Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Wednesday, January 18, 2017

AURAT KI HAQEEQAT


AURAT KI HAQEEQAT 


Post:-02

AURAT ISLAM KE BAAD 



Jab hamare Rasoole Rahmat Hazrate Muhammad Mustufa Salallaho alaihi wasallam Khuda ki taraf se "DEEN E ISLAM" le kar tashrif laye to dunya bhar ki satai huwi auratoan ki qismat ka sitara chamak utha.. aur Islam ki badaulat zalim mardoan ke zulm o sitam se kuchli aur rondi huwi auratoan ka darja is qadar buland o baala ho gaya ki ibadat o muaamlat balki zindgi aur maut ke har 
marhale aur har morh par auratein mardoan ke dosh ba dosh khadi ho gayeen aur mardoan ki barabari ke darje par pahuch gayeen. Mardoan ki tarah aurtoan ke bhi huqooq muqarrar ho gaye aur in ke huqooq ki hifazat ke liye khudawandi qanoon aasman se nazil ho gaye aur inke huqooq dilane ke liye islami qanoon ki matehti me adalatein qayam ho gaye.
Auratoan ko malikana huqooq haasil ho gaye, chunanche auratein apne mahar ki raqmoan, apni tijartoan, apni jayedadoan ki malik bana di gayeen aur apne Maa-baap, Bhai-bahen, aulad aur shohar ki meerasoan ki waaris qarar di gayeen.. 

Gharz woh Auratein jo mardoan ki jutiyoan se ziyada zalil o khwar aur intihayi majbur o lachar thi woh mardoan ke diloan ka sukoon aur inke gharoan ki malika ban gayi. 

☆Chunanche Qura'n e Majid Furqaan e Hameed ne saf saf lafzoan me elan farma diya ki,

"Allah ne tumhare liye tumhari jism se biwiyaan paida kardi take tumhe inse taskin hasil ho aur usne tumhare darmiyan mohabbat o shafaqqat paida kardi.."
Koi bhi mard bila wajah na auratoan ko maar-peet sakta hai na inko gharoan se nikal sakta hai aur na koi inke maal o asbaab ya jayedadoan ko chheen sakta hai, balki har mard mazhabi taur par auratoan ke huqooq ada karne par majbur hai; 

chunanche Khudawande Quddoos ne Qura'n e Majeed me farmaya ki,,

"Auratoan ke mardoan par aise hi huqooq hain jaise mardoan ke auratoan par ache sulook ke sath.."

Aur mard ke liye farman jari farma diya ki,,


"Or ache sulook se auraton ke sath zindagi basar karo.."


Tamam Duniyaa Dekh le k Deen E Islaam Ne Miyan aur Biwi ki ijte'mai zindagi ki sadarat agarche Mard ko ata farmai Hai. Aur mardon ko aurton pr Hakim bna diya h taki Nizaam'e Khanadari me agr koi Badi Mushkil aan pade to Mard Apni khuda da'ad taqat wa salahiyat se iss mushkil Ko hal kr de Lekin isk sath sath jahan mardon k kuch Huqooq aurton pr wajib kr diye Hain. 
Wahan mardon pr b aurton K kuch Huqooq lazim thera diye Hain. Isliyen Mard Aur aurat Dono ek dusre K Huqooq m jakde hue hain taki Dono ek dusre Ke Huqooq ko ada kark ijte'mai zindagi ko shaa'dmani was musarrat ki jannat bna dain.Aur Nikfaq wa Shiqaq
Aur Ladaa'i jhagdon k jahannam se Hamesha k liyen Aazad ho jayen 
Aurton ko Darjaa't was Maratib ki itni Buland manzilon pr phuncha denaa
Ye Huzur Nabi e Rehmat Sallallahu Alaihi Wasallam Ka woh Ehsan e Azeem Hai ki tamam Duniyaa ki aurten Apni zindagi ki Aakhri Sa'ns tak iss Ehsan Ka Shukr Adaa krti rahen phir Bhi Ehsan'e Azeem ki shukrguzai k Farz se Subukdosh nhi ho skti.

Subhan Allah ! Tamam Duniyaa k Moshin e Azam Nabi e Kareem Sallallahu Alaihi Wasallam ki Shaan e Rehmat Ka kya kehna 
Wo Nabiyon m Rehmat Laqab Paane wala
Muraa'den Ghareebon ki Berr laane wala
Musibatt m gai'ron k kaam aane wala
Wo Apne paraaye Ka gham kahane wala
Faqeeron Ka Maa'wa Zaee'fon Ka Mal'jaa
Tateemon Ka Wali,
Ghulaamon Ka moulaa


Ref ( Jannati Zevar Page No. 17,18 )


       
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:

Post a Comment