AURAT KI HAQEEQAT
POST:-16
WIBI KE HUQOOQ
Hidayat Number (12)
Aurat Ka Uske Shauhar Par Haq Yeh Bhi Hai Ki Shauhar Aurat Ke Bistar Ki Raaz Wali Baatein Ko Dusron Ke Saamne Na Bayan Kare Balki Usko Raaz Banakar Apne Dil Hi Mein Rakhe! Kyun ki Hadees Shariff Mein Aaya Hai Ki
Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Hai Ki Khuda Ke Nazdeek Bad'tareen Shakhs Wo Hai Jo Apni Biwi Ke Pass Jaye! Fir Uske Parde Ki Baaton Ko Logon Par Zaahir Kare Aur Apni Biwi Ko Dusro Ki Nigaahon Mein Ruswaa Kare!
Ref ( Muslim Shareef Jild. 1 Safah. 464 )
Hidayat Number (13)
Shauhar Ko Chahiye Ki Biwi Ke Saamne Aaye Toh Mai'le Kuchle Gande Kapdon Mein Na Aaye! Balki Badan Aur Libaas Wa Bistar Wagairaah Ki Safai Suth'rai Ka Khaas Taur Par Khayal Rakhe! Kyun ki Shauhar Jis Tarha Yeh Chahta Hai Ki Uski Biwi Ba'naaw Singaar Ke Saath Rahe Usi Tarha Aurat Bhi Yeh Chahti Hai Ki Mera Shauhar Mai'la Kuchla Na Rahe! Lihazaa Miyan Biwi Dono Ko Hamesha Ek Dusre Ke Zazbaat Wa Aeh'saa'saat Ka Lihaaz Rakhna Zaruri Hai!
Rasool Allah ﷺ Ko Is Baat Se Sakht Nafrat Thi Ki Aadmi Mai'la Kuchla Bana Rahe Aur Uske Baal Uljhe Rahe! Is Hadees Par Miyan Biwi Dono Ko Amal Karna Chahiye!
Hidayat Number (14)
Aurat Ka Uske Shauhar Par Yeh Bhi Haq Hai Ki Shauhar Aurat Ki Na'faa'saat Aur Banaaw Singaar Ka Saamaan Yani Saabun, Tel, Kanghi, Mehendi, Khushbu Wagairah Faraaham Karta Rahe! Taaki Aurat Apne Ko Saaf Suthri Rakh Sake Aur Banaaw Singaar Ke Saath Rahe!
Hidayat Number (15)
Shauhar Ko Chahiye Ki Maamuli Maamuli Be Buniyaad Baaton Par Apni Biwi Ki Taraf Se Bad'gumaani Na Kare, Balki Is Mu'aamle Mein Hamesha Aeh'tiyaat Aur Samjhdaari Se Kaam Le! Yaad Rakho Ki Maamuli Subhaat Ki Bina Par Biwi Ke Uper ilzaam Lagana Ya Bad'gumaani Karna Bahot Bada Gunaah Hai!
