Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, March 03, 2017

WIBI KE HUQOOQ


AURAT KI HAQEEQAT 



POST:-14



WIBI KE HUQOOQ 


Allah Ta'ala Ne Jis Tarha Mardon Ke Kuch Huqooq Auraton Par Lazim Farmaye Hai Usi Tarha Auraton Ke Bhi Huqooq Mardon Par Lazim Thehra Diye Hai Jinka Ada Karna Mardon Par Farz Hai!


CHUNANCHE QURAN MAJID MEIN HAI..



وٙلٙهُنّٙ مِتلۡ الّٙذىۡ عٙلٙيۡهِنّٙ بِا لۡمعۡرُوۡفِ


"Yani Auraton Ke Mardon Ke Uper Usi Tarha Kuch Huqooq Hai Jis Tarha Mardon Ke Auraton Par Acche Bartaow Ke Saath " 


HADEES E PAAK


Huzoor ﷺ Ne Farmaya Hai Ki Tum Mein Acche Log Wo Hai Jo Auraton Ke Saath Acchi Tarha Pesh Aaye! "

Ref ( Mishkaat Sharif Ji. 2 P. 282 )


HADEES E PAAK


Huzoor ﷺ Ka Yeh Bhi Farmaan Hai Ki " Main Tum Logo ko Auraton Ke Bare Mein Wasiyat Karta Hun isliye Tum Log Meri Wasiyat Ko Qabool Karo! "

Ref ( Mishkaat Sharif Ji. 2 P. 280 )
             
Aur Ek Hadees Shareef Mein Yeh Bhi Hai Ki " Koi Momin Mard Kisi Momina Aurat Se Bugaz Wa Nafrat Na Rakhe Kyun Ki Agar Aurat Ki Koi Aadat Buri Malum Hoti Ho Toh Uski Koi Dusri Aadat Pasandida Bhi Hogi! 

Ref ( Mishkaat Sharif Jild. 2 Page. 280 )

Hadees Ka Matlab Yeh Hai Ki Aisa Nahi Hoga Ki Kisi Aurat Ki Tamaam Aadatein Kharab Hi Ho Balki Usme Kuch Acchi Kuch Buri Har Kism Ki Aadatein Hogi!
Toh Mard Ko Chahiye Ki Aurat Ki Sirf Kharab Aadaton Hi Ko Na Dekhta Rahe Balki Kharab Aadaton Se Nazar Fer Kar Uski Acchi Aadaton Ko Bhi Dekha Kare! 
Bahar'haal Allah Wa Rasool  صلى اللّٰه تعالىٰ عليه وسلم Ne Auraton Ke Kuch Huqooq Mardon Ke Uper Lazim Karar Diye Hai! 
Lihaza Har Mard Par Zaruri Hai Ki Niche Likhi Hui Hidayaton Par Amal Karta Rahe! 
Warna Khuda Ke Darbar Mein Bahot Bada Gunhagar Aur Biraadari Aur Samajh Ki Nazron Mein Har Jagah Jalil Wo Khawaar Hoga! 


 HIDAYAT NUMBER (1)


 Har Shauhar Ke Uper Uski Biwi Ka Yeh Haq Farz Hai Ki Wah Apni Biwi Ke Khane, Pehen'ne Aur Rehne Aur Dusri Zaruriyaa'te Zindagi Ka Apni Hasiyat Ke Mutabiq Aur Apni Takat Bhar Intezaam Kare! 
Aur Har Waqt Iska Khayaal Rakhe Ki Yeh Allah Ki Bandi Mere Nikah Ke Bandhan Mein Bandhi Hui Hai Aur Yeh Apne Maa Baap, Bhai Behan Aur Tamaam Aziz Wa Akaarib Se Juda Hokar Sirf Meri Hokar Reh Gayi Hai Aur Meri Zindagi Ke Dukh Sukh Mein Barabar Ki Sharik Ban Gayi Hai, 
Is liye Iski Zindagi Ki Tamaam Zaruriyaat Ka Intezaam Karna Mera Farz Hai! 
Yaad Rakho Ki Jo Mard Apni La'parwahi Se Apni Biwiyon Ke Naan Wa Nafka Aur Akhraa'jaate Zindagi Ka Intezaam Nahi Karte Wah Bahut Bade Gunhagar, Hunququl'ibaad Mein Giraftaar Aur Kahre Kahaar Wa Azaabe Naar Ke Sazawaar Hai!                 


HIDAYAT NUMBER (2)


Aurat Ka Yeh Bhi Haq Hai Ki Shauhar Uske Bistar Ka Haq Ada Karta Rahe Shari'at Mein Iski Koi Hadd Muqar'rar Nahi Hai! 

Magar Kam Se Kam Is Kadar Toh Hona Hi Chahiye Ki Aurat Ki Khawahish Puri Ho Jaya Kare Aur Wah Idhar Udhar Taak Jhaank Na Kare Jo Mard Shaadi Kar ke Biwiyon Se Alag Thalag Rehte Hai Aur Aurat Ke Saath Uske Bistar Ka Haq Nahi Ada Karte Wah Haqqul'ibaad Yani Biwi Ke Haq Mein Giraftaar Aur Bahot Bade Gunhagar Hai! 
Agar Khuda Na Kare Shauhar Kisi Majboori Se Apni Aurat Ke Is Haq Ko Ada Na Kar Sake Toh Shauhar Par Lazim Hai Ki Aurat Se Uske Is Haq Ko Maaf Kara Le! 
Biwi Ke Is Haq Ki Kitni Ahmiyat Hai Is Baare Mein Hazrat Amirul Mominin Farooq Aazam Razi'Allahu Anhu Ka Ek Waqiya Bahot Ziyada Ibrat Khez Wa Nasiyat Aamez Hai! 

