SEERAT E MUSTAFA
PART 09
HIJRAT-E-RASOOL SALLALLAHU TA'ALA ALAIHI WASALLAM KA WAQIA
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم To Gaar-E-Sour
ME Tashrif Farma Ho Gae Udhar Kashana-E-Nabuwwat ka Muhasra Karne Wale Kuffar Jab Subha Ko Makanar Me Dakhil Hue To Bistare Nabuwwat Par Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه The Zalimo Ne Thodi Der Aapse Puchtaj Karke Aapko Chod Diya..
Fir Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ki Talash Wa Justaju me Makkah Aur Atrafo-Jawanib Ka Chappa Chappa Chaan Mara Yaha Tak ki Dhoondhte Dhoondhte Gaar-E-Sour Tak Pahuch Gae Magar Gaar ke Munh Par Makdi ne Jala Bana Diya tha Aur Kinare Par Kabutri Ne Ande De Rakhe the Ye Manzar Dekh Kar Kuffare Quresh Aapas me Kehne Lage Ki Agar Is Gaar me Koi Insan Hota To Na Makdi Jaal Banati Na Kabutri Ande Deti..
Kuffar ki Aahat Pakar Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Kuch Gabhrae Aur Arz Kiya Ya Rasoolallah Ab Humare Dushman Is kadar Qareeb Aa Gae hai Ki Agar wo Qadmo Par Nazar Dalenge to Hume Dekh Lenge...
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Irshad Farmaya "GABHRAO MAT KHUDA HUMARE SATH HAI"
Iske Bad Allah Taa'la Ne Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه ke Qalb Par Sukoon Wa Itminan Ka Esa Saqeena Utar Diya Ki Wo Bilkul Hi Be Khauf Ho Gae.
KASHANA-E-NABUWWAT KA MUHASRA:-
Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ki Yahi Wo Janisariya hai Jinko Darbar E Nabuwwat ke Mashoor Shayar Hazrate Hassan Bin Sabit Ansari رضي الله تعالي عنه Ne Kya Khoob Kaha hai ki...
TARJUMA:
AUR DO ME KE DUSRE(ABU BAKR) JABKI PAHAAD PAR CHAD KAR BULAND MARTABA GAAR ME IS HAAL ME THE KI DUSHMAN UNKE IRD GIRD CHAKKAR LAGA RAHA THA...
AUR ABU BAKR RASOOLALLAH صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم KE MEHBOOB THE TAMAM MAKHLOOK IS BAAT KO JANTI HAI KI HUZUR صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم NE KISI KO BHI UNKE BARABAR NAHI THEHRAYA....
Bahar Haal Chouthe Din Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Rabi-ul-Awwal 2 Shamba ke Din Gaar-E-Sour Se Bahar Tashrif Lae..
Abdullah Bin Uriqat Jisko Raah-Numai Ke Liye Kiraye Par Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Noukar Rakh Liya tha Wo Qarar Ke Mutabiq Do Untniya Lekar Gaar-E-Sour par Hazir Tha...
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Par Hazrate Abu Bakr Siddiq Aur Hazrate Aamir Bin Fuhera رضي الله عتهما Bethe Aur Abdullah Bin Uriqat Aage Aage Pedal Chalne Laga Aur Aam Rasta Se Hatkar Sahile Samundar Ke Gair Maa'ruf Raste Se Safar Shuru Kiya...
☆100 OUNT KA INAAM
Udhar Ahle Makkah Ne Istihar De diya tha ki Jo Saksh Muhammad صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ko Giraftar Karke Laega Usko 100 Unt Milenge Is Gira-Qadar Inaam Ki Lalach me Bahut se Lalchu Logo ne Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم ki Talash Shuru Kar di Aur kuch log to Manzilo Door tak Taakumb me Gae...
☆UMME MAUBAD KI.
Dusre Roz Maqame "KUDED" Me Umme Maubad Aatiqa Binte Khalid Khuzaiya Ke Makan Par Aapka Guzar Hua "UMME MAUBAD" Ek Zaeefa Aurat Thi Jo Apne Kheme ke Sehan Me Bethi Rehti thi Aur Musafiro Ko Khana Pina Diya Karti thi....
Huzoor صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Usse Kuch Khana Kharidne Ka Qasd Kiya Magar Uske Pas Koi Cheez Mojud Na thi Huzur صلی اللہ تعالیٰ علیہ وآلہ وسلم Ne Dekha ki Iske Kheme ki Ek Janib Ek Bhot hi Lagar Bakri Hai Daryaft kiya ki Kya Yeh Dhoodh Deti hai???
Umme Maubad Ne kaha ki Nahi Aapne Farmaya Ki Agar tun Izazat do To Me Iska Dhoodh Doh lu???
Umme Maubad ne Izazat De di Aur Aapne "BISMILLAH" Padh Kar jo Uske Aanchal ko Hath Lagaya Serab Ho Gae.
Aur Umme Maubad ke Sare Bartan Dhoodh Se Bhar Gae Ye Moziza Dekh Kar Umme Maubad Aur Unke Khawind Dono Musharraf Ba-Islam Ho Gae..
☆SURAQA KA GHODA:
Jab Umme Maubad ke Ghar se Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Aage Rawana Hue To Makka Ka Ek Mashoor Shhsawar Suraqa Bin Malik Bin Jusham Tez Raftaar se Ghode Par Sawar hokar Taakub Karta Nazar Aaya Qareeb Pahoch Kar Hamle Ko Niyat Se Aage Badha.
Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Dua Se Pathrili Zameen Me Uske Ghode ke Pau Ghootno Tak Zameen me Dhas Gae Suraqa Ye Moziza Dekh Kar Khouf Wa Dehshat se Kampne Laga Aur Aman-Aman Pukarne Laga..
Rasoole Akram Sallallahu Alaihi Wasallam Ka Dil Reham Wa Karam Ka Samundar tha Suraqa ki Lachari Aur Giryazari Par Apka Dariya-E-Rehmat Josh me Aa gaya Aur Dua Farma di To Zameen Ne Uske Ghode ko Chod diya Uske Bad Suraqa Ne Arz kiya Mujko Aman ka Parwana Likh Dijiye Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam Ke Huqm Se Hazrate Ameer Bin Fuhera رضي الله تعالي عنه Ne Suraqa Ke Liye Aman ki Tehrir Likh di...
Suraqa Ne Us Tehrir Ko Apne Tarkash me Rakh diya Aur Vapas lout Gaya Raste me Jo Saksh bhi Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Ke Bare me Daryaft Karta to Suraqa Usko Yeh Kehkar Louta deta Ki Mene Badi Door Tak Talash kiya hai Magar Huzur Sallallahu Alaihi Wasallam Is Taraf Nahi hai...
Wapas Lotte Hur Suraqa ne Kuch Samane Safar bhi Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ki Khidmat me Batour Nazrana Pesh kiya Magar Huzur Ne Qabool Nahi Farmaya..
Ref (Bukhari-Bab-e-Hijratun Nabi Jild- 1 Safa 554, Zurqani- Jild. 1 Safa 364, Madarijun-Nabuwwat- Jild. 2 Safah 62)
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com


No comments:
Post a Comment