SEERAT E MUSTAFA
Part:-04
MULK E SHAAM KA DUSRA SAFAR
Huzoor E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم BUSHRA Ke Bazar Me Bahut Jald Tijarat Ka Maal Farowkht Kar Ke Makkah Mukarrama Wapis Aaye. Wapsi Me Jab Aap Ka Kafila Saher E Makkah Me Dakhil Hone Laga To Hazrat E BIBI Kahdeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ek Bala Khaana (Makan Ki Chhat) Par Baithi Huvi Kafile Ki aamad Ka Manzar Dekh Rahe The.
Jab Aap Ki Nazar Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Padhi to Inhone Dekha Ki Do Farishte Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Sar Par Dhoop Se Saya Kiye Huve Hai.
Hazrat Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Kalb Par Is Noorani Manzar Ka Ek Khaas Asar Huva Aur Woh Firt E Akidat Se Intihayi Walehana Muhabbat Ke Sath Ye Haseen Jhalwe Dekhte Rahe. Fir Apne Gulam Maisra Se Inhone Kayi deen Ke Ba’ad is Ka Zikr Kiya To Maisra Ne Batay Ki Me To Pure Safar Me Yahi Manzar Dekhta Raha Hu.
Aur Is Ke Alawa Bahut Se Ajeeb-wa-Gareeb Bato Ka Mushahida Kiya Hai. Fir Maisra Ne Nastoora Raheeb Ki Guftagu Aur Iski akeedat wa Muhabbat Ka Tazkeerah Bhi Kiya Ye Sun Kar Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Aap S be panah Kalbi Ta’alluk Aur Be Had Akeedat Wa Muhabbat Ho gayi Aur Yaha Tak In Ka Dil Jhuk Gaya ke Unhe Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Nikah Ki Ragbat Ho Gayi..
(Madarijjunnabuwat-2, Baab-2 Shafa 27)
AZEEM MERI ZUBAN KAHA ?
AUR WO ZAAT..
NAAM MERA UNKE ZIKR SE CHAMKA RAHA HU ME .
AAP SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KE NIKAH..
Hazrat Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Ta’ala Anha Maal wa Doulat Ke Sath Intihayi Shareef Aur Pakeezah Khatoon The.
Ahle Makkah In Ki Paak Damni Aur Parsayi Ki Wajah se In Ko TAHERA(Pakizah) Kaha Karte The.
In Ki Umr Chalees (40) Saal Ki Ho Chuki Thi Pahele In Ka Nikah Abu Hala Bin Zurah Tamimi Se Huva Tha Aur In Se Do Ladke ‘Hind Bin abu Hala’ Aur ‘Hala Bin Abu hala’ Paida Ho chuke The.
Abu Hala Bin Zurah Ke Inteqal Ke baad Hazrat E Khadeejah Ne Dusra Nikah ‘Ateeq Bin Aabid Makhzoomi’ Ke Sath Kiya.
In se Bhi Do Aowlade Huvi,
Ek Ladka ‘Abdullah Bin Ateeq’
Aur Ek ladki ‘Hind Bint E Ateek’.
Hazrate Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Dusre Sohar ‘Ateeq’ Ka Bhi Inteqal Ho chukka Tha,
Bade Bade Sardaran E Qurraish In Ke Sath Akd E Nikah Ke Khwahish Mand The Lekin Inhone Sab Ka Paigam Ko Thukra Diya.
Magar Huzur E Akdas Ke Paygambarana Akhlaaq Wa Aadat Ko Dekh Kar Aur Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Hairat Angez Halat (Is Se Paheli POST Me Aagaya Who 2-Safar E Shaam Ke Halat) Ko Sun Kar yaha Tak In Ka Dil Aap Ki Taraf Mayil Ho Gaya Ke Khud Ba Khud In Ke Kalb Me Aap Se Nikah Ki Ragbat Paida Ho Gayi.Yaha To Bade Bade Maldaaro Aur Saher E Makkah Ke Sardaro Ke Paygamo Ko Rad Kar Chuki Thi Aur Ye Te’y Kar Chuki Thi Ke Ab Chalees Baras Ki Umr Me Tisra Nikah Nahi Karugi Aur Khud Hi Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki PhuPhi Safiyya Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Bulaya Jo In Ke Bhai Awwam Bin Khuwaild Ki Biwi Thi In Se Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Kuchh Zati Halat Ke Bare Me Mazed Ma’alumat Hasil Ki.Fir ‘NAFISA Bint E Ummaiya’ Ke Zariye Khud Hi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Pas Nikah Ka Paigam Bheja. Mash’hoor IMAAM E Seerat Muhammad Bin Ishaaq Ne Likha Hai Ki Is Rishte Ko Pasand Karne Ki Jo Wajah Khadeejah RadiALLAHU Tala Anha Ne Khud Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Bayan Ki Hai Who Khud In Ke Alfaaz Me Ye Hai ‘ ’ Yaani Me Ne Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Achhe Akhlaq Aur Aap Ki Sachchayi Ki Wajah Se Aap Ko Pasand Kiya .
(Zurkani Alal Mawahib-1,Shafa 200)
Huzoorصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Is Rishte Ko Apne Chacha Abu Talib Aur Khandaan Ke Dusre Bade Buzurgo Ke Samne Pesh Farmaya.
Bhala Hazrat e Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Jaisi Paak Daman, Shareef,
Akalmand, Aur Maldaar Auwrat se Shadi Karne Ki Koun NA Kaheta..?
Sare Khandaan Walo Ne Nihayat Khushi Ke Sath Is Rishte Ko Manzoor Kar Liya.
Aur Nikah Ki Tareekh Mukarrar Huvi Aur Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Hazrat Hamzah RadiALLAHU Tala Anhu Aur Abu Talib Wagairah Apne Chachauo Aur Khaandan Ke Dusre Afrad Aur Bani Hashim Ke Buzurgo,
Aur Muzar Ke Sardaaro Ko Apni Barat Me LeKar Hazrat E Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Makan Par Tashreef Le Gaye Aur Nikah Huva.
Is Nikah Ke Waqt Abu Talib Ne Nihayat Hi Fasih wa Balig Kutba Pardha.
Is Khutbe Se Bahut Achhi Tarah Is Baat Ka Andaza Ho Jata Hai Ki Aelaan-e-Nabuwwat Se Pahele Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Khandaan Ke Bade buzurgo Ka Aap Ke Muta’allek Kaisa Khayal Tha Aur Aap Ke Akhlaq Wa Aadat Ne In Logo Par Kaisa Asar Dala Tha.
IS KHUTBE KA TARJUMA PADHE
Tamam Ta’areefe Is Khuda Ke Liye Jis Ne Ham Logo Ko Hazrat Ibrahim Alyhissalaam Ki Nasl Aur Hazrat Ismaail Alyhissalaam Ki Aouwlad Me Banaya Aur Ham Ko AMMAD Aur MUZAR Ke Khandaan Me Paida Farmaya Aur Apne Ghar(Kaaba) Ka Nigehbaan Aur Apne Haram Ka Muntazeem Banaya Aur Ham Ko Ilm wa Hikmat Wala Ghar Aur Amn Wala Haram Ata Farmaya Aur Ham Ko Logo Par Hakim Banaya.Yeh Mere Bhai Ka Farzand ‘MUHAMMAD BIN ABDULLAH’ Hai.
Ye Ek Aise Jawaan Hai Ki Kurraish Ke Jis Shakhsh Ka Bhi Is Ke Sath Misaal Rakhi Jaye Is Se Har Shaan Me Bardha Huva Hi Rahega.
Ha Maal In K Paas Kam Hai Lekin M aal To Ek Dhalti Huvi Chhanw Aur Adal-Badal Hone Wali Cheez Hai.
Amm’a Ba'ad..!!
Mera Bhatija MUHAMMADصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Who Shakhsh Hai Jis Ke Sath Meri Karabat Aur Kurbat-o-Muhabbat Ko Tum Log Achhi Tarah Jante Ho. Wo Khadeejah Binte Khuwaild Radi’ALLAHU Tala Anha Se Nikah Karta Hai Aur Mere Maal Me Se Bees(20) UNT (camel) Maher Mukarrar Karta He Aur Is Ka Mustakbeel Bahut Hi Tabnaq(Roshan),
Azimush’shan Aur Jalil-ul-qadr Hai’.
