SEERAT E MUSTAFA
Part:-01
Huzoor-e-aqdus Ka Nasab Shareef Walid Majeed Ki Taraf Se.
(1)Hazrat MUHAMMAD Mustufa.
(2) Bin ABDULLAH.
(3) Bin ABDUL MUTTLIB .
(4) Bin HASHIM .
(5) Bin Abd-e-Munaf.
(6) Bin Kusey ..
(7) Bin Kilaab.
(8) Bin Mur’rah.
(9) Bin Ka’ab.
(10) Bin Luvvey .
(11) Bin Galeeb.
(12) Bin Fihar.
(13) Bin Malik .
(14) Bin Nazar..
(15) Bin Kinana..
(16) Bin Khuzzaima .
(17) Bin Mudreeka..
(18) Bin Iliyas.
(19) Bin Muzar.
(20) Bin Nazaar.
(21) Bin Ma’Ad.
(22) Bin Adnaan.
(Bukhari Shareef Jild-1 )
Baab E MabAsoon Nabiyy Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam
Aur Walida’h Majeeda’h Ki Taraf Se Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Shajra Nasab Yeh Hai,
(1)Hazrat MUHAMMAD Mustufa..
(2) Bin Aamina..
(3) Bint-e-Wahab..
(4) Bin Abd-e-Munaf..
(5) Bin Zohra..
(6) Bin Kilab..
(7) Bin Mur’ra..
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Walideen Ka Nasab Nama ”Kilab Bin Mur’ra’’
Par Mil Jaata Hai Aur Aage Chal Kar Dono Silsile Ek ho Jate hai. “Adnaan” Tak Aap Ka NASABNAAMA Sahih Sanado Ke Sath Ba-Ittefaq Mo’arrekhin (Itihaskaar) Sabit Hai..
Is Ke Ba’ad Naamo Me Bahut Ikhtilaaf Hai Aur Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Jab Bhi Apna Naama Bayan Farmate The To
“Adnaan” Hi Tak Zikr Farmate The.
(Kirmani Ba Hawala Hashiya Bukhari Jild-1, Shafa-543)
Magar Is Par Tamaam Mourrekhin Ka Ittefaq Hai Ki
‘Adnaan’ Hazrat Ismaail Alaihis'salam Ki Aowlaad Mein Se Hai, Aur Hazrat Ismaail Alaihis'salam Hazrat Ibraheem Khalil-u-ALLAH Alaihis'salam Ke Far Zand Hai.
Khandani Sharaafa
Huzur E Akram صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Khandaad wa Nasab Najaabat wa Sharafat Me Tamam Duniya Se ASHRAF Wa Aa’ala Hai Aur Ye Who Haqiqat He Ki Aap (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم) Ke BadTareen Dushman Kuffar E Makka Bhi Kabhi Is Ka Inkaar Na Kar Sake, Isi Liye Hazrat Abu Sufiyaan Ne Jab Who KUFR Ki Halat Me The Baadshah Room HARKULES Ke Bhare Darbaar Me Is Haqiqat Ka Iqrar Kiya Ki ‘Hu-wa-Fina Zu Nasab’ Ya’ani Nabi (صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم) ‘Aala Khandan’ Hai.
(Bukhari Jild-1, Shafa-4)
Hala’n Ki Abu sufiyan Us Waqt Aap(صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم) Ke Bad Tareen Dushman The,
Aur Chahte The Ki Agar Zarra Bhar Bhi Gunjayish Mile To AAQA Ki Zaat E Par Koi Aib(Nuqs) Laga Kar Baadshah Room Ki Nazaro Se Aap Ka Waqaar Gira De..
KURAISH W SHAKK-E-SADR.
KURAISH :
Huzoor E Aqdas صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Khaandan-e-Nabuwwat Me Sabhi Hazrat Apni Be Panah Khushushiyat Ki Vajah Se Badi Nami Girami Hai.Magar Chand Hastiya Aasmaan-e-Fadal-o-Kamaal Chand Tare Ban Kar Chamke. In Ba-KamaaLo Me Se FAHAR BIN MALIK Bhi Hai In Ka Laqab KURAISH Hai, Aur In Ki Aowulad ‘KURAISH’ Ya KURAISHI Kahelati Hai. FAHAR BIN MALIK ‘KURAISH’ Is Liye Kahelate hai Ki ‘KURAISH’ Ek Samandari JaanWar Ka Naam Hai Jo Bahut Hi TakatWar Hota Hai, Aur Tamam Janwaron Par Hamesha Galib Raheta Hai, Kabhi Magloob Nahi hota, Chu’nKe FAHAR BIN MALIK Apni SHUJA’AT Aur KHUDA’DAAD Takat Ki Bina Par Tamam Kaba’iel E Arab Par Galib Is liye Tamam Ahl E Arab In Ko ‘KURAISH’ Ke Laqab Se Pukarne Lage.
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke MAA-BAAP Dono Ka Silsila e Nasab FAHAR-BIN-MALIK Se Milta Hai,
Is Liye Huzoor Sallallahu Tala Alaihis'salam Maa'n-Baap Dono Ki Taraf Se ‘KURAISHI’Hai.
(Sahih Bukhari, Kitab-ul-Fazayil, Hadees-2276)
Abhi Yaha Se Bachpan E Mubarak Ka Bayan Shuru Hoga.
HAKK-E-SHADR.
Ek Deen AaP صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم CHARAGAAH (Bakriya Charane Ki Jagah) Me The Ki Ek Dam Hazrat E HALIMA RadiALLAHU Ta'ala Anha Ke Ek Farzand, ‘Zamra’ Hanfte Huve Dodte Huve Apne Ghar Par Aaye, Or Apni MAA Hazrat E Bibi HALIMA RadiALLAHU Tala ANHA Se Kaha
AMMIJAAN..!!
Bada Gazab Ho Gaya, MUHAMMAD صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ko Teen Aadmiyo Ne Jo Bahot Hi Sufaid(White) Leebas Pahene Huve The, Sidha Lita Kar In Ka Shikam(Pet Mubarak) Chir Diya Hai, Aur Me Isi Haal Me In Ko Chhod Ke Bhaga Huva Aaya Hu. Yeh Sun Kar Hazrat E Halima RADIALLAHU Ta'ala Anha Aur In Ke Shohar Dono Bad Hawaas Ho Kar Ghabhraye Huve Dod Kar Jungle Me Pahunche To Yeh Dekha Ki Aap Sallallahu Tala Alyhi wasallam Baithe Huve Hai,Magar Khouf Se Chahera Zard Or Udaas The,
Hazrat E Hamila Ke Sohar Ne Intihayi Mushfiqana Laheze Me Pyaar Se Puchha Ki Beta !
Kya Baat Hai..?
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Farmaya Ki Teen Shakhsh Mere Paas Aaye Or Muje Sidha Lita Kar SHIQAM Chaak Kar Ke Is Me Se Koi Cheez Nikal Kar Bahir Fenk Di, Aur Fir Koi Cheez Mere SHIQAM Me Daal Kar Shagaf Ko See Diya Lekin Muje Zarra Barabar Bhi Takleef Nahi Huvi..
(Madarijunnabuwwat-Jild:2, Safah:21)
Yeh Waqiya Sun Kar Hazrat E HALIMA Or Unke Shohar Ghabhra Gaye Ki Shayad Ham in Ki Hifaazat Na Kar Paye, Hazrat E Hamila Sarkar Ko Lekar Makka’h Mukarrama Aa Gayi.or Sarkar Ko Maa Aamina Ko Shupurd Kiya.
HAKK-E-SHADR (Shikam Chaaq) Kitni Baar Huva..???
Hazrat Moulana Shah Abdul Azeez Muhaddis Dahelvi Rahemtullahi Tala Alyhi
"Sura-e-Alam Nash-Rah" Ki Tafseer Me likhte Hai Ki 4 Baar Aap Ki Chhati Mubarak Ko Chaaq Kiya Gaya,
Or Usme NOOR-O-HIQMAT Ke Khazane Bhare Gaye.
PAHELI Marataba :
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Jab Hazrat E Halima Ke Ghar The,(Jis Ka Zikr Uper Kiya gaya) Is Waqt Ki Hiqmat Thi Ki Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Un WasWaso Or Khayalaat Se Mahefooz rahe Jin Me Bachhe MubtilHo Kar Khel-Kud Ki taraf Ma’Yil Ho Jate Hai,
DUSRI Martaba :
10 Year Ki UMR Shareef Me Huva Taki Jawani Ki PoorAasoob Shahwato KE Kahtrat Se Aap Be-Khouf Ho Jaye.
TISRI Martaba :
Gare Hira Me AAPصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Qalb Me NOOR-e-Sakeena Bhar Diya Gaya, taki Aap Wahi-e-Elahi Ke Azeem Or GeeraBaar Bojh Ko Bardasht Kar Sake....
CHOWTHI Martaba :
Shab E Me’araj Me Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Mubarak Seena Chaaq Kar Ke NOOR-o-HIQMAT Ke Khazano Se Ma’amoor Kiya Gaya, taki Aap Ke Qalb Mubarak Me Itni Wus’ate Aur Salahate Payda Ho Jaye Ki aap Dedaar –e- ilahi Ki Tajalliyo Aur Kalaam E Rabbani Ki Haibato Aur Azmato Ke Mu’TahmiL Sake.
(SEERAT-UN-NABI)
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki Roshni me Amal karne ki taufiq de. Aameen
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen
No comments:
Post a Comment