Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Monday, February 20, 2017

ISLAM AUR SOOD


ISLAM AUR SOOD



PART:-03



Syeduna Imaam e Aazam Abu Hanifa رضی اللّه تعالیٰ عنہ ka taqwa kamaal darje ka tha aap hajat mando ko na sirf qarz diya karte balki dar guzar se bhi kaam liya karte the or qarz par kisi qism ka nafa lene se hamesha khauf zada rahte ki kahi sood me mubtila na ho jaaun, Syeduna Imaam e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ sood to sood, sood ke shubuhaat se bhi apne taqwa ke sabab bacha karte the..

 Syeduna Imaam e Aazam Abu Hanifa رضی اللّه تعالیٰ عنہ ek janazah padhne tashrif le gye, dhoop ki badi shiddat thi or wahan koi saya na tha, sath hi ek shaks ka makan tha, jis ki diwar ka saya dekh kar logon ne Syeduna Imaam e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ se arz ki ki Huzur is makan ke saye me khade ho jayiye.. 

 Hamare aaqa Imaam e Aazam Abu Hanifa رضی اللّه تعالیٰ عنہ ne irshad farmaya ki *is makan ka maalik mera maqruz he or agar maine is ki diwar se kuch nafa hasil kiya to mai darta hun ki Allah ke nazdiq kahi sood lene walo me shumar na ho jaaun..

Kyun ki Madine wale mustafa ﷺ ka farman he ki..."Jis qarz se kuch nafa liya jaye wo sood he..."

Chunanche aap dhoop me hi khade rahe.. 

Ref ( Tazkiratul Auliyah, Safa 188
)


QARZ PAR NAFA LENA SOID HE


Fatawa razvia sharif me Aala Hazrat Alaih Rehma qarz par nafa lene ke muta'lliq farmate he... *Qarz dene wale ko qarz par jo nafa wa fayeda hasil ho wo sab sood or nira haram he..*


Rasoolullah ﷺ farmate he... Qarz se jo fayeda hasil kiya jaye wo sood he..

Ref ( Fatawa Razvia, Jild 17, Safa 713
)


QURAN E KARIM ME SOOD KI HURMAT KA BAYAN


Pyare Dosto..!! Sood qatayi haram or jahannam me le jane wala kaam he is ki hurmat ka munkir kafir or jo haram samajh kar is bimari me mubtila ho wo fasiq or mardudush'shahadah he yani us ki gawahi qabul nhi ki jati.


 Allah Ta'ala ne Quran e paak me is ki bharpur mazammat farmayi he chunanche..


"Wo jo sood khate he qayamat ke din na khade honge magar jaise khada hota he wo jise aaseb ne chu kar makhbut bana diya ho yeh is liye ki unhone kaha bai'a bhi to sood hi ke maanind he or Allah ne halal kiya bai'a ko or haram kiya sood to jise us ke rabb ke paas se nasihat aayi or wo baaz raha to use halal he jo pehle le chuka or us kaa kaam khuda ke supurd he.."

"Or jo ab aesi harkat karega to wo dojakhi he wo us me muddato rahenge, Allah halak karta he sood ko or badhata he kairat ko or Allah ko pasand nhi aata koi na shukra bada gunah gaar...beshaq wo jo imaan laye or achche kaam kiye or namaz qayam ki or zakat di un ka neg un ke rabb ke paas he or na unhe kuch andesha ho or na kuch gum....Ae imaan walo Allah se daro or chhod do jo baqi rah gya he sood agar musalman ho..."

Ref ( Al Quran, Surah Baqra, Para 3, Aayat no. 275-278
)


 Sadarul Afaazil Hazrat Allama Molana Syed Muhammad Naimuddin Muradabadi Alaih Rehma Khazayinul Irfan* me is aayate karima ke Shan e Nuzul ke bare me kuch yun farmate he..

"Ye aayat un as'haab ke haq me nazil huyi jo sood ki hurmat nazil hone se qabl soodi lain dain karte the or un ki gira qadr soodi raqame dusro ke zimme baqi thi, us me hukm diya gya ki sood ki hurmat nazil hone ke baad saabiq ke mutalbe bhi wajibut tarq he or pahla muqarrar kiya huwa sood bhi ab lena jayz nhi.."

Ref ( Khazayinul Irfan, Para 3, Surah Baqr )


App Download http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment