Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, February 02, 2017

SEERAT E MUSTAFA

SEERAT E MUSTAFA 

PART:-10

SURAQA KA ISLAM QABOOL KARNA 

Suraqa Us Waqt to Musalman Nahi Hue Magar Huzoor Sallallahu ta'ala Alaihi Wasallam ki Azmate Nabuwwat Aur Islam ki Sadaqat Ka Sikka Unke Dil Par Beth Gaya...


Yaad Rahe ki Yeh Wahi Suraqa Bin Malik رضي الله تعالي عنه Hai Jinke Bare me Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apne Ilme Gaib Se Khabar Dete hue Irshad Farmaya tha ke.
Aye Suraqa Tera Kya Haal hoga Jab Tujhko Mulke Faras Ka Badshah Kisra Ke Dono Kangan Pehnae Jaenge??

Is Irshad ke Barso Bad Jab Hazrate Umar Farook رضي الله تعالي عنه Ke Dour e Khilafat me Iraan Fateh Hua Aur Kisra Ke Kangan Darbare Khilafat me Lae Gae To Ameer-ul-Momeenin Hazrate Umar رضي الله تعالي عنه Ne Tajdare Do Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Tasdeeq Wa Tehqeeq Ke Liye Woh Kangan Hazrate Suraqa رضي الله تعالي عنه Ko Pehna Diya.
Aur Farmaya Ki Aye Suraqa Ye Kaho ki Allah hi ke Liye Hamd hai Jisne In Kangano ko Badshahe Faras Kisra se Cheen kar Suraqa Badwi Ko Pehnaya.
Hazrate Suraqa رضي الله تعالي عنه Ne 24 Hijri me Wafat Pai Jab ki Hazrate Usman Ghani رضي الله تعالي عنه Takhte Khilafat Par Rounak Afroz the..

Ref ( Zurqani Alal Mawahib Jild- 1, Safa- 346 & 348 )

BURAIDA KA ASLAMI ZHANDA.

Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Madina Ke Qareeb Pahoche "BURIDA ASLAMI" Qabeela-E-Bani Saham Ke 70 Sawaro Ko Sath Leker Is Lalach me Apki Giraftari ke Liye Aae Ki Quraish Se 100 Onth Imaam Mil Jaega Magar Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Samne Aae Aur Pucha ki Aap Koun Hai ??
To Aapne Farmaya Ki Me Muhammad Bin Abdullah Hu Aur Khuda ka Rasool hu Jamal Wa Jalale Nabuwwat Ka Inke Qalb Par Esa Asar Hua Ki Fouran Kaleema-E-Shahadat Padh Kar Damane Islam me Aa gae..

Aur Kamale Aqeedat Ye Yah Darkhwast Pesh ki Ke Yaa Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم) Meri Tamanna Hai ki Madina Me Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Dakhila Ek Zhande Ke Sath ho Ye Kaha Aur Aapne Apna Amama Ser se UtarKar Apne Neze pe Bandh liya Aur Huzur ﷺ ke AlamBardar Ban kar Madina Tak Aage Aage Chalte Rahe.
Fir Daryaft kiya ki Yaa Rasoolullah (صلی اللہ علیہ وسلم)
Aap Madina me Kaha Utrenge ? Tajdare Do Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Irshad Farmaya Ki meri Ontni Khuda ki Taraf se Mamur hai Ye Jaha Beth Jaegi Wahi Mera Qiyam Gaah hai..

HAZRAT ZUBAIR KE BESH-QEEMAT KAPDE.


Is Safar Me Husne Ittifaq Se Hazrate Zubair Bin Awwam رضي الله تعالي عنه Se Mulaqat Ho gai Jo Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Kufi Hazrat Safiya Safiya رضي الله تعالي عنه Ke Bete hai Ye Mulke Shaam Se Tijarat ka Saman Lekar Aa Rahe the Unhone Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله تعالي عنه Ki Khidmat Me Kuch Nafees Kapde Batour Nazrana Ke Pesh kiye Jinko Tajdare Madeena Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Hazrate Abu Bakr Siddique رضي الله تعالي عنه Ne Qabool Farma Liya...

Ref { Madarijunnubuwwah Jild -2 Safa - 62 }

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com



Download App http://goo.gl/x7SwOb




No comments:

Post a Comment