Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, December 22, 2016

SEERAT E MUSTAFA


SEERAT E MUSTAFA 

PART:-02

HAZRAT E MAA AAMINA KI WAFAAT...!!



Huzoor E Aqdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Umr shareef Jab Chhe(6) Bars Ki Huvi To Aap Ki Walida’h Majeeda’h RadiALLAHU Tala Anha Aap Ko Sath Lekar Madeena Munawwara Aap Ke Dada Ke NahiHaal Banu-Adi-Bin Najjar Me Rishtedaro Ki Mulakaat Ya Apne Shohar Ki Kabr Ki Ziyaarat Ke Liye Tashreef Le Aayi.Huzoorصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Walidaah Majeedah Ki Baandi Umm-e-Aiyman Bhi Is Safar Me Aap Ke Sath Thi, Waha Se Wapasi Par ‘Ab-Waa’ Naami Gaanw Me Hazrat Bibi Maa Aamina Radi’ALLAHU Tala Anha Ki Wafaat Ho gayi Aur Woh Wahi Madfan Huve. Waleed Majeed Ka Saaya To Wilaadat Se Pahele (Jaab Aap Maa Aamina Ke Shikam Me 2 Mahino Ka Waqt Huwa Tha) Hi Uth Chuka Tha Ab Waleedah Majeeda Ki Aagoush E Shafqat Ka Khatema Bhi Ho Gaya.Lekin Hazrat Bibi Aameena Ka Yeh Durr-e-Yateem Jis Aagous E Rahemat Me Parwareesh Kar Parwaan Chadhne Wala Hai, Who In Sab Zahiri Asbaab E Tarbiyyat Se Be Niyaaz Tha.

(Al-Mawahibul Duniya, Jild-1 shafa-88)

Hazrat E Bibi Aameena Radi’ALLAHU Tala Anha Ki Wafaat Ke Ba’aad Hazrat E Umm-e-Aeyman Radi’ALLAHU Tala Anha Aap Ko MAKKAH MUKARRAMA Laayi Or Aap Ke Dada ABDUL MUTTLIB Ke Supurd Kiya,Aur Dada Ne Aap Ko Apni Aagous E Tarbiyyat Me Intihaayi Shafqat Wa Muhabbat Ke Sath Parwarish Kiya Aur Hazrat E Umm-e-Aeyman Aap Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam Ki Kheedmat Karti Rahi. Jab Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Umr Shareef Aanth (8) Baras Ki Ho gayi To aap Ke Dada ABDUL MUTTLIB Ka Bhi Inteqaal Ho Gaya.

(Madarijunnbuwwat-2 Baab-1, Shafa-20)

Abu-Talib Ke Paas..!!


Abdul Muttlib Ki Wafaat Ke Baad Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Chacha Abu-Talib Ne aap Ko Apni Aagous E Tarbiyyat Me Le Liya..

Aur Huzoorصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Nek Khaslato Aur Dil Lubha Dene Wali Bachpan Ki Piyaari Aadao’n Ne Abu-Talib Ko aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Aysa Chahne Wala Bana Diya Ki Makaan Ke Andar Aur Bahar Waqt Apne SatHi Rakhte, Apne Sath Khilate Pilate, Apne Paas Hi Aap Ka Bistar Bichhate Aur 1 Lamha Bhi Apne Se Ojhal Hone Nahi Dete The.

(MawahibbulDuniya, J-1-Shafa 88)

Abu-Talib Ka Bayaan Hai Ki Maine Kabhi Bhi Nahi Dekha Ki Sarkar E Do Aalamصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Kisi Waqt Bhi Koi Jhuth Bola Ho,

Ya Kabhi Kisi Ko Dhokha Diya Ho, 


Ya Kbhi Kisi Ko Iza Pahunchayi Ho, 


Ya Be-Huda Ladko Ke Paas Khelne Gaye Ho,


Ya Kabhi Koi Kheelaaf E Tahezeeb Baat Ki Ho. 


Hamesha Intihaayi KhooshAkhlaak Nek Atwaar, Narm Guftaar,
Buland Kirdaar, Aur AALA Darjaa’h Ke Paasra Aur Parhezgaar Rahe...

Subhaan'Allah


Isi liye mere imaam e ishaq o Mohabbat Ala hazrat imam ahmad raza fazile barailvi Kiya Khoob Farmate hai..



Farsh Wale Teri Shokat Ka Ulo Kya Jane...


