte hai, jaha dil kiya waha muh maar lete hai kyukay muttaqi nahi aur aala Hazrat ki shaan paisa aaya thukra diya,mithai aai thukra di, aur ashraf ali thanvi jaal lekar baithe hai,halal o haram dono khaare hai.. 
Ab thanvi sahab jhut nahi bolte kyuay jo jhut bole woh mujadid nahi,aur thanvi sahab khud keh rahe hai ki woh muft khori me guzara karte na halal dekhte na haram dekhte,bilkul sach bola, 
Ab dono tarfo se dekhe toh yeh mujadid hai hi nahi, kyukay jhut bole toh mujadid nahi aur agar koi kahe ki muttaqi the toh unhone jhut bola,ab muttaqi nahi tabbhi woh mujadid nahi. 
Yeh Thanvi sahab ka aalam tha. 

Ab aaiye yeh hadiye ne kyu nahi karte the iska sabab kyat ha,use bhi padhte hai. 
Al ifazatul yaumiya ki jild 2 jiska scan mene upar diya hai front cover ka , isme ashraf ali thanvi ne apne aur pane buzurgo ka bahut pyaara nazariya bataya hai,safa no. 526 Qist no. 5 Malfuz no. 940  )








Toh aapne padha ki imaan kya hai aur akibat yaani akhirat kya hai,yeh hai deoband ka deen ,deoband kay buzurgo ka deen ,yeh ilm ashraf ali ne liya tha ki imaan ki salamati pait bhar kay roti aur akibat khulkar pakhana hojaye.yehi badi nemat hai,In deoband ko iske siwa kuch nahi chahiye. 
Yeh sab baate Deoband kay nazro se nahi guzarti aur badnaam karte hai ki bareli kay aala Hazrat ko halwa halwa kehkar. 
Ab aala Hazrat kay haram o halal kay taqwe ka aalam padhe : 
Fatwa hai ki Masjid me Mitti ka tel(oil) se chirag roshan karna haram hai, kyukay hadees me hai masjid me pyaaz lehsun wagaira chizen khakar na jao kay use badbu aati hai aur farishto ko taklif hoti hai,lihaza mitti ka tel ko jalane se bhi badbu aati hai,isliye is per haram ka fatwa hai. 
Ab ek roz masjid me kisi ne chirag roshan kardiya woh bhi aisa chirag jo mitti kay tel se jalta ho,aala Hazrat ki nazar padhi,khadim ko bulaya aur kaha ki miya kya aapko humara fatwa nahi pata ki mitti kay chirag masjid me jaalana haram hai,khadim ne arz kiya huzur,chirag mitti ka hai lekin tel khane ka hai,aala Hazrat ne farmaya isse badgumani paida hosakti hai ya toh ek kaam kare aap yaha khade rahe aur har aane jaane wale ko tambhi kare ki chirag mitti ka hai lekin tel khane ka warna log yeh samjhege aala Hazrat fatwa haram ka dete aur khud us per amal nahi karte,khadim ne socha yeh mumkin nahi uske liye toh usne bhuja diye. 
Yeh Taqwa hai aala Hazrat ka aur ashraf ali thanvi sahab haram o halal dekhte hi nahi. 
Ab aaye hum aapko inke khane pine ka mashgala batata hu 
Al ifazatul yaumia ki Jild 1 (iska scan front cover upar diya hu) 
Safa no. 255 Qist no. 2 Malfuz no. 515 )








