Allah ke walyon ko Allah ki di hui taqat ka saboot....
*HADEES-E-QUDSI*
◆Hazrat-e-Abu’Huraira radhi allaho anho bayan karte hain ki Rasoolallah ﷺ ne farmaya ki be-shak Allah ta’ala ne irshad farmaya ki:
Jo mere kisi wali se dushmani karta hai main us se jang karne ka elaan karta hun.
Aur mera banda jin chizon ke zari’ye mere qareeb hota hai un me se farz chizen mujhe sab se ziyadah pasand hai, aur mera banda nafli ibadat ke zari’ye mujh se qareeb hota rahta hai yahan tak ki main us se mohabbat karne lagta hun phir jab main us se mohabbat karne lagta hun to main us ka kaan ban jaata hun jis se woh sunta hai aur uski aankh ban jaata hun jis se woh dekhta hai aur us ka haath ban jaata hun jis se woh pakadta hai aur us ka paao ban jaata hun jis se woh chalta hai.
Agar woh mujh se kuchh maangta hai toh main use zaror ata karta hun aur agar woh meri panah maangta hai to use main apni panah zaror ata karta hun.
Ref (Sahi bukhari,Hadith No.6502 )
www.nabikibaatein.com
No comments:
Post a Comment