TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!
PART (10)
Imaam Bukhariدحمت الله عليه Muqallid The Ya Gair Muqallid....?
Aur Ab Aakhir Me Batur Lateefa Ye Bhi Sun Lijiye Ke Agar Aap Unko (Imaam Bukhaariدحمت الله عليه Ko) Ghair
Muqallid Bhi Qaraar Denge To Woh Is Zamaane Wale Ghair Muqallid Nahi The...!
Is Liye Ke Is Zamaana Ke Ghair Muqallido Ka Mazhab Ye Hai Ke Ek Majlis Ki 3 Talaaq 1 Hogi Aur Imaam Bukhari Ke Yahan Ek Majlis Ki 3 Talaaq 3 He Shumaar Hogi…!
Aaj Ke Ghair Muqallidon Ka Mazhab Ye Hai Ke Haalat E Haiz Me Jo Talaaq Di Jaayegi Woh Waaqe Na Hogi..Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Waaqe Ho Jaayegi…!
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Ek Haath Se Musafah Karte Hain..Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Dono Haath Se Musaafah Ke Qaayel The…!
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Tahajjud Aur Taraaweeh Ko Ek Batlaate Hain…Imaam Bukhari(دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Tahajjud Alag Aur Taraaweeh Alag Namaz Thi.. !
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen 8 Rakaat Taraaweeh Padhte Hain….Imaam Bukhari(دحمت الله عليه ) 8 Rakaat Taraaweeh Ke Qaayel Nahi The...!
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Qabron Se Tabarruk Haasil Karne Ko Haraam Kehte Hain Aur Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Qabro Se Tabarruk Haasil Karne Ke Qaayel The…!
Chunaanche Unhone Apni Taareekh Likhne Ki Ibtida Aan Huzoorصلى الله عليه وسلم Ki Qabr Mubarak Ke Paas Baith Kar Ki…!
Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Khud Farmaate Hain:
Maine Apni Taareekh Ki Tasneef Ki Ibtida Madeena Munwwara Me Nabiصلى الله عليه وسلم Ki Qabr [Mubarak] Ke Paas Ki..!
Ref ( Muqaddamafath Ul Bari Safha 479)
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Buzurgon Ke Tabarrukaat Se Faayeda Uthhane Ko Haraam
Samjhte Hain…Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Buzurgo Ke Tabarrukaat Se Barkat Haasil Karna Jaayez Tha…!
Haafiz ibne Hajar Likhte Hain:
Unke Paas (Ya’Ni Imaam Bukhaari Ke Saas) Nabiصلى الله عليه وسلم Ka Kuch Baal Tha Wo Use Apne Libaas Me Rakhte The..!
Ref ( Muqaddama Fathul Baari Safha 482)
Gharz Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ghair Muqallid Bhi Honge To Woh Aaj Wale Ghair Muqallid Nahi The Unka Mazhab Aaj Ke Ghair Muqallidon Se Bilkul Alag Tha... !
Lehaza ALLAH Ta’laa Se Dua Hai Ke Woh Hamen Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Aur Unke Fitno Se Mahfooz Farmaaye…
Aameen Summa Aameen....!
WASWASA’H
Jub Imam Abu Hanifa’hدض الله عنه nahi thay to Hanafi muqallid kaha thay ?
Charoon mazaahib k perokaar apnay Imamoon per jaker dam tordhtay hain...!
AL JAWAB 👇🏻
Is waswasa’h ka ilzaami jawab to ye hay k jub Aayimma’h Hadees..
📗 Imam Bukhariدخمت الله عليه
📙 Imam Muslimدخمت الله عليه
📘 Imam Tirmiziدخمت الله عليه
📓 Imam Abu Dawoodدخمت الله عليه
📔 Imam Nisayiدخمت الله عليه
📕 Imam Ibne Maja’hدخمت الله عليه
wagerahum nahi thay aur na in ki kitaabain theen – to us waqt ahle islam hadees ki kin kitaboon per amal kartay thay ?
Aur aaj kay naam nihaad ahle hadees kahaan thay ?
Kiyon kay Firqa’h naam nihaad ahlehadees 1888 may muarriz wajood may aaya agercha’h baaz naam nihaad ahlehadees nay apna rishta nata’h haqeeqi [AHLEHADEES] yani Muhaddiseen kiraam kay sath jordhnay ki nakaam koshish ki hay..!
Muhaddiseen kiraam aur Aayimma’h islam ki kutub may jahaan kaheen bhi “AHLEHADEES” ka lafz dekha to apnay auper chaspaan kardiya in jhootay dawa’h say 1 jahil na waaqif shukhsh ko to khush kiya jasakta hay.. !
lekin ashaab ilm o nazer kay samnay in pur faraib dawa’h ki koi hesiyat nahi hay lihaaza Firqa’h naam nihaad ahlehadees ka talluq [AHLEHADEES] yani haqeeqi Aayimmah hadees aur Muhaddiseen kiraam kay sath zarra baraaber bhi nahi hay..!
¤ aur ager
☆Hanafi..
☆Shafayi..
☆Maalki..
☆Hunbali..
apnay Aayimma’h per jaaker dam tordhtay hain to ye koi nuqs o aeib ki baat nahi hay kiyonkay ye sub Aayimma’h kiraam Haq o Huda’a hain aur Kherulquroon ki shakhsiyaat hain jame’e ummat in Aayimma’h kiraam ki imaamat o sadaaqat o jalaalat o saqaahat per muttafiq hay aur bilkhusoos..
Imam e Azam Abu Hanifa دض الله عنه bilittefaaq TAABIYAT kay azeem shurf say muttasif hain aur baqoul Imam Siyooti Rehmahullah o diger Aayimmah k Aap صلى الله عليه وسلم ki peshin goyi ka misdaaq hain aur Alhumdulillah Deen may hamari sanad 2 waastay say Huzoor صلى الله عليه وسلم tak pohnchti hay. . .
kiyon Imam e Azam Abu Hanifa’h دض الله عنه TABAYI hain aur Tabayi SAHABA ka shagird hota hay aur SAHABA KIRAAM RAZI ALLAHU AUNHUM HUZOOR SALLALLAHU ALAHI WASALLAH kay baraah e raast bilawasta’h shagird hain Alhumdulillah hamain is nisbat aur sanad per fakhar hay...!
lekin dusri taraf Firqa’h naam nihaad ahlehadees jama’at jo k bilittefaaq hindustaan may angrezi dour may paida ki gayi puri Tareekh e islam may kisi bhi jaga’h Firqa’h naam nihaad ahlehadees ka tazkirah kaheen nahi milta aap Tareekh e islam ya Tareekh e farq per koi bhi kitaab authalain kaheen bhi in ka naam o nishaan nahi milta inka silsilah Angreezi dour say chalta hay...!
hatta’a k sirf Hindustaan ki Tareekh pardh lain k sekrdhoon saal tak zamaam e iqtedaar musalmanoon kay hath may raha maslan Musalmaan hukmuranoon may.
☆Mughal..
☆Ghori..
☆Tughlaq..
☆Lodhi..
☆Khalji..
wagera 1 Taweel zamanay tak hindustan per hukmuraani kartay rahay lekin in sub adwaar may Firqa’h naam nihaad Ahlehadees bilkul nazer nahi aata aur jo hazraat is Firqa’h may Hadees ki sanad bhi rakhtay hain to wo bhi Mian Nazeer Hussain Dehlvi say aagay sirf aur sirf Firqa’h naam nihaad Ahlehadees aur Germuqallideen kay wasta’h say ASHAAB E SAHA SITTA’H tak nahi pohnchta..
balkay Mian Nazeer Hussain Dehlvi kay ba’ad Imam Bukhari o Imam Muslim wagera’h tak inka silsilah sanad
Hanafi o Shafayi Muqallideen kay wasta’h say pohnchta hay.
