JIBREEL AMEEN AUR EK NOORANI TAARA
Ek martaba Huzor Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam ne Hazrat Jibreel Ameen Alaihis'salam se daryaft farmaya:
Ki Ae JIBREEL! Tumhari umr kitni hai?
Tou JIBREEL AMEEN ne arz kiya: Huzoor! mujhe kuch khabar nahi'n haa'n , itna janta hoo'n ki chauthey hijaab Mein ek NOORANI TAARA 70 Hazaar Baras k baad chsmakta tha Maine use 72 Hazaar martaba chamaktey dekha hai Huzoor Alaihis'salam ne yah sunkar farmaya :
"Mere Rab kee izzat kee Qasam! Main hee wah NOORANI TAARA Hoo'n"...
Ref ( Roohul Byaan Jild 1, Safsh 974 )
SABAQ :
Hamare Aaqa Sallallahu Ta'ala Alaihi Wasallam kainat kee har cheez se pahle paida farmae have Hain Aapka Noor-E-Pak us waqt bhi tha jabki na koie farishta tha, na koie Bashar , na Zameen thi, na Aasman aur na koie Shay FASALLALLAHU ALAIHI WASALLAM
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
No comments:
Post a Comment