Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, January 20, 2017

AURAT KI HAQEEQAT



AURAT KI HAQEEQAT 


Post:-03


CHAR DAUR



Aurat ke zindagi ke raste mein yun hi toh bahot se mod aate hai. Magar uski zindagi ke char khas taur par qabil e zikr hai-

(1) Aurat ka bachpan

(2) Aurat baalig hone ke baad

(3) Aurat biwi ban jane ke baad

(4) Aurat maa ban jane ke baad!

Ab hum aurat ke Inn char jamaano ka aur Inn waqton mein aurat ke fara'iz aur uske hukuk ka mukhtasar tazkira saaf saaf lafzon mein tehrir karte hai taki har un hukuk wa fara'iz ko ada karke apni zindagi ko duniya mein bhi khush hal banaye aur aakhirat mein bhi jannat ki laazwal neematon aur daulaton se sarfaraaz wa malamaal ho jaye

Ref ( Jannati Zevar Page No. 18'19 )



AURAT KA BACHPAN



Aurat bachpn mein apne maa'n Baap Ki pyari beti kehlati hai 'us zamane main jab tak wah nabalik bacchi rehti hai shariat ki taraf se na koi cheez farz hoti hai na us pr kisi kisim ki zemedariyan ka boj hota hai wah shariat ki pabandeo se bilkul aajad reheti hai aur apne maa baap Ki pyari aur ladli beti bani huii khati peti pahenti odti aur Hasti khelti raheti hai aur woh is baat ki hakdar hoti hai ki maa baap bhai bahen aur sab rishtey naate usse pyar wa mohabbat karte hai....
Aur uski dil bastagi aur dil juie main lage rahe aur uski se hat wa safari aur uski aafiyat wa bhalai me har kisim ki intehai koshis karte rahe ,taking wah har kism ki fikr aur ranjo se farigulbal ,rahe aur har waqt khush wa khurm aur khushal rahe jab wah kuch Bolne lage to maa baap pr lajim hai ke usko allah wa rasool صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم ka naam sunai fir usko kalma waghra padai...

Jab wo kuch aur zada samajhdar ho jai toh usko safai suthrai dand aur salekhe usko nehayt pyar wa mohabbat wa narmi ke sath insani sharafaton ki baten batai aur acchi acchi baton ko shok aur buri baton se nafrat delai jab padhne ke qabil ho jai to sabse pahele usko quran Shareef padai jab kuch aur zada hoshiyar ho jai toh usko paki o na'paki wuju wa gusul waghra ka islamic tareka batai aur har baat aur har kaam me usko islamic aadab se aagha karte rahe...
Jab wah 7 bars ki ho jai usko namaz waghra zaruriyaten deen ki baten aleema kare aur parda me rehne ki adat se khai aur Barton done ,khane paka'ne ,sene perone aur chote mote gharelu kamo ka hunar batai aur aamli tour pr usse ya sb kaam lete rahe uski kahi'li aur laparvahi aur shararato pr rok tok karte rahe aur kharab aurto aur bad'chalan gharono k logo se meel jhol pr pabandi laga de aur un logo ki sohbt se bacha te rahe aashikana aashar aur geeton aur ashique mashuque k majama ki.

Ref (JannatiZevar Page No 19 )


AURAT JAB BAALIG HO JAYE


Jab Aurat Baalig Ho Gayi Toh Allah Wa Rasool (Jal Jalalahu Wa Rasool Sallallahu Alaihi Wasallam) Ki Taraf Se Shariat Ke Tamaam Ahkaam Ki Pabandh Ho Gayi... 

Ab US Par Namaaz Wa Roza Aur Hajj Wa Zakaat Ke Tamaam Masa'il Par Amal Karna Farz Ho Gaya...!

Aur Allah Ta'ala Ke Huqooq Aur Bando Ke Huqooq Ko Ada Karne Ki Wah Zimmedar Ho Gayi...!

Ab Us Par Lazim Hai Ki Wah Khud Tamam Farzon Ko Ada Karein Aur Chote Bade Tamaam Gunahon Se Bachti Rahe Aur Yeh Bhi Us Par Zaruri Hai Ki Apne Maa Baap Aur Bado Ki Tazim Wa Khidmat Baja Laye Aur Apne Chote Bhaiyon, Behno Aur Dusre Aziz Wa Akarib Se Pyar Wa Mohabbat Karein...! 