☆NOTE :- Hazrat amirul mominin Umar Farooq E Aazam رضي الله تعالي عنه Ka Waqiya kal send kiye jayega..


HIDAYAT NUMBER (3)



Aurat Ko Bila Kisi Bade Kusoor Ke Kabhi Hargiz Hargiz Na Maare! 


Rasool Allah ﷺ Ne Farmaya Hai Koi Shakhs Aurat Ko Is Tarha Na Maare Jis Tarha Apne Gulam Ko Mara Karta Hai Fir Dusre Waqt Usse Sohbat Bhi Kare!

Ref ( Mishkaat Jild. 2 Page. 280 )

Haan Albat'ta Agar Koi Bada Kusoor Kar Baithe Toh Badla Lene Ya Dukh Dene Ke Liye Nahi Balki Aurat Ki Islaah Aur Tambih Ki Niyat Se Shauhar Usko Maar Sakta Hai Magar Maarne Mein Iska Puri Tarha Dhyaan Rahe Ki Usko Shadid Chot Ya Jakham Na Pahunche! 


(Quraan Majid)


Fikah Ki Kitabon Mein Likha Hai Ki Shauhar Apni Biwi Ko Char Baaton Par Saza De Sakta Hai Aur Wah Char Baatein Ye Hai--

(1) Shauhar Apni Biwi Ko Banao Shingaar Aur Safai Suth'rai Ka Hukum De Lekin Fir Bhi Woh Fhuhad Aur Maili Kuchli Bani Rahe!

(2) Shauhar Sohbat Karne Ki Khawaish Kare Aur Biwi Bila Kisi Urze Sharai Ke Mana Kare!

(3) Aurat Haiz Aur Janaabat Se Gusul Na Karti Ho!

(4) Bila Wajah Namaaz Tark Karti Ho!

In Chaar Suraton Mein Shauhar Ko Chahiye Ki Pehle Biwi Ko Samjhaye Agar Maan Jaye Toh Behtar Hai Warna Daraye Dhamkaye Agar Is Par Bhi Na Maane Toh Is Shart Ke Saath Maarne Ki Ijazat Hai Ki Mooh Par Na Maare! Aur Aesi Sakht Maar Na Maare Ki Haddi Tut Jaye Ya Badan Par Jakham Ho Jaye...


 HIDAYAT NUMBER (4)


Mard Ko Chahiye Ki Khabardar Khabardar Kabhi Bhi Apni Aurat Ke Saamne Kisi Dusri Aurat Ke Husn Wa Jamaal Ya Uski Khubiyon Ka Zikr Na Kare Warna Biwi Ko Foran Hi Bad'Gumani Aur Yeh Shubha Ho Jayega Ki Shayad Mere Shauhar Ka Us Aurat Se Koi Saanth Gaanth Hai! 

Ya Kam Se Kam Kalbi Lagao  Hai  Aur Yeh Khayal Aurat Ke Dil Ka Ek Aisa Kaan'ta Hai Ki Aurat Ko Ek Lamha Ke Liye Bhi Sabr Wa Karar Naseeb Nahi Ho Sakta! 
Yaad Rakho Ki Jis Tarha Koi Shauhar Isko Bardaasht Nahi Kar Sakta Ki Uski Biwi Ka Kisi Dusre Mard Se Saaz Baaz Ho Usi Tarha Koi Aurat Bhi Hargiz Hargiz Kabhi Is Baat Ki Taab Nahi La Sakti Ki Uske Shauhar Ka Kisi Dusri Aurat Se Ta'aal'luk Ho! 

Balki Tarjaba Shahid Hai Ki Is Mu'aamle Mein Aurat Ke Jazbaat Mard Ke Jazbaat Se Kahin Jiyada Bad Chad Kar Hua Karte Hai! 
Lihaza Is Mu'aamle Mein Shauhar Ko Lazim Hai Ki Bahot Jiyada Athiyaat Rakhe Warna Bad'Gumaniyon Ka Toofan Miyan Biwi Ki Khusgawaar Zindagi Ko Tabah Wa Barbaad Kar Dega


HIDAYAT NUMBER (5)



MARD BILA SHUBHA AURAT PAR HAKIM HAI! 


Lihaza Mard Ko Yeh Haq Haasil Hai Ki Biwi Par Apna Hukum Chalaye! 
Magar Fir Mard Ke Liye Yeh Zaruri Hai Ki Apni Biwi Se Kisi Aise Kaam Ki Farmaaish Na Kare Jo Uski Taqat Se Bahar Ho Ya Wah Kaam Usko Intehaai Napasand Ho! 

Kyun Ki Agarche Aurat Jabran Kehran Wah Kaam Kar Degi Magar Uske Dil Mein Naagawaari Zarur Paida Ho Jayegi Jis Se Miyan Biwi Ki Khush Mizaji Ki Zindagi Mein Kuch Na Kuch Tal'khi Zaroor Paida Ho Jayegi! 
Jiska Natija Yeh Hoga Ki Rafta Rafta Miyan Biwi Mein Ikh'tilaaf Paida Ho Jayega..

  Ref (Jannati Zevar   Page No 38/39/40/41/42 )


♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
Plz share to others also

VISIT US : www.zikr-e-nabi.com

VISIT US : www.zikr-e-rasool.com



Download App http://goo.gl/x7SwOb


No comments:

Post a Comment