ISLAM AUR SOOD
PART:-02
Qarz dena kis qadar sawab ka bayis he is ko is Hadees e paak se samjhiye...
Hazrat Abdullah Bin Masood رضی اللّه تعالیٰ عنہ se riwayat he ki Rasoolullah ﷺ ne irshad farmaya..
Ref ( Al Mo'azzam Ul Ausat, Jild 2, Safa 345, Hadees no. 3498
)
Isi tarah Hazrat Syeduna Anas رضی اللّه تعالیٰ عنہ se marwi he ki Huzur Nabi e Paak, Sahib e Laulaq ﷺ ne irshad farmaya ki maine shab e meraj jannat ke darwaje par likha huwa dekha ki sadqe ka sawab 10 guna or qarz dene ka sawab 18 guna he
Chunanche maine Jibreel Alaih Salam se is bare me pucha ki qarz ke sadqa se afzal hone ki kya wajah he..??
To unhone Bataya ki sadqa wo bhi maang leta he jo mohtaz na ho magar qarz maang ne wala haazat wa zarurat ke bagair qarz nhi mangta..
Ref ( Sunan Ibn Maza, Kitabul Sadqat, Baab ul Qarz, Jild 3, Safa 154, Hadees no. 2431
)
MAQRUZ PAR NARMI SE BAKHSHISH HO GYI
Hazrat Syeduna Abu Huraira رضی اللّه تعالیٰ عنہ se marwi he ki Rasool e Akram ﷺ ne irshad farmaya... Ek shaks ne kabhi koi nek kaam na kiya tha haa albatta wo logon ko qarz diya karta or apne nokro se kaha karta ki maqruz khush haal ho to us se qarz le lena or agar tang dast ho to mat lena
Chunanche jab us ne jahan e faani se kuch kiya to Allah Ta'ala ne us se daryaft kiya.. "kya tune kabhi koi neki bhi ki..??
Us ne arz ki... "nahi.. Haa albatta mai logon ko qarz diya karta tha or jab apne khadim ko qarz ki wasuli ke liye bhejta to use kaha karta tha ki khush haal se to le lena magar tang dast se mat lena balki dar guzar karna, ho sakta he (isi ke sabab) Allah Ta'ala hum se bhi dar guzar farmaye..."
To Allah Ta'ala ne irshad farmaya... "(Jaa'o) maine tumhe bakhsh diya.."
Ref ( Al Masnad Ul Imaam Ahmad Bin Hanbal, Masnad Abi Huraira, Jild 3, Safa 285, Hadees no. 8738
)
Upar me aap ne padha ki qarz dene or hazat mand or tang dast par raham wa shafaqat ki kis qadar barkat zahir huyi. Hamare aslaf ba kasrat qarz dene ke sath sath hazat mand wa tang dast par raham o afwo dar guzar ka mu'amla bhi kiya karte the chunanche..
Hazrat e Syeduna Shaqiq Balkhi Rehmtullah Alaih farmate he ki mai Hazrat e Syeduna Imaam e Aazam Abu Hanifa رضی اللّه تعالیٰ عنہ ke sath ja raha tha ki ek shaks aap ko dekh kar chup gya or dusra rasta akhtiyar kiya
Jab aap ko malum huwa to aap ne use pukara, wo aaya to pucha ki tum ne rasta kyun badal diya..?? Or kyun chup gye..??
Us ne arz ki.. mai aap ka maqruz (qarz daar) hun, maine aap ko dus hazar dirham dene he jis ko kafi arsa guzar chuka he or mai tang dast hun, aap se sharmata hun..
Imaam e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ ne farmaya... *"Meri wajah se tumhari ye halat he, jaa'o maine tumhara sara qarz maaf kar diya or maine apne aap ko apne nafs par gawah kiya ab Aayenda mujh se na chupna or suno jo khauf tumhare dil me meri wazah se paida huwa mujhe wo bhi maaf kar do.."
Ref ( Manaqib Al Imaam ul Aazam Abi Hanifa Rehmtullah Ta'ala Alaih, Jild 1, Juz 1, Safa 260
)
Qurnab jayiye Syeduna Imaam e Aazam رضی اللّه تعالیٰ عنہ ki mubarak seerat par, kis qadar tang dast par shafaqat farmayi or na sirf apna qarz maaf kar diya balki us ke dil me jo khauf paida huwa us par bhi kamaal darje ki aazizi wa inkisari ka muzahira karte huye maafi talab kar rahe hai...
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

"HAR QARZ SADQA HE.."

SARA QARZ MAAF KAR DIYA

♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also
VISIT US : www.zikr-e-nabi.com
VISIT US : www.zikr-e-rasool.com
Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:
Post a Comment