SEERAT E MUSTAFA
PART:-20
TAAJDARE DO AALAM ﷺ MEDAN-E-BADR ME
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Jab Badr Me Nuzool Farmaya To esi Jagah Padaw Dala Ki Jaha na koi Kuwa tha Na Chasma Aur Waha ki Zameen Itni Retili thi Ki Ghodo Ke pau Zameen Me ghaste The ye Dekhkar Hazrate Hubaba Bin Munzir رضي الله تعالي عنه Ne Arz kiya Ya Rasooallah! ﷺ Ne Padaw Ke Liya Jis Zameen Ko Mukhatab Farmaya Hai Ye Wahi ki Roo Se Hai Ya Fouzi Tadbeer hai.???
Aapne Farmaya Ki Iske Bare me koi Wahi na Utri Hai Hazrate Hazrate Habbab Bin Munzir رضي الله تعالي عنه Ne Kaha Ki Meri Raay Me Jungi Tadbeer ki Ki Roo se Behter Ye hai ki Hum kuch Aage Badhkar Pani ke Chashmo Par Qabza Kar le.
Taki Kuffar Jin Kuo par Qabiz hai Wo Bekar ho jae Kayonki Inhi Chashmo par se Un Kuo me Pani Jata hai Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Unki Raay ko Pasand Farmaya Aur isi Par Amal kiya Gaya Khuda ki Shaan Ki Bhi Barish bhi ho gai Jisse Medan ki Dard aur Ret Jamm gai Jispar Musalmano ke liye chalna firna Aasan Ho gaya Aur Kuffar ki Zameen Par Kichad Ho gai Jisse unko Chalne Firne Me Duahwari ho Gai Aur Musalmano ne Bariah ka Pani Rok Kar Ja-Baja Houz Bana liya Taki ye Pani Gusl Aur Wuzu Ke kaam Aae Isi Ehsan ko Allah ﷻ Ne Quran Me is Trah Bayan Farmaya Ki..
TARJUMA:-
Aur Khuda Ne Aasman Se Pani Barsa Diya Taki Wo tum logo ko Paak Kare..
Ref (Sureh Anfal)
SARWARE QAINAT ﷺ KI SHAB BEDARI
17 Ramzan San 2 Hijri Jumma Ki Raat thi Tamam Fouz To Aaram Wa chen ki Neend So Rahi Thi Magar Sarware Qainat ﷺ Ki Zaat Thi jo Puri Raat Allah ﷻ Se Lou Lagae Dua Me Mashroof Thi...
Subha Ho Gai to Apne logo ko Namaz ke liye Bedar Farmaya Fir Namaz Ke Bad Quran ki Ayate Jihad Sunakar Esa Larza-Khez Aur WalWala Angesh Bayan Farmaya ki Mujahiddeene Islam Ki Rago ke khoon Ka Qatra-Qatra Josh-o-Kharosh Ka Samundar Bankar Tufani Mouje Marne Laga Aur Log Medane Jung ke liye Taiyar Hone lage.
KOUN KAB?
AUR KAHA MAREGA??
Us Raat hi Kuch Jaa-Nisaro Ke Sath Apne Medane Jung ka Muayna Kiya Us Waqt Apke Daste Mubarak me Ek Chadi thi Aur Usi Chadi se Zameen par Lakeer Banate the Aur Ye Farmate jate the Ki Ye Fula Kafir ke Qatl Hone ki Jagah hai Aur Kal Yaha Fula Kafir ki Lash Padi hui milegi Chunache esa hi hua Ki Apne Jis Jagah Jis Kafir ki Qatl Gaah Batai thi Us Kafir Ki Lash Theek Usi Jagah Pai Gai Usme se Kisi ek ne Lakeer se Baal Barabar bhi Tazawuz Nahi Kiya....
