Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, February 23, 2017

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL


TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!




  PART   (8)


 (1) SAWAAL ???

Hamara TAQLIDE SHAKHSI (1 Hi imam ki Taqlid) Par Zor Kyu hai..? Aur hum TAQLIDE MUTLAQ (sab imamo ki taqlid) Se Kyu Mana Karte Hain..???

JAWAB 👇🏻

Isme Ye Maslihat Hai Ki insan Jab man cahi karta hai Jise Khawahish parsti kehte hain To wo Zabardast Gumrahi ka shikar hota hai Jo Basaa awqat use kufr Tak Le jati hai..!

Isi Liye Quran O hadees me jagah jagah khabardar kiya gaya ki Nafs Ke chakkar me Na Pado Aur isse Bacho..!
aur jab insan Man chahi pe utarta hai To Halal Ko haram Aur Haram Ko Halal kar Deta hai Yani wo kisi imam ka muqallid nahi rehta Balki Apne nafs Ka MUQALLID Ho Jata hai..!
Sahaba ka zamana khair ka Tha unme khaof, e Khuda Tha Wo Huzoor صلى الله عليه وسلم Ke Sohbat Yafta The unke nazdeek Dunya HAQEER Chiz Thi, is liye agar wo Taqlide mutlaq pe amal karte the to unki niyyat me SIDQ (Sachchai) Thi..!
Magar jaise jaise Aslaaf Aur ulma Dunya se uthne lage Logo me Taqwa ki kami aane Lagi log apni aasani ke liye hile bahane kar ke Apni man chahi karne lage isi liye ulma aur Fuqha ne TAQLIDE MUTLAQ Ka Darwaza Band Kar Diya Aur Logo Ko Paband kiya gaya ki wo kisi 1 imam Aur Mujtahid Ko chune aur usi ki hamesha Taqlid kare Agar sab imamo ki TAQLID kee jaye to Ye nuqsan hoga....!

  (2) SAWAAL ???

imame azam Abu Hanifaدض الله عنه  ke Nazdeek khoon nikalne se wazu toot'ta hai ab sardi ka mosam hai aur kisi ka khoon nikala aur wazu toota, aur use wazu Banana Bhari malum ho raha hai ab wo sirf is liye shafai ban jaye ki imam shafai ke nazdeek khoon nikalne se wazu nahi toot'ta. To kya uski niyyat Me khair hai.??

JAWAAB👇🏻

Usne imam shafai ki Taqlid to kar Lee magar imam azamدض الله عنه  ke nazdeek uski namaz Be-wazu maani jaygi Ya Yun samjho imam shafai ka muqallid hai usne apni aurat ko Chhuwa (tuch kiya) To imam shafai ke nazdeek uska wazu Toot gaya magar imam abu hanifaدض الله عنه  ke Nazdeek aurat ko chune se wazu Nahi Toot'ta to ab wo hanfi ban jaye aur namaz padhe to kya uski namaz hogi? Q ki imam shafai ke Maslak me to wo Be-wazu Tha..!

Aise shakhs ka apni aasani ke liye maslak Badalna imam Badalna sirf apne aasani ke liye hai Allah O Rasool صلى الله عليه وسلم ke faraman Pe Amal ke liye Nahi. Isi liye TAQLIDE MUTLAQ Ko sakht mana kiya gaya. Aur khawahishe nafsani par chalna haram Qarar Diya Gaya..!
HADEES KI KITAB SAHI MUSLIM SHARIF Jiska Darja Bukhari Ke Bad Sab se Bada Hai uske SHAAREH Allam Nowi رحمت الله عليه 1 Hi imam Ki TAQLEED WAJIB Hone ki wajah Bayan Faramte Hain. 
Is TAQLIDE SHAKHI Ke lazim Hone Ki Wajah Ye Hai ki agar is Baat Ki ijazat ho Ki insan jis mazhab ki chahe pairawi kare To Phir Log Aasaniyan Talash Kar Ke apni khawaish par amal karege, Halal O Haram Aur wajibo Jayez ke Ahkam ka saara ikhteyar Logo Ko Mil Jayga. Aur shariat ki Pabandi khul Jaygi.. 
Al'batta Pehle Zamane Me Taqlide shakhsi is liye mumkin nahi Thi ke FIQHI MAZAHIB MUKAMMAL Taur Par Tarteeb Nahi Diye Gaye The. Aur Na Maroof O Mash'hoor The lekin jab 4ron imam ke Mazahib maroof huye Aur Unki fiqah Tarteeb Dee ja chuki aur unki kitabe aur unke mazhab ke ulma maujood hai To Ab Har Shakhs Par Lazim Hai Ki Wo Kisi 1 mazhab (hanfi shafai malki ya hambali) ko chune aur usi Ke tamam masayel me TAQLID kare..!