Khusrawa Arsh Pe Udta Hai Pharera Tera


Agniya Palte Hai Dar Se Wo Hai Bada Tera..


Asfiya Chalte Hai Sar Se Wo Hai Rasta Tera..


Faiz Hai Ya Shah-e-Tasneem Nirala Tera...


Aap Piyaso’n K Tajassus Me Hai Dariya Tera..


NAAR-E-RISALAT


MASLAKE ALA HAZRAT ZINDABAD..


Aap Ke Wasile "Dua" se Barish



Ek Martaba Mulk E Arab Me Intihayi Khowf Naak Kahat(Suka) Pardh Gaya. Ahle Makkah Ne Buto se Fariyaad Karne Ka Iradah Kiya Magar Ek Hasin o Jameel Budhe Ne Makkah Walo Se Kaha Ke Ae Ahle Makkah !Hamare Andar Abu-Talib Mouwjud Hai Jo Bani E Kaaba Hazrat Ibrahim Khalilullah wa Alyhissalaam Ki Nasal Se Hai, Aur Ka’aabe Ke Mutawalli Aur Sajjada’h Nasheen Bhi Hai, Hame In Ke Paas Chal Kar Dua Ki Darkhwast Karni Chahiye,

Chunanche Sardaran E Arab Abu-Talib Ki kheedmat Me Hazir Huve Aur Fariyaad Karne Lage Ki,Ae Abu-Talib !! Kahat Ki Aag Ne Sare Arab Ko Jhulsa Kar Rakh Diya Hai, Jaanwar Ghaas Pani Ko taras Rahe Hai, Insaan Dana Paani Na Milne Se Tadap Tadap Kar Dam Tod Rahe Hai, Kafilo Ki Aamad-wa- Rifat (Aana-Jana)Band Ho Chuki Hai, Aur Har Taraf BarBaadi Wa Wirani Ka DowrDowra Hai, Aap Barish Ke Liye Dua Kijiye, Ahle Arab Ki fariyaad Sun Abu-Talib Ka Dil Bhar Aaya Aur Huzur Sallallahu ta'ala Alaihi wasallam Ko Apne sath Le Kar Haram e Kaaba Me Gaye,  Aur Huzur Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Ko Deewar E Kaaba Se Tek Laga Kar Baitha Diya Aur Dua Mangne Me Mashgool Ho gaye, Darmiyaan E Dua Me Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Apni Angusht E Mubaraka(Ungali Mubarak) Ko Aasmaan Ki Taraf Utha Diya Ek Dam Charo Taraf Se Badaliya Namoodar Huvi Aur Dekhte Hi Dekhte Aeiysi Baaran E Rahemat Barsi Kiar Arab Ki Zameen Seyraab Ho gayi, Jungalo Aur Maydaano Me Har Taraf Paani Hi Paani Nazaar Aane Laga,
Chatiyal Maydaano Ki Zameen Sar Sabz O Shaadaab Ho gayi, Kahat Dafa Ho Gaya aur Sara Arab Khoosh Haal Aur Nihaal Ho gaya..!!

(Sharah Zurkani Al’lmawahib J-1, Shafa 345)

Subhan’Allah


Chunanche Hazrat E Abu Talib Ne Apne us Taweel Kaseede Me Jis Ko Unhone Huzur E Paak Sallallahu Tala Alyhi Wasallam Ki Madh-o-Sana ME Nazm Kiya Hai, Is Waqiye Ko Ek Ash’Aar Me Is Tarah Zikr Karte Hai Ki,..


وَاَبْیَضَ یُسْتَسْقَی الْغَمَامُ بِوَجْھِہٖ ثِمَالُ الْیَتَامِیْ عِصْمَۃٌ لِّـلْاَرَامِلِ

Tarjumah:

Wo (Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Aise Gore Rang Wale Hai Ki In Ke Rukh e Anwaar Ke Zariye Badalo Se Barish Talab Ki Jati Hai,
Wo Yateemo Ka Thikaana Aur Bewaao Ke Nigehbaan Hai..!!

(Zurkani Al-Almawahib J-1, Shafa-190)

ISI LIYE MERE IMAAM E ISHQ O MOHABBAT ALA HAZRAT KYA KHOOB FARMATE HAI 


Jisko Sue Aasman Falak Jal Thal Bhar Diye..

Sadqa un Hatho ka Pyare Humko bhi Darkar hai..


♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki Roshni me Amal karne ki taufiq de. Aameen
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:

Post a Comment