Ref (Abu-Dawood, Jild-2, Safa-364, Mat'av Naami Wa Muslim, Jild-2, Safa-102, Gazwa-E-Badr)
Is Hadees Se Saaf Aur Sarih Tor par Ye Mas'ala Sabit ho Jata hai Ki Koun Kab ?
Aur Kaha Marega?
In Dono Gaib ki Bato ka Ilm Allah Taa'la Ne Apne Habib Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Ata Farmaya tha...
JUNG-E-BADR ME LADAI TALTE-TALTE FIR JAMM GAI
Kuffare Quraish Ladne ke liye Betaab The Lekin Un Logo me Kuch Suljhe Dilo-Dimag Ke log the Jo Khoon-Rezi ko Pasand Nahi Karte the...
Chunache Haqim Bin Hazam Jo bad me Musalman ho Gae Jo bhot hi Narm Aut Sanjida The Unhone Apne Lashkar Ke Sipah-Salar Utba Bin Rabea se Kaha Ki Aakhir Is Khoon-Rezi Se Kya Fayda ??
Me Aap Ko Ek Nihayat hi Mukhlisana Mashwara Deta hu Wo Quraish ko Jo Kuch Mutalba Hai Wo Amar Bin Hajrami ka Khoon hai Aur Wo Aap Ka Halif Hai Ki Aap Uska Khoon-Baha Ada Kijiye Is Trah Ladai Tal Jaegi...
Aur Aaj Ka Din Apki Tarikhe Zindagi me Apki Nek-Nami Ki Yaad Gaar Ban Jaega Ki Aap Be Tadabbur se Ek Bahot Hi Khoufnaak Aur Khoon-Rez Ladai Tall Gai Utba Ba-Zate Khud Bahut hi Mudabbir Aur Nek-Nafs Aadmi tha Usne Ba-Khushi Is Mukhkisana Mashware ko Qabool Kar liya Magar Is Muammle me Abu Jahal ki Manzoori bhi Behad Zaruri thi...
Chunache Hakim Bin Hazam Jab Utba Bin Rabeea Ka Ye Paigam Leker Abu Jahal ke Pas Gae to Abu Jahal ki Range Jahalat Bhadak Uthi Aur Usne Ek Khoon Khola dene Wala Taa'na Mara Kaha ki..
HA ME KHOOB SAMAJTA HU KI UTBA KI HIMMAT NE JAWAB DE DIYA KYUNKI USKA BETA HUZAIFA MUSALMAN HOKAR ISLAMI LASHKAR KE SATH AAYA HAI ISI LIYE WO JUNG SE JEE CHUDATA HAI TAKI USKE BETE PAR KOI AANCH NA AAYE
Abu Jahal ne Uspar Bas nahi kiya Balki Amar Bin Hajrami Maqtool Ke Bhai Aameer Bin Hajrami Ki Bulakar Kaha ki dekho Amar Bin Hajrami ke Khoon ka Badla Lene ki Sari Sceam Tahas Nahas Hui Ja rahi hai Kyonki Laskar ke Sipah-Salar Utba Buzdili Jahir Kar raha hai...
Ye Sunte hi Ameer bin Hajrami Ne Arab ke Mutabik Apne Kapde Faad dale Aur Apne Ser pe Dhool Dalte hue "WA-AA-WA-AA- MARRAH" Ka Nara Marna Shuru kiya Is Karwai ne Kuffare Quraish ki Sari Fouz me Aag Laga di Aur Sara Lashkar Khoon ka Badla Khoon Ke Naaro se Goonjne Laga Aur Har sipahi Josh me Aape Se bahar Hokar Jung Ke liye Betab wa Bekarar ho gaya.
Utba ne Abu-Jahal ka Taa'na Suna to Gusse se Bhar gaya Aur Kehne Laga ki Abu-Jahal se Keh do ki Medane Jung Bataega ki Buzdil Koun hai ??
Ye Kehkar Lohe ki Topi Talab ki Magar uska Ser Itna Bada tha ki Koi Topi Uske ser per Theek nahi bethi To Majburan Usne Apne Ser pe Kapda Lapeta Aur Hathiyar Pehenkar Jung ke liye Taiyyar ho gaya
JUNG-E-BADR AUR MUJAHIDDIN KI SAFF-AARAI
17 Ramzan 2 Hijri Jumma Ke din Huzoor
(صلی اللہ علیہ وسلم)
Ne Mujahiddin e Islam Ko Saff-Bandi Ka Huqm diya Daste Mubarak Me Ek Chadi thi Uske Ishare se Aap Safe Durust Farma Rahe the Ki koi Saksh Aage Piche Na Rehne Pae Aur Ayen Ese Waqt Me ki Jung ka Nakkara Bajne Wala Hai Do Ese Waqiyat Darpesh Ho gae Jo Nihayat hi Ibrat-Khez Aur Bahut Zyada Nasihat Aamez Hai.
JUNG-E-BADR AUR SHIQME MUBARAK KA BOSA
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Apni Chadi ke Ishare se Safe Sidhi Farma Rahe the To aapne Dekha ki Hazrate Sawad Ansari رضي الله تعالي عنه Ka Pet Saff se Kuch Aage Nikla Hua tha Aapne Apni Chadi se Unke pet par Ek Kocha deker Farmaya ki...
"ISTAWDI YA SAWADU"
(Aye Sawad Sidhe Khade ho Jao) Hazrate Sawad رضي الله تعالي عنه Ne Arz Kiya Ya Rasooallah (صلی اللہ علیہ وسلم) Apne Mere Shiqam Par Chadi Mari hai Muje apse iska Badla lena hai Ye Sunkar Apne Apna Perahan Sharif Uthakar Farmaya Ki Aye Sawad Lo Mera shikam Hazir hai Tum ispar Chadi Markar Apna Badla le lo.
Hazrate Sawad رضي الله تعالي عنه Ne Doud kar Apke Shikam Mubarak ko "CHOOM" Liya aur fir Nihayat hi Walihana Andaz me Intihai Garmzoshi ke Sath Apke Jisme Aqdas se Lipat gae Aapne Irshad Farmaya ki Aye Sawad Tumne esa kyo kiya ??
Arz kiya Yaa Rasooallah ! Me Is Waqt Jung ki Saff me Apna Ser Hatheli par Rakhkar Khada hu Shayad Mout ka Waqt Aya ho Is Waqt mere Dil me Is Tamanna Ne josh Mara ki Kash Marte Waqt Mera Badan Apke Jisme thar Se Choo Jae
Ye Sunkar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Hazrate Sawad رضي الله تعالي عنه Ke Is Jazba-E-Muhabbat Ki Qadar Farmate Hue Unke liye Kher o Barqat ki Dua Farmai Aur Hazrate Sawad رضي الله تعالي عنه Ne Bargahe Risalat Me Maazrat Karte hue Apna Qisas Muaf Kar diya Aur Tamaam Sahaba-E-Qiram Hazrate Sawad رضي الله تعالي عنه Ki Is Ashiqana Ada ko Hairat Bhari Nazro sr Dekhte Hue Unka Moonh Takte Rahe....
Ref (Seerat-E-Ibne Hisham Gazwa-E-Badr, Jild-2,Safa-626)
JUNG-E-BADR AUR AHAD KI PABANDI
Ittifaq se Hazrate Huzaifa Bin Azayman Aur Hazrate Abu Hasil رضي الله عتهما Ye Dono Sahabi Kahin se Aa rahe the Raste me Kuffar Ne Un dono ko Roka ki Tum Dono Badr ke Medan me Laskare Islam ki Madad Ke liye Ja rahe ho Un Dono ne Inkar kiya Aur Jung Me Sharik Na hone ka Ahad Kiya Chynache Kuffar ne Un dono ko Chod diya.
