ISLAM AUR SOOD
PART:-06
SOODI KAROBAR ME SHIRKAT BAAYIS E LAANAT HAI
Hazrat e Syeduna Jaabir رضی اللّه تعالیٰ عنہ se marwi he ki Allah ke Mehboob ﷺ ne *sood khane wale, khilane wale, is ki tehrir likhne wale or is ke gawaho par laanat ki or farmaya ki yah sab gunah me barabar he..
Ref ( Sahih Muslim Sharif, Safa no. 862, Hadees 1598
)
SOOD KHANA JAISE APNI MAA SE ZINA KARNA
Huzoor Sarkar e Madina ﷺ ka farman e ibrat nishan he...
"Beshaq sood ke 72 darwaje he in me se kam tarin aese he jo koi mard apni maa se zina kare.."
Ref ( Al Mu'ajamul Ausat, Jild 5, Safa 227, Hadees 7151
)
Ek riwayat me Sarkar e Wala Tabar, hum be kaso ke Madad gaar ﷺ ka farman e ibrat nishan he...
"Soid ke 72 darwaje he, in me se kamtar aesa he jaise koi mard apni maa se zina kare.."
Ref ( Shoyebul Imaan, Jild 4, Safa 394, Hadees 552
)
post no. 8 me bayan ki gyi hadees e mubarika ke bare me Aala Hazrat Imaam e Ahle Sunnat Mujaddide din o millat Alaih Rehma fatwa razwia me irshad farmate he..
"To jo shaks sood ka ek paisa lena chahe agar Rasoolullah ﷺ ka irshad maanta he to zara garibaan me munh daal kar pehle soch le ki is paise ka na milna qabul hai ya apni maa se 70 baar zina karna... Sood lena haram e qatayi wa kabira wa azeema he jis ka lena kisi tarah rawa nhi."
Ref ( Fatawa razwia, Jild 17, Safa 307
)
ASLAF KA ANDAZ E HAYAT
Dosto..!! Hamare aslaf ke andaz e hayat ki kuch jhalak mulahiza kijiye ki kis tarah duniyawi aesh o aaram se door rah kar aakhirat ko behtar banane wali zindagi guzarte the chunanche..
Hazrat e Syeduna Ibne Muti'a Alaih Rehma ne ek din apne baa raunaq ghar ko dekha to khush ho gye magar fir fauran rona shuru kar diya or farmaya.
"Ae khubsurat makaan Allah ki qasam agar maut na hoti to mai tujh se khush hota or agar aakhir kaar tang qabr me jana na hota to dunia or is ki ranginiyon se meri aankhe thandi hoti.."
Yah farmane ke baad is qadar roye ki hichkiya bandh gyi
Ref ( It'haafus Sa'adatil Muttaqeen, Jild 4, Safa 32
Hazrat e Syeduna Usman e Gani رضی اللّه تعالیٰ عنہ ne jo sab se aakhiri khutba irshad farmaya us Me yah bhi he.
"Allah Ta'ala ne tumhe dunia mahaz is liye ataa farmayi he ki tum is ke zariye aakhirat ki tayyari karo or is liye ataa nhi farmayi he ki tum isi ke ho kar rah jaa'o beshaq dunia mahaz faani or aakhirat baqi he.... Tumhe faani kahi bahka kar baaqi se gaafil na kar de, fana ho jane wali dunia ko baaqi rehne wali aakhirat par tarjeeh na do kyun ki dunia mun'qatey hone wali he or beshaq Allah ki taraf lotnaa he.... Allah se daro kyun ki us ka darr us ke azab ke liye dhaal or us tak pahunchne ka zaria hai.."
Ref ( Shoyebul Imaan, Jild 7, Safa 369, Hadees 10612
)
No comments:
Post a Comment