Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Saturday, February 11, 2017

SHOUHAR KE SATH ZINDGI BASAR KARNE KA TARIKA



AURAT KI HAQEEQAT

POST:-08

SHOUHAR KE SATH ZINDGI BASAR KARNE KA TARIKA

SHOUHAR KE SATH ZINDGI BASAR KARNE KA TARIKA 


(8)Aurat Ko Chahiye Ki Woh Apne Shauhar Se Uski Aamdani Aur Kharch Ka Hisaab Na Liya Kare! 
Kyun ki Shauharon Ke Kharch Par Auraton Ke Rok Tok Lagane Se Umu'man Shauharon Ko Chidd Paida Ho Jati Hai Aur Shauharon Par Gairat Sawar Ho Jati Hai Ki Meri Biwi Ho Kar Mujhe Par Hukum Jatati Hai Aur Meei Aamdani Wa Kharch Ka Mujh Se Hisaab Talab Karti Hai!

Iss Chidd Ka Anjaam Ye Hota Hai Ki Rafta Rafta Miyan Biwi Mein Ikhtilaaf Paida Ho Jaya karta Hai! Isi Tarha Aurat Ko Chahiye Ki Apne Shauhar Ke Kahin Aane Jane Par Rok Tok Na Kare! 
Na Shauhar Ke Chaal Chalan Par Shubah Aur Bad'gumani Kare Ki Isse Miyan Biwi Ke Tal'luqa'at Mein Fasaad Wa Kharaabi Paida Ho Jaati Hai! 
Aur Kha'waah Makha'waah Shauhar Ke Dil Mein Nafrat Paida Ho Jati Hai! 

(9)Jab Tak Saas Aur Sasur Zinda Hai Aurat Ke Liye Zaruri Hai Ki Un Dono Ki Bhi Tabedari Aur Khidmat Guzari Karti Rahe Aur Jahan Tak Mumkin Ho Sake Un Dono Ko Raazi Aur Khush Rakhe! 
Warna Yaad Rakho! Ki Shauhar Un Dono Ka Beta Hai! Agar Un Dono NE Apne Bete Ko Daant Dapat Kar Chaanp Chada Di Toh Yakeenan Shauhar Aurat Se Naraaz Ho Jayega Aur Miyan Biwi Ke Muhabbatana Tal'luqa'at Tahas Nahas Ho Jayenge! Isi Tarha Apne Jethon, Devaron, Aur Nandon, Bhawajon, Ke Saath Bhi Khush Akhlakhi Barte Aur Un Sabon Ki Dil Juie Mein Lagi Rahe! Aur kabhi Hargiz Hargiz Un Mein Se Kisi Ko Naraaz Na Kare Warna Dhiyaan Rahe Ki Un Dono Se Bigad Ka Natija Miyan Biwi Ke Talluqaat Ki Kharabi Ke Siwa Kuch Bhi Nahi! 

Aurat Ko Sasural Mein Saas Aur Sasur Se Alag Thalag Rehne Ki Hargiz Kabhi Koshish Nahi Karni Chahiye! Balki Mil Jul Kar Rehne Mein Hi Bhalayi Hai Kyunki Saas Aur Sasur Se Bigaad Aur Jhagde Ki Yehi Jad Hai! Aur Yeh Khud Sochne Ki Baat Hai Ki Maa Baap Ne Ladke Ko Pala Posaa Aur Iss Ummeed Par Uski Shaadi Ki, Ki Budape Mein Hum Ko Bete Aur Uski Dulhan Se Sahara Aur Aaram Milega, Lekin Dulhan Ne Ghar Mein Kadam Rakhte Hi Iss Baat Ki Koshish Shuru Kar Di Ki Beta Apne Maa Baap Se Alag Thalag Ho Jaye Toh Tum Khud Hi Socho Ki Dulhan Ki Iss Harkat Se Maa Baap Ko Kis Kadar Gussa Aayega Aur Kitni Jhal'lahat Paida Hogi! 
Iss Liye Ghar Mein Tarha Tarha Ki Bad Gumaniya Aur Kism Kism Ke Fitna Wa Fasaad Shuru Ho Jate Hai! Yahan Tak Ki Miyan Biwi Ke Dilon Mein Fut Paida Ho Jati Hai Aur Jhagde Takraar Ki Naubat Aa Jati Hai!

Fir Pure Ghar Walon Ki Zindagi Talakh Aur Taal'luqaat Darham Barham Ho Jate Hai! Lihaza Behtari Isi Mein Hai Ki Saas Aur Sasur Ki Zindagi Bhar Hargiz Hargiz Kabhi Aurat Ko Alag Rehne Ka Khayal Bhi Nahi Karna Chahiye! 

Haan Agar Saas Aur Sasur Khud Hi Apni Khushi Se Bete Ko Apne Se Alag Karde Toh Fir Alag Rehne Mein Koi Haraj Nahi! Lekin Alag Rehne Ki Surat Mein Bhi Unsiyat Wa Mohabbat Aur Mel Jol Rakhna Intehai Zaruri Hai Taki Har Mushkil Mein Pure Kumbe Ko Ek Dusre Ki Imdaad Ka Sahara Milta Rahe! Aur Ittefaaq Wa Ittehaad Ke Saath Pure Kumbe Ki Zindagi Jannat Ka Namuna Bani Rahe! 

Jannati Zevar Page 28, 29/30 )

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also


No comments:

Post a Comment