AURAT KI HAQEEQAT
Post:-06
SHOUHAT KE SATH ZINDGI BASAR KARNE KA TARIKA
Yaad Rakho Ki Miyaa Bivi Ka Rishta Aisa Mazboot Talluk Hai Ki Saari Umar Isi Bandhan Me Rahe Kar Zindgi Basar Karni Hai. Agar Miyaa Bivi Me Pura Pura Ittehad Aur Milaap Raha To Isse Badhkar Koi Nemat Nahi. Aur Agar Khuda Na Kare Miyaa Bivi Ke Darmiyaan Ikhtilaaf Paida Ho Gaya Aur Jhagde Takraar Ki Naubat Aa Gayi To Isse Badhkar Koi Musibat Nahi Ki Miyaa Bivi Dono Ki Zindgi Jahannam Ka Namuna Ban Jati Hai. Aur Dono Umar Bhar Ghutan Aur Jalan Ki Aag Me Jalte Rahete Hai.
Is Zamane Me Miyaa Bivi Ke Jhagdo Ka Fasaad Iss Kadar Zyada Fail Gaya Hai Ki Hazaro Mard Aur Hazaro Aurte Iss Balaa Me Giraftar Hai Aur Musalmano Ke Hazaro Ghar Iss Ikhtilaaf Ki Aag Me Jal Rahe Hai. Aur Miyaa Bivi Dono Apni Zindgi Se Bezaar Hokar Din Raat Maut Ki Duaae Manga Karte Hai.Isliye Hum Munasib Smjhte Hai Ki Iss Makam Par Chnd Aisi Nasihate Likh De Ki Agar Mard wa Aurat In Par Amal Karne Lage To Ummeed Hai Ki Inshaallah Ta'ala Miyaa Bivi Ke Jhagdo Se Muslim Muaashra Paak Ho Jayega Aur Musalmano Ka Ghar Aman Wa Sukoon Aur Araam Wa Raahat Ki Jannat Ban Jayega.
☆NOTE :- 20 ZARURI BATEIN .
(1) Har Aurat Shouhar Ke Ghar Me Kadam Rakhte Hi Apne Upar Yah Lazim Kar Le Ki Wah Har waqt Aur Har Haal Me Apne Shouhar Ka Dil Apne Hath Me Liye Rahe Aur Uske Isharo Par Chalti Rahe. Agar Shouhar Hukm De Ki Din Bhar Dhoop Me Khadi Raho, Ya Raat Bhar Jagti Hui Mujhe Pankha Jhalti Raho To Aurat Ke Liye Duniya Wa Aakhirat Ki Bhalayi Issi Me Hai Ki Thodi Takleef Utha Kar Aur Sabr Kar Ke Us Hukm Par Bhi Amal Kare Aur Kisi Waqt Aur Kisi Haal Me Bhi Shouhar Ke Hukm Ki Nafarmani Na Kare.
(2) Har Aurat Ko Chahiye Ki Wah Apne Shouhar Ke Mijaz Ko Pehchan Le Aur Bagaur Dekhti Rahe Ki Uske Shouhar Ko Kya Kya Cheeze Aur Kaun Kaun Si Baate Na Pasndida Hai Aur Kin Kin Baato Se Khush Hota Hai Aur Kaun Kaun Si Baato Se Naraz Hota Hai.Uthne Baithne, Sone Jagne, Pehannne Odhne Aur Baat Cheet Me Uski Adat Aur Uska Zauk Kya Aur Kaisa Hai. Khoob Acchi Tarah Shouhar Ka Mijaz Pehchan Lene ke Bad Aurat Ko Lazim Hai Ki Wah Har Kam Shouhar Ke Mijaz Ke Mutabik Kare Khwah Shouhar Ka Tarze Amal Aur Tarika Sahi Ho Ya Galt, Aurat Ko Pasnd Ho Ya Na-Pasnd. Lekin Shouhar ki Marzi Ke Liye Aurat Wahi Kaam Kare Jo Shouhar Ke Mijaz Ke Mutabik Ho. Hargiz Hargiz Shouhar Ke Mijaz Ke Khilaf Na Koi Baat Kare Na Koi Kaam.
