Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, March 03, 2017

SAWAAL: Musalman Allah aur Rasoolصلى الله عليه وسلم ko Chhor kar Imamo ki Taqlid kyun karte hain


TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!




  PART   (11)



SAWAAL: Musalman Allah aur Rasoolصلى الله عليه وسلم  ko Chhor kar Imamo ki Taqlid kyun karte hain.?


AL Jawaab👇🏻

Bilkul Nahi.! Allah ta’la aur Rasoolullahصلى الله عليه وسلم  ko chhor kar kisi Imam ki Taqlid karne wala Musalman kaise ho sakta hai.?
Musalman, Kisi Imam ke banaye Mazhab ki Taqlid isliye karta hai taa ke Qur’an wa Hadis par Sahih amal ho aur Kitab o Sunnat ke naam par Ghair Muqallideen ki tarah Ittiba’ eNafs aur Gumrahi ka shikaarhone se Mehfooz rahein. Agar Imam ki koi baat Qur’an wa Hadis ke khilaf ho toh Imam ke Qoul ko Chhor diya jayega. Ye Tohmat/ Ilzaam, Ghair Muqallideen (Naamnihaad Ahle Hadis) ne RAAFZI SHIA’ se naqal ki hai.
 Jiska Jawab toh Ibne Taymiyya ne Unko 800 saal pehle hi de diya tha....!

Wo likhte hain ke:”Jinnaat wa Insano me se har ek Par har haal me Wajib hai ke Wo Allah aur uske Rasoolصلى الله عليه وسلم hi ki ita’at karey…..
 Lekin chounke Allah wa Rasoolصلى الله عليه وسلم ke bohat se Ahkam aise hain jinhe bohat se log nahi jante isliye log is muamle me aise Aalim ke pasjate hain jo unko Allah wa Rasoolصلى الله عليه وسلم ke ahkam bata sake isliye ke Wo Nabiصلى الله عليه وسلم ke irshadat aur unke sahih Matlab ko zyada janta hai... !
Lihaza Musalman jin Imamo (Ya’ni 4 A’imma) ki ittiba’ kartehain Wo Haqiqat me logo ke aur Nabiصلى الله عليه وسلم  ke darmyan Waseele, Raaste aur Rahnuma ki haisiyat rakhte hain....!

( Fatawa IbneTaymiyyah 2/239)
 Itni saaf baat ke ba’d koi Shareef,Ba hayaa aur Aqalmand Insan, Muqallideen par ye ilzaam nahi laga sakta ke Wo Qur’an wa Hadis ko Chhorkar Imamo ki Taqlid karte hain ya Unhone Imamo ko apna RABB bana liya hai. Naoozubillah minzaalik
 Jo jo Tohmat Aaj Tum Ghair Muqallideen hum par laga rahe ho Iska hisaab toh Allah ta’la ke haan hoga.. Agar Tum apni Tohmat me jhoote paaye gaye toh, ye Tohmat tumhari taraf hi lauta dijayegi. Insha’ Allah.!
Aur akhir me ye batana chahunga ke Sahabaدض الله عنه  ki ta’daad 1 Lakh se zaa’ed thi. Lekin inme se qarib 150 Sahabaدض الله عنه ke Fataawe Kutab Ahadis jaise ke Musannaf Ibne Abi Shaibah, Musannaf Abdur Razzaq waghera me maujood hain...!
¤In kitabon me Masla’ bataya gaya hai aur Sahabaدض الله عنه  neus Masla’ ke sath Koi Hadis ya Qur’ani ayat nahi bayan ki hain. Kya Ghair Muqallideen, Iska matlab ye lenge ke Sahabaدض الله عنه . ne Qur’an wa Ahadis se masla’ nahi ukhaz kiya hai balke Apnazaati Qoul bayaan kiya hai...?

☆Agar Sahabaدض الله عنه . ke liye is baat ke Qayel nahi hain toh phir 4 A’imma ke liye hi Khaas kyun.? 
☆Kya ye Tumhara Bughz nahi hai..?
☆ Kya ye Tumhare me chhupi Raafzi alaamat nahi hai...? Kuch toh Khauff khao Allah ta’la ka jahill wahabdo...!!!

Ahle haddas ka eiteraaz Kya Taqleed ki ibtida’ 4 Sadi me hui Ya Taqlid Sahaba Razi Allahu Anhum ke Zamane me bhi thi.?

AL JAWAAB👇🏻


Shah Waliullah Muhaddis Dehalvi Rahimahullah farmate hain: (Rasoolullahصلى الله عليه وسلم ki wafat ke ba’d) Sahaba Razi Allahu Anhum, Duniya ke Mukhtaleef Ilaqo me phailgaye. Har Sahabi دض الله عنه  apne Ilaqe ke Imam aur Muqtada the..!

Ref ( Al-Insaaf pg 3 )

Jab bhi Koi Masla’h pesh aata toh Us ilaaqe ke Musalman Unhi Sahaba(Razi Allahu Anhum) se poochkar amal karte the...!

Maslan: Makkah ke Musalman, Ibne Abbasدض الله عنه ki Taqlid ya ittiba’ karte the... !
Madinah me- Zaid bin Sabit دض الله عنه  ki Taqlid karte the....!
Koofa me- Ibne Mas’ood دض الله عنه  ki Taqlid karte the... !
Yaman me- Mu’az bin Jabal دض الله عنه ki Taqlid karte the....!
Phir Shah WaliullahMuhaddisدحمت الله عليه . Farmate hain: Har Tabi’i Aalim ka ek Mazhab Qarar paya aur har Shehar me ek ek Imam ho gaya...! 
AlInsaf pg 6 )

☆Maslan: Sahaba دض الله عنه  ke daur ke ba’d Makkah ke Musalman Ata’ دحمت الله عليه  Ki Taqleed karte the...!
☆Madinah- Nafe’ دحمت الله عليه  ki Taqlid karte the... !
☆Koofa- Ibrahim Naqi’i دحمت الله عليه  ki Taqlid karte the....!
☆Yaman-Taos دحمت الله عليه  Ki Taqlid karte the waghera...!

