Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, February 02, 2017

HUZOOR SALLALLAHU ALAIHI WASALLAM KE WALIDAIN MOMIN THEY

HUZOOR (صلی اللہ علیہ وسلم) KE WALIDAIN MOMIN THEY

WALIDAIN-E-MUSTAFA ﷺ 

Part:-02

Jab Saheeh Hadeeson se sabit ki har qarn-o-tabqe me ru-e zameen par la aqal 7 musalman bandgan-e-maqbool zarur rahe hain. Aur khud Saheeh Bukhari ki Hadees se sabit hai ki Huzur Akram (صلی اللہ علیہ وسلم) jinse paida hue wo log har zamane me, har qarn me kheyar-e-qarn se, aur ayat-e-quraniya naatiq ki koi kafir agarche kaisa hi shariful qaum, baala nasb ho, kisi Ghulam Musalman se bhi khair-o-behtar nahi ho sakta to wajib hua ki Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) ke Aaba, wa Ummahaat-e-Qarn aur tabqa me unhe bandgan-e-Saaleh wa maqbool se hu, warna (MaazALLAH) Saheeh Bukhari me Irshad-e Mustafa (صلی اللہ علیہ وسلم) wa Quran-e-Azeem me irshad-e-Haq ke mukhalif hoga.
Mai kehta hu ki Kafir shar’an is baat ka mustaiq nahi ki isko Khairul Qarn kaha ja sake, bilkhusus jabki Musalman Saaleh maujud hon, agarche khairiayt Nasab hi ke lihaz se kyu na ho. Ye Dalil Imam Jalaluddin Suyuti ne ifaadah farmayi.

Dusri Dalil ALLAH ﷻ TA’ALA ne farmaya, Kafir to na-pak hi hai...

   Ref ( Sureh Baqrah 221 )

Aur Hadees me hai Huzur Sayyedul Mursaleen (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain:

 ( 4 ) Hamesha ALLAH ﷻ ne mujhko Paak, suthri pushton me naqal farmata raha, saaf suthra araasta, jab 2 shakhen paida huin, unme behtar shaakh me tha...

Ref ( Al-Hawi Lil Fatawa ba hawala Abu Naeem Masaalikul Hanfa fi Waalidil Mustafa Jild 2 page.211 )

Ref ( Dalailun Nabuwwa,Abi Naeem , Fasl Saani Pg.11-12 )

 Isko Naeem ne Dalailun Nabuwwa me Ibn Abbas Radiallahu Anhu se riwayat kiya...

Aur ek Hadees hai Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain:..

 ( 5 )Mai hamesha Paak mardon ki pushton se, Paak Beebiyon ke peton me muntaqil hota raha...

Ref ( Sharah Zarqani Alal Mawahib Ladunya ba-Hawala Abi Naeem an-Ibn Abbas Jild 1 Pg.174 )

 Dusri Hadees me Nabi (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate hain:..

( 6 ) Hamesha ALLAH ﷻ ne mujhe Karam wali pushton aur taharat wale shikamo me naqal fermata raha, yahan tak ki mujhe mere Maa Baap se paida kiya. Isko Ibn Abi Amru al-Adi Radiallahu Anhu se riwayat kiya.


Ref ( Shifa Ba-Ta’reef Huqooqul Mustafa jild 1 page.63 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment