AZMAT-E-AULIYA
HADEES SHARIF
Muttaqi Aur Parsa Ko Qasre Jannat Dediya
Mast Sarwar Ko Diya Allah Ne Roza Tera
Hazrat Shah Abdul Haq Muhaddis Dehlvi رحمة الله Likhte Hai “wilayat Zille Nabuwat Hota Hai”
Ref (Sharah Futuhul Ghaib Safa 35)
KAISE PEHCHANE WALI KAUN ?
☆HADEES NO 1
“Hazrat Abdullah Ibn Abbas رضي الله عنه Sey Riwayat Hey Ke Huzoor Nabi-e-akram صلى الله عليه وسلم Sey Awliya Allah Key Baarey Mey Poochha Gaya To Aap صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya
Woh Log (Awliya Allah Hain) Jinhey Deykhney Sey Allah Azza Wa Jalla Yaad Aa Jaaye.”
Ref (Nasa'i As-sunan-ul-kubra, Jild : 06 Pg : 362, Hadees : 11235,
*Ibn Mubarak Kitab-uz-zuhad, Jild : 01 Pg : 72, Hadees : 217, Maqdasi Al-ahadith-ul-mukhtarah, Jild : 10 Pg : 108, Hadees : 105, Hakeem Tirmidhi Nawadir-ul-usul, Jild : 02 Pg : 39, Haythami Majma-uz-zawa'id, Jild : 10 Pg : 78)
☆HADEES NO 2
“Hazrat Abu Hurairah رضي الله عنه Riwayat Kartey Hain Ke Huzoor Nabi-e-Akram صلى الله عليه وسلم Ney Farmaya :
Jab Allah Ta’ala Kisi Bandey Sey Muhabbat Karta Hey To Hazrat Jibra’il عليه السلام Ko Aawaaz Deyta Hey Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Rakhta Hey, Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Us Sey Muhabbat Karta Hain.
Phir Hazrat Jibra’il عليه السلام Aasmaani Makhlooq Mey Nida (aawaaz) Deytey Hain Ke Allah Ta’ala Fula’n Bandey Sey Muhabbat Karta Hey. Lihaaza Tum Bhi Us Sey Muhabbat Karo. Pas Aasmaan Waaley Bhi Us Sey Muhabbat Karney Lagtey Hey. Phir Zameen Waalon (key Dilon) Mey Us Ki Maqbooliyat Rakh Dee Jaati Hey.”
_Muttafaque Alayh_
Ref (Bukhari As-shahih, Jild : 03 Pg : 1175, Hadees : 3037, & Jild 05 Pg: 2246, Hadees : 5693, &jild : 06 Pg : 2721, Hadees : 7047, Muslim As-shahih, Jild 04 Pg : 2030, Hadees : 2637, Malik Al-muwatta, Jild 02 Pg : 953, Hadees : 1710)
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
No comments:
Post a Comment