Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Thursday, February 16, 2017

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL


TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!


  PART   (5)


G.M ka Taqleed Par 2ra Aiteraz.
"Aur Unho Ne Apne Padriyon Aur Jogiyon Ko Allah Ke Siwa Khuda Bana Liya Hai"

Ref ( Para-10,ruku-11, sure Taubah ayat-31)

 JAWAAB

Ye ayat Nasara (Esaiyon) ke Bare me hai Jo Deen islam ka Suraj Tuloo Hone Ke Bad Bhi Aur Huzoor (صلى الله عليه وسلم )ki aamad aamad ke Bad Bhi apne Deen se Baaz Na Aaye Aur Deene Mohammadi Ko Qubool Na kiya.
Kya is ayat ko Ahlesunnat O Jamat (hanfi shafi malki hambali) musalmano ke liye Padhna Durust Hai..?

Hum Bar Baar Arz kar Chuke Hain Ki Aimmae Kiram Ki Taqleed Faqat Quran O Sunnat ke ishkaalaat O ibhamaat Neez uski sahi muraad O Mafaheem Ko Samajhne Ke Liye Hai Na Ki Tauheed O Risalat Aur akhirat jaise Bunyadi Aqide me..!

Ab G.M Apna Dil Tham Le Aur Taqleed Ke HAQQ-O-SAHI hone Par Unke imam O Peshwa IBNE TAIMIYAH Ka Faisla Padhe, hum ibarat pesh kar rahe hain Likhte Hain.
Ye Baat jinnaat aur insano Me Se Har 1 Par Khule Aur chupe Me Wajib hai Ki wo Allah O Rasool Ki ita'at kare. Jise Allah O Rasool Ne Halal Kaha Use Halal Jane jise haram kaha use haram samjhe jise wajib Qarara Diya Use Wajib Jane... lekin Allah O Rasool Ke Bahot Se Ahkaam Aise Hain jise Bahot Se Log Nahi Jante.
 Is liye Aise Log Aise Aalim Ki Taqleed Kare jo Unhe Allah O Rasool Ke Ahkam Bata Sake. Is liye ki Wo Huzoor Alaihissalam Ke irshadaat Aur unki sahi Muraad Ko Ziyadah Janta Hai.
Lihaza musalman Jin imamo (imam abu hanifa, imam shafai, imam malik, imam ahmad Bin hambal) ki TAQLEED Karte Hai Wo Dar HAQIQAT Logon Ke aur Rasool alaihissalam Ke Beech Raste aur Rehnuma Ki Haisiyat Rakhte Hain.. Jo unhe Huzoor ke irshad paohchate Hain, aur Allah Pak in Imamo Ko aise ILM O FAHEM SE Nawazta Hai Jo Dusre musalmano Ke Pas Nahi Hota. !

Ref ( FATAWA IBNR TAIMIYA jild-2,Safah-239)

Mujhe ispe koi Tabsera Nahi karna Hai. Itni saaf aur wazeh ibarat hai ki iski mazeed tashreeh nahi ki ja sakti..
Aur ye aise aalim Ka Qaul hai Jo Ahlehadis jamat Ke Sarkhel aur musallam peshwa hain..!
TAQLEED Ki Mukhalifat Karne Wale hazraat Khud zindagi ke Tamam Shobo me kisi na kisi ki Taqleed zaroor karte hain Khawah O Shoba Deen Ka Ho Ya Dunya Ka.. !
Agar Nahi karte To Batayen kya Inke Ghar Me Paida Hone Wala Bachcha Paida Hote Hi Bukhari Padhta Hai aur Kya Paida hote Hi Tamam Quran O Sunnat Ke Zakhire Ka Mahir Hota Hai..?
Nahi aur hargiz nahi Balki Ahlehadis Jamat me lakhon afraad Aise Hain Jo apne deeni masle apne ulma se puchte hain aur jo aalim Bataye uspe Bila Daleel Talab Kiye Amal Karte Hain. AQALMANDO Ise ka naam To Taqleed Hai. Deen ke masle deen ke jankar se puch kar Bila Daleel Talab Kiye Amal Karna..!

 Phir kya wajah Hai ki Hum ILM AMAL AUR TAQWA KE PAHAAD BADE BADE IMAMO Ki Taqleed Kare To Mushrik aur Aap gumrah Molviyon aur kam ilm mullo ki maane to pakke musalman..??

Qurane Karim Ki Bahot se Ayaton Se Taqleed ka saboot Hai iske ilawa Hadise Pak se Bhi Taqlid Ka Jawaz (jayez hona) sabit Hai...!
Hazrat Huzaifa Se Riwayat Hai Huzoorصلى الله عليه وسلم  Ne irshad Farmaya mujhe Malum Nahi mai kitna Arsa Tumhare Beech Rahu, Pas Tum Mere Bad ABU BAKAR AUR UMAR Ki IQTEDA (Taqleed) Karna. !

Ref ( Mirqatul Mafateeh sharah mishkatul masabeeh Jild-5, safa-549 )

Gair Muqallid Kehte Hain Sirf Quran Hadis Pe chalo kisi ki taqlid na ki jaye Huzoor(صلى الله عليه وسلم ) apne Bad Hazrat Abu Bakar O Hazrat Umar Ki Taqlid ka hukm De Rahe Hain.. Huzoor (صلى الله عليه وسلم )ka Hukm Hadees Hai, agar Ye Gair muqallideen Ahlehadis hote To zaroor Nabi Alaihissalam ke is farman pe amal karte..!
 Hazrat umar Ne Taraveeh ki 20 rakat ka jamat Se Ehtemam Kiya Magar Ye Log Taraweeh FAQAT 8 RAKAT Padh kar Hazrat umar ki mukhalifat karte hain aur ye mukhalifat haqiqat me Hazrat  umar ki Nahi Balki Huzoor (صلى الله عليه وسلم )ki Hai....!
1 Aur hadis Me Huzoor Ka Irshad Hai..

"Beshak Allah Pak ILM Ko Dilon Se Nahi Nikalega Balki ILM Ko is Tarah Utahyga Ki Ulma (aalimo) Ko Apne Pas Bulalega. Yahan Tak Ki Jab Koi Aalim Baqi Nahi Rahega To Log Jahilon Ko Apna Sardar Banayge. Log unse sawal karege aur Wo Bagair ILM ke Fatwa Denge. Wo khud Bhi Gumrah hoge Aur Dusron Ko Bhi Gumrah Karege. !

Ref (Mishtak, kitabul ilm fasle awwal, safa-35)

Is Hadis se malum hua fatwa dena ulma ka kaam hai aur log ulma hi se Deen ke masle puche aur log unke Batalay Pe amal kare. Yahi To TAQLEED Ka Haasil Hai.. !
Is hadis me Huzoor(صلى الله عليه وسلم ) Ne Aise zamane ki khabar Dee Jisme ulma Mafqood (khatm ke Qarib) Ho Jayenge. Aur jahil Fatwe Dege Yahan Sawal Ye Hai us Daur Me Deen pe amal ki surat Kya Hogi..?

To iske siwa aur Kya Surat Ho Sakti Hai Ke Log Guzre Huye Ulma Ki TAQLEED Kare...!
Hazrat Abdullah Bin Umro Riwayat Hai Huzoor Ne Farmaya Jisme 2 Adaten Ho Allah Use Sabir O Shakir Likhega.. Jo Deen ke mamle me Apne Se Baland martaba Ko dekhe Uski IQTEDA (Taqlid) Kare, Aur Dunya Ke Mamle Me Apne Se Niche Wale Ko Dekh Kar Allah Ka Shukr Ada Kare ki usne mujhe isse achchi Halat Me Rakha..!

Ref ( Jame Tirmizi. Abwabul Qayamah )

Mukhtasar Me Hum Ne Taqleed par 2 Hadise pesh ki warna bahot see Hadise is masle par Maujood Hai..Hum Ne aapko upar Bataya Ki TAQLEED 2 Tarah Ki Hai.. !

TAQLEEDE MUTLAQ


TAQLEEDE SHAKHSI


Is zamane me Sirf Taqlide shaksi par Amal wajib Hai aur TAQLIDE MUTLAQ Mana Hai...!
ZAMANA E SAHABA ME IN 2no TAQLIDON Ka Riwaj Tha..
Jo Sahaba ILME Deen Ke Hasil Karne Me WAQT Nahi De Pate The Ya kisi Khas Masle Me Apne Ijtehad se faisal Nahi kar Pate The Wo Dusre FUQHA Sahaba Se Pooch Kar Amal Karte The...!
Magar wo G.M (Gair Muqallideen) Ki Tarah Khud Quran Hadis se masle nahi nikalte na aam logo se kehte Ki Tum Khud Se Quran Hadees Samjho...!

TAQLID KI ROSHNI DALEEL SAHABA SE...!


Hazrat ibane Abbas Farmate Hain Ki Hazrat Umar ne Jabiyah Ke MAQAM Par Khutba Diya aur Farmaya, aye Logon Jo Quran Ke Bare Me Janna Chahen Wo Ubbai Bin ka'ab k pas Jaye..!
Jo meeraas Ke Ahkam Janna Chahen Wo zaid Bin sabit Ke Pas Jaye, jo FIQAH ke Bare me Janna Chahe wo muaaz Bin Jabal ke pas jaye. Aur koi maale Ganimat Ke Bare me janna Chahe To mere pas aaye. !

{ذکرہ ابن ابی حاتم فی الجرح والتعدیل. جلد-۱، قسم-۱، صفحہ-۱۱۱} 

Kya hazrat umar ke is farman me aam sahaba ko ulma sahab ki Taqlid ka saaf saaf hukm nahi..???
Kya hazrat umar ne ye kaha aye logo Quran Fiqah miras male gainmat ka hukm janne ke liye Khud Quran hadis se masla pata karu..???
Jab sahaba is Baat ke paband kiye gaye ki wo Quran Hadees se masla janne ke liye Fuqha O Mujtahid sahaba ki Taqlid karen to hume aur ziyadah Taqlid ka paband hona chahiye, Quran hadis se masla janne ke liye...

NOTE: DEKHA BHAIYO SAHABA E KERAAM BHI TAQLEED KA HUKM DE RAHE HAI BATIL FIRKO SE APNE IMAN KI HIFAZAT RAKHE'N...


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com




No comments:

Post a Comment