Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Monday, January 23, 2017

SEERAT E MUSTAFA


SEERAT E MUSTAFA 

PART 08

HIJRAT E RASOOL SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KA WAQIA



Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله تعالي عنه Ne 4 Mahine Se Do Untniya Babul Ki Pattiya Khila Khilakar Taiyar Ki thi Ki Hijrat Ke Waqt Yeh Sawari Ke Kaam Ayegi.

Arz Kiya Yaa Rasoolallah ﷺ Inmese Ek Untni Qabool Farma Le Apne Irshad Farmaya ki Qabool Hai Magar Me 10 ki Qeemat Dunga Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Na Chahte Hue bhi Farmane Risalat Se Majboor Hokar Isko Qabool Kiya.
Hazrate Ayesha رضي الله تعالي عنه Us Waqt Bhot Kum Umr thi Lekin Unki Badi Bahen Hazrate Bibi Asma رضي الله تعالي عنه Ne Samane Safar Durust kiya Aur Toshadan Me Khana Rakhkar Patke Ko Faad Kar Do Tukde Kiye Ek se Toshadan ko Bandha Aur Dusre se Mashq ka Munh Bandha..
Yahi Wo Qabile Fakhr Sharf hai Ki Jiski Bina Par Unko "ZATUN NATAQAIN"(Do Patke Wali) Ki Muaa'zzaz Laqab Se Yaad Kiya Jata hai.
Iske Bad Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Ek Kafir Ko Jiska Naam "ABDULLAH BIN URIKAT " Tha Jo Rasto Ka Mahir tha Rehnumai Ke liye Ujrat par Rakha.

Aur Kaha Gaya ki Un Dono Untniyo Ko Leker "GAAR-E-SOUR" Ke Pas Aa Jae Ye Sara Intizam Kar lene Ke Bad Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Apne Maqan Par Tashrif Lae...

Ref { Bukhari-Jild 1- Baab Tijratun-Nabi صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم }

KASHANA E NABUWWAT KA MUHASRA


Kuffare Makka Ne Apni Tadbeer ke Mutabik Kashana-e-Nabuwwat ko Gher liya Aur Intezar Karne Lage ki Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم So Jae To Unpar Qatilana Hamla Kiya Jae...

Us Waqt Ghar me Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Pas Sirf Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه The Kuffare Makka Rehmate Aalam صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Badtareen Dushman The Lekin Iske Bawajud Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Amanat Wa Diyanat Par Kuffar ko Is Qadar Bharosa tha Ki Woh Apna Qeemti Maal Saman Ko Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Pas Amanat par Rakhte the....

Us Waqt Bhi Bhot Si Amanate Kashana-E-Nabuwwat me thi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Se Farmaya Ki tum Meri Sabz Rang Ki Chadar Odh Kar Mere Bister Par Sote Raho Mere Chale Jane ke Bad Tum Quraish Ki Amanat Unke Maliko ko Deker Madina Chale Aana...

Yeh Bada khoufnaak Aur Bade Sakht Lhatre Ka Mouka tha Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ko Maloom tha Ki Kuffare Makka Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Qatl Ka Irada Kar Chuke Hai Magar Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Is farman se ke Tum Quraish Ki Sari Manate Louta Kar Madina Chale Aana.

Hazrat Ali رضي الله تعالي عنه Ka Yakeen-e-Qameel Tha Ki Me Zinda Rahunga Aur Madina Pahochunga.


Isliye Nabi صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ka Bister Jo Aaj Kanto Ka bichona Tha Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه Ke Liye Phoolo ki Sej Ban Gaya Aur Aap Bister Par Subha Tak Aaram Se Sote Rahe Aapne Isi Karname Par Fakhr Karte Hue Sher-E-Khuda Ne Apne Ashar Me Farmaya ki.
Mene Apni Jaan Ko Khatre me Daalkar Us Zaat-E-Girame Ki Hifazat Ki hai Jo Zameen Walo Aur Khana-E-kaba Wa Hateem Ka Tawaf Karne Walo me Sabse Afzal hai.

Rasool-Khuda Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ko Yahi Andesha Tha ki Kuffare Makka Unke Sath Khoofiya Chaal Chal Jaenge Magar Khuda Wande Meherban Ne Unko Kafiro ko Khoofiya Tadbeer se Bacha Liya....

Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Bistare Nabuwwat par Jaan-E-Wilayat ko Sulakar Ek Muthhi Khaak Hath me le li Aur "SUREH YASEEN" Ki Ibtidai Aayato ko Tolawat Farmate Hue Nabuwwat Khana Se Bahar Tashrif Lae Aur Muhasra Karne Wale Kafiro Ke Sero Par Khaak Dalte Hue Majme Se Saaf Nikal Gae Naa Kisi ko Nazar Aae Na Kisi ko Kuch Khabar hui.
Ek Dusra Shaksh Jo Us Majme me Mojud Na tha Usne Logo ko Khabar di Ko Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم To Yaha se Nikal Gae Aur Chalte Waqt Tumhare Sero Par Khaak Dalte Gae Chunache Un Kour Bakhto Ne Apne Sero Par Hath Fera To Waqai Unke Sero Par Khaak Aur Dhool Padi Hui thi.
Rehmate Aalam Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Apne Doulat Khane se Nikal Kar Maqame "HAJJWARAH" Ke Pas Khade Ho Gae Aur Badi Hasrat ke Sath "KABA SHARIF" Ko Dekha Aur Farmaya.
Aye Sehre Makkah Tu Muje Tamaam Dunia Se Pyaara hai Agar Meri Qoum Mujhko Yaha se Na Nikalti To me Tere Siwa Kisi Aur Jagah Sukunat-Pazeer Na Hota.
Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Se Pehle hi Sab Baat Ho Chuki thi Woh bhi Usi Jagah Aa gae Aur Is Khayal Se Ki Kuffare Makkah Humare Qadmo ke Nishan Se Hunara Rasta Pehchan Kar Humara Picha Na Kare.
Fir Ye bhi Dekha ki Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ke Per Nazuk Zakhmi ho Gae hai Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Aapko Kandho Par Sawar Kara Liya Aur Is Tarah Khaar-Daar Jhadiyo Aur Nok-daar Wali Pahadiyo Ko Roundte hue Usi Raat "GAAR-E-SOUR" Pahuche . 
Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Pehle Khud Gaar me Dakhil Hue Aur Achi Trah Gaar ki Safai Ki Aur Apne Badan Ke Tamaam Kapde Faad Faad Kar Gaar ke Tamaam Surakh Band Kiye Aur Fir Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Gaar ke Andar Tashrif Le Gae Aur Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ki Goud me Ser Rakhkar So Gae.
Us Waqt Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ne Ek Surakh ko Apne Pau Ki Edi Se Band Kar Rakha tha Surakh ke Andar ek Sanp Ne Baar Baar Yaar-E-Gaar Ke Pau me Kata Magar Hazrte Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Jaa Nisar ne Is Khayal Se Pau Nahi Hataya Ki Rehmate Aalam Khawabe Rahat me Khalal Na Pad Jae..

Magar Dard ki Shiddat Se Yaar-E-Gaar ke Aansuo ki Dhaar Ke Kuch Katre Sarware Qainat ke Rukhsar Par Nisar ho Gae Jisse Rehmate Aalam Bedar Ho Gae Aur Hazrate Abu Bakr ko Rota Dekh kar Be-Karar Ho Gae Aur Pucha Abu-Bakr Kya hua ?
Arz Kiya Yaa Rasoolallah ! Muje Sanp ne Kaat liya hai Ye Sunkar Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Zakhm Par Apna Luabe Dahan Laga Diya Jisse Fouran hi Sara Dard Jata Raha Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Teen(3) Raat Us Gaar me Rounak Afroz Rahe.
Hazrat Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ke Jawan Farzand Hazrate Abdullah رضي الله تعالي عنه Rozana Raat Ko Gaar ke Munh Par sote Aur Subha Sawere Hi Makkah Chale Jate Aur Pata Lagate Ki Quresh Kya Tadbeere Kar rahe hai.
Jo Kuch Khabar Milti Shaam ko Aakar Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Se Arz Kar dete Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ke Gulam Hazrate Aamir Bin Fuhera رضي الله تعالي عنه Kuch Raat Gae Charagah Se Bakariya Leker Gaar ke Pas Aa Jate Aur Un Bakariyo ka Dudh Dono Aalam Ke Taajdar Aur Unke Yaar-E-Gaar Pee Lete the...


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

www.zikr-e-nabi.com

www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment