AURAT KI HAQEEQAT
POST:-10
SHOUHAR KE SATH ZINDGI BASAR KARNE KA TARIKA
(17) Har Biwi ka yaha bhi farz hai ki waha apne shouhar ki aamdani aur ghar ke akhrajat KO hmesha nazar ke samne rakhe aur ghar ka kharch is tarah chalayen ki izzat wa aabru se zindagi basar hoti rhe.
Agar shouhar ki aamdani kam ho to hargiz hargiz shouhar par beja famaisho ka bojh na daale.
Isliye ki agar aurat ne shouhar KO majboor kiya aur shouhar ne biwi ki mohabbat me karz ka bojh apne sar utha liya aur khuda na kare us karz ka Ada krna dushwar ho gya to ghrelu zindagi me pareshaniyon ka saamna ho jaega aur miyaa biwi dono ki zindagi tang ho jaegi. Isliye har aurat KO lazim hai ki sabr wa kana'at ke sath jo kuch bhi mile khuda ka shukr Ada kare aur shouhar ki jitni aamdani ho usi ke mutabik kharch kre aur ghar ke akhrajat KO hargiz hargiz aamdani se badhne na de.
(18) Aurat ko laazim hai ki sasuraal pahuchne ke baad zidd aur hatt dharmi ki aadat bilkul chhor de. Umu-mann aurato'n ki aadat hoti hai ki jaha koi baat unki marzi k khilaaf hui fauran gusse me aag babula hokar ulat palat shuru kar deti hain. Ye bahut buri aadat hai.
Lekin mayeke me chunki maa-baap apni beti ka naaz uthate hain isliye mayeke me to zidd aur hatt dharmi aur gussa wagaira se aurat ko kuch zada nuksan nahi pahuchta lekin sasural me maa-baap se nahi balki saas-sasur aur shauhar se waasta padta hai.
Un me se kaun aisa hai jo
apka naaz uthane ko tayyar hoga, isliye sasuraal me aurat ki zidd aur hatt dharmi aur gussa ar chid-chida-pan aurat k liye behadd nuksaan ka sabab ban jata hai.
Kiyo'n ki poore sasuraal wale uski in kharaab aadato'n ki wajah se us se bilkul hi bezaar ho jate hain, aur aurat ki nazro'n me zaleel wa khwar ho jati hai.
(19) Umuman sasural ka mahaul mayeke ke mahaul se alag-thalag hota hai aur sab naye naye logo'n se aurat ka waasta padta hai, isliye sach puchho to sasural har aurat k liye imtehan-gaah hai, jaha uski har harkat wa sukoon par nazar rakhi jayegi, aur uske amal par tanqeed ki jayegi.
Naya mahaul hone ki wajah se saas aur nanado'n se kabhi-kabhi khyalaat me takraw bhi hoga, aur is mauke par saas aur nanado'n ki taraf se jali-kati aur ta'ano'n kosno'n ki kadwi-kadwi baatein bhi sunni padengi. Aise mauko par sabr kar ke bilkul hi jawab na de aur chup saah'le. Ye behtareen tareeqa-e-amal hai. Aisa karte rehne se insha allah ta'ala ek din aisa aayega ki saas aur nanade'n khud hi sharminda hokar apni harkato'n se baaz aa jayengi.
(20)Aurat ko sasural me khas taur par baat-cheet me is chiz ka dhyan rakhna chahiye ki na to itni zyada baat-cheet kare jo sasural walo aur padosiyo'n ko na-gawaar guzre aur na itni kam baat kare ki minnat wa khushtmadd ke baad bhi.kuch na bole. Is liye ki ye guroor wa ghamand ki alaamat hai, jo kuch bole soch samajh kar bole aie itni narm aur pyar bhare lehzo me baat kare ki, kisi ko nagawaar na guzre, aur koi aisi baat na bole jisse kisi ke dil par bhi thes (ٹھیس) lage, taaki aurat sasural walo aur rishta naata walo aur padosiyo'n sab ki nazro'n me har dil azeez bani rahe.
No comments:
Post a Comment