AURAT KI HAQEEQAT
POST:-12
SAAS BAHU KA JHAGDA
Hamare hindustani sa'maaj ka ye ek bahut qabil-e-afsos aur dardnaak ma'arka jaari hai ki taqreeban har ghar me sadiyo se saas bahu ki ladayi k ma'arka hai Duniya ki badi se badi ladaaiyo'n yaha tak ki aalami jango ka khatma ho gaya,magar saas bahu ki jange azeem ye ek aisi manhoos ladayi hai ki taqreeban har ghar is ladayi ka maidan-e-jang bana hua hai.
Kis qadar ta'ajjub aur hairat ki baat hai ki maa kitne laad pyar se apne beto ko paalti hai aur jab ladke jawaan ho jaate hai to ladke ki maa apne beto ki shai aur unka sehra dekhne k liye sabse zyada bechain aur beqaraar rehti hain, aur ghar ghar ka chakkar laga kar apne bete ki dulhan talaash karti firti hai, yaha tak ki bade pyar aur chaha se bete ki shadi rachaati hain.
Aur apne bete ki shadi ka sehra dekh kar phule nahi samaati, magar jab gareeb dulhan apna mayeka chhod kar aur apne maa baap , bhai bahen or rishtedaro se juda ho kar apne sasural me qadam rakhti hai to ekdam saas apni bahu ki hareef ban kar apni bahu se ladne lagti hai aur saas bahu ki jang shuru ho jati hai Aur bechara shauhar maa aur biwi ki ladayi ke do paato'n ke darmiyan kuchalne aur pisne lagta hai.
Gareeb shauhar ek taraf maa k ehsano'n ke bojh se daba hua aur dusri taraf biwi ki mohabbat me jakda hua maa aur biwi ki ladayi ka manzar dekh dekh kR koft ki aag me jalta rehta hai.
Uske liye badi mushkil ye aan padti hai ki agar wo is ladayi me apni maa ki himayat karta hai to biwi rone dhone or uske ta'ano or mayeka chali jaane ki dhamkiyo se uska bheja khaulne lagta hai, or biwi ki pasdaari me ek lafz bol deta hai
to maa apni cheekh pukar or kosno se sara ghar sar par utha leti hai, or sari biradri me "aurat ki mureed", "zann parast", "biwi ka gulam" kehlaane lagta hai. Aur aise garam-garam o taqleef deh ta'ane sunta hai ki ranjo gum se uske seene me dil fatne lagt hai.
Ref ( Jannati zaver page 34,35 )
Isme shaq nahi ki saas bahu ki ladayi me saas, bahu aur shauhar teeno ka kuchh na kuch kasoor zaroor hota hai, lekin mera barso ka tajurba ye hai ki is ladayi me sab se bada hath saas hi ka hua karta kai,
Haalanki har saas pehle khud bhi bahu reh chuki hoti hai magar wo apne bahu ban kar rehne ka zamana bhool jati hai.
Aur apnu bahu se zaroor ladayi karti hai, aur iski ek khaas wajah ye hai ki jab tak ladke ki shadi nahi hoti, 100 fisdi bete ka ta'alluk maa se hi hu karta hai.
Bete apni sari kamaayi aur jo samaan bhi lata hai wo apni maa ki haath me deta hai, aur har chiz maa se hi talab kar ke istemal karta hai aur din raat me senkdo martaba amma-amma keh kar baat baat me maa ko pukarta hai, isse maa ka kaleja khushi se phool kar soop bhar ka ho jaya karta hai, aur maa is khayaal me magan rehti hai ki mai ghar ki maalkin hun, aur mera beta mera farmabardaar hai,
Ref (Jannati zaver page no 35,36)
SAAS KE FARA'IZ
Har Saas Ka Yeh Farz Hai Ki Woh Apni Bahu Ko Beti Ki Tarha Samjhe Aur Har Mu'aamle Mein Uske Saath Shaf'qat Wa Muhabbat Ka Bartao Kare! Agar Bahu Se Uski Kamsini Ya Na- Tajar'bakari Ki Wajah Se Koi Galti Ho Jaye Toh Taa'na Marne Aur Kos'ne Dene Ki Bajaye Akhlaaq Wa Muhabbat Ke Saath Usko Kaam Ka Sahi Tarika Aur Dhang Sikhaye Aur Hamesha Iska Khayal Rakhe Ki Yeh Kam Umar Aur Na-Tajar'bakar Ladki Apne Maa Baap Se Juda Hokar Hamare Ghar Mein Aayi Hai!
Iske Liye Yeh Ghar Naya Aur Iska Mahol Naya Hai! Iska Yahan Hamare Siwa Kaun Hai? Agar Humne Iska Dil Dukhaya Toh Isko Tasal'li Dene Wala Aur Iske Aansun Pochne Wala Yahan Dusra Kaun Hai? Bas Har Saas Yeh Samjh Le Aur Tha'an Le Ki Mujhe Apni Bahu Se Har Haal Mein Shaf'qat Wa Muhabbat Karni Hai!
Bahu Mujhe kaw'waah Kuch Samjhe Magar Main Toh Usko Apni Beti Hi Samjhungi! Toh Fir Samjh Lo Ki Saas Bahu Ka Jhagda Aadhe Se Ziyada Khatam Ho Gaya

Ref (Jannati Zevar Page No 36 , 37 )
No comments:
Post a Comment