EK AURAT
HIQAYAT
Ansaar-A-Madina Ki Ek Aurat Ka Baap Aur Shoher Aur Bhai Teeno Jung-A-Uhadh May Shaheed Hogaye! Wo Aurat Ladayi Ke Haalaat Malum Karte Hue Jab Maidaan-A-Jung May Pahuchi Aur Use Malum Hua Ki Uska Baap, Shoher Aur Bhai Teeno Shaheed Hogaye Hain, To Us Afifa Ne Yeh Sab Sunker Kaha To Yeh Kaha-
"YEH TO BATLAO KI KAISE HAIN SHAHENSHAH-A-UMAM?"
Yani Wo Kehne Lagi Ki Mujhe HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Haal Batao Ki Wo To Khairiyat Se Hain Na?
Logon Ne Bataya Ki Huzoor Ba-Khairiyat Hain To Wo Khush Hoker Huzoor Ki Bargah May Haazir Hui, Badke Usne Rukh-A-Roshan Ko Dekha To Kaha,
"Tu Salamat Hain To Sab Hetch Hain Yeh Ranj Wa Alam, Main Bhi Aur Baap Bhi, Shoher Bhi, Biradar Bhi Fida, Aye Shah-A-Deen Tere Hue-Hue Kya Chiz Hain Hum!"
Yani Ya RASOOLULLAH! (صلی اللہ علیہ وسلم) Mere Maa-Baap, Shoher, Bhai Wagaira Sab Aap k Naam Per Qurbaan! Aap Salamat Hain To Mujhe Kisi Judai Ka Gham Nahi
Ref (Taarikh-Ai-Islaam page -172)
☆SABAK
Sahaba-A-Kiraam Radi-Allahu-Ta'aala-Anhum Ke Dilon May Huzoor SALLALLAHU-TA'AALA-_ALAIHI-WASALLAM Ki Kuch Aisi Mohabbat Thi Ki Un Pak Logon Ki Pak Auratain Bhi Mohabbat-A-Rasool Ke Saamne Duniya Ke Rishton Ko Kuch Nahi Samajhti Thi!
Fir Aaj Jo bhi Mohabbat-A-Rasool ko Nazar Andaz karke Rishtedariyon ko Malhooz Rakhe aur Shari'at-A-Musatafiya ki parwa na kare kis-Qadr Badh-Nasib Aur Na-Aakibat Andesh Hain...
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
No comments:
Post a Comment