Jab Wo dono Bargahe Risalat me Hazir Hue Aur Apna Waqia Bayan Kiya To Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Un dono Ko Ladai Ki Safo se Alag Kar diya Aur Irshad Farmaya Ki Hum Har Haal me Ahad ki Pabandi Karenge Humko Sirf Khuda ki Madad ki Zarurat Hai...
Nazreen-E-Ikram Gour kijiye Dunia Janti hai Ki Jung ke Mouke par Khususan Esi Surat me Jab ki Dushmano Ke Azeem-Ushshan Lashkar ka Muqabla Ho Ek-Ek Sipahi Kitna Qeemti Hota hai Magar Tajdare Do Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apni Kamzor Fouz ko 2 Bahaddur Mujahido se Mehroom Rakhna Pasand Farmaya Magar koi Musalman Kisi Kafir se bhi Bad-Ahadi Aur Wada Kheelafi Karke Isko Gawara Nahi Farmaya...
Allahu Akbar....
Aye Aqwame Aalam ke Badshaho Lillah Mujhe Batao ki Kya Tumhari Tareekhe Zindagi ke Bade Bade Daftaro ke Koi Esa Chamakta hua Waraq bhi Hai ???
Aye Chand Wa Suraj Ki Door-Bi-Nigaho Tum Khuda kr liye Batao Kya tumhari Aankho ne Bhi Kabhi Safha-E-Hasti Par Pabandi-E-Ahad Ki Koi Esi Meesal Dekhi hai ??
Khuda ki Kasam mujhe Yaqeen hai Iske Jawab ne Naa Ke Siwa Kuch Nahi Keh Sakte.
JUNG-E-BADR AUR DONO LASHKAR AAMNE SAMNE
Ab Waqt Hai Ki Medane Badr me Haq wa Batil Ki Dono Safe Ek Dusre ke Samne Khadi hai Quran Elaan Kar raha hai...
TARJUMA:-
Jo Log Baham Lade Unme Tumhare Liye Ibrat Ka Nishan hai Ek Khuda ki Raah me Lad Raha tha Aur Dusra Munkeere Khuda Tha...
Ref (Sureh Aale Imran)
Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)
Mujahiddine Islam ki Saff-Bandi se Farigh Hokar Mujahiddin ki Karardad Ke Mutabiq Apni Us Chappar me Tashrif le Gae Jisko Sahaba e Kiraam ne Apki Hifazat ke Liye Bana Rakha tha...
Ab Us Chappar ki Hifazat ka Sawal Behad Aham tha Kyonki Kuffare Makkah Ke Hamlo Ka Asal Nishana Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ki Hi Zaat e Aqdas thi Kisi ki Himmat Nahi Padti thi Ki Us Chappar Ka Pehra De lekin Is Mouke Par bhi Apke Yaar e Gaar Hazrate Siddiq رضي الله تعالي عنه Ki Qismat me Ye Saa'dat Likhi Thi Ki Wo Nangi Talwar Leker Us Jhopdi Ke pas Date Rahe Aur Hazrate Saa'ad Bin Muaz رضي الله تعالي عنه bhi Chand Ansariyo Ke Sath Us Chappar ke Gird Pehra Dete rahe.
JUNG-E-BADR AUR DUA E NABAWI
Huzur Sarware Aalam ﷺ Is Nazuk Ghadi me Janabe Bari Me Lage hue Giryazari Ke Sath Khade hokar Hath Felae Dua Mang Rahe the
KHUDA WANDA ! TUNE MUJHSE JO WADA FARMAYA HAI AAJ USE PURA FARMA DE
Aap Is Qadar Riqqat Aur Mehviyat Tari thi Ki Josh e Girya me Chadar Mubarak Doshe Anwar se Gir-Gir Padti thi Magar Aap Ko Khabar nahi hoti thi Kabhi aap Sajde me Ser Rakh Kar is trah dua mangte...
ILAHI AGAR YE CHAND NUFUS HALAK HO GAE TO FIR QAYAMAT TAK ROO-E-ZAMEEN PAR TERI IBADAT KARNE WALE NA RAHENGE
Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Apke Yaar e Gaar the Apko Is Trah se Be-Karar Dekh kar Unke dil ka Sukoon o Karar Jata raha Aur un Par Ruqqat Tari Ho Gai Aur Unhone Chadar e Mubarak ko Utha kar Apke Muqaddas Kandhe Par Dali Aur Apka Dast Mubarak Thamkar Bharai Hui Aawaz me Bade Adab ke Sath Arz kiya ki "Huzur Ab Bas kijiye Khuda Zarur Apna Wada pura Farmaega..
Apne Yaar e Gaar Siddiq Jaa-Nisar ki Baat Mankar Apne Dua Khatm Kar di Aur Apki Zabane Mubarak Par Is Ayat ka Wird Jari ho gaya...
TARJUMA:-
Anqareeb (Kuffar ki) Fouz Ko Shikasht De di Jaegi Aur wo Pith Fer ke Bhag Jaenge...
REF(SUREH QAMAR)
Aap Is Ayat ko Baar Baar Padhte Rahe Jisme Fateh Mubeen ki Basharat Ki Taraf Isahara Tha.
JUNG-E-BADR ME LADAI KIS TRAH SHURU HUI
Jung Ki Ibteda Is Tarah Hui Ki Sab Se Pehle Aamir Bin-Ul-Haris Hajrami Jo Apne Maqtool bhai Amar Bin-Ul-Hajrami ke Khoon ka Badla Lene ke liye Be-Karar Tha Jung ke Liye Aage Badha Uske Muqable ke Liye Hazrate Umar رضي الله تعالي عنه ke Gulam Hazrate Muhajja رضي الله تعالي عنه Medan me Nikle Aur Ladte hue Shahadat Me Sarfaraz ho gae...
Fir Hazrate Harisa Bin Suraqa Ansari رضي الله تعالي عنه Houz se Pani Pee Rahe the Ki Naagha Unko Kuffar Ka ek Teer Laga Aur wo Shaheed ho gae
JUNG-E-BADR ME HAZRATE UMAIR KA SHOUQ E SAHADAT.
Huzur-E-Aqdas (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Jab Joshe Jihad Ka Elan Farmate Hue Irshad Farmaya ki Musalmano Us Jannat ki Taraf Badhe Chalo Jiski Chodai Aasman Aur Zameen Ke Barabar hai.
To Hazrate Umair Bin Hamam Ansari رضي الله تعالي عنه Bol Uthe Ki Yaa Rasooallah (صلی اللہ علیہ وسلم) Kya Jannat ki Chodai Zameen Wa Aasman ke Ke Barabar hai ??
Irshad Farmaya ki "HAAN" Ye Sunkar Hazrate Umair رضي الله تعالي عنه Ne Kaha "WAH-WAH"
Aap Daryaft Farmaya ki Kya ek Umair Tumne "WAH-WAH" Kis liye kaha ?
Arz kiya ki Yaa Rasooallah (صلی اللہ علیہ وسلم) Faqat Is Ummed par ki Me bhi Jannat Me Dakhil ho jau...
Aapne Khush Khabri Sunate Hue Irshad Farmaya ki Aye Umair !
Tu Beshak Jannati hai Hazrate Umair رضي الله تعالي عنه Us Waqt Khazure Kha rahe the Ye Basharat Suni to Mare Khushi ke Khazure Fenk kar Khade ho Gae Aur Ek Dum Kuffare Quraish Par Talwar Leker Toot Pade Aur Jaa-Bazi Ke Sath Ladte Hue Shaheed Ho gae...
