Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Monday, March 13, 2017

SEERAT E MUSTAFA LADAIYO(JUNG) KA SILSILA


SEERAT E MUSTAFA 

PART:-18

LADAIYO(JUNG) KA SILSILA


Kuffare Makka Ne Sirf Inhi Dhamkiyo par Bas nahi kiya Balki wo Madina par Hamle ki Taiyari Karne Lage Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Musalmano ke Qatle Aam Ka Mansuba Banane Lage.

Chunache Huzoor ﷺ Raato ko Jaag-Jaag Kar Basar Karte The Aur Sahaba E Kiram Ka Pehra Diya Karte the Kuffare Makka ne Sare Arab Par Apne Asro Rusukh ki Vajah se Tamam Qabail Me Aag Bhadka di ki Madina Par Hamla Karke Musalmano ko Dunia Se Nesto Nabud Kar dena Zaruri hai.
Mazkura Bala Teeno Wuzuhat Ki Moujudgi Me Har Aaqil Ko Ye Kehna Hi Padega ki In Halat me Huzur ﷺ Ko Hifazate Khud-Ikhtiyari Ke Lie Kuch Na Kuch Tadbeer Karni Zaruri hi thi Taki Ansar Wa Muhajireen Aur Khud Apni Zindagi Ki Baqa Aur Salamati Ka Saman ho Jae.
Chunache Kuffare Makka Ke khatarnak Irado ka Ilm Ho Jane ke bad Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apni Aur Sahaba Ki Hifazate Khud-Ikhtiyari ke Liye Do Tadbeero Par Amal Dar-Aamad Ka Faisla Farmaya....



AWWAL 


Ye Kuffare Makka Ki Shami Tijarat Jis Par Ain Ki Zindagi Ka daro madar hai isme Rukawat Dal di jae Taki Wo Madina Par Hamle ka Khayal Chod de Aur Suleh Par Majbur Ho jae..

DUSRA 

Ye ki madina Ke Atraaf Me Jo Qabeele Aabad Hai Unse Amano-Aman Ka Muahada Ho Jae Taki Kuffar Madina par Hamla ki Niyat na Kar Sake Chunache Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Inhi Do Tadbeero ke Peshe Nazar Sahaba Ke Chote-Chote Lashkaro ko Madina ke Atraaf Me Bhejna Shuru Kar diya Aur Baaz Lashkaro Ke Sath Khud bhi Tashrif Le Gae.

Sahaba e Kiram Ke Ye Chote-Chote Lashkar bhi Kuffare Makka Ki Naqal-O-Harqat Ka Pata Lagane Ke liye Jate The Aur Kahi Baaz Wabail Ke Muahida-E-Amano-Aman Karne ke Liye Rawana Hote the.
Kahin Is Maqsad Se bhi Jate the ki Kuffare Makka ki Shami Tijarat Ka Rasta Band ho Jae Isi Silsile Me Kuffare Makka Aur Unke Halifo(Madadgaro) Se Musalmano Ka Takraw Shuru Hua Aur Choti Badi Ladaiyo Ka Silsila Shru Ho gaya Inhi Ladaiyo ko Tarikhe Islam me "GAZAWAT-WA-SARAYA" Ke Unwan Se Bayan Kiya gaya hai...

GAZEWAT-WA-SARAYA

Hujrat ke Baad Ka Taqreeban Kul Zamana "GAZWAT WA SARAYA" Ke Ehtemam wa Intizam me Guzra Isi Liye ki Agar "GAZWAT" Kum se kum Taadat Jo Riwayato me Hai Yani 47 Shumar Kar li jae To 9 Saal me Huzoor ﷺ Ko Choti Badi 66 Ladaiyo Ka Samna Karna Pada..

Lihaza "GAZWAT WA SARAYA" Ka Unwan Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Seerate Muqaddasa Ka Bahut hi Azeem-Usshan Hissa hai Aur Bihamdihi Taa'la In Tamaam Gazwat Wa Saraya Aur Inke Wujuh Asbab Ka Pura-Pura Haal Islami Tarikho me Mehfooz hai..
Magar Tamaam Mazameen Ko Chod de To Yaqeenan "Seerate Rasool " Ka Maznoon hi Maqees Aur Namuqammal Reh Jaega Isi liye Mukhtasar Tour par Chand Mashoor Gazwat Wa Saraya Ka Zikr Kar dena Nihayat Zaruri Hai Taki Seerate Muqaddasa Ka Ye Aham Bab Bhi Nazrin Ke liye Nazar Afroz Ho jae... 