(3) Aurat Ko Lazim Hai ki Shouhat Ko Kbhi Jali Kati Bate Na Sunaye. Na Kbhi Uske Samne Gussa Me Chilla-Chilla Kar Bole. Na Uski Baato Ka Kadwa Tikha Jawab De. Na Kabhi Usko Taana Mare, Na Kosne De, Na Uski Laayi Hui Cheezo Me Aaib Nikale, Na Shouhar Ke Makan Wa Saman Wagairah Ko Hakeer Btae, Na Shouhar Ke Maa Baap Ya Uske Khandan Ya Uski Shakl Wa Surat Ke Bare Me Koi Aisi Baat Kahe Jisse Shouhar Ke Dil Ko Thes Lage Aur Khwah Makhwah Usko Sunkar Bura Lage. Iss Kism Ki Baato Se Shouhar Ka Dil Dukh Jata Hai. Aur Rafta - Rafta Shouhar Ko Bivi Se Nafrat Hone Lagti Hai Jiska Anjaam Ladayi Jhagde Ke Siwa Kuch Nahi Hota. Yaha Tak Ki Miyaa Bivi Me Zabarjast Bigad Ho Jata Hai, Jiska Nateeja Yah Hota Hai Ki Ya To Talaak Ki Naubat Aa Jati Hai Ya Bivi Apne Maike Me Baithe Rahene Par Majboor Ho Jati Hai Aur Apni Bhavjo Ke Taane Sun-Sun Kar Kufut Aur Ghutan Ki Bhatti Me Jalti Raheti Hai. Aur Maika Aur Sasuraal Walo Ke Dono Khandano Me Bhi Iss Tarah Ikhtilaaf Ki Aag Bhadak Uthti Hai Ki Kabhi Court-Kachahri Ki Naubat Aa Jati Hai Aur Kabhi Maar-Peet Hokar Mukadmat Ka Ek Na Khtm Hone Wala Silsila Shuru Ho Jata Hai Aur Miyaa Bivi Ki Zindgi Jahannam Ban Jati Hai Aur Dono Khandan Lad Bhid Kar Tabaah Wa Barbaad Ho Jate Hai.
(4)Aurat Ko Chahiye Ki Shouhar Ki Aamdani Ki Haisiyat Se Zyada Khrch Na Mange. Balki Jo Kuch Mile Us Par Sabr Wa Shukr Ke Sath Apna Ghar Samjh Kar Hasi Khushi Ke Sath Zindgi Basar Kare. Agar Koi Zevar Ya Kapda Ya Saman Pasnd Aa Jaye Aur Shouhar Ki Mali Halat Aisi Nahi Hai Ki Wah Usko La Sake To Kabhi Hargiz Hargiz Shouhar Se Uski Farmayish Na Kare Aur Apni Pasnd Ki Cheeze Na Milne Par Kabhi Hargiz Koi Shikwa Shikayat Na Kare. Na Gussa Se Muh Fulaye, Na Taana Maare, Na Afsos Zahir Kare Balki Behtareen Tareeka Yah Hai Ki Aurat Shouhar Se Kisi Cheez Ki Farmaish Hi Na Kare Kyun Ki Bar Bar Ki Famaisho Se Aurat Ka Wazan Shouhr Ki Nigah Me Ghat Jata Hai Haa Agar Shouhar Khud Hi Puche Ki Mai Tumhare Liye Kya Lau To Aurat Ko Chahiye Ki Shouhr Ki Mali Hasiyat Dekh Kr Apni Pasand Ki Cheez Talab Kare Aur Jab Shouhr Koi Cheez Laye To Wah Pasand Aaye Ya Na Pasand Aaye Magar Aurat Ko Hamesha Yahi Chahiye Ki Wah Us Par Khushi Ka Izhar Kare Aisa Karne Se Shouhr Ka Dil badh Jaiga Aur Uska Hausla Buland Ho Jaiga Aur Agar Aurat Ne Shouhr Ki Layi Hui Cheez Ko Thukraa Diya Aur Usme Aaib Nikala Ya Usko Hakeer Samjha To Usse Shouhr Ka Dil Tut Jaiga Jiska Natija Yah Hoga Ki Shouhr Ke Dil Me Bivi Ki Taraf Se Nafrat Paida Ho Jaigi Aur Aage Chal Kar Jhagde Ladai Ka Bazar Garam Ho Jaiga Aur Miyaa Bivi Ki Shadmani Wa Mas'sarrat Ki zindagi Khak Me Mill Jaigi.
Ref ( Jannati Zevar )
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
No comments:
Post a Comment