ISLAM AUR SOOD
PART:-05
SOOD SE SARI BASTI HALAK HO JATI HAI
Hazrate Syeduna Abdullah Bin Masood رضی اللّه تعالیٰ عنہ se marwi he ki....
"Jab kisi basti me zina or sood Phel jaye to Allah Ta'ala us basti walo ko halak karne ki ijaazat de deta he.."
Ref ( Kitabul Kabayir Lil Jahbi, Safa 69
)
SOOD SE PAGAL PAN PHAILTA HE
Nabiyo ke Sardar, Sarwar e Jishaan (صلی اللہ علیہ وسلم) ka farman e ibrat nishan he..
"Jis qaum me sood phailta he us qaum me pagal pan phailta he.."
Ref ( Kitabul Kabayir Lil Jahbi, Safa 70
)
SOOD KHOR KE PET ME SAANP
Hazrat e Syeduna Abu Huraira رضی اللّه تعالیٰ عنہ se marwi he ki mere aaqa Shafiye Roze Shumar (صلی اللہ علیہ وسلم) farmate he ki shabe meraj mai ek aesi qaum ke paas se guzra, jin ke pet kamro ki tarah (bade, bade) the jin me saanp peto ke bahar se dekhe ja rahe the
Maine Jibreel se pucha... Ye kon log he..??
Unhone arz ki..."ye sood khor he.."
Afsos sad afsos... Aaj hamare pet me agar ek mamuli sa kida chala jaye, to tabiyat me bhochaal aa jata he qayamat ka yeh sakht azab kese bardasht karenge..??
Sood khane wale logon ke pet itne bade honge jaisa ki kisi makan ke kamre ho un me saanp or bichchu wagairah honge kis qadar bhayanak azab he..
☆Allah Ta'ala hum sab ko sood ki aafat se mehfooz farmaye... Aameen
No comments:
Post a Comment