Likhte hai : “Molvi Mohammad umar sahab ek shaks ne unki aur meri daawat ki molvi sahab ko jigar ka ariza tha is bhale manas ne chawal pakwaye woh bhi khane kay qabil nahi jab khane baithe mene mezbaan se kaha kuch aur bhi hai ,kaha nahi,mene kaha kay yeh toh khane kay qabil nahi ab kya khaye aur jab tumko chawal pakana nahi aata tha toh kyu pakaya sidhi daal roti kyu nahi pakai,kahi se roti lao ,kaha kay roti toh nahi pakai mene kaha kay hum nahi jaante jab daawat ki hai toh khilao aur kahi se khilao bhuke thodi jayege aur khayenge roti kaha kay roti kaha se lau mene kaha kay ghar nahi hai toh muhalle se mangkar laao ,gaya musibat ka maara daal roti laaya khub pait bhar kar roti khaye mene molvi mohammad umar sahab se bhi roti khane ko kaha magar woh bahut khaliq the kehne lage iski dil shini hogi ,mene kaha ki humari jo shikam shikni hogi. 
Toh yeh hai Ashraf ali thanvi jo bichare ki daawat per gaye aur zabardasti dawat khare hai aur kehte bhi hai agar inki sochege toh humare pait ka kya hoga. 
Hum Barelvi khud ki mehnat kay kamai ka halwa khaate hai aur deoband kay mujadid dawat khor cheen cheen kar dawat khate hai. 
Ab aala Hazrat ki daawat ka aalam dekhe 
Hasnain Miya bayan farmate hai ki aala Hazrat baithe hue the gharme toh ek kam umar ka bacha aata hai aala Hazrat ki khidmat me aur be takhallufi kay saath aata hai aur kehta hai meri bua(maa) ne aapki daawat ki hai,aala Hazrat ne muskuraya aur farmaya sahabzaade hume kya khilaoge waha per , bache ne daaman sameta hua tha,usme kuch chizen thi ,usne nikala toh mash ki daal thi yaani udat ki daal thi aur kaha ki daal khilayege aur mirchiya thi yeh khilayege hum aapko,toh aala Hazrat ne muskuraya aur farmaya ki hum aapki daawat me zarur aayege (aur aala Hazrat kam mirch khane walo me se the) aala Hazrat kay khadim haji kifayatullah se farmate hai is bacche ka pata puch lijiye ,ab unhone puch liya aur baccha chala gaya,aur khadim sahab ne socha ki bacche ki dillagi kay liye dawat me haami bhardi,lekin jab dusra din aaya tab aala Hazrat tayar hue jaise dawat me jaate waqt hote hai,haji kifayatullah se farmaya chaliye dawat me,kaha kay kaha jaana hai,aala Hazrat ne farmaya pata nahi liya us bacche se,kaha pata toh leliya tha,farmaya fir chaliye ,pahuchte hai gareeb ka ghar hai woh aur jhopda hai ek hi kamre ka makaan ,jhode kay saamne chappar dala hua hai,aap ghar kay paas gaye buland aawaz se salam kiya ,ghar se khatun ki Aawaz ati hai aur jawab deti huzur me pardadaar khatun hu aap isi chappar kay paas tashreef rakhiye (waqt ka imam us chappar kay niche baith jaati hai,log aate jaate dekhre hai saath me haaji kifayatullah bhi baithe hue hai) uske baad andar se plate I usme udat ki daal hai aur upar se mirchiya kaat kar rakhi hui haiaur roti jau ki moti moti rotiya hai ,tab haji sahab aapke kaan me kehte hai huzur me is ghar ko shayad pehchanta hu,mujhe kuch kuch yaad aaraha hai,farmaya kya baat hai,kaun hai is ghar ka malik,kaha ki yeh ghar ka malik kisi zamane me dhol bajate the,yeh gufutgu ahista hoti thi ekin Aawaz khatun tak pahuch gai,Aawaz I kay huzur mere shauhar waqai dhol bajate the magar unhone tauba karli fir us peshe ko choddiya tha,ALLAH ka fazl hai woh nek raste per the fir unka inteqal hogaya,ab kamane wala yeh bacha hai aur me bewa hu aur bache ki kamai halal hai aur yeh mazduri karta hai aur jo kuch milta hai usi me yeh daawat ki gai hai,aala Hazrat haatho ko buland karte hai ki a parwardigar shukar hai tera ki tune kabhi ahmed raza kay shikam me haram luqma nahi dalwaya,uske baad aap khate hai ,haji sahab kehte hai ,bahut khushi kay saath apne khaaya aur baar baar kehte hai aise betakalluf dawat roz ho toh kitna maza aajaye,fir aapne bahut duayen di us bache ko aur apne ghar tashreef laate hai. 
Yeh aala Hazrat kay daawat ka andaaz tha aur deoband kay mujadid ka andaaz agar nahi hai toh bhik maang kar la, magar roti laa 
Ab dekhte hai ki Ashraf ali thanvi kitni bade alim the.. 
Al ifazatul yaumiya ki Jild 2 hai jiska mene upar front cover per scan diya hai 
Safa no. 290 Malfuz no. 560 Qist no. 3  )








Likhte hai : “Jab Deoband me bada jalsa hua tha usme mujhse Hazrat maulana deobandi rehmutullah alaih ne farmaya tha kay is jalse me Huzur Sallallahualaihiwasallam kay fazail bayan karna munasib hai yeh Hazrat maulana ka farman is khayal se tha kay bada majma hai har qisam kay aqaid kay log aitraaf se aaye hue hai jin me baaz woh bhi hai kay hum logo kay mutalik yeh khayal kiye hue hai kay in kay dil me huzur Sallallahualaihiwasallam ki azmat nahi.NAuzbillah.toh aise log rasul ALLAH Sallallahualaihiwasallam kay fazail sunkar yeh samaj jayege kay huzyr Sallallahualaihiwasallam kay mutalik in kay yeh khayalat hai,mene arz kiya kay aise bayan me riwayaat kay yaad hone ki zarurat hai aur riwayaat mujko mehfooz nahi,meri riwayaat per nazar bahut kam hai”. 
Deoband ne is bichare ko mujadid banadiye jisko NABI Sallallahualaihiwasallam ki riwayat yaad nahi,fazail bayan nahi kar sakta magar humare Mujadid Imam Ahmed raza ne Fazilat e rasul per kitaabein likhi hai,Aala Hazrat ka eke k salam NABI Sallallahualaihiwasallam ki fazilat per,aapki Naatein Fazilat per pure sarapa rasul Sallallahualaihiwasallam per eke k ashar likha hai aur fir aap likhte hai “Mustafa Jaane Rehmat per Laakho Salam , Sham e bazme Hidayat per laakho Salam” 
Yeh aala Hazrat ki shaan hai aur in deoband kay mujadid ko riwayat hi nahi malum toh aise shaks ko mujadid kehna kaisa, aur yeh hakim ul ummat hai asal me inko mariz ul ummat kehna chahiye,dimag se kamzor hai,riwayat hi yaad nahi. 
Toh yeh inke ilm ka aalam tha,ab aaiye isi kitab me hum ek aur ibarat batadu kay yeh waqai haq per the,itne Haq per the apne Aib khud hi batadete the 
Al ifazatul yaumiya Jild 3 )









Safa 221 Qist no. 2 Malfuz no. 283


Iikhte hai : “chunanche baaz ibarat mere hi pehli likhi hui ab khud meri hi samaj me nahi aati aaj hi ka waqya hai kay ek fatwa mera hi likha hua nikal aayat bade gaur wa fikr se baar baar dekha tab samaj me aaya” 
Yeh padha aaplogne ki Ahraf ali thanvi jise deoband wale apna mujadid samajte hai,use apne hi fatwe samaj me nahi aate aur badi gaur o fikr se dekha tab samaj me aaya yeh usi ka fatwa hai,Jab yeh khud kay fatwe nahi samaj paata tha toh Imamon kay Qalaam ko kya khaak samjhege. 
Ab aage dekhe 
Yeh Ifazatul yaumia ki Jild 5 hai Iska Malfuz no. 108 Safa no. 108 )
Isme Thanvi sahab apne ek buzurg ka waqya suna rahe hai  







Likhte hai : “Rampur me Hazrat Maulana Gangohi ne ek waqaa per talaq kay muta’lik koi fatwa diya tha,kisi aurat ne Quran shareef ka tarjuma padhkar is kay khilaf yeh fatwa dediya kay Quran me yeh likha hai,Hakim ziyauddin sahab rehmutullah alaih se kisi ne bayan kiya farmaya kehdo kiya jaane masla chaddo kahi ki ,kehdo use kay agar zaban darazi karegi toh naak choti kaat di jayegi” 
Yeh hai Deoband kay buzurg aur is tarah islah karte hai yeh auro ki kay inko baat karne ka tariqa hi nahi,Kis tarah ek khatun kay sawaal ka Jawaab diya jaa raha hai. 
Aur aala Hazrat ki shan yeh hai kay aapne ek Sher likha. 
“Haajio aao shahenshah Ka roza dekho, 
Qaaba toh dekh chuke,Qaabe ka Qaaba dekho” 
Is per kai shauhra ne aitraaz uthaya ki yaha shahenshah ka lafz NABI Sallallahualaihiwasallam kay shaan kay layak nahi,sher me Shahenshah kay badle Shah likhdo, Ab jab yeh aitraaz aala Hazrat tak pahucha toh aapne kuch ulta Jawaab na diya balki islah kay liye aapne puri ek kitaab hi likhdi “Shahenshah Kaun” aur isme dalail diye ki ,kin Imamo ne NABI Sallallahualaihiwasallam ko Shahenshah kaha hai,Subhan ALLAH yeh tarika hota hai islah karne ka. 








Yeh Us kitaab ka scan page hai. 
Yeh Humare Mujadid ki Shaan hai. 
Ab aage dekhte hai ki Inke Mujadid Chichore bhi the aur inka chichora pan bhi likhu toh kai jilde likhni padegi mujhe. 
Kitaab ka naam hai Hazrat Thanvi kay pasandida waqyat 








                                                                Iska👆 Safa no. hai 26




Likhte hai : “Ek Mera Khwab , : Ek Mureed ne apne peer se kaha kay mene khwab dekha hai kay aapki ungliya toh shahed me bhari hui hai aur mere galiz me , peer ne kaha kyunahi hum aise hi hai aur tum aise hi ho,mureed ne fauran kaha kay huzur abhi khwab pura nahi hua mene yeh bhi dekha hai kay aap meri ungliya chaat rahe hai aur me aapki ungliya chaat raha hu,peer ne kaha nikal yaha se khabees,usne kaha khabees toh hum agar dekha yun hi hai” 
Hasna mana hai,toh aaplog yaqeen nahi karoge ki Thanvi sahab ki puri latife ki kitaab ban sakti hai aur uska naam “Thanvi Jokes” rakh sakte hai. 
Ab humare yeh samaj me nahi aata ki Deoband ka waqt k mujadid yeh hiqayat batakar kya saabit karna chahta hai ?? koi maqsad hona chahiye ise likhne ka ya batane ka. 
Isi Kitaab me ek aur waqya likhte hai. 
Iska Safa no. 191 hai 










Likhte hai : “Ek telan se kisi ne pucha kay tera miya kaha hai woh chunke zaban se toh kuch jawab na diya magar lahenga uthaya aur peshab kiya aur peshab kay baad ise phand gai matlab yeh tha kay darya paar gaya hai” 

Telan tel bechne wale ki biwi ko kehte hai,jab inke yaha nai nai shaadi hoti hai toh dulhan kuch nahi kehti woh khamosh rehti hai usi waqt ek shaks ne is telan se sawaal kiya tha. Ab yeh Deobandi sahab ka mijaz hai kay istarah kay waqyat bayan kiya karte the,aur yeh thanvi sahab kay pasandida waqyat me se hai. 
Ab Isi kitaab me aage dekhe hai, 
Iska safa no. 248 hai 









