SEERAT E MUSTAFA
PART:-12
MASJID-UL-JUMMA
14 Ya 20 Roz Ke Qayam Me Masjide Quba ki Tameer Farma kar Jumma Ke Din Aap "QUBA" Se Sehre Madina ki Taraf Rawana Hue Raste me Qabeela E Nabi Salim Ko Masjid Me Pehla Jumma Apne Padhaya Yahi Wo Masjid hai Jo Aaj Tak "MASJID-UL-JUMMA" Ke Naam Se Mashoor hai.
Ahle Seher Ko Khabar Hui To Har Taraf Se Log Zazbate Shok Me Mushtakana Istiqbal Ke Liye Doud Pade Apke Dada Abdul Muttalib Ki Nanhali Rishtedar "BANU NAJJAR" Hathiyar Lagae "QUBA" Se Seher Tak Do-Raweh Safe Bandhe Mastana Waar Chal Rahe The Aap Raste me Tamam Kabail ki Muhabbat Ka Shukriya Ada Karte..
Aur Sab Ko Khair Wa Barkat Ki Dua Dete Hue Chale Ja Rahe the Seher Qareeb Aa Gaya To Ahle Madina Ke Josh Wa Kharosh Ka Ye Aalam Tha ki Parda-Nasheen Khwateen Makano Ki Chato Par Chad Gai Aur Istiqbal me ye Ashhar Padhne Lage ...
HUM PAR CHAND TULU'E HO GAYA WADA'A KI GHATIYO SE HUM PAR KHUDA KA SHUKR WAJIB HAI JAB TAK ALLAH SE DUA MANGNE WALE MANGTE RAHE..
AYE WOH JATE GIRAMI HAI JO HUMARE ANDAR MABUS KIYE GAE AAP WO DIN LAE JO ITA'AT KE QABEEL HAI AAP NE MADINA KO MUSHARRAF FARMA DIYA TO AAP KE LIYE KHUSH AMADID HAI EK BEHTAREEN DAWAT DENE WALA..
TO HUM LOGO NE YAMANI KAPDE PEHNE HALAKI ISSE PEHLE PEWAND JOD-JOD KAR KAPDE PAHNA KARTE THE TO AAP PAR ALLAH TAA'LA US WAQT TAK REHMATE NAZIL FARMAE JAB TAK ALLAH KE LIYE KOSHISH KARNE WALE KOSHISH KARTE RAHE..
Madina Sharif ki Nanhi Bacchaiya Joshe Musarrat Me Jhoom-Jhoom Kar Aur Daf Baja-Baja Kar Yeh Nagma Gati thi..
HUM KHANDANE BANU NAJJAR KI BACCHIYA HAI WAH KYA KI KHOOB HUA KI HAZRAT MUHAMMAD (صلی اللہ علیہ وسلم) HUMARE PADOSI HO GAE...
Huzure Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne in Bacchiyo ka Josh Musarrat Aur Unki Walihana Muhabbat Se Muttasir Ho Kar Pucha ki Aye Bacchiyo Kya tum Mujhse Muhabbat Karti ho ???
To Bacchiyo ne Ek Zaban Hokar Kaha ki "JEE HAA" Ye Sunkar Huzure Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Khush Hokar Muskurate Hue Farmaya Ki "ME BHI TUMSE PYAAR KARTA HU"...
Ref (Madarijjun-Nabuwwah- Jild - 2. Safah- 65)
HAZRATE ABDULLAH BIN SALAM KA ISLAM.
Hazrate Abdullah Bin Salam رضي الله تعالي عنه Madina Me Yahoodiyo ke Sab Se Bade Aalim The Khud Unka Apna Bayan hai Ki Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Makkah Se Hijrat FarmaKar Madina Me Tashrif Lae Aur Log Jhok Dar Jhok Unki Ziyarat ke Liye Har Taraf Se Aane Lage To me bhi Usi Khidmate Aqdas Me Hazir Hua Aur Jese hi Meri Nazar Nabuwwat Par Padi To Pehli Nazar me Mere Din ne ye Faisla Kar Diya ki " YE CHEHRA KISI JUTHE AADMI KA NAHI HO SAKTA "
Fir Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ne Apne Waa'az Me Irshad Farmaya Aye Logo Salam Ka Charcha Karo Aur Khana Khilao Aur Rishtedaro se Sila-E-Rehmi Karo Aur Raato ko Jab Log So Rahe ho To Namaz Padho..
Hazrate Abdullah Bin Salam Farmate hai ki Mene Huzoor
(صلی اللہ علیہ وسلم)
Ko Ek Nazar Dekha Aur Aapke Ye 4 bol Mere Kaan me Pade To me Is Qadar Mutrasir Hua Ki Mere Dil ki Dunia Hi Badal Gai Aur me Musharraf Ba Islam Ho Gaya..
Hazrate Abdullah Bin Salam رضي الله تعالي عنه Ka Damane Islam Me Aa Jana Ye Bhot Hi Ahem Waqiya Tha Ki Madina ke Yahoodiyo Me Khalbali Mach Gai..
Ref (Madarijun-Nabuwwa - Jild- 2, Safa - 66 Bukhari Sharif Wagera)
HUZUR KE AHEL-WA-AYAAL MADINA SHARIF ME.
Huzure Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Jab ki Abhi Hazrate Abu Aiyub Ansari رضي الله تعالي عنه Ke Makan Hi me Tashrif Farma the Aap ne Apne Gulam Hazrat Zaid Bin Haris Aur Hazrate Abu Rafea رضي الله تعالي عنه Ko 500 Dirham Aur Do Ount De Kar Makkah Bheja Taki Ye Dono Sahiban Apne Sath Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ke Ahlo-Ayal Ko Madina Lae...
Chunache dono Hazrat Jakar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Do Sahib Zadiyo Hazrate Fatima Aur Umme Kulsum رضي الله عتهما Aur Apki Jouza-E-Mutahhara Ummul Momeenin Hazrate Bibi Soudah رضي الله تعالي عنه Aur Hazrate Usama Bin Zaid Aur Hazrate Umme Aeman رضي الله عتهما Ko Madina Le Aae.
Aapki Sahibzadi Hazrate Zainab رضي الله تعالي عنه Na Aa Saki Kyonko Unke Sohar Hazrate Abul Aas Ibdul Rabeea رضي الله تعالي عنه Ne Unko Makka Me Rok Liya...
Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Sahibzadi Hazrate Bibi Rukaiya رضي الله تعالي عنه Apne Sohar Hazrate Usman Ghani رضي الله تعالي عنه Ke Sath Jabsha me Thi Inhi Logo ke Sath Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ke Farzand Hazrate Abdullah رضي الله تعالي عنه Bhi Aane Saba Ghar Walo ko Sath Leker Makka Se Madina Aa gae Inme Hazrate Bibi Aayesha رضي الله تعالي عنه Bhi Unke Makan Par Thehre..
Ref (Madarijun-Nabuwwat, Jild- 2 , Safa - 67)
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
VISIT US : www.zikr-e-rasool.com
Download App http://goo.gl/x7SwOb
No comments:
Post a Comment