AURAT KI HAQEEQAT
POST:-13
BAHU KE FARA'IZ
Har bahu ko lazim Hai ki wah apni saas ki apni Maa Ki Jagah smjhe aur hmesha khidmat guzari Ko apna farz samjhe. Saas agar kisi maamle me daant dapat Kare to khamoshi Ke sath sun le. Aur hargiz hargiz khabrdar khabrdar kbhi saas ko palat kar ulta sidha jawab na de balki sabr kare.
Isi trah apne sasur ko bhi apne baap ki jagah jaan kar uski taazeem wa khidmat ko apne liye lazim smjhe Aur saas sasur ki zindgi me unse Alag rhene ki khwaish na zahir kare Aur apni devraniyo, jethaniyo Aur nando se bhi hasbe
Maratib accha bartao rakhe Aur yah thaan le ki mujhe har haal me inhi logo Ke sath zindgi basar karni Hai.
( Jannati Zevar Page No: 37.)
BETE KE FARA'IZ
Har BETE Ko Laajim Hai Ki Jab Us Ki Dulhan Ghar Me Aajaye To Hasbe Dastur Apni Dulhan Se Khub Khub Pyar Wo Mohaabat Kare Leki MAA BAAP Ke Adab Wo Ye'heteram Aur Uski Khidmat Wo Itaat Me Hargis Hargis Baal Barbara Bhi Farak Na Aane De Ab Bhi Har Chiz Ka Len'Den MAA Ke Hi HAATH Se Hi Karta Rahe Aur Apni Dulhan Ko Bhi Yehi Takid Karta Rahe ki Bager MeRe MAA Aur Mere BAAP Ki Raye Liye Hargis Hargis Koi Kaam Na Kare Aur Bager Un Dono Se Izajat Liye Ghar Ki Koi Chiz Istemal kare!
IS Tarze Amal Se SAAS Ke Dil Ko Sukun Wo Itminaan Rahega Ki Ab Bhi Ghar Ki Maalika Me Hi Hu Aur Beta Bahu Dono Mere Farmabarda Hai Fir Hargis Hargis Wo BETE Aur Bahu Se Nahi Ladhe Gi...
Jo Ladhke Shadi ke Baad Apni MAA Se Laprwahi Barat'ne Lagate Hai Aur Apni Dulhan Ko Ghar Ki Maalika Bana liya Karte Hai?
Wumumam Usi Ghar Me Saas Bahu Ki Ladaiya Huwa Karti Hai
Lekin Jis Ghar Me Saas Bahu Aur Bete Apne Mazkura Bala FARAIZ Ka Khayal Rakhte Hai Un Gharo Me Saas Bahu Ki Ladaiya Ki Nobat Hi Nahi Aati!
Is Liye Behad Jaruri Hai Ki Sab Apne Apne Fraiz Aur Dusro Je Hukuqq Ka Khayal Wo Lihaaja Paal Pos Kar Badha Kiya Ab Ye Mujhe Nazar Andaz Karke Apni Biwi Ke Kabje Me Chala Gaya Hai.
Ab Aamma Aamma Pukarne Ki Bajaye Began Begam Pukara Karta Hai Apni Kamaai Mujhe Deta Tha Ab Biwi Ke Haath Se Har Chiz Liya Diya Karta Hai Ab Me Ghar Ki Maalika Nahi Rahi Is Khayal Se MAA Par Ek Zallahadh Sawar Ho Jati Hai..
Aur Wo Bahu Ko Bahu Ko Jasbaye Hasad Me Apni Harif Aur Mudde Mukabil Banaakar Us Se Ladhai Jagadha Karne Lgti Hai Aur Bahu Me Taraha Tarha Ke Yeb Nikal Ne Lgti Hai
Aur Kisam Kisam Ke Taa'ne Aur Kosne Dena Shuru Kar Deti Hai
Bahu Shuru Shuru Me to Ye Khayal Kar Ke ki Ye Mere Shohar Ki Maa hai, Kuch Dino Tak Chup Reheti Hai Magar Jab Saas Head Se Jaayada Bahu Ke Haalak Me ougali Daalne Lagti Hai To Bahu Ko Bhi Pehele To NAFRAT Ki Matli Aane Lagti Hai Fir Wo Bhi Ek Dam Sina Tan Kar Saas Ke Aage Taano Aur Kosne Ki khe karne Lagti Hai Aur Fir Maamla Badhte Badhte Dono Tarf Se Turki B Turki Sawal Wo Jawab Ka Tabadla Hone Lagta Hai...
Yaha Tak Ki GALIYO Ki Bambari Shuru Ho Jati Hai Fir Badte Badte Is Jang Ke Shole Saas Aur Bahu Ke Khandan Ko Bhi Apni Lapet Me Lelete Hai Aur Dono Khandan No Me Bhi Jange Azim Shuru Ho Jati Hai..
Mere Khayal Me Is ladhi ke Khatme Ki Behetarin Surat Ye Hai Ki Is Jang Ke Teeno Farik Yani SAAS, BAHU aur BETA Teeno Apne Apne Hukuqq Wo FARAIZ Ko Ada Karne Lage To IN SHA ALLAH Hamesha Ke Liye Is Jang Ka Khatma Yakini Hai In Teeno Ke Hukuqq Wo FARAIZ Yuo Hai Un Ko ZARURU Padho!
Ref ( JANNATI ZEWAR Safah NO 36,.37 )
No comments:
Post a Comment