AURAT KI HAQEEQAT
POST:-17
MUSALMAN AURATON KA PARDA
ALLAH Wa Rasool صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Insani Fitrat Ke Takazo Ke Mutabik Badkari Ke Darwazo Ko Band Karne Ke Liye Aurto Ko Parde Me Rakhne Ka Hukm Diya Hai.
Parde Ki Farziyat Aur Uski Ahmiyat Quraan Majeed Aur Hadeeso Se Sabit Hai Chunanche Quraan Majeed Me ALLAH Ta'ala Ne Aurto Par Parda Farz Farmate Hue Irshad Farmaya Ki..
وَقَرْنَ فِي بُيُوتِكُنَّ وَلَا تَبَرَّجْنَ تَبَرُّجَ الْجَاهِلِيَّةِ الْأُولَىٰ
TARJUMA
Tum Apne Apne Gharo Ke Andar Raho. Aur Be'parda Hokar Bahar Na Niklo Jis Tarah Pehle Zamane Ke Daur -E- Jahiliyat Me Aurte Be'parda Bahar Nikal Kar Ghumti Firti Thi..
Ref ( PARA 22 - RUKO 1)
Is Aayat Me ALLAH Ta'ala Ne Saaf Saaf Aurto Par Parda Farz Kar ke Yah Hukm Diya Hai Ki Wah Gharo Ke Andar Raha Kare Aur Zamana -E- Jahaliyat Ki Behayayi Wa Bepardgi Ki Rasm Ko Chod De. Zamana -E- Jahaliyat Me Kuffare Arab Ka Yah Dastoor Tha Ki Unki Aurte Khoob Ban Sawar Kar Beparda Nikalti Thi Aur Bazaro Aur Melo Me Mardo Ke Dosh Badoshi Ghumti Firti Thi. Islaam Ne Is Bepardgi Ki Behayayi Se Roka Aur Hukm Diya Ki Aurte Gharo Ke Andar Rahe Aur Bila Zarurt Bahar Na Nikle Aur Agar Kisi Zarurt Se Unhe Ghar Se Bahar Nikalna Hi Pade To Zamana Jahaliyat Ke Mutabik Banao Singar Kar ke Be'parda Na Nikle Balki Parde Ke Sath Bahar Nikle...
HADEES SHARIF
Rasool ALLAH صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Farmaya Hai Ki Aurat Parde Me Rahne Ki Cheez Hai. Jis Waqt Wah Beparda Hokar Bahar Nikalti Hai To Shaitan Usko Jhaak Jhaak Kar Dekhta Hai.
Ref ( Tirmizi J:1, Safah :140 )
Aur Ek Hadees Me Hai Ki Banao Singar Karke itra itra Kar Chalne Wali Aurat Ki Misal Us Tariki Ki Hai Ki Jis Me Bilkul Roushni Hi Na Ho.
Ref ( Tirmizi J:1, Safa:139 )
Hazrat Abu Moosa Ash'ari رضي الله تعالي عنه Se Rivayat Hai Ki Huzoor-E-Akdas صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Farmaya Jo Aurat Khushboo Laga kar Mardo Ke Pas Se Guzre Taki Log Uski Khushboo Soonghe Wo Aurat Badchalan Hai.
Pyari Behno Aaj Kal Jo Aurte Banao Singar Kar ke Aur Uriyan Libas Pehan Kar, Khushboo Lagaye Be'parda Bazaro Me Ghumti Firti Hai Aur Cinema, Theatero Me Jati Hai.
Wo In Hadeeso Ki Roshni Me Apne Bare Me Khud Hi Faisla Kare Ki Wah Kaun Hai.?
Aur Kitni Badi Gunahgaar Hai.?
Aye ALLAH Ki Bandiyon! Tum Khuda Ke Fazal Se Musalman Ho. ALLAH Wa Rasool Ne Tumhe Imaan Ki Daulat Se Malamal Kiya Hai Tumhre Imaan Ka Takaza Yah Hai Ki Tum ALLAH Wa Rasool Ke Ahkaam Ko Suno Aur Un Par Amal Karo.
ALLAH Wa Rasool Ne Tumhe Parde Me Rahne Ka Hukm Diya Hai Isliye Tumko Lazim Hai Ki Tum Parde Me Raha Karo Aur Apne Shouhar Aur Baap Dadao Ki Izzat Wa Azmat Aur Unke Namoos Ko Barbad Na Karo.
Yah Duniya Ki Chand Roza Zindgi Aani Fani Hai. Yad Rakho! Ki Ek Din Marna Hai Aur Fir Qayamat Ke Din ALLAH Wa Rasool Ko Muh Dikhana Hai.
Qabr Aur Jahannam Ke Azaabo Ko Yad Karo. Hazrat Khatoon-E- Jannat Bibi Fatima Zahra Aur Ummat Ki Maao Yani Rasool ALLAH صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ki Mukaddas Biwiyo Ke Nakshe Kadam Par Chal Kar Apni Duniya Wa Aakhirat Ko Sawaro. Aur Khuda Ke Liye Yahood Wa Nasara Aur Mushrikeen Ki Aurato Ke Tariko Par Chalna Chod Do.
Ref ( Jannati Zevar Page No:47/48 )
👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-rasool.com
No comments:
Post a Comment