Jub Imam Abu Hanifa’hدض الله عنه nahi thay to Hanafi muqallid kaha thay ?
Charoon mazaahib k perokaar apnay Imamoon per jaker dam tordhtay hain...!
AB HAMARA SAWAL ye hay k Raat Din ye loog ye takraar kartay rehtay hain k Taqleed shirk o jahaalat hay aur Muqallid mushrik o jaahil hota hay..
ager tum apnay is qoul may sachchay ho to Imam Bukhari ya kisi bhi Imam e Hadees tak apni 1 Zaeef sanad bhi aesi dikhadoon jis may Awwal ta Aakhir sub kay sub Germuqallid aur tumhari tarah nazriyaat kay haamil afraad shaamil hoon..?
Qiyaamat tak ye loog aesi sanad nahi dikhasaktay bus Awaam ul Naas ko dhoka denay kay liye mukhtalif qisam kay heelay bahaanay taraashay huwe hain MASHHOOR Germuqallid Aalim Moulana ibraheem meer sialkoti nay apni kitab..
REF ( TAREEKH E AHLE HADEES Hissa 3 )
per ye aunwaan qaayim kiya hay
HINDUSTAN MAY ILM O AMAL BIL HADEER AUR IS KAY TEHAT YE NAAM ZIKER KIYE HAIN..
☆1.Sheikh Razi ud Deen Lahori
☆2.Ghulam Muttaqi Jonburi
☆3.Ghulam Tahir Gujrati
☆4.Sheikh Abdul Haq Muhaddis Dehlvi
☆5.Sheikh Ahmad Sirhindi
☆6.Sheikh Noor ud Deen
☆7.Sheikh Mubarak Balgiraami
☆8.Sheikh Noor ud Deen Ahmad Abadi
☆9.Meer Abdul Jaleel Balgiraami
☆10.Haji Muhammad Afzal Sialkoti
☆11.Sheikh Mirza Mazhar Jaan Janaan
☆12.Sheikh Al Shah Waliullah
☆13.Sheikh Al Shai Abdul Aziz
☆14.Sheikh Al Shah Rafiuddeen
☆15.Sheikh Al Shah Abdul Qadir
☆16.Sheikh Al Shah Ismail Shaheed
☆17.Sheikh Al Shah Muhammad Ishaque
Ref ( PAGE NUM 387 TO 424 MULKHISAN ]
ZAALIKA FAZLULLAHI YOTIHI MAI YASHA’A
ALHUMDULILLAH ye sub kay sub hazraat HANAFI maslak say thay jin ki badolat baqoul Moulana Ibraheem Meer Sialkoti hindustaan may Hadees ka ilm o amal aur inhi hazraat Muhaddiseen ki itteba’a say logoon nay Hadees o Sunnat ka ilm haasil kiya....!
jesa k Ham nay auper arz kiya k ye loog awaam kay saamnay to raat din ye Raag alaaptay rehtay hain k Muqallid mushrik o jaahil hota hay lekin haqeeqat may Qiyaamat tak is ausool o mouqqaf ko apna nahi saktay kiyonkay duniya may koi aesi Hadees ki sanad inko nahi mil sakti jis may sub kay sub in ki tarah Germuqallid hoon...!
balkay tamaam asnaad ASHAAB E SAHAH SITTA’H wagerahum Aayimmah tak Muqallideen Ulama’a kay wasta’h say pohnchti hain aur baqoul in kay Muqallid mushrik o jaahil hota hay to Hadees jo hamara Deen hay ye loog mushrik o jaahil logoon kay waastoon say letay hain....?
[ MA’AZALLAH ]
ALLAH TA’ALA IN GERMUQALLIDEEN KO SAHEEH SAMAJH DAY....!
NOTE: DOBARA IS TARHA KA SAWAAL NAHI KARNA JAHILL WARNA RAZA K SHAIR GULAM E TAJUSH'SHARIYA IS HI TARHA SE MUHTOD JAWAAB DETE RAHENGE IN'SHA ALLAH....!
No comments:
Post a Comment