(المجمو ع شرح المھذب، للنووی، جلد-۱،صفحہ-۹۱) 

Allama Nowi ke faramn ki roshni me agar TAQLIDE MUTLAQ (Jiski chahe TAQLID Kare) ki jay To halalo haram 1 Ho jayge Ahle ilm jante hain ki Har Faqeeh ke Mazhab me kuch asaniyan Milti hain Jo dusre ke Yahan nahi hai..!

Aur mujtahid hazraat Galtiyon se pak nahi kisi mujtahid ke yahan koi aisi chiz jayez hai jo puri ummat ke nazdeek haram hai ya na'jayez Ya Jamhoor Ke Khilaf Aur agar TAQLIDE MUTLAQ Ka Darwaza Khol Diya jaye To Log har mujtahid ke aasan aasan masle nikal kar inki Taqlid karege..!
Jaise, imam shafai ke nazdeek shatranj khelna jayez hai, hazrat abdullah Bin jafar Gina Aur Mazameer Ko Jayez kehte The. Imam Aamash ke nazdeek Suraj Nikalte waqt se roza shuru hota hai, Hazrat ATA BIN RIBAH Kehte Hain agar Eid Juma Ke Din Aay to us Din Juma Aur Zohar Ki Namaz Na padhi jaye. Yani Asr tak koi namaz nahi, 
dawood zaheri ka maslak hai ki Jis aurat se nikah karna ho usne Barhana (nangi) Dekhna jayez hai, aur IBNE SEHNOON Misri Ki  Taraf WATI FID'DUBUR (Aurat ko piche ke maqam se sohabat karna) ke Jawaz ka Qaul mansoob Hai..!

{تلخیص الحبیر للحافظ ابن حجر جلد،۱،صفحہ،۱۸۷} 

Agar TAQLIDE MUTLAQ Ki ijazat Ho To Log aise aise masle jama karege aur 1 naya mazhab tayyar hoga jiska Baani Nafs aur shaitan Hoga...!

Ulma farmate hain. 
Koi Gina Sune Aur Wati Fid'dubur (aurat ko piche se karna) ke jawaz me ahle madina ke Qaul par amal kare, ya Nashe ke jawaz Par Baz Ahle kufa Ka Qaul apnay To Wo Allah Ka Bad'tareen Banda hai..!

{تلخیص الحبیر،جلد-۳،صفحہ-۱۸۷} 

TAQLIDE MUTLAQ Ya Tarke Taqlid (kisi imam ki taqlid na karna) Dono Gumrahiyat hai..!
Hum Dekhte Hain aisa Hi aasan Mazhab gair Muqallidon ne Banaya hai jisme sirf aasani hi aasani aur faydah hi faydah hai..!
Aur logo ko 4 imam Ki TAQLID Se Rok kar Apne Batil jamat pe chalana chahte hain..!

GAIR MUQALLIDON KE MAZHAB ME AASANI?


☆Hawa nikalne se wazu nahi toot'ta,
☆Qurbani 4 din hai,
☆Taraweeh 8 rakat Hai,
☆3 talaq 1 saath dene se nikah nahi toot'ta,
☆Nange sar namaz jayez hai,
☆Aurten masjid me aayen,
☆Namaz ke bad Dua manga koi zaroori nahi,
☆Farz pe dhiyan Do sunnaton ko ahmiyat nahi,
Aur Bhi Bahot see aasani jise Dekh kar log inke jhanse me aarahe hain...!
Taqlide shakhsi (1 hi imam ki Taqlid karna) Ka Riwaj Kyu Aur uske asbab Kya Hain Bayan karte huye Allama IBNE KHULDOON Likhte Hain..

Aur Tamam Shehron Me 4 imamo Ki TAQLID Khas ho Gai..
Dusre Aimma Ke Muqallideen Khatm Ho gaye. Aur ulma Ne in 4 imamo se ikhtelaf ka Darwaza Band Kar Diya. Aur is Baat se Bhi Mana Kiya Ki in 4 me Bhi Badal Badal Kar TAQLID kare yani aaj HANFI To ka Shafai. Kyu Ki ye TARIQA Deen Me Khilona Hai..!

{مقدمہ ابن خلدون' صفحہ-۶۶۸} 

Khulasa Ye ki sahaba Aur Tabaeen ke Daur Me Dayanat aam Thi wo Huzoor صلى الله عليه وسلم  ke Faiz Yafta The unki khwahishe nafsani Magloob Thi shariat ke mamle Me unhe Khawahishat ki Pairawi kar Khatra Nahi Tha..!
is liye unke Daur me Taqlide shakhsi aur Taqlide mutlaq Dono Pe Amal Hota Raha..
aur Bad Me jab Ye Zabardast khatra samne aaya to Taqlid Ko Taqlide Shakhsi ke Sath Khas Kar Diya Gaya..!

