Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, January 17, 2017

AURAT KI HAQEEQAT


AURAT KI HAQEEQAT 


Post:-01

                     
                 

Aurat kya hai



"AURAT"- Khuda ki badi badi naymatoan me se ek bahut badi naymat hai.

"AURAT" - Duniya ki aabadkari aur duniyadari me mardoan ke saath taqreeban barabar ki shareek hai.

"AURAT" - Mard ke dil ka sukoon, rooh ki raahat, zehan ka itminaan, badan ka
chain hai.

"AURAT" - Aadam alaihissalam o Hazrath Hawwa alaihissalam ke siwa tamaam insanoan ki "Maa" hai, isliye woh sab ke liye qaabile ehteram hai.

"AURAT" - Aurat ka wajood insani tamaddun ke liye behad zaruri hai.  Agar aurat na hoti toh mardoan ki zindagi jangli janwaroan se badtar hoti.

"AURAT" Aurat bachpan me bhai behen se mohabbat karti hai, shadi ke baad shohar se mohabbat karti hai, maa bankar apni aulad se mohabbat karti hai, isliye aurat duniya me pyar o mohabbat ka ek ( Taj Maha ) hai.

Ref ( JANNATI ZEWER :- Page No. 14 )
                     

  AURAT ISLAM SE PAHLE               


Islam se pahle aurtoan ka haal bahut kharab tha, dunya me aurtoan ki koi izzat o vuqqat hi nahi thi..
Mardoan ki nazar me isse ziyada aurtoan ki koi ahmiyat hi nahi thi ki woh mardoan ki nafsani khwahish puri karne ka ak ( KHILONA ) tha...
Aurat din rat Mardoan ki qisam qisam ki khidmat karti thi aur tarah tarah ke kamoan se yahan tak ki dusroan ki
mehnat mazduri kar ke jo kuch kamati thi woh bhi mardoan ko de diya karti thi, magar zalim mard phir bhi in aurtoan ki koi qadar nahi karte they balki janwaro ki tarah in ko marte pitte they...
Aurtoan ko baap, bhai ya shohar ki meeraas me se koi hissa nahi milta tha, na auratein kisi cheez ki malik huwa karti theen...


Ref ( Jannati Zevar Page No. 15 )
                 


Arab ke log ladkiyoan ko  zinda dafan kar diya karte they.  Baap ke marne ke baad uske ladke jis tarah baap ki jaidad aur saman ke Malik ho jaya karte they isi tarah apne baap ki biwiyoan ke Malik ban jaya karte they aur un aurtoan ko zabardasti londiyan bana kar rakh liya karte they
Aurtoan ko inke Baap Bhai ya shohar ki meeras me se koi hissa nahi milta tha na aurat kisi chiz ki Malik huva karti thi.   
Arab ke baaz qabiloan me yeh zalimana dastur tha ki bewa ho jane ke baad aurtoan ko ghar se bahar nikalkar ek chote se tang o tareek jhonpde me ek sal tak qaid me rakha jata tha.  Woh jhonpde se bahar nahi nikal sakti thi na ghusl karthi thi na kapde badal sakti thi. Khana, Pani aur apni sari zaruraten isi jhonpde me puri karti thi..Bahut sari auratein ghut ghut kar marjati theen.



Hindustan me toh haalat aur bhi zyada buri thi. Hindu dharam me toh aurat ko apne murda shohar ke saat jala diya jata tha.
Gharz puri duniya me beraham o zalim mard auraton par aise zulm ke pahad torhte they ke in dastanoan ko sunkar dil ranj o gham se tukde tukde hojata hai. Puri duniya me koi bhi in mazloomiyat ke aansooan ko pochne wala door door tak nazar nahi aata tha. Magar iske siwa koi chara na tha ke woh Rahmathe Khudawandi ka intezar karey. Chunanchey Rahmathul lil aalameen ki rahmat ka aaftab jab tuloo' hogaya toh sari duniya ne achanak yeh mehsoos kiya ke,
Jahan taareek tha, zulmat kida tha, saqt kaala tha Koi pardeh se kya nikla ke ghar ghar me ujala tha.



( Jannati Zevar Page No. 16)






♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:

Post a Comment