TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!
PART (7)
G.M hum se kehte hain aap sirf imam Ka Qaul Dekhte Hain Ye Q nahi Dekhte Ki is Bare me Quran hadis me kya likha hai..!
Hum kehte TAQLID Naam Hi Hai Bina Daleel Talab Kiye imamo Mujtahid Ke Qaul Pe amal karne ka.. hume Etemad Hai Ki imam Ne Ye Masla Zaroor Quran O sunnat Ki Roshni me Bataya Hai, Haan Wo Daleel Tak Hum Pahoch nahi sakte Ya Wo Daleel Hame Mile Bhi To Hum Me Samajhne Ki Salahiyat Nahi...!
Dekho is tarah Bila Daleel Talab Kiye Mahez Sahaba Apne Bade Sahaba Aur Tabaeen Apne Bade Taba Ke Qaul Pe Hi amal Kiya Karte The..!
Abdur Rahman Farmate Hain Mai ne imam Mohammad Bin Seereen Se Pucha Gusl ke liye hammam Me Dakhil Hona Jayez Hai Ya Nahi..?
Aap ne Farmaya Hazrat umar Ise Makrooh Kehte The. !
{المطالب العالیة للحافظ ابن حجر، جلد-۱، صفحہ-۵۱،حدیث نمبر-۱۸۷}
Dekhiye imam mohammad jaise Jaleelul Qadr Tabai (تابعی) sirf Ye keh rahe hain ki hazrat umar ise makrooh kehte The. Ye nahi kaha ki iski daleel kya hai.? Aur ye kaha likha hai. Na puchne wale Tabai ne unse Daleel Talab Kee Mahez Unke Tafaqqoh Fidd Deen pe Etemad Karte huye masle Ko Maan Liya...!
Halaki is masle par hazrat umar دض الله عنه Se Marfoo Hadis Motta imam Malik me maujood hai...!
Hum Hanafi Bhi imam azam abu hanifiدض الله عنه Jo Tabai hain mujtahid hai Fiqah O Hadees ke mahir Hain Muttaqi parhezgar Hain. Unke aqwaal pe Bila Daleel Talab kiye amal karte hain. Aur hamara Ye TARIQA SAHABA O TABAEEN Ke Tariqe par Hai..!
"TAQLEED KA ROSHAN SABOOT"
Hazrat Hasanدض الله عنه Se Kisi Ne Puha Kya Aap Masjid Ka Paani Peete Hain? HALAKI Wo SADQAH Hai, Aap Ne Faramaya Hazrat Abu Bakar Aur Hazat Umar رضی اللہ تعالی عنھم Ne Masjid Me umme sa'ad Ki Lagai Hui Sabeel Se Paani Piya Hai, agar Mai ne Piya To Kya Hua.!
{کنزالعمال، جلد-۱،صفحہ-۳۱۸، کتاب الزکوٰة، فصل فی المصرف}
Ba-Gaor Padhiye Hazrat Hasan دض الله عنه ne Apne is amal Par Quran Hadis ki Daleel Pesh Kee Ya Hazrat abu Bakar O Hazt Umarدض الله عنه Ki TAQLEED Kee???
Q ki wo jante The Ki Un Hazraat Ka Ye Amal Quran O Hadees Ke Mutabiq hi hai aur unke pas iski Koi Daleel Zaroor Hogi.. !
G.M (gair muqallideen) Kehte Hain Jab 4ron imam haq par hai To Aap sirf imam azam abu hanifa(دض الله عنه ) Ki Hi TAQLEED Kyu Karte ho????
JAWAAB 👇🏻
Sab ke maslak pe amal karna chahiye.. hum arz karege ki Beshak 4ron Aimma HAQ par hain magar Shariat ke Tamam masayel me sirf 1 Hi imam Ki Taqleed karna jise TAQLIDE SHAKHSI Kehte hain Jayez hai... Balki is zamane me TAQLIDE SHAKHSI Hi Wajib hai aur TAQLIDE MUTLAQ Sakht Mana Hai..!
SAHABA E KIRAM Ke zamane me TAQLIDE MUTLAQ (AAM TAQLEED) Aur Taqlide shakhsi Dono Ka Riwaj Tha.. Dekhiye iska Jame Saboot.. Sahi Bukhari ki Hadees Me.. !
Hazrat Abu Musa Ashari se Logo Ne Koi masla pucha aapne jawab Diya. Un logo Ne Yahi Masla Hazrat Abdullah Bin Masood Se Pucha To unka Jawab Hazrat Abu Musa ke Jawab se Alag Tha.. logon Ne Hazart Abu musa se kaha ki aapka jawab Hazrat Ibne masood Se Alag Hai.
Aapne Faramaya, Aye Logon Jab Tak Ye MUTA'BAH'HIRR (ILAM KA SAMANDAR, Yani abdullah Bin Masood) Maujood Hain Muj Se Koi Masla Na Puche.!
