Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Wednesday, January 25, 2017

AURAT KI HAQEEQAT


AURAT KI HAQEEQAT 


Post:-05



SHOHAR KE HUQOOQ




ALLAH TAALA Ne Shoharo Ko Biwiyoan Par Hakim Banaya Hai Aur Bohot Badhi Bujurgi Di Hai

Isliye Har Aurat Par Farz Hai Ki Wo Apne Shohar Ka Huqm Mane Aur Khushi khushi Apne Shohar Ke Har Huqm Ki Tabedari Kare yuo Ki ALLAH TAALA Ne Shohar Ka bohot Badha Haq Banaya Hai Yaad rakho Ki Apne Shohar Ko Razi Khushi Rakhana Bhohot Badhi Ibadat Hai Aur Shohar Ko Na Khush Aur Naraz Rakhana Bhohot Badha Gunah Hai 

RASOOLULLAHA صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Farmaya Hai ki


"Agar Me KHUDA Ke Siwa Kisi Dusre Ke Liye SAJDA Karne Ka Huqm Deta To Aurto Ko Huqm Deta Ki Wo Apne Shohar Ko SAJDA Karti Rahe "..

Ref ( Mishkat shareef Jild 2. Safah 281)


RASOOLULLA Sallallahu Alaihi Wasallam  Ne Ye Bhi Farmaya Hai ki Jis Aurat Ki Muat Esi Halat Me Aaye Ki Marte Waqt US ka Shohar UsSe Khush Ho to Wo Aurat jannat Me Jayegi.
Aur Ye Bhi Farmaya Hai Ki Jab Jab Koi Mard Apni Biwi Ko Kisi Kaam Ke Liye Bolaye To Wo Aurat Agarche Chule Ke Paas Bhethi Ho US ko Lazim Hai ki Wo Utha Kar Shohar Ke Paas Chali Aaye. 

HADEES SHARIF Ka matlab Ye Hai Ke Aurat Chahe Kitne Hi Jaruri Kaam Me Mashgul Ho Magar Shohar Ke Bulane Par Sab Kaamo Ko Chodh Kar Shohar Ki Kidmat Me Haazir Ho Jaaye Aur 

RASOOLULLA Sallallahu Alaihi Wasallam  Ne Aurato Ko Ye Bhi Huqm Diya Hai Ki Agar Shohar Apni Aurat Ko Ye Huqm De Ki Pile Ragh Ke Pahaadh Ko Kale Ragh Ka Bana De Aur Kale Ragh Ke Pahaadh Ko Safed Banade To Aurat Ko Apne Shohar Ka Ye Huqm Bhi Baza Lana chahiye 

Ref ( Mishkat shareef . Safah.283 )


HADEES ka Matlab Ye Hai Ki Mushkil Se Mushkil Dushwar se Dushwar Kaam ka Bhi Shohar Huqm December To Jab Bhi Aurat Ko Shohar Ki Na Farmani Nahi Karni Chahiye Balki Uske Har Huqm Ki Farmabardari ke Liye Apni Takat Bhar Kamar Bastha Rahena Chahiye 

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM  ka ye bhi farman hai ki jab shouhr biwi ko apne bechoane par bulai aur Aurat ane se Inkar kar de aur uska Shouhr is baat se naraz hokar so rahe toh raat bhar khuda ke farishtey uss aurat par lanat karte rahete hai.


Ref ( Miskat jild. 2 Safah  '280 Mujtabai )​


Pyari baheno ! In hade'so se sabak milta h ki shouhr ka bhout bada haq hai aur har aurat par apne shouhr ka haq ada karna farz hai shouhr ke huqooq bhout zada hai unme se neche likhe huee yah chand huqooq bhout zada qabile lihaj hai|-


☆KUCH BHUT ZARURI BAAT



(1). Aurat be'gair apne shouhr ke IZAZAT  ke ghar se bahar kahin na' jai na apne rishte' dari ke ghar na kisi dusre ke ghar, 

(2). shouhr ki gair mojud'gi me aurat par farz hai ke makan aur maal wa saman ki hifazat kare aur begair shohur ki IZAZAT ke kisi ko bhi na makan me ane de na shouhr ki choti badi cheez kisi ko de,

(3). Shouhr ka makan maal wa saman ye sab shouhr ki amanatein hain aur BIWI in sab chezon ki Amien hai agar aurat ne apne shouhr ki kisi cheez ko jaan bujh kr barbad kr diya to aurat par khiyanat krne ka gunah lajim hoga aur us pr khuda ka bhout bada aa'jab hoga

(4) . Aurat hargiz hargiz koi aisa kaam na kare jo shouhr ko na pasand ho

(5) .baccho ki nigh ada shat,unki tarbhiat aur parvarish khusu'san shouhr ki gair mojud'gi me aurat ka bhout bada fari ja hai 

(6) . Aurat ko lazim hai ki makan,saman,aur apne badan aur kapdon ki safai suthrai ka khas taur par dhiyan rakhe fuhad maili kuchaili na bani rahe ,balki banav singaar se raha kare taki shauhr usko dekh kar khush ho gai , 
hadees shareef. me hai ki behatrin aurat wo hai ki jab uska Shouhr kisi baat ka hukm de toh wo uski farmabardari kare aur agar shouhr uski taraf dekhe toh wo apni banav shingar aur apni adaon se apne shouhr ko khush kar de, aur agr shouhr kisi baat ki kasam kha jai toh wo uski kasam ko puri kar de,aur agr shouhr gaib rahe toh wo apni zaat aur shouhr ke maal me hifazat aur khair' khavaie ka kirdar ada karti hai 

Ref ( Miskat jild. 2 Safah  268 Mujtabai , Jannati Zevar Page No.23,24 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com

Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment