Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Friday, March 17, 2017

SEERAT E MUSTAFA


SEERAT E MUSTAFA 

PART:-19

JUNG-E-BADR


"BADR" Madina Sharif se Takreeban 80 Meel ke Fasle par Ek Gau(Village) Ka Naam Hai Jaha Zamana-Jahiliyat Me Salana Mela Lagta Tha Yaha Ek Kuwa Bhi tha Jiske Malik ka naam Badr tha....

Isi Ke naam par Is Jagah ka Naam Badr Rakh Diya Gaya Isi Maqam Par Junge Badr ka Wo Azeem Muarik Hua Jisme Kuffare Quraish Aur Musalmano ke Darmiyan Sakht Khoon Ranj Ladai Hui Aur Musalmano ko Ek Azeem-Us-shan Fateh Mubeen Naseeb Hui Ki Jiske Bad Islaam Ki Izzat-o-Iqbal Ka Parcham Itna Buland ho Gaya ki Kuffare Quraish Ki Azmat Wa Shouqat Bilkul Khaak Me mil Gai...
Allah Taa'la Ne Junge Badr Ke Din ka Naam "YOUM-UL-FURQAN" Rakha Aur Quran ki Sureh Anfal Me Tafseel ke Sath Aur Dusri Surto me Ijmalan Bar-Bar Is Jung Ka Zikr Farmaya Aur Is Jung Me Musalmano Ki Fateh Mubeen Kr Bare me Ehsan Jatate hue Allah Taa'la Ne Quran Majeed me Irshad Farmaya ki

TARJUMA:-

Aur Yaqeenan Khuda Taa'la Ne Tum logo Ki Madad Farmai Badr me Jabki Tum log Kamzor Be-Sara Saman The To tum log Allah se Darte Raho Taki Tum log Shukr Guzar ho Jao...

Ref (Al-Quran)

JUNG-E-BADR KA SABAB

Junge Badr ka Asli Sabab "AMAR BINUL HAJRAMI" Ke Qatl se Kuffare Quraish Me Fela Hua Zabardast Ishteal Tha Jisse Har Kafir Ki Zaban Par ek Hi Bat thi Ki " KHOON KA BADLA KHOON " Lekar Rahenge.

Junge Badr ka Asli Sabab "AMAR BINUL HAJRAMI" Ke Qatl se Kuffare Quraish Me Fela Hua Zabardast Ishteal Tha Jisse Har Kafir Ki Zaban Par ek Hi Bat thi Ki " KHOON KA BADLA KHOON " Lekar Rahenge...
Magar Bulkul Naghani Ye Surat Pesh Aa gai Ki Quraish Ka Wo Qafila Jiski Talash me Huzur ﷺ Maqame Bil Ushera Tak Tashrif Le Gae Magar wo Qafla Hath Nahi Aya tha Bilkul Achanak Madine me Khabar mili Ki Ab Wahi Qafila Mulke Shaam se Lotkar Makkah Jane wala hai Aur ye bhi Pata Chala ki Is Qafle me Abu Sufiyan Bin Harab Wa Makhrama Bin Noufal Wa Amar Binul Aas Wagera Total 30 Ya 40 Aadmi hai.

Aur Kuffare Quraish Ka Male Tijarat Jo Is Qafle me Hai Wo Bahut Zyada hai Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Apne Ashab Se Farmaya Ki Quraish Ki Toliya Loot-Maar ki Niyyat se Madine Ke Atraaf me Barabar Barabar Gasht Lagati Rehti hai Aur Qurz Bin Zakir Fuhri Madine Ki Charagah Tak Aakar Garat-Gari Aur Daka-Zani Kar gaya hai Lihaza Kyo na Hum bhi Kuffare Quraish Ke Is Qafle Par Humla Karke Isko Loot le Taki Kuffare Quraish Ki Shami Tijarat Band ho Jae...
Aur Wo Majbur Hokar Humse Sulah Kar le Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka ye Irshad Girami Sunkar Ansar Wa Muhajeerin Iske liye Taiyar ho gae.

JUNG-E-BADR AUR MADINA SE RAWANGI

Chunache 12 Ramzan 2 hijri Ko Badi Azlat ke Sath log Chal Pade Jo Jis Haal me Usi Haal me Rawana Ho gaya Is Lashkar me Huzoor ﷺ Ke Sath Na Zyada Hathiyar the Na Fouzi Rashan ki Koi Badi Miqdar thi Kyonki Kisi ko Guman bhi na Tha ki is Safar me Ek Bhot Badi Jung hogi.
Magar Jab Makkah Me ye Khabar Feli ki Musalman Musalla hokar Quraish Ka Qafla Lootne Ke liye Madine Se Chal Pade hai To Makkah Me Ek Josh Fail Gaya Aur Ekdum Kuffare Quraish Ki Fouz Ka Dal Badal Musalmano Par Hamla Karne ke Liye Taiyyar ho Gaya...

Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Is Bat ka Pata chala to Apne Sahaba Kiram ko Jama Karke Farmakar Surate Haal se Aagah Kiya Aur Saaf-Saaf Farma Diya ki Mumkin hai Ki Is Safar me Kuffare Quraish ke Qafle se Mulaqat ho Jae Aur Ye bhi ho Sakta hai ki Kuffare Quraish Makkah ke Lashkar se Jung ki Nobat aa jae.. 

Irshad e Girami Sunkar Hazrate Abu Bakr Siddiq رضي الله تعالي عنه Wa Hazrate Umar Farook Aur Dusre Muhajeerin Ne Bade Josh Wa Kharosh Ka Izhar kiya Magar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ansar Ka Munh Dekh Rahe the Kyonki Ansar ne Apke Daste Mubarak Par Bait Karte Waqt ye Ahad kiya tha ki wo Us Waqt Talwar Uthaenge Jab Kuffar Madina Par Chad Jaenge Aur Yaha Madina Se Bahar Nikalkar Jung Karne ka Mamala Tha.

Ansar me Se Qabeela-E-Khajraj Ke Sardar Hazrat Saa'ad Bin Ubada رضي الله تعالي عنه Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Chehra E Anwar Dekhkar Bol Uthe Kk Ya RASOOALLAH (صلی اللہ علیہ وسلم) Kya Apka Ishara Humari Taraf hai ???
Khuda ki Kasam Hum wo Jaanisar Hai Ki Agar Aapka Huqm ho to Hum Samundar me Kood Pade...

Isi Trah Ansar ke Ek Aur Muazzaz Sardar Hazrate Muqdad Bin Aswad رضي الله تعالي عنه Ne Josh Bhare Andaz me Arz kiya Ya RASOOALLAH ﷺ Hum Hazrate Musa Aleyhissalam Ko Qoum Ki Trah ye Na Kahenge Ki Aap Aur Apka Khuda Jakar Lade Balki Hum wo log hai Jo Apke Dae-Bae Se Aage-Piche Se Ladenge...

Ansar ke In Dono Sardaro ki Takreer Sunkar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Chehra Khushi Se Chamak Utha.
Madina se Ek Meel Door Chalkar Huzoor ﷺ Ne Apne Lashkar ka Jaiza Liya Jo log Kum Umr the Unko Vapas Kar dene ka Huqm diya Kayonki Jung Ke Pur-Khatar Mouke par Bhala Baccho ka kya kaam ???

JUNG-E-BADR AUR NANHA SIPAHI

Madina se Ek Meel Door Chalkar Huzoor ﷺ Ne Apne Lashkar ka Jaiza Liya Jo log Kum Umr the Unko Vapas Kar dene ka Huqm diya Kayonki Jung Ke Pur-Khatar Mouke par Bhala Baccho ka kya kaam ??
Magar Inhi Baccho me Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله تعالي عنه Ke Chote Bhai Hazrate Umair Bin Abi Waqqas Bhi the Jab Unse Vapas Hone ko Kaha gaya To wo Tadap Uthe Aur Zor-Zor se Rone Lage Aur Kisi bhi Trah Vapas Hone ko Taiyyar Na hue...

Unki Bekarari Aur Giryazari Dekhkar Rehmate Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ka Qalbe Nazuk Muttasir ho Gaya Aur Apne Unko Sath Chalne ki Izazat de di Chunache Hazrat Saa'ad Bin Abi waqqas رضي الله تعالي عنه Ne is Nanhe Sipahi Ke Gale me Bhi ek Talwar Hamail Kar di...

Madina se Rawana Hone Ke Waqt Namaz ke Liye Hazrate Umme Maqtum رضي الله تعالي عنه Ko Apne Masjide Nabawi Sharif ka Imaam Muqarrar Farma Diya Lekin Jab Khatra Mehsus Farmaya Isliye Apne Abu Lababa Bin Abdul Munzir رضي الله تعالي عنه Ko Madina Ka Haqim Muqarrar Farmakar Unko Madina Vapas Jane ka Huqm diya Aur Hazrate Aasim Bin Adi رضي الله تعالي عنه Ko Madine Ke Chadai Wale Gau Par Nigrani Rakhne ka Huqm diya.
In Intizamat Ke Baad Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)
 "BADR" Ki Janib Chal Pade Jidhar se Kuffare Makkah ke Aane ki Khabar thi Ab Kull Fouz Ki Tadad "313" Thi Jinme 60 Hazar Muhajir Aur Baki Ansar the Manzil-Ba-Manzil Safar Farmate Hue Jab Aap Muqame Safra Me Pahuche to Do Aadmiyo Ko Jasusi Ke Liye Rawana Farmaya Taki wo Qafle Ka pata Chalae Ki Wo Kidhar hai Aur kaha tak Pahucha.

Ref (ZURQANI, JILD- 1, SAFAH-411)


JUNG-E-BADR AUR ABU SUFIYAN KI CHALAKI

Udhar Kuffare Quraish Ke Jasus bhi Apna Kaam Bhot Mustadi Se kar rahe the Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Madina Se Rawana Hue To Abu Sufiyan Ko Iski Khabar Mil gai Usne Fouran "ZAMZAM BIN AMAR GIFFARI" Ko Makkah Bheja Ki Wo Quraishya ko Iski Khabar Deta Hai ki Wo Apne Qafle Ko Samundar ki Janib Lekar Rawana ho gaya..

Abu Sufiyan ka Qasid Zam-Zam Leker Rawana ho gaya Abu Sufiyan Ka Zamzam Bin Amar gaffari Jab Makkah Pahucha To Us Waqt Dastoor ke Mutabik Jab koi Khoufnaak Khabar Sunani Hoti To Khabar Sunane Wala Apne Kapde Faadkar Aur Ount Ki pith par Khada hokar Chilla-Chilla Kar Khabar sunaya karta.
Zamzam Bin Amar Gaffari Ne Apna Kurta Faad Diya Aur Ount Ki Pith par khada hokar Zor-Zor Se Chillane Laga ki 

"AHLE MAKKAH TUMHARA SARA MAALE TIJARAT ABU SUFIYAN KE QAFILE ME HAI AUR MUSALMANO NE IS QAFILE KA RASTA ROK KAR QAFILA LOOT LENE KA AZM KAR LIYA HAI LIHAZA JALDI KARO AUR BAHUT JALD APNE QAFILE KO BACHANE KE LIYE HATHIYAR LEKER DOUD PADO...

Ref (ZURQANI, JILD-1, SAFA-411)

JUNG-E-BADR AUR ABU SUFIYAN KA BACHKAR NIKAL JANA

Abu Sufiyan Jab Aam Raste Se Mudkar Sahile Samundar Par Chal Pada Aur Khatre Maqamat se Bahoot Door Pahuch Gaya Aur Usko Apni Hifazat ka Pura Pura Itminan Ho Gaya to Usne Quraish ko Ek Tez Raftar Qasid ke Zariye Ek Khat bheja Ki Tum log Apne Apne Maal Aur Aadmiyo Ko Bachane ke liye Apne Apne gharo ko Lout Jao Kyonki Hum log Musalmano Ki Yalgaar Aur Lootmar Se Bach gae gai Aur Jaan-O-Maal ki Salamati Ke Sath hum Makkah Pahuch Rahe hai.

JUNG-E-BADR AUR KUFFARE QURAISH KA JOSH

Jab Makkah me Maal e Tijarat ko Lootne ki Khabar Pahochi to Is Qadar Halchal Mach gai ki Makka Ka Sara Aman-O-Sukoon Garat ho Gaya Tamam Qabeele Quraish Apne Gharo se Nikal Pade Sardar Ne Makkah Me se Sirf Abu lahab Apni Beemari Ki Vajah Se Nahi Nikla Iskd siwa Tamam Rausa-E-Quraish(Quraish Ke Raees)
Puri Trah Musallah Hokar Nikal Pade Aur Chunki Muqame Nakhlaza Ka Waqia Bilkul Hi Taza tha Jisme Amar Bin-ul-Hazarmi Musalmano ke Hatho Mara gaya tha Aur Uske Qafile ki Musalmano ne Loot liya tha.
Isi Liye Kuffare Quraish Josh-E-Intiqam me Bhot Zyada Aage Badh gae the 1000 Ka Lashkare Zarrar Jiska Har Sipahi Puri Trah Musallah Hathiyar ke Sath Fouz ke Khane ka Ye Intizam tha ki Quraish ke Maaldar log Yani Abbas Bin Abdul Muttalib, Utba Bin Rabia, Haris Bin Aamir, Najar Bin-Ul Haris, Abu Jahal, Umaiyya Wagera Ek-Ek Karke Roz 10 Ount Zibah Karte the Aur Pure Lashkar Ko Khilate the Utba Bin Rbia Jo Quraish Ka Sabse Bada Raeese Aazam tha Is Pure Lashkar ka Sipahsalar Tha.


JUNG-E-BADR AUR KUFFAR ME IKHTILAF


Abu Sufiyan Ka Khatt Kuffare Makka ko Us Waqt mila Jab Wo Maqame "HUZFA" Me the Khat Padhkar Qabeela-E-Banu Zahra Aur Qabeela-E-Banu Adi Ke Sardaro ne Kaha Ki Ab Musalamano se Ladne ki Koi Zarurat nahi hai Lihaza Hum logo ko Vapas Lout Jana Chahiye..

Ye Bat Sunkar Abu Jahal Bigad Gaya Aur Kehne laga Ki Khuda ki Kasam Hum Isi Shaan ke Sath Badr Tak Jaenge Waha Ount Zibah Karenge Khoob Khaenge Khilaenge, Sharab Pienge Nach-Rang ki Mehfil Jamaenge Taki Tamam Qabaile Arab Par Humari azmat Wa Shouqat Ka Sikka Beth Jae Aur wo Hamesha Humse Darte Rahe...
Kuffare Makka ne Abu Jahal ki Is Baat par Amal kiya Lekin Banu Zahra Aur Banu Aadi Ke Dono Qabeele Vapas Lout Gae In Dono Qabeelo ke Siwa Baki Kuffare Makka Ke Tamam Qabeele Jung-E-Badr me Shameel hue...

Ref (Seerat-e-Ibne Hisham, Jild-2, Safa-618)


JUNG-E-BADR AUR KUFFARE QURAISH BADR ME


Kuffare Quraish Chunki Musalmano se Pehle Badr me Pahuch Gae the Is liye Munasib Jagah par Unlogo ne Apna Kabza Jama liya tha Huzoor 
(صلی اللہ علیہ وسلم)
 Jab Badr Ke Qareeb Pahoche To Shaam Ke Waqt Hazrate Ali, Hazrate Zubair, Hazrate Saa'ad Bin Abi Waqqas رضي الله عنهم Ko Badr ki Taraf Bheja Taki Ye log Kuffare Quraish ke Bare me Khabar lae.

In Hazraat Ne Quraish ke 2 Gualamo ko Pakad liya Jo Lashkare Quraish Ke liye Pani Bharne Par Muwarrar the Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ne Un dono Gulamo se Daryaft Farmaya ki Batao Is Quraishi Fouz me Quraish ke Sardaro Me se Koun Koun Hai ???
To Dono Gulamo ne Bataya ki 
Bin Rbia, Sheba Bin Rbia, Awul Bakhtari Hakim Bin Hajam, Noufan Bin Khuwelad, Harish bin Aamir, Najar Bin-Ul-Harish, Jam'aa Bin Aswad, Abu Jahal, Aur Bhi bhot se Sardar Moujud Hai.
Ye Baat Sunkar Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Apne Sahaba Ki Aur Mutawajjah Hue Aur Farmaya ki Sun lo
"MAKKAH NE APNE JIGAR KE TUKDO KO TUMHARI TARAF DAAL DIYA HAI" 


Ref (Muslim Sharif, Jild-2, safa-102 Gazwa-E-Badr Zurqani Wagera)

👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜


♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK

https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-nabi.com

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App http://goo.gl/

No comments:

Post a Comment