Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Sunday, February 26, 2017

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL


TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!







  PART   (9)


Imaam Bukhariدحمت الله عليه  Muqallid The Ya Gair Muqallid....?
Dosto! Ghair Muqallideen Aksar Kaha Karte Hain Ke Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Muqallid Nahi The Balke Ghair Muqallid The….!

Jo Inki Naa Waqfi Aur Mutaalia Ki Kami Ki Baat Hai Kyunki In He Ke Badon Ne Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ko Muqallid Likha Hai….!
Nawaab Siddique Hasan Khaan Ne Imaam Bukhari Ko Shaafai Batlaaya Hai..!

 Ref (Abjad Ul Uloom Jild 3 Safha 126~127) 

Hazrat Qastalaani (دحمت الله عليه ) Ne Bukhari Ki Sharah 
IRSHAADAS-SAARI Me Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ko Shaafai Naqal Kiya Hai..!
 Jild 1 Safha 33. 

Hazrat Shaah Waliyullah Dehlawi (دحمت الله عليه ) Ne Bhi Inko Shaafai Qaraar Diya Hai...!
 Insaaf Safha 50) 

Tabqaatush-Shaafiya Me Bhi Imaam Subki (دحمت الله عليه ) Ne Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ko Shaafai Likha Hai...!
:Safha 214) 

Kuch Log Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ko Hanbli Qaraar Dete Hain…Shaikh Ul Islam Ibne Taimiya Ka Yahi Rujhaan Hai…Chunaanche Farmaate Hain: 
Aimma Hadees Jaise Bukhari.. Muslim..Tirmizi..Nasai..Aur Inke Alaawah Kuch Dosre Muhaddiseen Bhi Imaam Ahmad Aur Imaam Ishaaq Ibne 
Raahwiya Ke Muttabaeen Me Inka Shumaar Bhi Unhin Logo Me Se Hai Jinhone Un Dono Se Fiqah Aur Hadees Ka ilm Haasil Kiya...!

Ref ( Faatwa..jild 25 Safah 232) 

Imaam ibne Qayyim (دحمت الله عليه ) Ne Bhi Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ko Hanbali Batlaaya Hai..!


 Ref (A’laam Ul Muqaeen, Jild 3 Safha 543)

Baher Haal Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Khwaah Imaam 
Shafai (دحمت الله عليه ) Ke Muttabe Wa Muqallid Hon…Khwaah Imaam Ahmad (دحمت الله عليه ) Ke Muttabe Aur Muqallid Hon…Woh The Muqallid He…Kisi Ne Unko Ghair Muqallid Nahi Qaraar Diya Hai…!
Isliye Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ke Baare Me Ye Kehna Ke Woh Ghair Muqallid The Bila Tehqeeq Baat Hogi...!
 Aur Agar Unko Muqallid Nahi Balke Mujtahid Mutlaq Qaraar Diya Jaaye To Woh Aise Mujtahid The Ke Unki Fiqhi Maslak Ko Ummat Ne Qubool 
Nahi Kiya Aur Na Islam Ki Taareekh Me Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ka Koi Muttabe…Muqallid Nazar Aata Hai...!

Imam Tirmizi (دحمت الله عليه ) Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ke Khaas Shagird The Woh Hadees Ke Silsila Me To Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ki Raaye Aur Unka Qaul Naqal Karte Hain Magar Fiqhi Mazhab Ke Bayaan Me Unka Kahin Zikr Nahi Karte...! 
Ya’Ni Khud Imaam Tirmizi (دحمت الله عليه ) Ki Nigaah Me Bukhari (دحمت الله عليه ) Sirf Muhaddis The Fiqah Me Unka Alag Se Koi Mazhab Nahi Tha…!
Balke Woh Yaa To 
Imaam Shaafai (دحمت الله عليه ) Ka Qaul Ikhtiyaar Karte Hain Ya Imaam Ahmad Bin Hanbal (دحمت الله عليه ) Ka. Albatta ilm-E Hadees Me Woh Mujtahid The…Aur Aimma Hadees Me Unka Muqaam Buland tha.. 

Imaam Bukhariدحمت الله عليه  Muqallid The Ya Gair Muqallid....?
Aur Ab Aakhir Me Batur Lateefa Ye Bhi Sun Lijiye Ke Agar Aap Unko (Imaam Bukhaariدحمت الله عليه  Ko) Ghair 
Muqallid Bhi Qaraar Denge To Woh Is Zamaane Wale Ghair Muqallid Nahi The...!
Is Liye Ke Is Zamaana Ke Ghair Muqallido Ka Mazhab Ye Hai Ke Ek Majlis Ki 3 Talaaq 1 Hogi Aur Imaam Bukhari Ke Yahan Ek Majlis Ki 3 Talaaq 3 He Shumaar Hogi…!
Aaj Ke Ghair Muqallidon Ka Mazhab Ye Hai Ke Haalat E Haiz Me Jo Talaaq Di Jaayegi Woh Waaqe Na Hogi..Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Waaqe Ho Jaayegi…!

Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Ek Haath Se Musafah Karte Hain..Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Dono Haath Se Musaafah Ke Qaayel The…!
Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Tahajjud Aur Taraaweeh Ko Ek Batlaate Hain…Imaam Bukhari(دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Tahajjud Alag Aur Taraaweeh Alag Namaz Thi.. !
 Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen 8 Rakaat Taraaweeh Padhte Hain….Imaam Bukhari(دحمت الله عليه ) 8 Rakaat Taraaweeh Ke Qaayel Nahi The...!

Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Qabron Se Tabarruk Haasil Karne Ko Haraam Kehte Hain Aur Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Qabro Se Tabarruk Haasil Karne Ke Qaayel The…!

Chunaanche Unhone Apni Taareekh Likhne Ki Ibtida Aan Huzoorصلى الله عليه وسلم  Ki Qabr Mubarak Ke Paas Baith Kar Ki…!

Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Khud Farmaate Hain: 

 Maine Apni Taareekh Ki Tasneef Ki Ibtida Madeena Munwwara Me Nabiصلى الله عليه وسلم  Ki Qabr [Mubarak] Ke Paas Ki..!

Ref (Muqaddamafath Ul Bari Safha 479) 

Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Buzurgon Ke Tabarrukaat Se Faayeda Uthhane Ko Haraam 
Samjhte Hain…Imaam Bukhari (دحمت الله عليه ) Ke Yahaan Buzurgo Ke Tabarrukaat Se Barkat Haasil Karna Jaayez Tha…!
Haafiz ibne Hajar Likhte Hain: 

Unke Paas (Ya’Ni Imaam Bukhaari Ke Saas) Nabiصلى الله عليه وسلم  Ka Kuch Baal Tha Wo Use Apne Libaas Me Rakhte The..!

Ref (Muqaddama Fathul Baari Safha 482) 

Gharz Imaam Bukhaari (دحمت الله عليه ) Ghair Muqallid Bhi Honge To Woh Aaj Wale Ghair Muqallid Nahi The Unka Mazhab Aaj Ke Ghair Muqallidon Se Bilkul Alag Tha... !

Lehaza ALLAH Ta’laa Se Dua Hai Ke Woh Hamen Aaj Kal Ke Ghair Muqallideen Aur Unke Fitno Se Mahfooz Farmaaye… 
Aameen Summa Aameen....!


No comments:

Post a Comment