SARIYYA-E-HAMZA

Huzoor(صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Hijrat ke Baad Jab Jihad Ko Ayat Nazil ho Gai To Sab Se Pehle jo Ek Chota Sa Lashkar Kuffar Se Muqable Ke Liye Rawana Farmaya Iska Naam Sariya-E-Hamza Hai Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apne Chacha Hazrate Hamza Bin Abdul Muttalib رضي الله تعالي عنه Ko Ek Safed Jhanda Ata Farmaya Aur Is Jhande ke Niche Sirf 30 Muhajireen Ko Ek Lashkare Kuffar ke Muqable Ke Liye Bheja Jo 300 ki Taa'dat me The Aur Abu Jahal Unka Sipah Salar tha.
Hazrate Hamza رضي الله تعالي عنه "SAIFUL-BAHAR" Tak Pahuche Aur Dono Taraf se Jung Ke liye Saf Bandi Bhi ho gai Lekin Ek Saksh Muzdi Bin Amar Zuhni jo Dono Fareek ka Haleef tha Bich me Pad kar Ladai Moukuf Kara di.....

Ref (Madarij, Jild- 2, Safah- 78.Zurqani , Jild-1, Safah- 360)

SARIYYA-E-UBAID BIN-UL HARIS

Isi Saal 60 Ya 80 Muhajeerin Ke Sath Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Hazrate Ubaida Bin-Ul Haris Ko Safed Jhande Ke Sath Ameer Banakar "RAABAGH" Ki Taraf Rawana Kiya Is Sariyya Ke Aalam Bardar Hazrate Mistah Bin Usama رضي الله تعالي عنه The..
Jab Ye Lashkar "SANIYYA-E-MARRA" Ke Maqam Par Pahucha To Abu Sufiyan Aur Abu Jahal Ke Ladke Iqrama Ki Kaman Me 200 Kuffare Quresh Jama The Dono Lashkaro Ka Samna Hua Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه Ne Kuffar Par Teer Fenka Ye Sabse Pehla Teer tha Jo Musalmano Ki Taraf Se Kuffare Makkah Par Chalaya Gaya..
Hazrare Saad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه Ne Qul 8 Teer Fenke Aur Teer Nishane Par Theek Betha Kuffar In Teero Ki Maar se Ghabra kar Farar ho Gae Isi Liye Koi Jung Nahi Hui...

Ref (Zurqani- Jild, 1 - Safah, 392)

SARIYYA-E-SAA'AD BIN ABI WAQQAS

Isi Saal Mahe Zul-Qada Me Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه Ko 20 Sawaro ke Sath Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Is Maqsad Se Bheja Taki Ye log Kuffare Quresh ke Lashkar Ka Rasta Roke... 

Is Sariyya Ka Jhanda bhi Safed Rang Ka tha Aur Hazrate Miqdad Bin Aswad رضي الله تعالي عنه Is Lashkar ke Alam-Barabar The...
Ye Lashkar Rato Raat Safar Karte Hue Jab 5 ve Din Maqame "KHARRAR" Pahocha To Pata Chala Ki Makka ke Kuffar ek Din Pehle hi Farar Ho Chuke the Isi Liye Kisi Tasadum ki Noubat Nahi aayi....

Ref (Zirqani Alal Mawahib - Jild, 1, Safah - 392)

GAZWA-E-ABWA

Is Gazwa ko "GAZWA-E-WADAN" Bhi Kehte hai Ye Sabse Pehla Gazwa Hai Yani Pehli Martaba Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Jihad ke Irade se Mahe Safar San 2 Hijri Me 60 Muhajeerin Ko Apne Sath Leker Madina Se Bahar Nikle.

