Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, February 24, 2017

TEEN(3) JAA-NISARO KI WAFAT


SEERAT E MUSTAFA 

PART:-16

TEEN(3) JAA-NISARO KI WAFAT



Is Saal Hazraat Sahaba-E-Kiram me Se 3 Nihayat Hi Shaandar Aur Jaa-Nisar Hazraat ne Wafat Pai Jo Dar Haqeeqat Islam Ke Jaa-Nisar Aur Bahut Hi Bade Moin Wa Madadgar The..


AWWAL :- 


Hazrate Kulsum Bin Hidam رضي الله تعالي عنه Wo Khush Naseeb Madina Ke Rehne Wale Ansari the Ki Huzur-E-Akram ﷺ Jab Hijrat Karke "QUBA" Me Tashrif Lae To Sabse Pehle Inhi Ke Makan Ko Sharfe Nuzul Baksha Aur Bade Bade Muhajireen Sahaba bhi Inhi ke Makan Ne Thehre the...
Aur Inhone Dono Aalam Ke Mezban Ko Apne Ghar me Mehman Bana Kar Esi Mezbani Ki ke Qayamat Tak Tarikhe Risalat Ke Safhat par Inka Naam-E-Nami Sitaro Ko Trah Chamakta Rahega..


DUSRE(2) :-


Hazrate Bin Maa'rur Ansari رضي الله تعالي عنه Ye Wo Saksh Hai Ki "BAIT-E-UQBA" Me Sabse Pehle Huzur Aqdas Sallahu Alayhi Wasallam Ke Daste Haq Parast Par Bait Ki Aur Ye Apne Qabeele "KHAZRAJ" Ke Naqeebo Me the..

Teesre(3) :- 

Hazrate As'ad Bin Zurarh Ansari رضي الله تعالي عنه Ye Bait-E-Uqba Ula Aur Bait-E-Uqba Saniya ki Dono Bait Me Shamil Rahe Aur Ye Pehle Saksh The Jinhone Madina Me Islam Ka Danka Bajaya Aur Ghar Ghar Me Islam Ka Peigam Pahochaya..
Jab Mazkura Bala Teeno Muazzizin Sahaba Me Wafat Pai To Munafiqeen Aur Yahoodiyo Ne Is Ki Khushi Manai Aur Huzur-E-Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Tana Dena Shuru Kiya Ki Agar Ye Paigambar Hote to Allah Taa'la Unko Ye Sadme Na Pahochata..
Khuda Ki Shaan thi ki Usi Zamane me Kuffar ke Do Bade Sardar bhi Markar Murdar ho Gae Ek "AAS BIN VAEL SEHMI" Jo Hazrate Amr Bin Aas Sahabi رضي الله تعالي عنه Fatehe Misr ka Baap tha Aur Dusra "WALID BIN MUGEERA" Jo Hazrate Khalid Saifullah Sahabi رضي الله تعالي عنه Ka Baap Tha....

Riwayat hai ki "WALEED-BIN-MUGEERA" Ja Kani Ke Waqt Bahut Jyada Bechain Hokar Tadapne Aur Bekarar hokar Rone Laga Aur Fariyad Karne Laga To Abu Jahal Ne Pucha Ki Chacha Jan Aakhir Aap Ki Be Karari Aur Is Giryazari Ki Wajah Kya hai ???
To Walid Bin Mugira Bola Ki Aye Mere Bhateeje Mere Bad Makka me Muhammad ﷺ Ka Deen Fel Jaega Ye Sunkar Abu Sufyan Ne Tasalli di Aur Kaha Ki Chacha Aap Hargiz-Hargiz Iska Ghum Na Kare Me Jamin hota hu Ki Me Deen e Islam Makkah Me Nahi Felne Dunga.
Chunache Abu Sufiyan Is Ahad Par Qaim Rahe Ki Makkah Fateh Hone Tak Wo Barabar Islam ke Khilaf Jung Karte Rahe Magar Fateh Makka ke Din Abu Sufiyan ne Islam Qabool Kar liya Aur fir Ese Sadikul Islam Ban Gae ki Islam ki Nusrat Wa Himayat Lie Zindagi Bhar Jihad Karte Rahe Aur Inhi Jihado me Kuffar ke Teero se Unki Aankhe Zakhmi ho Gai Aur Roshni Jati Rahi Yahi Wo Hazrate Sufyan رضي الله تعالي عنه Hai Jinke Bete Hazrate Ameer-E-Muaviya رضي الله تعالي عنه Hai...