☆Shah Waliullah Muhaddis Dehalviدحمت الله عليه 
Iqdul Jaid pg 29 ]
 par likhte…hain ke:

Sahabaدض الله عنه  ke Zamane se Charon Maslakon ke zaahir hone tak Logo ka yahi Tariqa raha ke Unko Jo Mujtahid Aalim mil jata, Wo uski Taqleed kar lete,
¤ Ispar kisi bhi Qaabil e Aitbar Shaqs ne Aitraz nahi kiya Agar Taqleed Ghalat hoti toh Wo is par zaroor Aitraz karte...!
Taqleed, har Zamaane me, har Qoum me maujood thi aur maujood hai. Albatta farq, Jayez aur Na-Jayez Taqlid ka hai. Taqlid, Sahaba دض الله عنه . ke zamane me bhi thi,
☆ Tabi’een ke zamane me bhi thi. Aur Aitraz ki asal haqiqat toh ye hai ke Chauthi Sadi me 4 A’imma ke Mazaheb ki Taqlid par Ummat e Muslimah ka Ijma’ hua Chauthi Sadi Hijri me.....!

Kuch dino pehle Firqa Ahl-e-Hadees ki likhi hui Ek Post Jiska Unwaan tha 
☆“AHLE HADITH KA TAQLEED PAR AITRAAZ KYON!!”
ko Parhne ka Ittifaq hua aur Inki MAKKARI wa FAREIBKARIYO ko dekh kar bada Afsos hua ke MASLAKI TA’SUB me Ye Log Kisi bhi HADD tak gir sakte hain...!
SAWAAL: Agar Charo Imamo me se Kisi Ek Imam ki TAQLEED karein Tab bhi Najaat kahan hai.? Kyonke HANAFI MASLAK ki Mash’hoor Kitab [Durr-e-Mukhtar 1/26; Fatawa Shaami 1/160] me hai: “La’nat ho Hamare Rabb ki Us Shaqs per Reit ke Zarro barabar Jo Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ka Qoul Radd Kar de.”
Ya’ni Shafa’iyo, Malikiyo aur Hanbaliyo per Rabb ki La’nat hogi, Phir Charo Maslak Barhaqq Kis tarah hue.? Hanafiyo ke Nazdeek sirf wohi Haqq per hain Baaqi Sab La’nat ke Mustahiq hain....!

AL-JAWAB:👇🏻

☆(1).. Ahl-e-Sunnat Wal Jama’t ka IJMA’ hai ke Charo MASALIK (Hanafi, Shafa’i, Hanbali wa Maliki) Bar-Haqq hain Isliye ke Charo MASALIK ADILLAH SHAR’IYAH se MUSTANBAT hain. Pas Charo Masalik ka mauqaf hai ke Wo Khud ko aur Ek doosre ko Barhaqq samajhte hain. 
☆Lihaza Firqa Ahl-e-Hadees ka Ye kehna ke Hanafiyo ke nazdeek sirf wohi Haqq per hain Baqi Sab La’nat ke Mustahiq, HAQEEQAT ke khilaf hone ki wajah se bohat bada JHOOT hai. Aur Firqa AHlul Hadees ke Barhaqq hone per Hum Muttafiq Nahi hain Lihaaza LA’NAT padne ki fikr Firqa Ahlul Hadees ko karni chahiye....!

(2).. FIRQA AHL-E-HADEES KI MAKKARI:
Ye Hazrat Abdullah bin Mubarak (دحمت الله عليه ) ka Apna ZAATI Qoul hai Jisko Firqa Ahl-e-Hadees ke Ulema’ aur Juhala’ Apni KHIYANAT wa MAKKARI me Chhupa dete hain. Humne ooper Firqa Ahl-e-Hadees ke Kisi Jahil ka Poster aur Unke 3 Ulema’ ki Kitabo ke SCANS lagaye hain aur Kisi ne bhi Nahi bataya ke Ye Kiska Qoul hai... !

Phir Firqa Ahl-e-Hadees ke Juhala’ Jinhone DURR-E-MUKHTAR per Ye Aitrazi Poster banaya hai Unhone Apne Ulema’ ke Naqsh-e-Qadam per chalte hue Iska Mukammal Page Nahi lagaya Taa ke Logo’n ko Ye Pata Na Chal sake ke Ye Hazrat Abdullah bin Mubarak (دحمت الله عليه ) ka Apna ZAATI Qoul hai....!
Is mukammal page ke Scan me Abdullah bin Mubarak (دحمت الله عليه ) ka Naam waazeh Nazar aa raha hai...!
Kya Is tarah ki KHIYANAT karne ko hi AHL-E-HADEESIYAT kaha jata hai..? To Phir Bila Shubah Is Firqa ke BAATIL hone me Mujhe Zarrah barabar bhi Shakk baqi nahi...!

☆Kya Kisi Ghair-Muqallid (Naam Nihaad) Ahle Hadeeth me Himmat hai ke wo Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) per Aitraaz kare...

☆NOTE:YAHA SIRF SHORT ME SAWAAL LIKHA GAYA HAI QKI SAWAAL BOHUT BADA HAI AUR HAMARA MAQSAD HAI KI APNE SUNNI BHAIYO TAK JAWAAB POHUCHAYA JAYE


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment