TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!
PART (13)
SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB
Khair ab ye aayat padhke wo jo batana chahte hai wo ye hai 02 chiz.
☆ WAHABI KA AKEEDA
1) Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم Ko Gaib Ka Ilm Naa Tha....!
2) Huzoor E Akram صلى الله عليه و آله وسلم Ko Ekhteyar Na Tha Naahi Koi Khazana Aap صلى الله عليه و آله وسلم k Pass
AL JAWAAB👇🏻
Ab aaye dekhe Is aayat ka maane kya tha aur in naam nihad roshan khayal khawarijeen munafikeen ne maane kya liya hai....!
Awaal to Is ayat e paak se Khazano ke malik hone ki nafi ya Ilm-e-Ghaib ki nafi ki dalil banana kam ilmi hai...Is ayat me Khazaain aur Ilm-e-Ghaib ki nafi/inkar kab hai..?
Balki Daawe ka inkar hai. Misal ke taur pe Mai koi daawa nahi karta ki mai Koi Aalim hu. To kya iska ye matlab hua ki mere paas Ilm hi nahi..?
Ek Gair Mukkalid So Called Sapoot e Wahabiya Ahle Hadees Janab ne kaha k jab Direct Straight Forward aagayi k Ilme Gaib nahi hai Khazana nahi hai to kisi Mullah ki kyu maanu..?
Iske pehle hum dalail aur is aayat ki tafseer iska pasmanzar bayan kare ek hadees e paak padhe taaki in naam nihaad ande se nikle baccho k hosh thikane aajaye....!
Quran Me Tafseel Bil Rai Karne Waala Jahannami Hai
Hadees 1: Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya.
" مَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِغَيْرِ عِلْمٍ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ "
Jo Shakhs ne Qur’an me (Baghair Ilm ke) apni Raa’i chalaayi Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le....!
Ref ( : Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3204)
NOTE: TU KITNE BHI KOSHISH KARLEA BACHA NAHI PAYEGA KHUD KO DOZAKH KI AAG SE TAQLEED HARAAM HAI KA FATWA DEYA THA..AB JAO JAHANNUM ME
( SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB
Hadees 02: Hazrat Abdullah ibn Abbas رَضِیَ اللهُ عَنْهُ se rivaayat hai ke, Rasool Allah صلى الله عليه و آله وسلم ne Farmaya
" وَمَنْ قَالَ فِي الْقُرْآنِ بِرَأْيِهِ فَلْيَتَبَوَّأْ مَقْعَدَهُ مِنَ النَّارِ
Jo Shakhs baghair Ilm ke Qur’an me Kalaam kare, Wo Apna Thikaana JAHANNUM me bana le... !
Ref (Jamai Tirmizi, Vol : 04, Kitab No 47 - Kitab Tafseer Al Quran, Hadees : 3205)
(I) Ye aayat Jaati Ilme Gaib Par Dalalat Karti Hai... !
( Proof 01 : Tafseer e Nishapuri Is Aayat Ki Tafseer Me Likhte Hai
لا أَعلَمُ
ka idraak لا أَقولُ par hoga Yaani Aye Mehboob Farma Do Ki Mai Gaib Nahi Jaanta To Isme Dalalat Us Par Hogi Ki Gaib Bil Isteklaal Yaani Jaati Siwaye ALLAH k koi Nahi Jaanta....!
(Proof 02 : Tafseer e Baizawi
وَلا أَعلَمُ الغَيبَ
iski tafseer me likhte hai Mai Gaib Nahi jaanta Jab Tak Uski Mujh Par Wahi Naa Ki Jaaye Ya Koi Dalil Us Par Kayam Na Ho Yaa Is se Murad Tamam Ilm Ki Nafi (Inkaar) Hai....!
Proof 03 : Tafseer e Kabir Imam Fakrudin Razi..
Ye Farmaan K Mai Gaib Nahi Jaanta Huzoor K Is Ikraar Par Dalalat Karta Hai Ki Aap Saare Malumaat Nahi Jaante Ya ye Kalam Bataur E Tawajo Ya Insaar Farmaya Gaya....!
Is tarah ki bahot tafseer hum yaha likh sakte hai par bataur e dalil filhaal 03 hi motebar tafseer kaafi hai jisme wajeh huwa k ye aayat ILME GAIB E JAATI K NAFI (INKAAR) LIYE NAAKI ATAYI Ki...!
Aasan lafz me Is aayat me ye hai Nabi e Karim (صلى الله عليه وسلم )Khud se nahi jaante aur naa ye dawa kiya balki jo Rabbe Kadir bata de wo jaan jaate hai....!
(2)Is ayat me mushrikeen ke sawalo ka jawab diya ja raha hai. Jo unhone Nabi صلى الله عليه و آله وسلم se kiye the...!
☆Mushrikeen ka 1st Pehla Sawal.. ?
☆Tafsir Khazin me isi ayat ke tehet hai:
يقولون للنبي ( صلى الله عليه وسلم ) إن كنت رسولاً من الله فاطلب منه أن يوسع علينا عيشنا ويغني فقرنا
Mushrikeen Makka ne Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم se Kaha ki agar aap Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to aap hume Khazane taqseem kar dijiye daulat dekar maaldaar Karen. Taki hum mohjtaj na rahen. Aur apnio zindagi aish wa ishrat se guzaren...!
( Tafsir Khazin Under Tafseer Of Surah Anam Ayat 50)
NOTE: IS POST SE YE SABIT HOCHUKA HAI KI WAHABDO KA THIKANA JAHANNUM HA AB JO YAHA SAWAAL MUSHRIKEEN NE KEYA THA US KA JAWAAB ALLAH TABARAKWATALA NE KIS TARHA FARMAYA HAI YE AAP AB PADHE
( SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB )
Mushrikeen ka 2nd Dusra Sawal..?
قالوا له : أخبرنا بمصالحنا ومضارنا في المستقبل حتى نستعد لتحصيل المصالح ودفع المضار
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to hamare mustaqbil ki khabar dijiye. Hamare Aaindah kaam me nuqsan hoga ya nafa taki hum pehle hi apna intezam kar len...!
Mushrikeen ka 3rd Teesra Sawal..?
( وذلك أنهم قالوا : ما لهذا الرسول يأكل الطعام ويمشي في الأسواق ويتزوج النساء
Agar aap ALLAH ke Rasool صلى الله عليه و آله وسلم hain to khate peete kyun hain ? Aur bazaron me kyun chalte hain? Nikha aurton se kyun karte hain? (Ye to sab Bashar ke kaam hain)
Ye 03 Sawal kahen ya objection jo mushrikeen kuffaro ne kiye the Sawal Huzoor Nabi e Karim صلى الله عليه و آله وسلم se Huwa ab jawab me Allah Tabarakwatala ne diya k ALLAH Paak ye bhi farma sakta tha k Aye MEHBOOB صلى الله عليه و آله وسلم aapko maine aisa koi ilm khazana naa diya balki Quran me Rab Tabarakwatala ne is andaaz me nuzool e wahi ki hai wo ye hai..
Al-Quran: Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye: “Mai tumse nahi kehta ki mere paas ALLAH ke khazane hain aur na mai Ghaib janta hu aur na mai ye kehta hu ki mai koi farishta hu. Mai to usi ke taabe hu jo mujhe wahi aati hai. Aye Pyare Mehbub Sallallaho alaihe wasallam! Unko farma dijiye kya andhe aur ankh wale barabar ho jayenge. Kya tum ghaur nahi karte”
( Surah Anaam ayat 50)
aur ek bahot ahem nuktaa aap pura Quran padh daale jitni aisi aayatein mubaraka hai uska matlab yehi hai Jaati Ilme Gaib ka Naaki Inkaar e Ataiyi Pure Quran me bhot se makam me hai k Ilme Gaib ki kunjiya ALLAH k pass hai Allah Hi Tamam gaib ka jaan ne waala hai par koi ek aayat pe aisi nahi jisme ye kaha ho k ALLAH apne Gaib ka ilm kisi ko ata nahi karta koi aayat bhi nahi hai aisi par ye mauzood hai k ALLAH GAIB KA ILM APNE BANDO Ko ata karta hai wo aage bayan krunga...!
