JHOOTH KA WABAAL HADEES
JHOOTH KA WABAAL
Jab Banda Jhooth Bolta Hai, Uski Badbu Se Farishta Ek Meel Door Ho Jaata Hai.
Ref (Tirmizi, 3, 1979/392)
Jhooth Bolna Sabse Badi Khayanat Hai.
Ref (Abu Daud, 4971, 4/381)
Jhooth Iman Ke Mukhalif Hai.
Ref (Imam Ahmad, 1, 16/22)
Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooth Bolne Wale Ke Liye Halaqat Hai.
(Tirmizi, 2322, 4/142)
Logo Ko Hasane Ke Liye Jhooth Bolne Wala Jahannam Ki Itni Gehraayi Me Girta Hai Jo Aasman Aur Zameen Ke Darmiyani Faasle Se Zyada Hai.
Ref (Sho'bul Iman, 4832, 4/213)
Jhooth Bolne Se Mooh Kala Ho Jata Hai.
Ref (Sho'bul Iman, 4813, 4/208)
Jhoothi Baat Kehna Kabeera Gunah Hai.
Ref (Mo'jamul Kabeer, 293, 18/140 )
Jhooth Bolna Munafiq Ki Nishaniyo Me Se Ek Nishani Hai...
Ref (Muslim, 106/50 )
Jhooth Bolne Wale Qayamat Ke Din ALLAH عَزَّوَجَلَّ Ke Nazdeek Sabse Zyada Na Pasandida Logo Me Shamil Honge...
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
No comments:
Post a Comment