Ref (Madarij-Un-Nabuwwah, Jild- 2, Safa- 73)

Isi Saal San Hijri 1 Hazrate Abdullah Bin Zuber رضي الله تعالي عنه Ki Wiladat Hui Hijrat ke Bad Muhajireen ke Yaha Sabse Pehla Baccha Paida hua Jo Wo Hazrate Abdullah Bin Abu-Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Ki Sahabzadi Hai.
Paida hote hi Unko Lekar Bargahe Risalat me Hazir hui Huzur Saiyede Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Unko Apni Goud me Bithakar Aur Khazur Chaba Kar Unke Munh me Dali Isi Trah Sabse Pehli Giza Jo Unke Shikam E Paak me Pahuchi Wo Huzur Saiyede Aalam (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Luabe Dahan Tha.
Hazrate Abdullah Bin Zuber رضي الله عتهما Ki Pedaish Se Musalmano Ko Behad Khushi Hui Isi Liye Ke Madina Ke Yahoodi Kaha Karte the ki Hum logo ne Muhajeerin Par esa Jadu Kiya hai Ki Un logo ke Waha Koi Baccha Paida Nahi hoga..

Ref (Zurqani- Jild, 1- Safa, 460 Wa Iqmal)

7 VA BAAB- AUR HIJRAT KA DUSRA SAAL SAN 2 HIJRI

San 1 Hijri Ki Trah San 2 Hijri Me bhi Bahut se Aham Waqiyat Hue Jime se Kuch Bade Bade Waqiyat Aap Tak Pahochane ki koshish Karunga..

QIBLA KI TABDILI.

Jab Tak Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Makkah Sharif me Rahe Khana-E-Qaba ki Traf Munh Karke Namaz Padhte Rahe Magar Hijrat ke Bad Jab Aap Madina Munawwara Tashrif Lae To Khuda Taa'la Ka Huqm Yahi tha ki Apni Namazo me "BAITUL-MUQADDAS" Ko Apna Qibla Banae...

Chunache Aap 16 Ya 17 Mahine Tak "BAITUL-MUQADDAS" Ki Janib Rukh Karke Namaz Padhte Rahe Magar Apke Dil ki Tamanna Yahi thi Ki Qaba Hi Qibla Banaya Jae....


🌿Aap Aksar Aasman ki Janib Chehra Utha kar Iski Liye Wahi-E-Ilahi Ka Intezar Farmate Rahe Yaha Tak ki Ek Din Allah Taa'la Ne Apne Habib Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Qalbee Aarzo Puri Farmane Ke liye Quran ki Ek Ayat Nazil Farmai...

TARJUMA :- 

Hum Dekh Rahe hai Bar-Bar Aapka Aasman Ki Taraf Munh Karna To hum Zarur Aap ko Fer denge Us Qibla Ki Traf Jisme Aan Khushi Hai To Abhi Aap Fer Dijiye Apna Chehra Masjide Haram ki Traf..

