Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, January 13, 2017

SEERAT E MUSTAFA


SEERAT E MUSTAFA 

PART 06


Hijrat –E- Habsha 5 Nabwi



Hazrat Jafar Bin Abi TaLib Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki Be MisaaL Takreer...

Kuffar E Makka Ne Jab ZuLm-o-Sitam Se MusaLmano Ka Jeena MushkiL Kar Diya, 
To Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Musalmano Ko’’HABSHA’’ Jaa Kar Panah Lene Ka Hukm Diya.

NAJJASHI :

HABSHA Ke Baadshaah Ka Naam ‘ASMEHA’ Aur Laqab ‘NAJJASHI’ Tha. 

Isayi Deen Ka Paband Tha Magar Bahut Hi Insaaf Pasand Aur Rahem DiL Tha Aur Towraat Wa InjhiL Wagairah Aasmani Kitabo Ka Bahut Hi Mahir AaLim Tha......

AeLaan E Nabuwwat Ke Paanchve (5) SaaL Rajjab Ke Mahine Me Gyarah(11) Mard Aur Chaar(4) Aurto Ne Habsha Ki Janib Hijrat Ki...

Fir Dhire dhire Kuchh Waha Jaane Lage Or Habshaa Ki Janib Kul Ta’daad 83 Mard aur 18 Aurte Bhi Hasbsha Ke Liye Rawaana Ho Gaye.....

Tamam Muhajirin Nihayat Amn-wa-Sukoon Ke Sath Habsha Me rahene Lage, 
Magar Kuffar E Makka Ko Kab Gawara Ho Sakta Tha Ke Farzandan E Towhid Kahi Amn-wa-Towhid Ke Sath Reh Sake. 

In ZaLimo Ne Kuchh Tohfo (Sogaad) Ke Sath ‘Amro bin Al-Aas’ Aur ’Ummara Bin Waleed’ Ko Baadshaah Habsha Ke darbaar Me Apna Safeer Bana Kar Bheja. 

In Dono Ne Najjashi Darbaar Me Pahunch Kar Tohfo Ka Nazraana Pesh Kiya Aur Baadshaah Ko Sajda Kar Ke Ye Fariyaad Karne Lage Ki Aey Baadshah! Hamare Kuchh Mujreem Makka Se bhaag Kar Aap Ke Mulk Me PanahGazeen Hai. 

Aap Hamare In Mujreemo Ko Hamare Hawale Kar Dijiye. Ye Sun Kar Najjashhi Baadshah Ne MusaLmano Ko Darbaar Me TaLab Kiya.....

Hazrat Ali RadiALLAHu Tala Anhu Ke Bhai Hazrat Ja’Afar Radi’ALLAHU TAla Anhu MusaLmano Ke Numayinde Ban Kar Guftagu Ke Liye Aage Badhe Aur Darbaar Ke Aadaab Ke Mut’abeek Baadshaah Ko Sajda Nahi Kiya BaLki Sirf SaLaam Kar Ke Khade Ho Gaye.

Darbariyo Ne Toka To Hazrat Ja’afar Bin Abi TaLib Ne Mana Farmaya Ke Hamare RasooL صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Khuda Ke Siwa Kisi Ko Sajdah Karne Se Man’aa Farmaya Hai...


Is Ke Ba’ad Hazrat Ja’afar Bin Abi TaLeeb Radi’ALLAHU Tala Anhu Ne Darbar E Shahi Me Is Tarah Takrir Shuru Farmayi Ki,

”Aey BaadShaah ! 
HAM LOG EK JAHIL KOWM THE. SHIRK-O-BUT PARASTI KARTE THE. 
LOOT MAAR, CHOWRI, DAKAITI, 
ZULM-O-SITAM AUR IS TARAH KI BADKARIYA AUR BAD’AAMALIYO ME MUBTILA THE. 
ALLAH TA’ALA NE HAMARI KOWM ME EK SHAKHSH KO APNA RASOOL BANA KAR BHEJA JIS KE HASAB WA NASAB OR SACHHAYI WA IMAANDAARI KO HAM PAHELE SE JAANTE THE, 

