Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Tuesday, January 31, 2017

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE WALIDAIN MOMIN THEY

HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) KE WALIDAIN MOMIN THEY

WALIDAIN-E-MUSTAFA ﷺ 

Part:-01

 Alhamdulillah..! Nahmaduhu wa nastaeenuhu wa nastaghfiruhu wa nu’minu bihi wa natawakkalao alaihe. Wa Nusalli ala Rasoolihil Kareem ﷺ , Was Salaato was Salaamo Ala Sayyedil Mursaleen. Amma Ba’ad. Faoozu Billahe Minash Shaitanir Rajeemi Bismillahir Rehmanir Raheem...

ALLAH ﷻ TABARAK WA TA’ALA ka behadd Ehsan hai ki usne shume Musalman kiya aur khas ehsan ki Apne Pyare Mehbub ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ki Ummat me paida farmaya ki is Ummat me hone ko to khud Ambiya alaihimus salato salam ne duayen mangi hain.. Isi ummat me kuch aise log bhi paida ho gaye hain jo ki khud ko Musalman hone ka daawa karte hain Kalima bhi padhte hain, Namazen bhi padhte hain. Par apne hi Nabi ﷺ Sallallaho alaihe wasallam par tarah tarah ke ilzamaat lagate hain, unhi ilzam me se ek ilzam ye bhi hai ki wo hamare pyare Aaqa ﷺ Sallallaho alaihe wasallam ke Walidain ko (MaazALLAH) kafir kehte hain...

 Halanki hum is masle par Hadeeson ki dalil pesh karenge ki wo Kafir nahi balki Momin the. Lekin use pehle bhi hum puchna chahte hain ki akhir tumhe apne hi Nabi ﷺ  Sallallaho alaihe wasallam ke walidain ke khilaf zuban daraz karne me zara bhi dil ko takleef nahi hui..? Agar tum momin na keh sake fir bhi kafir kehte zara bhi haya nahi aayi..?
 Deobandiyon  ke peshwa Rasheed Ahmed Gangohi ne bhi apni Fatawae Rasheediya me likha hai ki Nabi ﷺ ke walidain  ka inteqal Halat-e-Kufr me hua. (MaazALLAH)

Beshak Musalman Ghulam behtar hain Mushrik se:

Ref ( Sureh Baqrah 221)

(1) RASOOLLULAH ﷺ farmate hain: Har Qarn-o-Tabqa me Tamam Quroon Bani Aadam ke behtar se mai bheja gaya, yahan tak ki us qarn me hua jisme paida hua...

( Saheeh Bukhari Kitabul Manaqib, Baab Sifatun Nabi Sallallaho alaihe wasallam Jild 1 pg.503 )
                                                                                
( 2 ) Hazrat Ameerul Mumineen Syyeduna Ali Murtaza Radiallahu Ta'ala Anhu  ki Saheeh Hadees me hai: Ru-e-Zameen par har zamane mekam se kam 7 Musalman zarur rahe hain. Aisa na hota to zameen-o-Ahle-Zameen sab halaak ho jate. Isko Abdur Razzaq aur ibn Munzir ne shaikheen ki shart par Saheeh Sanad ke sath riwayat kiya...

Ref ( Sharah Zarqani alal Mawahib Ladunya, Ba-hawala Abdur Razzaq wa Ibn Munzir jild 1 Pg.174 )

 ( 3)Imamul Mufassereen Syyeduna Ibn Abbas Radiallahu taala anhu ki Hadees me hai: Nooh alaihis salam ke baad zameen kabhi 7  Musalman. Bandgan-e-Khuda se khali nahi hui, jinki waja se ALLAH ﷻ Ahle zameen se azab dafa farmata hai..

Ref ( Sharah Zarqani alal Mawahib Ladunya ba-hawala Ahmed fiz-Zohad Jild 1 Pg.174 )



♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏

Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com


Download App http://goo.gl/x7SwOb




No comments:

Post a Comment