(3)Is Ayat me ALLAH TABARAKWATALA ne Khitaab Kinse kiya hai ?? Kuffaro Mushrikeen Se.
Tafsir Khazin me lafz-e-Qul ke baad mufassir farmate hain:
: ( قل أرأيتم ( أي قل يا محمد لهؤلاء المشركين
Aye Mehbub صلى الله عليه و آله وسلم ! Farma dijiye in mushrikeen ko farma dijiye ki mai tumse nahi kehta Sabit hua ki “Lakum” ye khitab Mushrikeen ko hai. Ki mai tumse ye daawa nahi karta. Ki mere paas Khazain Ilaahiya hain. Aur na ye ki mai ghaib janta hu.
☆Kisi Mufassir ne ye nahi kaha ki Aye Nabi صلى الله عليه و آله وسلم apni Ummat se farma dijiye...!
☆Nabi E Rehmat صلى الله عليه و آله وسلم ne yaha khitab farmaya kinse hai wo..
☆Mushrikeen aur kuffaro se to kya Kaum e Wahabiya bhi Khud ko Kaafir O Mushrik maanti hai shayad isliye is aayat ko apni taraf se pesh karti hai..??
(4)Imaan Laaya Kyu Jaata Hai..?
Imaan ALLAH AUR RASOOL KI RAZA KI KHATIR laaya jaata hai taaki insaan gumrahiyat se nikal k jahannam ka rasta chod jannat ki taraf aajaye ye muktasar se taroof hai warna ispe jildo me kitabe aajayngi...!
Is aayat se maloom hua k ye “Kaafiro ka tarika tha k wo kehte the majakiya tanziya aitraaz me aap Allah K Rasool hai to hume khoob daulat aur maal dijiye taaki hum kabhi mohtaj na rahe hamare liye pahad ko sona bana dijiye aur kabhi kabhi kehte hume pichle aur agle dino ki khabar do taaki hum apne liye nafa talash kar sake aur nuksaan se bachne k liye apna bandobast kar sake...!
Hume kayamat ka wakt batayi kab aaygi kabhi kehte k Aap Rasool ho aur khana bhi khate ho nikah bhi karte ho”
Is aitraaz k jawab me ye aayat aayi chunki Imaan isliye nahi laaya jaata k apne future ka ilm jaan lo k profit hai dunya me yaa nuksaan garibi hai ya amiri balki uske sawahid takaze kuch aur hai....!
Magar kaum e wahabiya bugz k aise chasme lagayi hai k inko kuch nazar hi nahi aata.
Ye Humne Surah Anam ayat 50 ki tafseer aur nuzool k pasmanzar par mukhtasar si roshni daali hai taaki sab clear hojaye Is aayat se saaf jaahir hua k is aayat se Huzur e karim صلى الله عليه و آله وسلم k gaib batane ki nafi lena aur ye kahna k aap nahi jaante..
ye wohi mushriko kaafiro ka tarika th Aur ispe agar akeeda bana liya jaayga to bahot si aayato ka inkaar hojayga ayate ek dusre se takra jaaygi sahi hadeeso ka inkaar karna padega Jo hum yaha pesh karnge....!
NOTE: AB IS K BAAD QUR,AN KI WO AAYAT.E.KAREMA JIS KO PADTE HI WAHABDE'A BEHOSH HO JATE HAI
( SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB
ILM E GAIB E NABI KA SABOOT QURAN E KARIM SE
وَما كانَ اللَّهُ لِيُطلِعَكُم عَلَى الغَيبِ وَلٰكِنَّ اللَّهَ يَجتَبي مِن رُسُلِهِ مَن يَشاءُ ۖ فَآمِنوا بِاللَّهِ وَرُسُلِهِ ۚ وَإِن تُؤمِنوا وَتَتَّقوا فَلَكُم أَجرٌ عَظيمٌ
Aur ALLAH ki yeh Shaan Nahin Hai k Ae Aam logon Tum ko GAIB ka ILM de, haan ALLAH chun leta hai apne Rasoolon main se jis ko Chahe"
( Al Quran PARAH : 4,Surah : Al-Imran, Aayat: 179)
Is ayat ki tafseer me Proof 01 : Tafseer E Be Zaawi main isi Aayat k Ma Tehet hai.
Khuda Ta'ala tum main se har kisi ko ILM-E-GAIB nahin dene ka Matla'a kare, is KUFAR O EEMAAN par jo dilon main hota hai, Lekin ALLAH ne Pegambari k liye jis ko Chun leta hai, Pas Us ki taraf Wahi farmata hai, aur Ba'az Gaiyoob (gaib Ki jama) ki Un ko Khabar deta hai, Ya un k liye Aese Dalael farmata hai, jo GAIB par Rehbari karen"
( Anwaar Ul Tanzeel, Vol :1, Pg:308, Matbooa Mustafal Baabi, Misar)
Proof 02 :Tafseer E Khazan main hai. Tarjuma:
☆Lekin ALLAH chun leta hai, Apne RASOOLON main jise ko chahta hai, Pas UnkoKhabardaar karta hai, Baaz ILM-E-GAIB par."
( Al Baab Taweel fi Ma'ani Ul Tanzeel Ul Ma'aroof, Tafseer E Khazan, Vol : 1, Pg : 308, Matbooa Daar Ul Ma'arfah, Beroot)
Proof 03 : Tafseer E Kabeer Imam Fakruddin razi rehmatullah alaih isi Aayat k Ma Tehet hai.
Lekin In Baaton ka Batareek, GAIB par Matla'a hone, k Jaan lena, Yeh AMBIYA KARAAM Ki KHOOSOSIYAT hai"
(Tafseer Ul Kabeer, Vol : 09, Pg: 111, Matbooa Daar ul Fikar, Beroot)
Proof 04: Tafseer E Jalalen masnavi sharif me maulana rumi rehmatullah alaih likhte hai.
Maaenay (meaning) yeh hain k ALLAH apne Rasoolon main jis ko Chahta hai,Chun leta hai, pas In ko GAIB par Matla'a Kar deta hai"....
KHUDA TA'ALA tum ko GAIB par Matla'a nahin karneka, Taa k Faraq karne se pehle Munaafiqon ko Jaan lo. Lekin ALLAH jis ko chahta hai, Chaant leta hai, to us ko Apne GAIB par Matla'a farmata hai, jese NABI (ALEH SALAAM) ko Munaafiqeen k haal Par Matla'a farmaya".
(Tafseer-E-Jalaalen, Page 92, Matbooa Daar Ul Hadees Al Qaira)
ROOH Ul BAYAAN main hai Allama Ismail hakki al hanfi likhte hai.
☆Q k Haqeeqaton aur Haalaat k GAIB Zaahir nahin hote Bager RASOOL (ALEH SALAAM) k Waastay se"
( Tafseer E ROOH Ul Bayaan, Vol :02, Pg:162, Matbooa Daar Ul Ahya At Turaas Ul A'arabi, Beroot)
Is Tafseer se simply maaloom hota hai, k ALLAH TA'ALA ne NABI (ALEH SALAAM) ko Apne Ba'az GAIB k ILM par Matla'a farmaya..
Is ayat se pata chala k gaib ka ilm Allah Tabarakwatala apne pasandida Nabio bando ko bhi ata karta hai to ab ek aam jahen se soche to kya Quran ki ek ayat dusre se takra rahi hai nazar aati hai magar ye sirf la ilmi hai insaan ki asal me Quran ki koi ayat ya sahi hadis e paak quran se nahi takrati hai....!
NOTE: AB TUM BATAO CANTEEN KI PAYDAWAAR JAHILL WAHABDO, MERE AAQA NABI E KAREEM HUZOORصلى الله عليه وسلم KO ALLAH TABARAKWATALA KA PASANDIDA RASOOL MANTE BHI HO YA NAHI....? (MAAZ ALLAH)
👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-nabi.com
🌎www.zikr-e-rasool.com
Download App http://goo.gl/x7SwOb
No comments:
Post a Comment