IS RASOOL NE HAM KO SHIRK WA BUT PARASTI SE ROK DIYA AUR SIRF 1 KHUDA E WAHID KI IBADAT KA HUKM DIYA AUR HAR KISM KE ZULM -O- SITAM AUR TAMAM BURAYIYO AUR BADKARIYO SE HAM KO MA’NAA KIYA. HAM IS RASOOL PAR IMAAN LAYE AUR SHIRK O BUT PARASTI CHHORD KAR TAMAAM BURE KAMO SE TAYIB HO GAYE.(TOWBAAH KARLI). 

BAS YAHI HAMARA GUNAH HAI JIS PAR HAMARI KOWM HAMARI JAAN KI DUSHMAN HO GAYI AUR IN LOGO NE HAME ITNA SATAYA KE HAM APNE WATAN KO KHAIR BAAD KAHE KE AAP KI SALTNAT KE ZAIR E SAYA PAR AMNI ZINDAGI BASAR KAR RAHE HAI. AB YE LOG HAME MAJBOOR KAR RAHE HAI KI HAM FIR IS PURANI GUMRAHI ME WAPIS LOWT JAYE..!!’’)

Hazrat Ja’afar Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki Takreer Se Najjashi Badshah Be-had Muta’aseer Huwa. 


Ye Dekh kar kuffar e Makka Ke Safeer Amro Bin Al-aas Ne Apne Tarkash Ka Akhiri Teer Bhi Phenk Diya Aur Kaha Ke Aey Baadshaah ! 
Ye MusaLmaan Log Aap Ke NABI ISA ALYHIS’SALAAM Ke Bare Me Kuchh Dusra Hi Akida Rakhte hai, Jo aap Ke akide Ke BiLkuL Kheelaf Hai. 

Ye Sun Kar Najjashi Baadshaah Ne Hazrat Ja’afar RadiLLAHU Tala Anhu Se Is Bare Me SuwaaL Kiya To aap Ne Surah Mariyam Ki TiLawat Farmayi. 

KaLaam E Rabbani ki Ta’seer Se Najjashi Baadshaah Ke Qalb Par Itna Gehra Asar Parda Ke Is Par Riqqat Tari Ho Gayi aur Is Ki Aankho Se Aansu Jaari Ho Gaye.

Hazrat Ja’afar RadiALLAHU TAla Anhu Ne Farmaya Ke Hamare RasooL صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ne Yahi bataya Hai Ki Hazrat Isa Alyhis’salaam Khuda Ke Bande Aur Is ke RasooL Hai Jo Kunwari Mariyam Radi’ALLAHU Tala Anha Ke Shikam Mubarak Se Bagair Baap Ke Khuda Ki Kudrat Ka nishaan Ban Kar Payda’h Huve. 

Najjashi Baadshaah Ne Bade Gowr Se Hazrat Ja’afar Radi’ALLAHU Tala Anhu Ki Takreer Ko Suna Aur Ye Kaha Ki BiLa’Shuba INJEEL Aur QURAAN Downo 1 Hi Aaftaab E Hidayat Ke Do NOOR Hai Aur Yakeen’an Isa Alyhis’salaam Khuda Ke Bande Aur RasooL Hai, 

Me Gawahi Deta Hu ke Be-Shak Hazrat MUHAMMAD Sallallahu tAla Alyhi wasallam Khuda Ke Woh Hi RasooL Hai Jin Ki Basharat Hazrat Isa Alyhis’salaam Ne INJEEL Me Di,

Aur Agar Me Saltnat Ke Muta’bik Takht E Shahi Par Rahene Ka Paband Na Hota To Me Khud Makkah Ja Kar RasooL E Akram صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ki Mubarak Jutiya Sidhi karta Aur In Ke Qadam Mubarak Ko Dhota. 

