SEERAT E MUSTAFA
PART:-5
GAAR E HIRA & PAHELI WAHI
Gaar E Hira
Makka’h Mukarrama Se Takriban Tin 3 Miyl Ki Doori Par Jabl'e'Hira" Naami Pahad Ke Upar Ek GAAR "Kho'h" hai jis ko GAAR E HIRA KAHETE HAI.
PAHELI WAHI :-
Ek Deen Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم ‘Gaar E Hira’ Ke Andar Ibadat Me MashgooL The,
Ki Bilkul Achanak Gaar Me Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Paas Ek Farishta Hazir Huwa.
(Yeh Hazrat Jibr’YiL Alyhis’SaLaam The Jo Hamesha ALLAH Ka PayGaam Is Ke RasooLo Tak Pahunchate Rahe Hai.)
Hazrat Jibraeel Aameen Ne Ek-Dam Kaha Ki “IQRA(Pardhiye)’’
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Farmaya Me PADHNE WALA NAHI,
Hazrat Jibrail Aleyssalam Ne Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ko Pakda Aur Nihayat GarmJoshi Ke Sath Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Se Zordaar Mu’Aaneka Kiya Fir Chhord Kar Kaha Ki “PADHIYE”
Aap Sallallahu tAla Alyhi wasallam Ne Fir Farmaya Me PADHNE WALA NAHI HU. Hazrat Jibrail Aleyssalam Ne Dusri Martaba Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم ko Apne Sine Se Chimtaya Aur Chhord Kar Kaha ‘PADHIYE’
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Fir Wahi Farmaya Ki ME PADHNE WALA NAHI HU.
Teesri Martaba Fir Farishte Ne Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ko Bahut Zor Ke Sath Apne Sine Laga Kar Chhorda Aur Kaha, ”
﴿۱﴾ اِقْرَاۡ بِاسْمِ رَبِّکَ الَّذِیۡ خَلَقَ ۚ
ۚ﴿۲﴾ خَلَقَ الْاِنۡسَانَ مِنْ عَلَقٍ
﴿۳﴾ اِقْرَاۡ وَ رَبُّکَ الْاَکْرَمُ ۙ
﴿۴﴾ الَّذِیۡ عَلَّمَ بِالْقَلَمِ ۙ
﴿۵﴾ عَلَّمَ الْاِنۡسَانَ مَا لَمْ یَعْلَمْ ؕ
Yahi Sab Se Paheli Wahi’y Thi Jo aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Par NaziL Huvi.
In Aayato Ko Yaad Kar Ke Huzur E Aqdas صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Apne Ghar Tashreef Laye.
Magar Is Waqiye se Jo BilkuL Na Gahani Towr Par Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Par Pesh Aaya Is Se Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Qalb’e’Mubarak Par Larza’h Taari Tha,
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Farmaya Muhe KAMLI ODAHWO.
Jab Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ka Khowf Door Huwa To Aap Ne Hazrat BiBi Khadeejah Radi’ALLAHU Tala Anha Se Gaar Me Pesh Aane Wala Waqiya Bayan Kiya...
Gaar’E’HIRA & Paheli WAHI’
Hazrat E Maa Khadeejah Ne Sara Mu’AmLa apne Bhai ‘Warqa’Bin’NawfiL’ Ko Sunaya, To ‘Warqa’Bin’NawfiL’ Ne Kaha Ki Yeh To Vahi Farishta Hai Jo ALLAH tala Ne Hazrat Musa Alyhissalaam Ke Paas Bheja Tha...
Fir Warqa Bin Nawfil Kahene Lage Ki KAASH Jab Aap Ae’Laan E Nabuwwat Kare Us Waqt Me Jawaan Aur Tandurast Hu..!
Jab Aap Ki Qoum Aap Ko Makkah Se Bahir Kar Degi,
Jab Jab Bhi ALLAH Ka NABI Is Duniya Me Aapa Log Uski Dushmani Ko Aage Aaye Hai…!!
Is Ke Baad Kuchh Dino Tak Wahi’y Ka Silsila Band Ho Gaya,
Aur Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Wahi’y Ke Intezaar Me Be’Karar Rahene Lage.
Ek Deen Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ghar Se Bahir Tashreef Le Ja rahe The Ki Kisi Ne
‘YA-MUHAMMAD’ صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Kahe Kar Pukara.
Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Aasmaan Ki Taraf Sar Utha Kar Dekha To Ye Nazar Aaya Ki Wohi farishta (Hazrat Jibrail
Aleyhissalam) Jo Gaar Me Aaye The Woh Aaasmaan wa Zameen Darmiyaan Ek Kurshi Par Baithe Huwa Hai.
Ye Manzar Dekh Kar Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Kab’e’Mubarak Me Ek Khowf Ki Kaifiyat Payda Ho Gayi, Aur Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Makan Par Aa Kar Lait Gaye Aur Gharwalo Se Farmaya Ki Mujhe KanmbaL Odhawo.