HADEES SHAREEF
Ek Dehati Ne Rasool Allah ﷺ Ke Darbaar Mein Haazir Ho Kar Kaha Ki Meri Biwi Ke Shikam Se Ek Baccha Paida Hua Hai Jo Kala Hai! Aur Mera Hum-Shakal Nahi Hai! Is Liye Mera Khayal Hai Ki Yeh Baccha Mera Nahi! Dehati Ki Baat Sunkar Huzoor ﷺ Ne Farmaya Ki Kya Tere Pass Kuch Unth Hai? Usne Arz Kiya Ki Mere Paas Bahot Ziyada Unth Hai! Aapne Farmaya Ki Tumhare Unth Kis Rang Ke Hai? Usne Kaha Ki Surkh Rang Ke Hai! Aapne Farmaya Ki Kya Unmein Kuch Khaki Rang Ke Bhi Hai Ya Nahi? Usne Kaha Ki Ji Haan Kuch Unth Khaki Rang Ke Bhi Hai! Aapne Farmaya Ki Tum Batao Ki Surkh Un'ton Ki Nasal Mein Khaki Rang Ke Unth Kaise Aur Kahan Se Paida Ho Gaye? Dehati Ne Jawaab Diya Ki Mere Ki Mere Surkh Rang Ke Un'ton Ke Baap Dada'on Mein Koi Khaaki Rang Ka Unth Raha Hoga! Uski Rag Ne Usko Apne Rang Mein Khich Liya Hoga! Is Liye Surkh Un'ton Ka Baccha Khaaki Rang Ka Ho Gaya! Yeh Sunkar Huzoor Sallallahu Alaihi Wasallam Ne Irshaad Farmaya Ki Mumkin Hai Tumhare Baap Dada'on Mein Bhi Koi Kale Rang Ka Hua Hoga! Aur Uski Rag Ne Tumhare Bacche Ko Khinch Kar Apne Rang Ka Bana Liya Ho! Aur Yeh Baccha Uska Hum-Shakal Ho Gaya!
Ref ( Bukhari Shareef Jild. 2 S.799 )
Is Hadees Se Saaf Jahir Hai Ki Mahez Itni Si Baat Par Ki Baccha Apne Baap Ka Hum-Shakal Nahi Hai ap صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Us Dehati Ko Iski Ijazat Nahi Di Ki Wah Apne Us Bacche Ke Baare Mein Yeh Keh Sake Ki Yeh Mera Baccha Nahi Hai! Lihaaza Is Hadees Se Saabit Hua Ki Mahez Shubha Ki Bina Par Apni Biwi Ke Uper Ilzaam Laga Dena Jaaiz Nahi Hai! Balki Bahot Bada Gunaah Hai!
Hidayat Number (16)
Agar Miyan Biwi Mein Koi Ikh'tilaaf Ya Kashi'dagi Paida Ho Jaye Toh Shauhar Par Laazim Hai Ki Talaaq Dene Mein Hargiz Hargiz Jaldi Na Kare Balki Apne Gussa Ko Zabat Kare Aur Gussa Utar Jane Ke Baad Thande Dimaag Se Soch Bichaar Kar Aur Logon Se Mashwara Lekar Aur Yeh Gaur Karke Ki Kya Miya Biwi Mein Nibaah Ki Koi Surat Ho Sakti Hai Ya Nahi? Agar Banaaw Aur Nibaah Ki Koi Shakal Nikal Aaye Toh Hargiz Hargiz Talaaq Na De! Kyun Ki Talaaq Koi Acchi Chiz Nahi Hai!
Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Hai Ki Halaal Chizon Se Sab Se Ziyada Khuda Ke Nazdeek Na'pasandida Chiz Talaaq Hai!
Ref ( Abu Daaood Jild.1 Safah. 303 Baabe Karaah'tut'talaaq )
Agar Khuda Nakh'waasta Aesi Sakht Zarurat Pesh Aa Jaye Ki Talaaq Dene Ke Siwa Koi Chaaraa Na Rahe Toh Aesi Surat Mein Talaaq Dene Ki Ijaazat Hai! Warna Koi Acchi Chiz Nahi Hai!
Baaz Jaahil Zara Zara Si Baaton Par Apni Biwi Ko Talaaq De Dete Hai Aur Fir Pachtate Hai Aur Aalimo Ke Paas Jhut Bol Bol Kar Masla Puchte Firte Hai! Kabhi Kehte Hai Ki Gusse Mein Talaaq Di Thi! Kabhi Kehte Hai Ki Talaaq Dene Ki Niyat Nahi Thi! Gusse Mein Bila Ikhtiyaar Talaaq Ka Lafz Mooh Se Nikal Gaya! Kabhi Kehte Hai Ki Aurat Maahwari Ki Haalat Mein Thi! Kabhi Kehte Hai Ki Maine Talaaq Di Magar Biwi Ne Talaaq Li Nahi! Haa'laanki Un Gawaaron Ko Maa'lum Hona Chahiye Ki Inn Sab Suraton Mein Talaaq Pad Jaati Hai Aur Baaz Toh Aise Bad'naseeb Hai Ki Teen Talaaq Dekar Jhut Bolte Hai Ki Maine Ek Hi Baar Kaha Tha Aur Yeh Keh Kar Biwi Ko Rakh Lete Hai! Aur Umer Bhar Zina'kari Ke Gunah Mein Pade Rehte Hai! Un Zaalimon Ko Iska Ehsaas Hi Nahi Hota Ki Teen Talaaq Ke Baad Aurat Biwi Nahi Reh Jati Balki Wah Ek Aesi Ajnabi Aurat Ho Jati Hai Ki Bagair Ha'laa'laa Karaye Usse Dobara Nikah Bhi Nahi Ho Sakta! Khuda'wande Karim Un Logon Ko Hidayat De!Aameen
Hidayat Number (17)
Agar Kisi Ke Pass Do (2) Biwiyan Ya Usse Ziyada Ho Toh Us Par Farz Hai Ki Ta'maam Biwiyon Ke Darmiyan Adal Aur Barabari Ka Sulook Aur Bartao Kare! Khane, Pine, Makaan, Saamaan, Roshni, Banaaw Singaar, Ki Chizon Garaz Ta'maam Mu'aam'laat Mein Barabari Ka Khayaal Mal'huz Rakhe!
Yaad Rakho Ki Agar Kisi Ne Apni Ta'maam Biwiyon Ke Saath Yaksaan Aur Barabar Ka Sulook Nahi Kiya Toh Wah Haq'qul'ibaad Mein Giriftaar Aur Azaabe Jahannam Ka Haqdaar Hoga!
Hadees Shariff Mein Hai Ki Jis Shakhs Ke Pass Do (2) Biwiyan Ho Aur Usne Unke Darmiyan Adal Aur Barabari Ka Bartaw Nahi Kiya Toh Wah Qiyamat Ke Din Maidane Harsh Mein Iss Haalat Mein Uthaya Jayega Ki Uska Aadha Badan Maf'luj (Faa'lij Laga Hua) Hoga!
Ref (Tirmizi Sharif Jild. 1 S. 136)
Jannati Zevar Page No43/44/ 45/46 )
Hidayat Number (18)
Agar Biwi Ke Kisi Qaul Wa Fe'ail, Bad'khui, Bad'khlaki, Sakht Mi'zaazi, Aur Zabaan Darazi Wagairah Se Shauhar Ko Kabhi Kabhi Kuch Aziyat Aur Taklif Pahunch Jaye Toh Shauhar Ko Chahiye Ki Sabr Wa Ta'ham'mul Aur Bardasht Se Kaam Le Kyun ki Auraton Ka Teda'pan Ek Firt'ri Chiz Hai!
Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Hai Ki Aurat Hazrat Aadam عَلَيـهِ السَّــلَام Ki Sab Se Tedi Pasli Se Paida Ki Gayi Hai!
Agar Koi Shakhs Tedi Pasli Ko Sidhi Karne Ki Koshish Karega Toh Pasli Ki Haddi Tut Jayegi Magar Wah Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakegi!
Thik Iss Tarha Agar Koi Shakhs Apni Biwi Ko Bilkul Sidhi Karne Ki Koshish Karega Toh Yeh Tut Jayegi! Yani Talaaq Ki Naubat Aaj aesi! Lihaza Agar Aurat Se Faida Uthana Hai Toh Uske Tede Pan Ke Bawajud Usse Faida Utha Lo! Yeh Bilkul Sidhi Kabhi Ho Hi Nahi Sakti! Jis Tarha Tedi Pasli Ki Haddi Kabhi Sidhi Nahi Ho Sakti!
Ref (Bukhari Sharif Jild. 2 S.779)
Jannati Zevar Page No43/44/ 45/46 )
👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-nabi.com
🌎www.zikr-e-rasool.com
Download App http://goo.gl/
No comments:
Post a Comment