Likhte hai : “Humare yaha ek aurat eid ka chanddekhne khadi hui isse pehle isne apne bache ka pakhana kapde se pocha tha jisme se kuch najasat uski ungli ko lagi rehgai,aurto ki aadat hai kay woh naak per ungli rakha karti hai.isne jo naak per ungli rakh kar chand dekha toh pakhana ki badbu naak me pahuchi,toh woh kehti hai owai ab chand kasa sada hua nikla hai” 
Toh Thanvi sahab yeh samjhate hai ki Ullema per aitraaz karte hai khudko nahi dekhte, yeh samjhane kay liye Mujadid ko Quran o Hadees Aimma e Mujhtahideen kay aqwaal na mile lekin yeh guu gobar wala waqya mila, 
Is tarah ki chichori goo gobar wali harkat inke mujadid me paai jaati hai. Thanvi sahab ka aalam yeh tha ki gande chichore faish aise shaks ka naam Thanvi haiaur Deoband ne inhe mujadid bana rakha hai. 
Ab Aakhir me Aala Hazrat ki shaan me inhi kay ghar ki kitaab se pesh karta hu, 
Maulana Qausar niyazi sahab,yeh jamat e islami se the,Maulana Idrees khandelvi kay aalim se inhone padha. Kitaab ka naam Imam Ahmed Raza. Front cover. 







Al madnaul misbahi se chapi hai kitab Maulana Qausar niyazi ki 
Safa no. 20 per likhte hai 



Likhte hai : “Mene sahi Bukhari ka dars mashoor deobandi aalim shaykul hadees Hazrat Maulana Mohammad Idrees khandelvi marhoom wa magfur se liya hai,kabhi kabhi aala Hazrat ka zikr aajata maulana khandelvi sahab farmate hai “maulana sahab(quasar niyazi) maulana imam ahmed raza sahab ki bakshish inhi kay fatwe kay sabab hojayegi ,ALLAH taala farmayega Imam ahmed raza khan tumhe humare rasool se itni mohabbat thi ,itne bade bade alimo ko tumne muaf nahi kiya ,kya tumne samjha unhone toheen e rasool ki ,toh in per bhi kufr kay fatwe laga diye ,jao isi ek amal per humne tumhari bakshish kardi.” 
Yeh Deoband kay ghar ki gawahi hai Imam Ahmed raza ki shaan hai 
Aur fir aage likhte hai: 








“kamobesh isi andaz se ek aur waqya,Mufti e aazam Pakistan Hazrat maulana mufti shafi deobandi se mene suna : Hazrat imam ahmed raza khan ki wafat hui toh Hazrat maulana ashraf ali thanvi ko kisi ne aakar ittela di aur ashraf ali thanvi ne dua kay liye haath utha diya ,jab dua karchuke toh haazrin e majlis me kisi ne pucha “woh toh umar bhar aapko kafir kehte rahe aur aap unke liye dua e magfirat karrahe hai,farmaya yeh baat samajne ki hai kay maulana ahmed raza ne hum per kufr kay fatwe isliye lagaye kay inhe yaqeen tha kay humne tauheen e rasool ki aur woh yaqeen rakhte hue bhi humko kufr ka fatwa na lagate toh khud kaafir hojaate” 
Aur fir aage likhte hai 












“Haqeeqat me log jis imam ahmed raza khan ka tashadud qarar dete hai woh bargah e risalat me woh bargah e risalat me adab o ehtiyat ki rawish ka natija hai shayar ne shayri nahi ki tarjamani ki hai jab yeh kaha 
“Adab gaahist zer e aasman az arsh e nazuk tar 
Nafse goom kar do ma aayad junaid wa bayazid ee jaa” 
Aur mera yeh apna ek sher hai 
“Le saas ahista yeh darbar e nabi hai,khatra e bahut sakht beadbi ka” 
Yeh hai aala Hazrat ki shaan kay Deoband wale khud Imam Ahmed raza ko Haq per jaante maante the,yeh humare mujadid ka martaba kay Deoband kay ghar ki shahadat hai , agar aala Hazrat ne kisi ko kaafir bhi kaha toh ishq e rasool me kaha. 
Hum kehte hai ki Ishq rasool toh tha hi lekin kufr kay fatwe isliye diye ki yeh deobandi waqai kufr kiye,unki woh ibarate waqai kufr waali hai aur ab taqreeban 200 saal ka arsa guzarne ko aaya lekin puri Deobandi Jamaat milkar bhi yeh kufr kay fatwe hata na saki. 
Ab Alhamdulillah is risala se yeh wazeh ho chuka hai ki humare mujadid aala Hazrat Imam ahmed raza khan ki shaan kya hai aur jo dusre log hai jise apna mujadid banana ka khota sikka chalana chahte hai lihaza unhe chahiye ki woh aala Hazrat ko samjhe aur unke nazariye unki kitaabo me hai unki seerat me hai,barelviyat ko samajne kay liiye dhol baaje na dekhe aap,log ahle sunnat ko badnam karne kay liye barelviyat ko badnaam karne kay liye kehte hai dekho kaise dhol baja rahe hai,yeh ahle sunnat fula khurafate karte hai,me guzarish karuga ki aala Hazrat ki yeh talimaat nahi hai,sab se guzarish hai ki aala Hazrat ki talimat per amal kijiye taaki gairo ko kehne ka mauka na mile,aala Hazrat ne kabhi dhol baaja,aurto ka mazaro per jaana ,mele aur thele ,nachne aur qawwali ne kabhi ijazat na di aur yeh sab aala Hazrat kay nazdeek najaiz o haram tha,aur humesha iski mukhalifat farmai,yeh hargiz ahle sunnat ka mazhab nahi hai,yeh hargiz aala Hazrat ki taalim nahi hai,darhaqeeqat jo in khurafato ko laate hai woh aala Hazrat kay dalilo per jawabat nahi de paate hai,isliye yeh khurafato ko pesh karte aur agar inme himmat hoti toh aala Hazrat ki dalilo per baat karte ,magar chuke chor dilme chupa hota kykay inhe pata hai job hi kitaab uthayege aala Hazrat ki woh quran o hadees kay khilaf na hoga isi bina per yeh kitabo se baat nahi karte balke khurafate dikhate hai,aur hum kehte hai qaum ko nahi dekha jaati balke qaid ko dekha jaata hai,kalko gair bhi kehsakte hai ki musalman atankwadi hota hai,toh kya islam atankwadi hojayega ?? nahi , kyukay islam atankwadi ki taalim nahi deta ,humara Quran atankwad ki baat nahi karta ,humara nabi atankwaad lekar nahi aaya balki humara NABI Sallallahualaihiwasallam rehmatullilaalameen bankaar aaya hai aur jab humara nab sabke liye rehmat bankar aaye hai toh qaum atankwadi nahi hosakti,toh joy eh badnaam karte hai khurafato se darasal inko dile me chor hota hai. 
Agar himmat hai toh kitabo ko saamne rakhkar baat karo,khurafato kay khilaf toh humarae ullema hai,hum khud hai toh jo humare nazdeek jayaz nahi use hum per kyu thopte ho? 
Lihaza maslak e aala Hazrat Taalim e Quran o hadees ka naam hai. 
Surah fatiha ki aayat hai jiska tarjuma hai : “Hume sidha rasta chala,rasta unka jis per tune inaam kiya” 
Maslak kay mane rasta hai aur aala Hazrat ka maslak quran o hadees hai 
Sahi Bukhari ki hadees jild 1 hadees no. 14 
Tarjuma : “Tummese jab tak momin nahi hosakta jabtak rasul se itni mohabbat nakare jitni apne maa baap se na karta ho jitney bhaiyo se ehl o ahyal se na karta ho,us waqt tak momin nahi hosakta” 
Isi ka naam maslak e aala Hazrat hai. 
Ek aakhri sher aala Hazrat yun farmate hai 
“tere Ghulamo ka naqshe qadam hai rahe khuda 
Woh kya bahek sake jo yeh soorag lekar chale”.....




♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki Roshni me Amal karne ki taufiq de. Aameen
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.nabikibaatein.com



Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen

1 comment:

  1. Kafir Thanvi ko mujajid mante ho no1 kafir hai thanvi bolo sabut du

    ReplyDelete