(Zurkani Alal Mawahib-1, S.201)
Jab Abu Talib Apna Wal-Wala Angez(Joshila) Khutba Khatm Kar Chuke To Hazrate Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke ChachaZad Bhai Varka-bin-Nouwfil Ne Bhi Khade ho Kar Ek Shandaar Khutba Pardha Jis Ka Mazmoon Yeh Hai,Khuda Hi Ke Liye Hamd Hai Jis Ne Ham Ko Aisa Banaya Jaisa Ke Ae Abu Talib ! Aap Ne Zikr Kiya Aur Hame Woh Tamam Fazilate Ata Farmayi Hai Jin Ko Aap Ne Shumar Kiya. Bila Shuba Ham Log Arab Ke Peshwa Aur Sardar Hai, Aur Aap Log Bhi Tamam Fazail Ke Ahal Hai.
Koi Kabila Aap Logo Ke Fazail Ka Inkar Nahi Kar Sakta Aur Koi Shakhsh Aap Logo Ke Fakhr wa Sharf Ko Radd NAhi Kar Sakta Aur Be-Shaq Ham Logo Ne Nihayat Hi Ragbat Ke Sath Aap Logo Ke Sath Milne Aur Rishte Me Shamil Hone Ko Pasand Kiya. Lihaza Aye Kuraish !
Tum Gawa’h Raho Ke Khadeejah Binte Khuwwaild Radi’ALLAHU Tala Anha Ko Main Ne ‘MUHAMMAD AbduLLAHصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم wa Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki ZouwZiyat Me Diya Char So (400) Mishkal Maher Ke Badle.
(Al’Mawahib’alDuniya Ma Sharah Zurkani-1, shafa 376 wa Madarijjunnubuwwat)
Garz Hazrat Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Sath Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Nikah Ho Gaya.
Hazrate Bibi Khadeejah Radi’ALLAHU Ta'ala Anha Takreban 25 Baras Tak Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Kheedmat Me Rahe Aur In Ki Zindagi Me Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Koi Dusra Nikah Nahi Farmaya Aur Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke 1 Farzand Hazrat E IBRAHIM Radi’ALLAHU Tala Anhu Ke Siwa Baki Aapki Tamam Aoulad Hazrate Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Batan E Paak Se Hai.
Chunanche Hazrat E MAA Khadeejah Radi’ALLAHU Ta'ala Anha Ne Apni Sari Douwlat Huzur Ke Kadmo Pe Qurban Kar Di Aur Apni tamam Umr Huzur Ki Gamgusari Aur Kheedmat Me Nisaar Kar Di...
SUBHAN’ALLAH.
SALAAM Ya UMM-ul-Mo’amenin MAA Khadeejatul Qubra Radi’ALLAHU Ta'ala Anha Salaam…
KA’ABA SHARIF KI FAZILAT
SRKAR KA AZEEM, PYARA FAISLA
Jab Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Umr Shareef Pentis(35) Baras Ki Huvi To Zordar Barish Se Haram e Kaaba me Aisa Azeem Sailaab Aa Gaya Ki Kaaba Ki Imarat Bilkul Hi Girne Lagi.
HAzrat E Ibraheem Wa Hazrat ismaeel alaihis salam Ka Banaya Huva Kaaba Bahut Purana Ho Chuka Tha.
AMALEKA,
JURHAM,
KUSEI
Kabaile Apne Apne Waqto Me Is Kaabe Ki Taamer wa Marammat Karte Rahe The Magar Chunke Imarat Niche Wale Ilaqe Me Thi Is Liye Pahado Se Barsati Paani Ki Bahaw Ka Zordar Dharaye Makkah Me Ho Kar Guzar Ta tha Aur Aksar Haram E Kaaba Me Sailaab Aa Jata Tha.Kaaba Ki Hifazat Ke Liye Balayi Hisse Me (UPER Ke Ilako Me) Kayi Bandh Bhi Banaye The Magar Who Band Bar Bar Tut Jate The.
Is Liye Kurraish Ne Ye Tai Kiya Ki IMARAT Ko Shaheed Kar Naye Sire Se KAABA Ki Ek Mazboot Imarat Banayi Jaye Jis Ka Darwaja Buland Ho Aur Chhat Bhi Ho.
Chunanche Taameer Ka Kaam Shuru Kiya Gaya.