Ref (Muslim Kitab-ul-Jihad Baab Suqute Farzil Jihad Anil Maazurin, Jild-2,Safa-129)
JUNG-E-BADR ME KUFFAR KA SIPAH-SALAR MARA GAYA
Kuffar ka Sipah-Salar Utba Bin Rabeea Apne Seene Par Shutur-Murg ka Ser Lagae Hue Apne bhai Shaiba Bin Rabeea Aur Apne Bete Waleed Bin Utba ko Sath leker Gusse se Bhara hua Apni Saff Se Nikal kar Muqabla Ki Dawat Dene laga Islami Saff me se Hazrate Aouf wa Hazrate Muaal Wa Abdullah Bin Rawaha رضي الله تعالي عنه Muqable ko Nikle Utba ne Un logo se Naam Wa Nasab Pucha Jab Maloom hua ki Ye log Ansari Hai to Utba Ne Kaha ki Hume Tum logo se Koi Garaz Nahi Fir Utba Ne Chillakar Kaha ki
Aye Muhammad(صلی اللہ علیہ وسلم)Ye Log Humare Jod ke Nahi hai Ashrafe Quraish ko Ladne ke liye Medan me Bhejiye Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Hazrate Hamza wa Hazrate Ali wa Hazrate Ubaida رضي الله عنهم Ko Huqm diya ki Aap Log In Teeno ke Muqable ke liye Nikle...
Chunache Ye Teeno Bahaddurane Islam Medan me Nikle Chuki Ye Teeno Hazrat Ser Khoud Pehne hue the Jisse unkd Chehre Chup Gae the Isi liye Utba ne In Hazrat ko Pucha Ki tum log Koun ho Teeno ne Apna naam Wa Nasab Batae To utba ne Kaha ki Haan Ab Humara Jod hai Jab Un logo me Jung Shuru hui To Hazrate Hamza Wa Hazrate Ali Wa Hazrate Ubaida رضي الله عنهم Ne Apne Shuja'at ka Esa Mujahra kiya ki Badr ki Zameen Dahal gai Aur Kuffar ke Dil Tharta Gae Aur unki Jung ka Anjam Ye hua ki Hazrate Hamza رضي الله تعالي عنه Ne Apni Talwar ke Waar Maar-Maar Kar Utba Ko Zameen Par Dher Kar diya....
Waleed ne Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه Se jung ki Dono Ne Ek Dusre par Qateelana Hamla kiya Aur Khoob Lade Lekin Asadullahil Galeeb Ki Zulfiqar ne Waleed ko Maar Giraya Aur Wo Zillat ke Sath Qatl Kar diya gaya Magar Utba ke Bhai Sheba ne Hazrate Ubaid رضي الله تعالي عنه Ko Is Kadat Zakhmi Kar diya ki Wo Zakhmo ki Taab Na Lakar Zameen Par Beth Gae Ye Manzar Dekh kar Hazrate Ali رضي الله تعالي عنه Ko Apne Kandhe par Uthakar Bargahe Risalat me Lae..
Unki Pindli Toot kar Choor-Choor ho Gai Thi Aur Nalli Ka Guda Beh raha tha Is Halat me Arz kiya ki Yaa Rasooallah Kya me Shahdat se Mehroom Raha ???
Irshad Farmaya ki Nahi Hargiz Nahi Balki Tum Shahdat Se Sarfaraz Ho gae Hazrate Ubaida رضي الله تعالي عنه Ne kaha ki Ya Rasooallah Agar Aaj mere Aur Aap Ke Chacha Abu Talib Zinda Hote To Wo Maan lete ki Unke is Sher ka Misdaq me hu ki..
"YANI HUM MUHAMMAD (صلی اللہ علیہ وسلم) KO US WAQT DUSHMANO KE HAWALE KARENGE JAB HUM UNKE GIRD LAD-LAD KAR PACHAD DIE JAENGE AUR HUM BETO AUR BIWIYO KO BHOOL JAENGE.
REF (ABU DAWOOD, JILD-2, SAFA-361, MATBAA NAAMI WA ZURQANI ALAL MAWAHIB, JILD-1, SAFAH-418)
👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜
♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥
📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/
🌎www.zikr-e-rasool.com

No comments:
Post a Comment