Hindustan ke mash'hoor Aalim Hazrat Shah waliullah Mohaddisey Dahelvi رحمت اللہ تعالی علیہ Jinhe Ahlesunnat Barelvi & Deobandi aur Gair Muqallid Sab Apna Peshwa mante hain Wo likhte hain..!
Yad Rakhiye Pehli aur Dusri Sadi Hijri Me Tamam Log 1 Hi imam Ki TAQLID Par jama nahi the.. Tisri Sadi Me 1 imam Aur mujtahid Ki Taqlid Aur usi ke mazhab pe amal ka riwaj tamam musalmano me hua. Us waqt aise Bahot Kam Log Honge Jo kisi 1 imam ki TAQLID Par Etemad Na Karte Hoge. Aur is zamane me yahi chiz wajib hai ki kisi 1 imam Ki TAQLID kee Jaye..!

{الانصاف فی بیان سبب الاختلاف، صفحہ-۵۷}

Baz Log ye Aiteraz kar sakte hain ki 1 chiz Jo sahaba aur Tabaeen ke zamane me wajib Na Thi Phir wo Teesri sadi me wajib kaise ho Gai..?
Hazrat Shah waliullah رحمت اللہ علیہ iska jawab Yun Dete hain...

Sahaba Hadison ko likhte nahi the lekin hamare zamane me Ahadees ka likhna wajib hai Chunki sahaba ke Ahad me simae ahadees (hadis ko sunke yad karna) tha. Magar is zamane me Riwayate Hadees Ke Liye iske siwa Koi surat Nahi Ki un kitabo ko dekha jaye Jo Muhaddiseen ne likhi..!
isi Tarah hamare Aslaf SARF NAHO AUR LUGAT Ke ilm me mashgool Nahi The, is liye ki unki Maadri zuban hi Arbi Thi. Lekin hamare zamane arbi zuban ka hasil karna wajib hai. 
Aur uske liye hame in uloom ka sikhna zaroori hai chunki hum ibtedai Ahle Arab se Bahot Door hain. Isi par 1 imam Ki TAQLID ko Qayas karna chahiye ki wo pehle wajib na Thi Aur Ab wajib ho Gai..!

{الانصاف صفحہ-۶۹}

Shah waliullah mohaddise Dahelvi Mazeed Farmate Hain..
Bila Shubah Ye 4 mazahib (ahnaf, shawafe, malkiyah, hanablah) jo Tarteeb Diye Gaye Aur Tehreer Ki shakl me Maujood Hai unki TAQLID Jayez Hone Par Puri ummat ka ijma hai..aur isme jo maslihaten Hain Wo Poshidah Nahi,,
Bilkhusus is zamane me Jab ki himmaten Past Ho Gai khawahishat Gutthi Me Pad Gai aur har 1 sahebe Raay apni Ray par ghamand karne Laga Hai. Khulasa ye ki mujtahideen ke mazhab ki Pabandi 1 Raz hai jise Allah Ta'ala Ne Ulma Ke Dilon me Daal Diya..!

{حجت اللہ البالغہ. جلد-۱،صفحہ-۱۵۴} 

 Hum ne ab jo mazmoon likha agar aap Ne sab ka Ba-nazre insaf Mutala kiya To aap TAQLID Ki haqaniyat ko khoob achche se Jaan Jayege Aur 4 me se kisi 1 hi imam Ki Taqlid Q Zaroori Hai Aap samajh jayege Is mazmoon ke hawale se kisi Tarah ki Dushwari Ho Ya Mazeed mamulaat hasil karna chahen To is Aajiz Se Rabta Karen...!

NOTE: AlhamduLiLLAH 99% Musalman Taqleed Kartey Hen Aur Huzoor Karimصلى الله عليه وسلم  Ke Farman Ke Mutabiq
"Bari Jama'at" Mey Shamil Hen.
Lekin Kuch Loug Apni Hatt Dharmi Ki Wajah Say Taqleed Ko Nahi Maantey.
Hum Unhey Bhi Kehtey Hen Apni "Anaa" Ko Khatam Karen Aur Bari Jama'at Mey Shamil Ho Jayen
Wesey Taqleed ka Unwan Buhat Mushkil Aur Taweel Hey
Lekin Isey Samajh Kar Parhye, Insha ALLAH Buhat Fayda Hoga.

ALLAH Deen e Haq Par Istiqamat Nasib Farmaye Amin...!!!


No comments:

Post a Comment