{صحیح بخاری' کتاب الفرائض' جلد-۲' صفحہ-۹۹۷}
Dekhiye Kya hazrat abu musa ashari Koofa walo ko 1 imam aur faqeeh ki TAQLEED Ka Paband Nahi Kar Rahe hain.???
Jab Tak Ye hain inhi se masla pucho aur Dusron se nahi. Kya ye Taqleede shakhsi Nahi Hai..?
TALQIDE SHAKHI AUR QAYAS O IJTEHAD KA ROSHAN SABOOT HADISE RASOOL (صلى الله عليه وسلم )SE.
Hazrat Muaaz Bin Jabal Se Riwayat Hai Jab Huzoor Ne Unhe Yaman Ka Hakim Bana kar Bheja To faramya aye muaz jab koi mamla pesh aay To Tu kaise Faisla Karega..?
Aapne Ne Arz ki Allah Ke Quran Se, huzoor Ne Faramaya Agar Ye Masla Quran Me Na Mile To..?
Arz Ki Aapki sunnnat Se, Huzoor Ne Faramaya agar us mamle ka Hal Quran O Sunnat Dono Me Na Mile To.????
Arz ki Apni Raay Se ijtehad O Istembat Karuga. Aur koi Kotahi Nahi karuga (HAQ Tak pahochne Me) is Baat Par Huzoor Ne Khushi Se Hazrat Muaz ke sine Par Apna hath mara aur faramaya.
Allah Ka Shukr Hai jisne Apne Rasool ke Qasid ko is Baat ki Taufiq Dee Jis Par Allah O rasool Razi hain.. !
{سنن ابی داود. کتاب الاقضیہ' باب اجتہادالرأی فی القضاء}
Mazkura hadees Ko Gaur se padhen iski Roshni me chand Baten Malum hoti hai..!
Pehle Ye ki Shariat ke masayel hal karne Ke 4 Darje hain...!
(1)-Quran
(2)-sunnat
(3)-ijma
(4)-Ijtehad Yani Qayase Shari...!
G.M kehte hain Ki Har Masla Sirf Quran Hadees se malum karo. Ye Boli sarasar Hadees k khilaf hai, aur Jo hadis hi ka mukhalif Ho wo Ahlehadis kaise.???
Aur is Hadees Se Ye Bhi Pata Chala Ki Huzoor(صلى الله عليه وسلم ) Ne Apne Tamam Fuqha ulma Sahaba Me Se sirf 1 sahabi Ko Tamam Yaman walo ki Taraf Hakim O Qazi Aur Moallim O Mujtahid Bana Kar Bheja Aur Tamam ahle Yaman Par isi 1 shaksh ki Ka itteba Aur TAQLID Wajib kar Dee...!
Ab Yahan hum iski misal Bhi Pesh karte hain Ki Hazrat muaz bin jabal(دض الله عنه ) ne Yaman me Bahot se Masle sirf Qayas se bayan kiye Jinka hukm Quran Hadees me sarahat se nahi Tha..!
MISAAL:
Hazrat Abul aswad Kehte Hain Muaz Yaman Me The kuch Log unke pas Ye masla laye ki 1 Yahudi mar Gaya aur apne piche apna 1 musalman Bhai Chhod Gaya To kya us yahudi ke maal se uske musalman Bhai ko Hissa milega.??
Hazrat muaz ne jawab diya Mai ne Huzoor Se suna Hai islam ziyadati karta hai kami nahi, lihaza mere nazdeek us yahudi ke maal me musalman ko hissa milega..!
{مسند امام احمد بن حنبل. جلد-5، صفحه-236}
Dekhiye Hazrat muaz Bin Jabal(دض الله عنه ) Ne us hadis se istedlal Kiya Jo wirasat ke masle ki Thi hi nahi.. Ye unka ijtehad tha..!
Ab aap masle ko achchi Tarah samjhe aur guzishta Qiston Ko Bhi Puri Padhen. Ye G.M jo Qaum ko gumrah kar Rahe Hain Quran O Hadis pe amal ka nara laga kar.
Ye log haqiqat me Quran O Hadis ke munkir islam ke Dushman aur angrezo ke pakke agent Hain..!
Apne aap ko ahlehadis (hadis Pe chalne wala) Kehne wale Ye log Khud Quran O Hadis ke munkir hain..... jab ye log aapke pas hadees sunane aayen to aap inhe pakad ke apne ulma ke pas layen..!
Sunni Hanfi Barelvi musalmano Is Daure Pur fitan me Apne iman ki hifazat sab se zaroori hai. Jiska Behtarin Tariqa Ye hai ki apne Buzrogun ki raah pe chalna..!
Hum ne Hadees ki Roshni me Taqlide shakhsi sabit kar Dee.
4ron imam haq Par hain aur in 4ron me se Taqlid kisi 1 Ki hi kee jaye..!
NOTE: AB TAK TO AAP SAMAJH HI GAYE HONGE KI DEEN E HAQ PAR KON HAI...
App Download http://goo.gl/x7SwOb
App Download http://goo.gl/x7SwOb
No comments:
Post a Comment