Is Taameer Me Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Bhi Sharik Huve Aur Sardaran E Qurraish Ke Kandhe Se Kandha Mila Kar Pathharo Ko Utha Utha Kar Late Rahe Mukhtaleef Kabilo Ne Taameer Ke Liye Alag Alag Kaam Takseem Kar Liye.
Jab Imarat ‘HAJR-e-ASWAD’ Tak Pahunch Gayi To Kabayil Me Sakht Jhagda Khada Ho Gaya.
Har Kabila Yahi Chahta Tha Ki Ham Hi ‘HAJR-e-ASWAD’ Ko Utha Kar Dewaar Me Nasab Kare.
Taki Hamare Kabile Ke Liye Ye Fakhr wa Azaz Ka Ba’ais Ban Jaye.
Is Kashmkash me Char Deen Guzar Gaye Yaha Tak Nowbat Pahunchi Ki Talware Nikal Aayi Banu Abduddar Or Banu Adi Ke Kabilo Ne To Is Par Jaan Ki Bazi Laga Di Aur Zaman E Jahiliyat Ke Dastoor Ke Mutabil Kasmo Ko Mazboot Karne Ke Liye Ek Pyale Me Khoon Bhar Kar Apni Ungaliya Is Me Dubo Kar Chat Li.
Paanchwe Deen Haram E Kaaba Me Tamam Kabayil E Arab Jama Huve Aur Is Jhagde Ko Tai Karne Ke Liye Bade BuzurgShakhsh Ne Yeh Tajweez Pesh Ki Ke Kal Jo Shakhsh Subh Sawere Sab Se Pahele Haram E Kaaba Me Dakhil Ho Is Ko Panch Maan Liya Jaye. Who jo faisla Kar De Sab Sab Is Ko Tasleem Kar Le.
Chunanche Sab Ne Yeh Baat Maan Li.
Khuda Ki Shaan Ke Subah Ko Jo Shakhs Haram E Kaaba Me Dakhil Huve Who Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Hi The.
Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ko Dekhte Hi Sab Pukar Uthe Ke WALLAH Ye ‘AMEEN’ Hai Lihaza Ham Sab In Ke Faisle Par Razi Hai.
Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Is Jagde Ka Is Tarah Tasfiya Farmaya Ki Sab Se Pahele Aap Ne Hukm Diya Ki Jis Jis Kabile Ke Log Hajr-e-Aswad Ko Is Ke Makaam Par Rakhne Ke Daawedaar Hai,
In Ka Ek Ek Sardar Chun Liya Jaye.
Chunanche Har Kabayil Walo Ne Apna Apna Sardar Chun Liya. Fir Huzoorصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Apni chadare Mubarika Ko Bichaya Or Hajr E Aswad Ko Is Par Rakha Aur Sardaro Ko Hukm Diya Ki Sab Log Is chadar Ko Tham Kar Mukaddas Pathhar Ko Uthaye. Chunanche Sab Sardaro Ne chadar Ko Uthaya Aur Jab hajr E Aswad Apne Maqam Tak Pahunch Gaya To Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Apne Mutabarrak Hatho Se Is Muqaddas Pathhar Ko Utha Kar Is ki Jagah Par Rakh Diya.Is Tarah Ek Aeysi KHUNREZ Ladayi Tal Gayi Jis Ke Natije Me Na Ma’aloom Kitna Khoon Kharaba Hota.
(Seerat-e-Ibn E Hashsham-1, safa.196-197)
Khaana E Kaaba Ki Imarat Ban Gayi Lekin Ta’ameer Ke Liye Jo saman Jama Kiya Gaya Tha Who Kam Pard Gaya Is Liye Ek Taraf Ka Kuchh Hissa Bahar Chhord Kar Nayi Buniyaad Kayam Kar Kaabe Ka Ta’ameeri Kaam Kiya Gaya.
Kaaba E Moazzama Ka Yahi Hissa Jis Ko Kurraish Ne Imarat Se Bahir Chhord Diya ‘HATEEM’ Kahelata Hai Jis Me Kaaba Muazzama Ki chhat Ka Parnala Girta Hai.
(Seerat-ul-Mustufa, ALLAMA AbdulMustufa Aazmi Alyhirrahamto-wa-ridwan)
No comments:
Post a Comment