BadShaah Ki Takreer Ko Sun Kar Is Ke darbari Jo Kade Kism Ke Isayi The Naraaz Ho Gaye Magar Najjashi Baadshaah Ne Josh o Imaan Me Sab Ko daant Fatkar Kar Khamosh Kar Diya. Aur Kuffar E Makka Ke Tohfo Ko Wapis Lowta Kar Amro Bin al-aas aur Waleeb Ko Darbaar Se Nikalwa Diya Aur MusaLmano se Kahe Diya Ke Tum Log Meri SaLtnat Me Jaha Chaho Amn-wa-Sukoon Ke Sath aaram wa chain Ki zindagi Basar Karo. Koi Tumhara Kuchh Bhi Nahi Bigad Sakta. 



Ref (Zurkani Alal Mawahib Jild-1, Shafa-278 to 288)

Ref (Seerat Ul Mustufa صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلمWritter. Shaykh Ul Hadees Hazrat ALLAMA AbduL Mustufa Aazmi Alyhirrahma)

Wazeh(Yaad) Rahe Ki Najjashi Baadshah MusaLmaan ho Gaya Tha, 

Chunanche Is Ke Inteqaal Par Huzur Sallallahu tala Alyhi wasallam Ne Madina Munawwara Me In Ki Namaaz E Janaaza Padhi.


Hazrat E Ameer E HAMZA’H Ka Islam KabuL Karna..!!


Ae’Lan E Nabu’wwat Ke Chhate(6) SaaL Hazrat Hamza’h Aur Hazrat Umar Radi’ALLAHU Tala Anhuma 2 Esi Hastiya Daman E IsLam Me Aa Gayi Jin Se IsLam Aur MusaLmano Ke Jaah-wa-JaLaaL Aur IUn KI Izzat Wa IqbaaL Ka Parcham Bahut Hi Sar BuLand Ho Gaya..!!

Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke ChaCha’O Me Hazrat HAMZA’H Ko Aap Sallallahu Tala Alyhi Wasallam Se Badi Walehana Muhabbat Thi,
Aur Sirf 2-3 Saal Umr Me Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Se UMR Me Ziyada’h Bade The. 

Hazrat Hamza’h
Radi’ALLAHU Tala Anhu Bahut Hi Taqatwar Aur Bahadur The,

Aur Shikaar Ke Bahut Hi Showqin The. 
Rowzaana Subah Sawere Teer Kamaan Le kar Ghar se NikaL Jate Aur Shaam Ko Shikar Se Wapis Lot Kar Haram Me Jate, Khana E Ka’aba Ka Tawaf Karte Aur Quraish Ke Sardaro Ki Majleesh Me Kuchh Der Baitha Karte The.....

1 Din Hasb E Ma’amooL Shikar Se Wapis Lote To Ibn Jud-Aan Ki Baandi Aur Khud In Ki Bahen Bibi Sufiya Radi’ALLAHU Tala Anha Ne In Ko Bataya Ki Aaj Abu Jahal Ne Kis Kis Tarah Tumhare Bhatije MUHAMMAD صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Ke Sath Be – Adbi Aur Gustakhi Ki Hai. 

Ye Ma’Jhra Sun Kar Mare Gusse Ke Hazrat Hamza’h Radi’ALLAHU Tala Anhu Ka Khun Khowl ne Laga. 

Ek Dam Teer Kamaan Liye Huve Masjeed E Haram Me Pahunch Gaye Aur Apni Kamaan Se Abu-JahaL Ke Sar Par Ise Zor Se Mara Ke Is Ka Sar Fatt Gaya Aur Kaha Ke Tu Mere Bhatije Ko GaLiya Deta Hai.. ?? 

Tuje Khabar Nahi Ki Me Bhi Is Ke Deen Par Hu. 
Ye Dekh Kar KabiLa –E-Bani Makh’Zoom Ke Kuchh Ke Kuchh Log Abu-Jahal Ki Madad Ke Liye khade Ho Gaye 

To Abu-Jahal Ne Ye Soch Kar Ke Kahi Banu-Hashim Se Jung Na Chhird Jaye Ye Kaha Ke Ae Banu-Makhzoom ! Aap Log Hamza’h Ko Chhord Dijiye. Waqayi Aaj Maine In Ke Bhatije Ko Bahut Hi Kharaab Kharaab Kasam Ki GaLiya Di Thi.

Ref (Madarij-Al-Nabuwwat, Jild-2, Shafa-44)

Ref (Zurkani Jild-1, Shafa 256)

Hazrat Hamza’h Radi’ALLAHU tala Anhu Ne Musalman Ho Jane Ke Ba’ad Zor Zor Se In Ash’aar Ko Pardhna Shuru Kar Diya.


Hamit’tULLAH-Hin Hada Fuwadi..!!

ILaL-IsLami Vad’deeniL Hanifi..!!

(Me ALLAH Ta’Ala Ki HAMD Karta Hu Jis Waqt ke Is Ne Mere DiL Ko ISLAAM Aur Deen E Haneef Ki Taraf Hidayat Di.


Ija Tuliyat Rasayiluhu Alyna..!!

Ta-Had’Dr Dam-Au Zil-lubiL Hasifi..!!

(Jab Ahkam E Islam Ki Hamare Samne Tilawat Ki Jaati Hai to Ba-QamaL Aql Walo Ke Aansu Jaari Ho Jate Hai.)

Wa-Ahmadu Mustafan Fiyna Muta’Un..!!

Fala Tagshowhu BiL-KowLiL Anifi..!!

(Aur Khuda Ke Bar-Guzida’h AHMAD صلی اللہ تعالیٰ علیہ وسلم Hamare Hamare Peshwa Hai !!

To (Aey Kafiro) Apni BatiL Bakwaas Se In Par GaLba Mat HasiL Karo.....

Fala W’ALLAHI NusLimuhu Li Kowmin..!!

Wa’Lamma Nakzi Fihim Bus’suyufi..!!

To Khuda Ki Kasam ! 
Ham Inhe Kowm e Kuffar Ke Supurd Nahi Karenge, 
Hala’n Ki Abhi Tak Ham Ne In Kafiro Ke Sath TaLwaaro Se faisLa Nahi Kiya Hai....

Ref (Zurkani-1, 256)


Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) Ka Islam Qubool Karna !!


Hazrat Hamzah Radi’ALLAHU Tala Anhu Ke Islam Lane Ke Tisre Hi Din Hazrat Umar Radi’ALLAHU Tala Anhu Bhi Dolat E IsLaam Se MaLa MaaL Ho gaye.

Kuch kitaabon mein bayaan hain ke Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) chhe (06) saalon tak apne khaandaan ke musalmaanon par bohat sakhtiyaa karte rahe lekin jab Unhone dekha ke koi bhi Islam se phirne ko tayyar nahi tab sabar karte rahe aur isi sabar mein unka dil pighal gaya...

Aur phir ek din Quran ko jab bagour suna to RasoolALLAH (عليه السلام) ke dast-e-mubaarak par Islaam qubool kar liya.

☆Waqiya


Ek din Tabiyat ne josh maara aur Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ne Ta’y kar liya ke jis ki wajah se unhe ye saari pareshaani aai hai ab use hi khatam kar denge Chunacha RasoolALLAH (عليه السلام) ko Shaheed karne ki niyyat se khuli talwaar liye ghar se nikle...

Raaste mein apne Qabile k Ek musalmaan mile Naim Bin AbduLLAH (رضى الله عنه) mil gaye.

Aap (رضى الله عنه) ne Poocha:-

Khair to hai,
Itne gusse mein kidhar jaa rahe ho ?”

Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ne jawaab diya “Main naya deen laane waale shakhas ko qatal kar dena chahta hu ...