Chunanchu Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم KanmbaL Odh Kar Laite Huve The Ki Ek Dam Aap Sallallahu Alaihi Wasallam Par Surah Mud’Dasir Ki IbtidaYi Aayat NaziL Huvi Aur Rab Tala Ka Farmaan Utar Padha :
﴿۱﴾ یٰۤاَیُّہَا الْمُدَّثِّرُ ۙ
﴿۲﴾ قُمْ فَاَنۡذِرْ
﴿۳﴾۪ۙ ۪ۙوَ رَبَّکَ فَکَبِّرْ
﴿۴﴾ وَ ثِیَابَکَ فَطَہِّرْ
﴿۵﴾ ۪ۙوَ الرُّجْزَ فَاہۡجُرْ
Ya’ani Aey BaLa Posh Odhne Wale Khade Ho Jawo Fir Dar Sunao Aur Rab Hi Ki BadaYi BoLo Aur Apne Kapde Paak Rakho Aur Buto Se Door Raho...
Is Aayat Ke NaziL Hone Ke Ba’ad Huzur Sallallahu tala Alyhi wasllam Ko Khuda Ta’La Ne ISLAAM Ki Da’Awat Ka ManSab Ata Kiya Aur Aap ALLAH Ta’ala Ke Huqm Ke Mu’Tabik Haqq Aur ISLAAM Ki Tableeg Ke liye Kamar Basta Ho Gaye……..!!
(Sahih Bukhari, Baab-3, Hadees-3/4, Jild -1)
(Aane Wali Post Me Da’Awat dene Ke Dowr Par Tayyar Hogi)
(Ba Hawala :- Seerat-ul-Mustufa, ALLAMA AbdulMustufa Aazmi Alyhirrahamto-wa-ridwan)
Da’awat-E-Islam
Pehla Dowr:-
Teen Baras Tak Huzur E Akdasصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Intihayi Poshida Towr Par Nihayat RaazDari Ke Sath Tableeg E Islam Ka Farz Ada Farmate Rahe,
Aur Darmiyan Me Aurto Me Sab Se Pahele Hazrat BiBi Khadija Radi’ALLAHU Tala Anha...
Aur Aazad Mardo Me Sab se PahLe Hazrat Abu-Bakar Siddique Radi’ALLAHU Tala Anhu
Aur Ladko Me Sab Se PaheLe Hazrat ALi Radi’ALLAHU Tala Anhu IMAAN Laye. !
Fir Hazrat Abu-Bakar Suddique Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki Da’awat wa TabLeeg Se
Hazrat Usmaan E Gani.
Hazrat Zubair Bin Al-Awam,
Hazrat Abdur’Rahman Bin Aowf,
Hazrat Sa’ad Bin Abi-Waqqas,
Hazrat TaLha Bin ObeduLLAH Radi’ALLAHU Tala Anhum Bhi JaLd Hi Daaman E IsLam Me Aa Gaye.
Fir Chand Dino Ke Ba’ad Hazrat Abu Ubaida’h Bin Al-Jarrah,
Hazrat Abu SaLma AbduLLAH Bin AbduL Asad, Hazrat Ar’Kam Bin Abu-Ar’Kam,
Hazrat Usmaan Bin Maz’Un Aur In Ke Downo Bhai Hazrat Khudama Aur Hazrat AbduLLAH Radi’ALLAHU Ta’la Anhum Bhi IsLam me DakhiL Ho Gaye..!!
Fir Kuchh Mud’Dat Ke Baad Hazrat Abu-Zar Gaffari Wa Hazrat Suhaib Roomi,
Hazrat Ubaida’h Bin Al-Haris Bin Abdul Mut’tlib,
Sa’eid Bin Zaid Bin Amro Bin Nufaiyl Aur
In Ki Biwi Fatima’h Bint’e’ Al’Khattab Hazrat Umar Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki Bahen Radi’ALLAHU Tala Anhum Ne Bhi IsLam KabuL Kar Liya.
Aur Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ki Chachi Hazrat UmmuL’FazL,
Hazrat Abbas Bin AbduL Mut’talib Ki Biwi Aur Hazrat Asma Bint E Abu Bakar Radi’ALLAHU Tala Anhum Bhi MusaLmaan Ho Gaye.
In Ke Alawa Dusre Bahut Se Mard o Aurat Ne Bhi IsLam Lane Ka Sharf HasiL Kar Liya.