Padosiyon Aur Rishte Naatein Ke Tamaam Choton, Badon Ke Saath Unke Maratib Wa Darjaat Ke Lihaaz Se Neq Sulook Aur Accha Bartao Kare...!
Acchi Acchi Aadatein Sikhe Aur Tamaam Kharab Aadaton Ko Chhod De Aur Apni Zindagi Ko Pure Taur Par Islami Saanche Mein Dhaal Kar Sacchi Pakki Pabande Shari'at Aur Imaan Wali Aurat Ban Jaye Aur Uske Saath Mehnat Wa Mashak'kat Aur Sabro Raza Ki Aadat Daalien...! 

Mukhtasar Yeh Ki Shaadi Ke Baad Apne Uper Aane Wali Tamaam Gharelu Zimmedariyon Ki Malumat Hasil Karti Rahe...! 

Aur Shauhar Wali Aurat Ko Kis Tarha Apne Shauhar Ke Saath Nibha Aur Apna Ghar Sambhal Na Chahiye...! 
Apni Maa Aur Badi Buddhi Auraton Se Puch Puch Kar Uska Dhang Aur Salikha Sikhe Aur Apne Rehan Sehan Aur Chaal Chalan Ko Is Tarha Sudhare Aur Saaware Ki Na Shari'at Mein Gunhagar Tehre, Na Biraad'ri Wa Samaaj Mein Koi Uska Tana Maar Sake...!

Khane - Pine, Pehenne - Odhne, Sone-Jaagne, Baat - Chit, Garaz Har Kaam Har Baat Mein Jahan Tak Ho Khud Taklif Uthaye Magar Ghar Walon Ko Aaram Wa Rahat Pahonchaye...! 

Bagair Maa'n Baap Ki Ijazat Ke Na Koi Samaan Apne Istemaal Mein Laye Na Kisi Dusre Ko De...! 

Na Ghar Ka Ek Paisa Ya Ek Dana Maa Baap Ki Ijazat Ke Bagair Kharch Kare...!


Na Bagair Maa Baap Se Puche Kisi Ke Ghar Ya Idher Udher Jaye...! 


Garaz Har Kaam, Har Baat Mein Maa Baap Ki Ijazat Aur Razamandi Ko Apne Liye Zaruri Samjhe...! 
Khane, Pakane, Sine Pirone, Apne Badan, Apne Kapde, Aur Makan Wa Samaan Ki Safai, Garaz Sab Gharelu Kaam Dhando Ka Dhang Sikh Le Aur Uski Amli Aadat Daal Le, 
Taki Shaadi Ke Baad Apni Sasural Mein Nek Nami Ke Saath Zindagi Basar Kare Aur Maika Walon Aur Sasural Walon Ke Dono Gharon Ki chahiti Wa Pyari Bani Rahe...! 


☆Pardo Ka khaas Taur Par Khayal Wa Dhayan Rakhe...!


Gair Mehram Mardon Aur Ladkon Ke Samne Aane Jane, Taak Jhank Aur Hansi Mazaak Se Inteha'ai Parhez Rakhe...!
Aashiqana Ash'aar, Akhlaaq Ko Kharab Karne Wali Kitabon Aur Rasa'il Wa Akhbarat Ko Hargiz Na Dekhe...! 
Badkirdaar Aur Behaya Auraton Se Bhi Parda Kare Aur Hargiz Kabhi Un Se Mel Jol Na Rakhe...! 
Khel Tamashon Se Dur Rahe, Aur Mazhabi Kitabein Khususan Seeratul Mustafa Wa Seerat'e Rasool'e Arbi , Tamhi'de Imaan Aur Milad Sharif Ki Kitabein...!


Maslann Jinatul Milad Wagairah Ahle Sunnat Ulma Ki Tasaanif Padhti Rahe...! 


Farz Ibadaton Ke Saath Nafil Ibadatein Bhi Karti Rahe...!

Maslann Tilawat E Quran Wa Tasbih E Fatima Wa Milad Sharif Padhti Padhati Rahe...!

Aur Gayarwhi Wa Barwhi Wa Muharram Sharif Ki Niyaz Wa Fatiha Bhi Karti Rahe ki In Aamaal Se Duniya Wa Aakhirat Ki Beshumaar Barkatein Hasil Hoti Hai...! 

Jo Log Inn Kaamon Ko Bidd'at Bata Kar Inn Se Rokte Hai Hargiz Hargiz Unki Baat Na Sune...! 

☆Aur Ahle Sunnat Wa Jama'at Ke Aqaid Wa Aamaal Par Nihayat Mazbooti Ke Saath Kayam Rahe...!



Ref ( Jannati Zevar Page No. 21 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

Islami👇 maloomat ke liye hamare YouTube channel ko zaroor subscribe karen aur apne ilm w amal me izafa karen


No comments:

Post a Comment