Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Sunday, January 22, 2017

AURAT KI HAQEEQAT


AURAT KI HAQEEQAT 


Post:-04


AURAT SHADI KE BAAD



Jab ladki Baaligh ho jaye to maa'n baap par laazim hai k jald se jald munasib rishta talaash kar k uski shaadi kar dein. 



Rishte ki talash me khas taur se is baat ka dhyan rakhna behadd zruri hai ki hargiz hargiz bad-mazhab k sath rishta na hone paaye. Balki deendar paband-e-shariyat aur mazhab e ahle sunnat ko apni rishtedari k liye muntkhab karein.

Bukhari wa muslim ki hadees hai ki rasool allah ﷺ ne farmaya ki aurat se shadi karne me 4 cheezein dekhi jati hain

1. Daulatmandi,

2. Khandani sharaafat,

3. Khubsoorti,

4. Deendari,


( lekin tum deendari ko in sab par mukaddam samjho )

Ref ( mishkaat jild 2, safah 267 )
Aulaad ki tamanna aur apni zaat ko badkari ki niyat se bachane k liye nikah karna sunnat, aur bahut bade ajar wa sawaab ka kaam hai.

ALLAH TA’ALA NE QURAN SHAREEF ME FARMAYA KI



☆TARJUMA- "tum log be shauhar wali auraton ka nikaah kar do, aur apne neq chalan gulaamo aur laundiyo ka bhi nikah kar do"

Ref ( PARA 18 Sure An Noor Aayat NO 32 )

HADEES SHARIF ME HAI KI..



Tauraat shareef me likha hai ki "jis shakhs ki ladki 12 baras ki umar ko pahuch gayi, aur usne us ladki ka nikah nahi kiya, aur wo ladki badkari k gunah me pad gayi to uska gunah ladki wale k sar par hoga..

Ref ( mishkaat  jild 2, Safah 271 )


Aurat jab tak uski shadi nahi hoti apne maa baap ki beti kehlati hai, magar shadi ho jane k baad aurat apne shauhar ki biwi ban jati hai...

Aur ab uske farayiz aur zimmedaariya pehle se bahut zyada badh jati hai...

Wo tamaam huqooq wa faraiz jo baligh hone k baad aurat par lazim ho gaye the ab unke ilawa shauhar k huqooq ka bhi bahut bada bojh aurat ke sar par aa jata hai, jiska ada karna har aurat k liye bahut bada fariza hai...

Yaad rakho ki shauhar k huqooq ko agar aurat na ada karegi to uski duniyawi zindagi tabah wa barbaad ho jayegi...

Aur aakhirat me wo dozakh ki bhadakti hui aag me jalti rahegi.
Aur uski qabr me saamp, bichhu usko daste rahenge Aur wo dono jahaan me zaleel wa khwar aur tarah tarah k azaabo se giraftar rahegi...

Isliye shariyat ke huqm ke mutabiq har aurat par farz hai ki apne shauhar k huqooq ada karti rahe aur umar bhar apne shauhar ki farma-bardari wa khidmat guzaari karti rahe..

Ref ​​(Jannati Zevar Page No.21 22, 23 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment