Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, February 23, 2017

ISLAM AUR SOOD


ISLAM AUR SOOD





PART:-04


 Is ke baad Allah Ta'ala irshad farmata hai.. 

"Fir agar aesa na karo to yaqin kar lo Allah or Allah ke Rasool se ladayi ka or agar tum tauba karo to apna asal maal le lo na tum kisi ko nuqsan pahunchao na tumhe nuqsan ho..


Ref ( Al Quran, Surah Baqr, Para 3, Aayat 279
)

TASFEER


Sadarul Afaazil Hazrat Allama Molana Syed Muhammad Naimuddin Muradabadi Alaih Rehma is aayat e mubarika ke tahat farmate he... 

"Yah wayid wa tahdid me mubalga wa tashdid he (yani) kis ki mazaal ki Allah or us ke Rasool se ladayi ka tasawwur bhi kare chunanche un As'haab ne apne soodi mutalbe chhode or ye arz kiya ki Allah or us ke Rasool se ladayi ki hume kya taab.? Or taayid huye.."

Ref ( Al Marja'a Saabiq, Tahat Aayat 279
)

AHADEES E MUBARIKA ME SOOD KI HURMAT

Kasir Ahadees e mubarika me sood ki bharpur mazammat farmayi gyi he chunanche.. 

Shahansha e Madina, Surur e Qalbo Sina (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farman he... 
"7 chhizo se bacho jo ki tabah wa barbaad karne wali he.."

Sahaba Kiram ne arz ki... Ya RASOOLULLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) wo 7 chhize kya he..??

Irshad farmaya..

(1) Shirk karna

(2) Jaadu karna

(3) Use na haq qatal karna ki jis ka qatal karna Allah ne haram kiya
(4) SOOD KHANA


(5) Yatim ka maal Khana 

(6) Jung ke doran muqable ke waqt pith pher kar bhag jana

(7) Or paak daman, shadi shuda momin aurato par tohmat lagana

Ref( Sahih Bukhari, Kitabul Wasaya, Jild 2, Safa 242, Hadees 2766
)


No comments:

Post a Comment