AURAT KI HAQEEQAT
POST:-11
BEHTAREEN BIWI KI PEHCHAN
BEHTAREEN BIWI
( 1.) Jo Apne Shauhar Ki Farmanbardari Aur Khidmatguzari Ko Apna Farze Mansabi Samjhe
( 2.) Jo Apne Shauhar Ke Tamaam Huquq Ada Karne Mein Kotahi Na Kare
( 3.) Jo Apne Shauhar Ki Khubiyon Par Nazar Rakhe Aur Uske Aai'bon Aur Khamiyon Ko Nazar Andaaz Karti Rahe
( 4.) Jo Khud Taklif Utha Kar Apne Shauhar Ko Aaraam Pahunchane Ki Hamesha Koshish Karti Rahe
( 5.) Jo Apne Shauhar Se Uski Aamdani Se Ziyada Ka Mutalba Na Kare! Aur Jo Mil Jaye Us Par Sabr Wa Shukar Ke Saath Zindagi Basar Kare
( 6.) Jo Apne Shauhar Ke Siwa Kisi Ajnabi Mard Par Nigaah Na Daale! Na Kisi Ki Nigaah Apne Uper Padne De
( 7 ) Jo Parde Mein Rahe Aur Apne Shauhar Ki Izzat Wa Aabru Ki Hifazat Kare
( 8.) Jo Shauhar Ke Maal Aur Makaan Wa Samaan Aur Khud Apni Zaat Ko Shauhar Ki Amaanat Samjh Kar Har Chiz Ki Hifazat Wa Nigahbani Karti Rahe
( 9.) Jo Apne Shauhar Ki Musibat Mein Apni Jani Wa Maali Kurbaani Ke Saath Apni Wafadari Ka Subut De.
( 10.) Jo Apne Shauhar Ki Ziyadati Aur Julm Par Hamesha Sabr Karti Rahe
( 11). Jo Maika Aur Sasural Dono Gharon Mein Hardil Aziz Aur Ba'izzat Ho
( 12.) Jo Padosiyon Aur Milne Julne Wali Auraton Ke Saath Khush Aqhlakhi Aur Sharafat Wa Murawat Ka Bartao Kare! Aur Sab Uski Khubiyon Ki Mud'dah Hua
( 13.) Jo Mazhab Ki Paband Aur Deendar Ho Aur Huku'Kullah Aur Huku'kul'ibaad Ko Ada Karti Ho
( 14. ) Jo Sasural Walon Ki Kadvi Kadvi Baaton Ko Bardasht Karti Rahe
( 15 )Jo Sab Ghar Walon Ko Khila Pila Kar Sab Se Aakhir Mein Khud Khaye…
Ref (Jannati Zevar Page No 33 34 :)
No comments:
Post a Comment