1) Raat ka Aakhri hissa (Jisse tahajjud ka waqt kaha jata hai
Ref ( Bukhari )
2) Azaan aur Iqamat (Jab muazin namaz shuru karne se pehle takbir padhta hai ) ke beech ka waqt.
Ref (Tirmidhi )
3) Sajde ke Waqt.
Ref ( Muslim )
4) Jummah ke din Asr ke baad ka aakhri hissa.
Ref ( Bukhari )
5) Aakhri tasahhud me durood ke baad
.Ref ( [Bukhari )
6) Farz Namazo ke baad.
Ref ( Haakim )
7) Baarish utarte waqt.
Ref (Haakim )
8) Roza Iftaar karte waqt.
Ref ( Ibne Majah )
9) Yaume Arafah (Dhul Hijja ka nauwa (9) din).
Ref ( Tirmidhi )
10) Zam Zam pine se pehle.
Ref ( Ibne Majah )
DUA KARNE KE AADAB
Dua ek ibadat hai aur ibadat ke kuch adab "Tarika" hote hai aur adab ka khayal rakhte huye dua karne se hi dua kabool hoti hai. Niche kuch amal diye jarahe hai
1) Dua karne se pehle Allah ki Taarif aur Rasoolullah Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam par durrod bhejna chaiye aur usi par khatam karna chaiye.
Ref (Tirmidhi )
2) Dua dil lagakar aur dotok alfaaz me karni chaiye
Ref ( Bukhari )
3) Dua karte huye kabool hone ka yakeen hona chaiye (Yakeen aisa ki meri dua kabool hogi
Ref ( Tirmidhi )
4) Jaame dua karni chaiye. (Kam Alfaaz me Zaada maayne waale dua karna chaiye
Ref (Abu Dawood )
5) Dua ke liye haath uthaana sunnat hai
Ref (Bukhari)
6) Khaas khaas waqto par duao ke alfaaz teen teen (3) baar dohraana sunnat hai
Ref (Bukhari )
7) Dua me asshaar padhna, humwazan (ek jaise) aur bana bana kar alfaaz istemaal karna sahih nahi hai.
Ref ( Bukhari )
8) Apne gunaho ki saza duniya me paane ki dua karna sahih nahi hai.
Ref (Muslim)
9) Apne liye, apne aulado ke liye, apne khadim (naukar) ke liye, aur apne maalo ke liye Baddua karna mana hai.
Ref( Abu Dawood )
10) Maut ki dua aur tammanna karna mana hai.
( Bukhari )
11) Choti se choti cheez bhi Allah se mangna chaiye.
Ref ( Tirmidhi)
12) Dua shuru karne se pehle apne gunaho ka Ikraar aur gunaho par sharminda hona chaiye
Ref ( Haakim )
13) Qibla Ruk hokar dua karna chaiye.
Ref (Bukhari)
14) Allah ke “Asma ul Husna” (Allah ke naamo) ke zariye dua mangna chaiye.
Ref (Quran)
15) Jab kisi aur ke liye dua mangna ho to sabse pehle apne hi dua kare fir dusro ke liye kare.
Ref (Quran)
Allah Ta'ala Hum Sab Ko Sahi Mane Me Maslak-e-Haqq Maslak-e-Alahazrat Ki Roshni me Amal karne ki taufiq de. Aameen
Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
جزاك الله خيرا... For reading
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen
No comments:
Post a Comment