(Zurkani Alal Mawahib, Jild-1, Shafa-246)
D'a'awat-E-Islam k Liye 3 Dowr
Dusra Dowr
Teen Baras Ki Is Khufiya Da’awat E IsLam Me MusaLmano Ki Ek Jama’At Tayyar Ho gayi Is Ke Ba’ad ALLAH Tala Ne Apne Habeeb صلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Par Surah “Sho’A-Ra” Ki AAYAT “
﴿۲۱۴ وَ اَنۡذِرْ عَشِیۡرَتَکَ الْاَقْرَبِیۡنَ
Nazil Farmayi Aur Khudawand E Tala Ka Huqm Huwa Ki Ae Maheboob !
Aap Apne Kareebi Khaandan Walo Ko Khuda Se Daraye To Huzoorصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ne Ek Deen Kuwh-E-SAFA Ki Chowti Par Chardh Kar ‘YA Ma’Ashre Kuraish’ Kahe Kar KabiLa E Kuraish Ko Pukara.. Jab Sab Kuraish Jama Ho Gaye To Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ne Farmaya Ki Aey Meri Kowm !
Agar Me Tum Logo Se Yeh Kah Du Ke Is Pahad Ke Pichhe Ek Lashkar Chhipa Huwa Hai Jo Tum Par HamLa Karne Wala Hai To Kya Tum Log Meri Baat Ka Yakeen Kar Loge..?
To Sab Ne Ek Zabaan Ho Kar Kaha HAA ! Ham Yakeenan Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ki Baat Ka Yakeen Kar Lenge Kyu Ki Ham Ne Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ko Hamesha Sachcha Aur Ameen Hi paya Hai..!
Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ne Farmaya Ki Achha To Fir Me Ye Kaheta Hu Ki Me Tum Logo Ko Azaabe ILAHI Se Dara Raha Hu Aur Agar Tum Log Imaan Na Lawoge To Tum Par Azaab E ILAHI Utar Pardega..!
Ye Sun Kar Tamam Kurraish Jin Me Aap صلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ka Chacha Abu Lahab Bhi Tha Sakht Naraz Ho Kar Sab Ke Sab Chale Gaye Aur Huzurصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ki Shaan Me AelFel Bakne Lage.!
(Ma’azALLAH)
(Bukhari Shareef-Jild-2, safa-702, waAam Tafasire)
Teesra Dowr
Ab Waqt Aa Gaya Ki AeLaan E Nabuwwat Ke Chowthe(4) Saal ‘Surah-Hijr’ Ki Aayat “ فَاصْدَعْ بِمَا تُؤْمَرُ” NaziL Farmayi Aur Hazrat E Haq Ja Shaan’Hu Ne Yeh Huqm Farmaya Ki
Aye Maheboob.!
Aap Ko Khud Huqm Diya Gaya Hai Is Ko ALaL-Ae’ALaan Bayan Farmaye.
Chunanche Is Ke Baad Aapصلی اللہ تعالیٰ علیہ و آلہ وسلم Ae’Alaniya Towr Par Deen-e-IsLam Ki TabLeeg Farmane Lage.
(Ba Hawala :- Seerat-ul-Mustufa, ALLAMA AbdulMustufa Aazmi Alyhirrahamto-wa-ridwan)
Bargah E Mustafa sallallahu ta'ala alaihi wasallam me Gustakhi Ki SAZA Kayamat Tak La'nat Ka Mustaheek Hona..!!
Jab SAFA Ki Choti se Sarkar E DoAaLam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Deen E IsLaam Ki AeLaniya Da’Awat Sab Ko Di,
To Sab Log Munh Fer Kar Bhag Gaye,
Usi Waqt Aap Ke Aas Pas Jama Hone Walo Me Abu-Lahab Bhi Tha,
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ki Takrir Ko Sun Kar Us Ke Tan-Badan Me Aag Lag Gayi,
Aankho Se Chingariya Bhadkne Lagi, Gusse Ki HalaT Me Bola,
"TAbbalak Sa'iral Yawmi"
AAP TABAH HO JAAWO ( MAAZALLAH )
AAP NE YAHI SUNA NE KE LIYE HAME BULAYA THA?
ALLAH ALLAH
Ab Shaan E Mustafaصلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Jalwe Dekho Abu-Lahab Ne Jo Kaha NABI صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ko Kaha Magar Ab Jawaab ALLAH De Raha Hai...!!ALLAH Ne Fowaran Apne Habeeb Par Wahi’y NaziL Farmayi,
Aur Abu – Lahab Ki Gustakhana Harkat Ka Jawaab Diya Ki Qayamat Tak Har Quran Pardhne wala Is Par La’Anat Karta Rahega….
Chunanche Aaj Bhi Gustakh E Rasool Ke Liye Yeh farmaan Quraan e kareem Moujood Hai...