Ref (Sureh-Baqra)

Chunache Huzure Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Qabeela-E-Bani Salma Ki Masjid me Namaze Zuhar Padha Rahe the Ki Halate Namaz hi me Wahi Nazil Hui Aur Namaz Hi me Apne "BAITUL MUQADDAS" se Mudkar Khana-E-Qaba Ki Taraf Apna Chehra Kar liya Aur Tamaam Muqtadiyo Ne bhi Apki Pervi Ki.
Is Masjid Me Yeh Waqiya Pesh Aya Jise Aaj bhi " MAJID-UL-QIBLATAIN" Kehte hai Aur Aaj bhi Ye Tarikhi Masjid Ziyarat-Gaahe Khaas Wa Awam Hai Jo Sehre Madina Se Takriban 2 K.M Door Janibe Shimal Magrib Waqe'a Hai..


QIBLA KI TABDILI.

Is Qibla Badalne ko "TAHVEEL-E-QIBLA" Kehte hai "TAHVEEL-E-QIBLA" Se Yahoodiyo ko Badi Sakht Taklif Pahochi Jab Tak Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Baitul Muqaddas ki Traf Rukh Karke Namaz Padhte Rahe To Yahoodi Bahut Khush the Aur Fakhr Ke Sath Kaha Karte the ki Muhammad Bhi Humare Qibla ki Taraf Rukh Karke Ibadat Karte hai.
Magar Qibla Badal Gaya to Yahoodi Bade Naraz Hue Aur Taa'ana Dene Lage ki Muhammad( ﷺ) Har Bat me Hum logo ki Mukhalifat Karte Hai Isi liye Inhone Mahaz Humari Mukhalifat me Qibla Badal Liya..
Isi Trah Munafiqeen Ka Giroh Bhi Trah Trah Ki Nukta-Chini Aur Kism-Kism Ke Aitraaz Karne Lage To In Dono Giroh ki Zaban Bandi Aur Dahan-Dozi ke Liye Khuda Wande Aalam ne Ye Ayat Nazil Farmai..

TARJUMA:- 

Ab Kahenge Bewakuf logo me se, Si Kar Diya Musalmano ko Unke Qibla se Jispar Wo the Aap Keh Dijiye Ki Purab Pacchim Sab Allah ka hai Wo Jise Chahe Sidhi Raah Chalata hai Aur (Aye Mehboob) Aap Pehle Jis Qibla Par the Humne Wo Isi liye Muqarrar Kiya tha Ki Dekhe Koun Rasool ki Pairvi Karta hai? Aur koun Ulte Pau Fir Jata hai ? Aur Bila Shubha Ye Badi Bhari Bat Thi Magar Jinko Allah Taa'la Ne Hidayat De di Hai
( Unke liye koi badi baat nahi)..

Ref (SUREH- BAKRA)

Pehli Ayat me Yahoodi Ke Aitraaz ka Jawab Diya gaya Ki Khuda Ki Ibadat me Qibla ki Koi Khaas Zihat Zaruri Nahi Uski Ibadat Ke liye Purab, Pacchim, Uttar, Dakshin, Sab Barabar hai.
Allah Taa'la Jisko Chahe Apne Bando ke liye Qibla Muqarrar Farma de Lihaza Is Par Kisi ko Aitraaz ka Koi Haq Nahi..
Dusri Ayat me Munafiqeen ki Zaban Bandi Ki Gai hai Jo Tahvile Qibla Ke bad Har Taraf ye Bat Felane Lage the Ki Paigambare Islam to Apne deen ke Bare me Khud hi Muttardid Hai Kabhi Baitul Muqaddas ko Qibla ki Hiqmat Baja di Gai ki Munafiqeen Jo Mahaz Numaishi Musalman Bankar Namaze Padha Karte the.

Wo Qibla Ke Badalte Hi Badal Gae Aur Islam Se Munharif Ho gae Is Trah Zahir ho gya ki Koi Sadiqul Imaan Hai Aur koun Munafiq? Aur Koun Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Pairvi Karne Wala Hai Aur Koun Deen se Fir Jane Wala Hai..

Ref ( AAM QUTUBE TAFSEER WA SEERAT )

No comments:

Post a Comment