Hazrate Saa'ad Bin Ubada رضي الله تعالي عنه Ko Madina Sharif me Apna Khalifa Banaya Aur Hazrate Hamza رضي الله تعالي عنه Ko Jhanda Diya Aur Maqame "ABWA" Tak Kuffar Ka Picha Karte Hue Tashrif Le Gae.
Magar Kuffare Makka Farar ho Chuke the Isi Liye koi Jung Nahi hui "ABWA" Madine se 80 Meel Door Ek Gaaw Hai Jaha Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Walida Majida Hazrate Aamina رضي الله تعالي عنه Ka Mazar hai..
Yaha Kuch Din Theher Kar Qabeela-E-Banu Jamra ke Sardar "MUKHSHI BIN AMAR JAMRI" Se Imdade Bahmi Ka Ek Tehriri Muahada Kiya Aur Madina Vapas Tashrif Lae Is Gazwa me 15 Din Aap Madina se Bahar Rahe...

Ref (Zurqani Alal Mawahib- Jild, 1- Safah,393)

GAZWA-E-BAWAT

Hijrat ke 13 ve Mahine San 2 Hijri me Madina Par Hazrate Saa'ad Bin Muaz رضي الله تعالي عنه Ko Haqim Bana Kar 200 Muhajeerin Ko Sath leker Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Jihad ki Niyyat se Rawana Hue Is Gazwa ka Jhanda bhi Safed tha Aur Alam-Bardar Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه The....

Gazwa ka Maqsad Kuffare Makka Ke Ek Tijarati Qafle Ka Rasta Rokna Tha Is Kafile ka Salar " UMAIIYA BIN KHALAF JUMHI" tha Aur Is Qafile me 100 Qureshi Kuffar Aur 2500 Ount The Huzoor  (صلی اللہ علیہ وسلم)
  Is Qafile ki Talash me Maqame Bawaat Tak Tashrif le Gae Magar Kuffare Quresh ka Kahin Samna Na hua..
Isi Liye Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Bager Kisi Jung ke Madina Sharif Vapas Tashrif le Aae....

Ref (Zurqani Alal Mawahib- Jild, 1- Safah, 393)

GAZWA-E-SAFWAN

Isi Saal "QARZ BIN JABIR FUHRI" Ne Madine Ki Charagah Ne Daka Dala Aur Kuch Ounto Ko Haank Kar le Gaya Huzur ﷺ Ne Hazrate Zaid Bin Harisa رضي الله تعالي عنه Ko Madina me Apna Khalifa Bana Kar Aur Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه Ko Alam Bardar Bana Kar Sahaba Ki Ek Jama'at Ke Sath Wadi-E-Safwan Tak Us Daku Ka Ta'akub Kiya Magar wo Is Qadar Tezi ke Sath Bhaga ki Hath na Aaya..

Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Madina Vapas Tashrif Le Aaye Wadi-E-Safwan "BADR" Ke Qareeb Hai Isi Saal Ba'az Muarrikheen Ne Is Gazwe Ka Naam "GAZWA-E-BADR-ULA" Rakha hai Isi Liye Ye Yaad Rakhna Chahiye ki Gazwa e Safwan Aur Gazwa e Badr Ula Dono Ek hi Gazwe ke Naam hai...

Ref (Madarij- Jild, 2- Safah, 79)

GAZWA-E-JILL USHAIRA

Isi Saal Sann 2 Hijri me Kuffare Quraish Ka ek Kafila Maale Tijarat Leker Makkah Se Shaam Ja Raha tha Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) 150 Ya 200 Muhajireen Sahaba ko Leker Is Qafle Ka Rasta Rokne ke liye Maqame "JILL USHERA" Tak Tashrif Le Gae Jo "YABUA" Ki Bandargah Ke Qareeb Hai Magar Yaha Pahochkar Maloom hua ki Kafila Bhot Aage Badh Gaya hai Is Liye Takraw Nahi hua 
Magar Wahi Kafila Jab Shaam se Louta Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ki Mujahimat Ke liye Nikle to Junge Badr ka Ma'arika Pesh Aa gaya Jiska Mufassal Zikr Aage Ke parts me Ayega...

Ref (Zurqani, Jild-1, Safa-395)


👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜


♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK

https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-nabi.com

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App http://goo.gl/

No comments:

Post a Comment