بِسْمِ اللہِ الرَّحْمٰنِ الرَّحِیۡمِ
اللہ کے نام سے شروع جو نہایت مہربان رحم والا (ف۱)
ؕ﴿۱﴾ تَبَّتْ یَدَاۤ اَبِیۡ لَہَبٍ وَّ تَبَّ
تباہ ہوجائیں ابولہب کے دونوں ہاتھ اور وہ تباہ ہو ہی گیا(ف۲)
ؕ﴿۲﴾ مَاۤ اَغْنٰی عَنْہُ مَالُہٗ وَ مَا کَسَبَ
اسے کچھ کام نہ آیا اس کا مال اور نہ جو کمایا (ف۳)
﴿۳﴾ۚۙ سَیَصْلٰی نَارًا ذَاتَ لَہَبٍ
اب دھنستا ہے لپٹ مارتی آ گ میں وہ
ۚ﴿۴﴾ وَّ امْرَاَتُہٗ ؕ حَمَّالَۃَ الْحَطَبِ
اور اس کی جورو (ف۴)لکڑیوں کا گٹّھا سر پر اٹھاتی
﴿۵﴾ فِیۡ جِیۡدِہَا حَبْلٌ مِّنۡ مَّسَدٍ ٪
اس کے گلے میں کھجور کی چھال کا رسّا(ف۵)
” Tabah Ho Jaye Abu Lahab Ke Dono Hath Aur Wo Tabah Ho Hi Gaya.
Ise Kuchh Kaam Na Aaya Is Ka Maal Aur Na Jo Kamaya.
Ab Dhasta Hai Lapait Maarti Aag Me Wo,
Aur Is Ki Joru(Biwi),
Lakdiyo Ka Gathha Sar Par Uthati,
Is Ke Gale Me Khajoor Ki Chhal Ka Rassa.
Khulasa :-
Maheboob Ko Takleef Pahunchane wale Ek JumLe Par Kaher-E-ILAHI,
Azaab E ILAHI Ke Ubharte Dariya ka josh To Dekho !
EK HI PAL ME ABU-LAHAB Ki Duniya wa Aakhirat Ka FaisLa Suna Diya Gaya...
Ab Zara Ise Bhi Samajh Lijiye,.
Abu Lahab Apne Waqt Ka Naya Mujreem Nahi Tha.
Gazab Ke Sath Utri Who Aaya Kal Tak Kyu Nahi Naazil Farmayi Gayi..??
Is Gustakhana Jumle Kahene Se Pahele Bhi Woh Gairat E ILAHI Ko Harkat Me Lane Ka Kaam Karr aha Tha…!
Buto Ko Pujne Ka Kaam Kya Kam Darje Ka Jurm Tha..??
Magar Qurbaan Jaao !
Is Muhabbat Ki Ada Par Ke Jab ALLAH Ko Apne Mujreem Ka Sawaal Aaya To Mohlat Ata Kar Di,Magar Maheboob(Muhammad Mustafaصلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم ) Ke Mujreem Ki saza Ke Liye 1 pal ka Bhi InteZaar Nahi Kiya..
Ulma E Kiram farmate Hai :-
Gustakh e Uluhiyat (Khuda Ke Gustakh) Ki Towbaah Kaboliyat Ke Layik Hai,
Magar Gustakh e Rasool Ki Towbaah Kabool Nahi,
Yaa’ni Ke Sazaa Ke Towr Par Use Har HaaL Me Katl Ki Sazaa Dene Me Aayegi,
Fir Bhale Who Towbah Karta Fire, Wo Uski Aakheerat Ka Mu’AmLa Hai, Khuda QabooL Kare Na Kare Magar Duniya Me Us Ko Shara’Yi Huqm Ke MutaBik Katl Hi Kar Diya Jayega….!!
Jo Koi NABI صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ki Gustakhi Se Kafir O Murtad Ho,
USKO SHARAYI KATL KIYA JAYEGA USKI TOWBAAH MUTLAKAN KABOOL Nahi..!!
(Durr-e-Mukhtaar)
IMAAM SHAAMI AIMMAA-E-UMMAT Ki Baat Ko Yu Pesh Kar Ke Likhte Hai Ki ,
IMAAM SHAAMI AIMM
AehLe ILM Ka Is Baat Par IJMA’A Hai Ki NABIصلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ko Gali Dene Wale Ko KATL Kar do. In hi LOGO Me MALIK Ibn E ANAS, Aur IMAAM ABUL-LAIS, IMAAM AHMED,
IMAAM ISHHAAQ,
ABU-BAKR SIDDUIQ,
Bhi Yahi Chahte Hai Ki Uski Towbaah Kisi Ke Nazdeek Kabool Nahi.
( Fatawa E Shaami-318/3)
ALLAH TAA'LA HUMARI NASLO KI IS DOUR KE ABU LAHAB AUR ABU JAHAL KE PEROKAR SE HIFAZAT FARMAE..
SUMMA AAMEEN
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
www.zikr-e-nabi.com
www.zikr-e-rasool.com
Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:
Post a Comment