Hazrat Naim (رضى الله عنه) ne kaha , 
“Aye Umar (رضى الله عنه) ! 
khuda ki qasam tum dhoke mein pad gaye ho, 
kya Tum samjhte ho Muhammad (عليه السلام) ko qatal karne ke baad Uske khaandaan ke log tumhe zindah chodenge ?

Tum zara pehle apne ghar waalo ki tow khabar lo.”
Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ne kaha ,

“Mere kon se ghar waale ?”
Hazrat Naim (رضى الله عنه) ne kaha “Tumhaari bahen Fatimah (رضى الله عنها) aur tumhaare behnoi Sa’eed bin Zaid (رضى الله عنه) dono musalmaan ho gaye aur unhone Muhammad (عليه السلام) ki pairawi ikhtiyaar kar li hai”

Yeh sun kar Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ke jalal ka thikaana na raha aur seedhe apni bahen key Yaha pahuch gaye, abhi nangi talwaar haath hi main hai .

Is waqat Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab ke ghar RasoolALLAH (عليه السلام) ke pyaare saathi Hazrat خباب (رضى الله عنه) Mawjood the. 

In ke paas ek chhoti si kitaab thi jis mein “Surah ‘Tahaa” likhi hui thi, (is qism ki kitaab ko saheefah kaha jaata hai)

Hazrat خباب (رضى الله عنه) Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab ko us saheefe se “Surah ‘Tahaa” pardha rahe the aur Sa’eed bin Zaid (رضى الله عنه) un ke paas baithe sun rahe the.

Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ne darwazah khatkhtaya to Hazrat خباب (رضى الله عنه) ghar k ek hisse mein chup gaye aur Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab ne saheefe ke awraaq chhupa diye.

Lekin Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) pehle hi darwaze ke baahar Quran pardhne ki aawaz sun chuke the.

Andar daakhil hote hi puchha , 
“Tum dono abhi kya pardh rahe the ?”

Dono ne dar dar kar kaha , “Tum ne kuchh nahi suna!”

Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ne kaha , “Nahi, main ne suna hai.
Mujhe khabar mili hai ke tum dono apne baap dada ke mazhab se phir gayeho ?”

Bas itna kehte hi Hazrat Sa’eed bin Zaid (رضى الله عنه) ko maarna shuru kar diye.

Aur Unki Dardhi Pakard Kar In Ko Patak Diya
Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab apne shohar ko bachaane aagye aai tow Un Ko Ek Aeysa Tamacha Maara Ki Kaan Ke Zumar Tut Kar Zameen par Gir Gaye or wo lahuluhaan ho gai.

Is waqat dono miya biwi ne kaha : Haa !
Hum musalmaan ho chuke aur ALLAH ke Rasool (عليه السلام) par imaan laaye hain, tum jo chaho kar lo, 
Islam humaare dil se nahi jaa sakta.


Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) Ka Islam Qubool Karna !!



Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab ke Khoon Aaludah Chehreko dekh kar Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) ka gussa thanda hua aur farmaaya , 

“Tum jo padh rahe the mujhe laa kar dikhaao.”

Bahen ne kaha: 
“Hume dar hai tum kahi use Dhaa’ na kar do !”

Hazrat Sayyadina Umar Farooq (رضى الله عنه) bole, “
Nahi main apne khudaao ki qasam khaa kar kehta hu ke pardh kar wapas kar dunga”

Hazrat Fatimah (رضى الله عنها) Bint Al-Khattaab ne kaha, 
“Is saheefe ko paak saaf aadami hi haath laga sakta hai , 
jab tak tum ghusul na kar lo ye saheefah tumhe nahi de sakte”

Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) ne ghusul kiya aur tab Aap (رضى الله عنها) ne saheefah Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) Ke haath mein diya.

Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) Ki Nazar Is Aayat Par Padi…

﴿۱﴾ سَبَّحَ لِلہِ مَا فِی السَّمٰوٰتِ وَ الْاَرْضِ ۚ وَ ہُوَ الْعَزِیۡزُ الْحَکِیۡمُ 

اللّٰہ کی پاکی بولتا ہے جو کچھ آسمانوں اور زمین میں ہے (ف۲) اور وہی عزّت و حکمت والا ہے 

Is Aayat Ka 1-1 Lafz Sadaqat Ka Teer Ban Kar DiL Ki Gaherayi Me Pay'Wast Hota ChaLa Gaya, Aur Jism Ka 1-1 BaaL Larza Bar Andam Hone Laga.

Jab Is Aayat Par Pahunche :
اٰمِنُوْا بِاﷲِ وَرَسُوْلِہٖ 
To Bilkul Hi Be-Kaabo Ho Gaye... 
Aur Be-Ikhteyar Pukar Uthe 

''اَشْھَدُ اَنْ لاَّۤ اِلٰہَ اِلَّا اللہُ وَاَشْھَدُ اَنَّ مُحَمَّدًا رَّسُوْلُ اﷲِ ''

Hazratخباب رضى الله عنه ye sunte hi baahar aagaye aur kaha ,
“Aye Umar (رضى الله عنه)! 
Mujhe ummid hai ke ALLAH ne tum ko apne Nabi (عليه السلام) ki dua pura hone ke liye chun liya hai,

Main ne kal hi RasoolALLAH (عليه السلام) ko ye dua karte hue suna hai “Ilaahi Abu al-Hakam (Abu Jahal) ya Umar Bin Al-Kattaab (رضى الله عنه) ke zariye Islam ko quwwat aur izzat de” pas Aye Umar (رضى الله عنه)! ALLAH ki taraf aao, ALLAH ki taraf aao.”

Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) ne kaha, “Mujhe Muhammad (عليه السلام) ke paas le chalo take main muslamaan ho jaau”

Hazrat خباب (رضى الله عنه) ne Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) ko batayaa ke RasoolALLAH aur Aap ke saathi is waqat Safa ki pahaadi ke qareeb ek makaan “Daar Arqam” mein mojood hain.

Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) talwaar kamar se baandhe Daar Arqam pahuche aur darwaaze ko dastak di jab ek Sahabi ne baahar jhaak kar dekha tow Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) talwaar baandhe kharde the.

Sahabi ne fawran RasoolALLAH (عليه السلام) ko khabar di ke, 
“Umar (رضى الله عنه) talwaar baandhe baahar kharda hai na jaane us ka iradah kya ho!”

Is waqat Hazrat Sayyadina Hamzah (رضى الله عنه) bhi makaan mein mawjood the, aapne farmaaya ,

”Use andar aane do,
Agar nek irade se aaya hai tow khair warna usi talwaar se uska sar uda dunga”

RasoolALLAH (عليه السلام) ne bhi farmaaya, 
“Use aane do”
Darwaazah khol diya gaya aur Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) andar daakhil ho gaye,

RasoolALLAH (عليه السلام) uth kar unki taraf bade aur unki chaadar ko mutthi mein daba kar zor se khichte hue farmaaya, “Khattaab ke bête! Tum kis iraade se yaha aaye ho?”

Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) ne arz kiya, “Ay ALLAH ke Rasool (عليه السلام) ! 
Main ALLAH aur uske Rasool (عليه السلام) par imaan laane ke liye haazir hu”

Is par RasoolALLAH (عليه السلام) ne zor se 
“ALLAHU AKBAR” farmaaya aur makaan mein mojood saare musalmaanon ko pata chal gaya ke Hazrat Umar Farooq (رضى الله عنه) musalmaan ho gaye hain.

Sab ko beinteha khushi Hui aur sabhi ne zor se takbeer ka naara buland kiya is tarah ke Makkah ke pahaard ghoonj uthe.


Apni Bahen Se Bole Umar,Ye To BaTa Kya KarTi Thi,,

Mere Aane Se Pahle,Kya Chupke Chupke PadhTi Thi,,

Bahen Ne Jab Quran Padha,Sun K KaLame Pak Khuda,,

DiL Ye Umar Ka BoL UTha,La ILaha ILLaLLah,,



♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:

Post a Comment