Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Monday, March 06, 2017

TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL AHLE HADITH KA TAQLEED PAR AITRAAZ KYON


TAQLEED ZAROORI HONE KI DALEEL..!





  PART   (12)


Kuch dino pehle Firqa Ahl-e-Hadees ki likhi hui Ek Post Jiska Unwaan tha 
“AHLE HADITH KA TAQLEED PAR AITRAAZ KYON!!”

ko Parhne ka Ittifaq hua aur Inki MAKKARI wa FAREIBKARIYO ko dekh kar bada Afsos hua ke MASLAKI TA’SUB me Ye Log Kisi bhi HADD tak gir sakte hain...!

AL JAWAAB 

(3) RADD AUR IKHTILAF ME FARQ:


Abdullah bin Mubarak (دحمت الله عليه ), Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke Shagird hain aur Unka Ye Qoul Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke Un Masa’il ke Ta’lluq se hai Jo Unke Ilm ke mutabiq Ain Qur’an wa Hadees ke mutabiq the aur Unka Radd karne waala MUSTAHIQ-E-LA’NAT hai Kyonke Wo Asal me Qur’an wa Hadees ka Radd Kar raha hai....!
Yahan per Ye baat bhi Peish-e-Nazar rakhni chahiye ke RADD karna alag cheez hai aur Iqtilaf Karna Alag cheez hai...!

RADD: Ya’ni Kisi Mujtahid ki Qur’an wa Hadees ki bunyad per Qayem kardah Raa’i ko Bilkul hi GHALAT aur BE-BUNYAD keh kar Uska Inkar kar dena goya ke Qur’an wa Hadees ka Inkar kar dena hai...!

IKHTILAF: Ya’ni Ek Mujtahid ka Jisne Qur’an wa Hadees me Ghour-o-Fikr ke ba’d Jo Raa’i Qayem ki hai Usme SAWAB (Sahih) aur KHATA’ (Ghalat) ka Ahtemaal (Possibility) samjhte hue Amal karna aur Mukhalif ki Raa’i ka Ihtiraam karna Ya’ni Ye bhi samjhe ke Mukhalif ki Raa’i me SAWAB ka Ahtemaal bhi maujood hai...!
Imam ABu Yusuf, Imam Muhammad wa Deegar A’immah ne Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) se Iqtilaf to kiya hai magar Unke Aqwaal Jo Ain Qur’an wa Hadees ke Mutabiq hain Unka Radd Kar ke Apne Aap ko La’nat ka Mustahiq Nahi banaya hai....!

IBNE MUBARAK (RAHMATULLAHI ALAIH) KI MUKAMMAL NAZM KA TARJUMAH:


Hum Yaha’n per Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) ke Mukammal Nazm ka Tarjumah karte hain (Rough Translation) taa ke Haqeeqat waazeh ho Jaaye, wo farmate hain:
Imamul Muslimeen Abu Haneefah (دض الله عنه ) ne Shehro aur Shehriyo ko Zeenat bakhshi; 
Ahkaam-e-Qur’an, Aasaar-e-Hadees wa Fiqh se, Jaise Saheefah me Zaboor ki Aayaat ne;
Koofah balke Mashriq wa Maghrib me Inki Nazeer Nahi milti (Ya’ni Roo’-e-Zameen me In Jaisa Koi Nahi)

Aap Ibadat ke liye Musta’ad ho kar Beidari me Ratein aur Khauf-e-Khuda ki wajah se Din me Rozah rakhte;
Unhone Apni Zuban har Bohtan Tarazi se Mehfooz rakhi aur Unke A’izaa’ har Gunah se PAAK rahe;
Aap Lahoo Lu’ab aur Haram Kamo se bache rahe, Razaa-e-Ilaahi ka Husool Aap ka Wazeefah tha;
Imam-e-Azam ke Nuktah Chee’n (Ya’ni Hasideen) Be-Waqoof, Mukhalif-e-Haqq aur Kamzor Dala’il waale hain;

Aise Faqeeh ko Kisi bhi wajah se Takleef dena Kyon kar Jayez hai, Jiske Ilmi Fuyooz Tamam Dunya me Phaile hue hain;
 Halaanke Saheeh Rivayat me Lateef Hikmato ke ziman me:
Tamam Log Fiqh (Deen ki Samajh) me Imam Abu Hanifah (دض الله عليه ) ki Fiqh ke Muhtaj hain;
Reit ke Zarro barabar Us Shaqs per Allah Ta’la ki LA’NAT ho Jo Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke Qoul ko Radd kar de.... !

Ref ( Muqaddamah Durr-e-Mukhtar Page 14 )

Is Mukammal Nazm se ma’loom hua ke Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke Paas Apne Qoul per Mazboot, Qawi Qur’ani wa Hadeesi Dala’il hote the aur Inke Haasideen In Mazboot Dala’il ko Kamzor Dala’il se RADD (Inkar) kar dete the Goya ke Qur’an wa Hadees ka Inkar Kar dete the...!

☆NOTE: IS LEYE HI A,ALA HAZRATدض الله عنه KEYA KHOOB FARMATE HAI.. YA RASOOL ALLAHصلى الله عليه وسلم 
Lahad me ishq e rukhe she'h ka daag leke chale, 
Andheri raat suni thi charaag leke chale, 
Tere gulamo ka naqshe qadam hai raahe khuda, 
Wo kya bahek sake jo ye suraag leke chale....!!!

Kuch dino pehle Firqa Ahl-e-Hadees ki likhi hui Ek Post Jiska Unwaan tha 

“AHLE HADITH KA TAQLEED PAR AITRAAZ KYON!!”

ko Parhne ka Ittifaq hua aur Inki MAKKARI wa FAREIBKARIYO ko dekh kar bada Afsos hua ke MASLAKI TA’SUB me Ye Log Kisi bhi HADD tak gir sakte hain...!

AL JAWAAB 


Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) apne Ustaad ke Haalaat wa Kamalaat se Khoob Achhi tarah Waqif the. Aur Aap ne ye baat Apne Ustaad se Husn-e-Aqeedat, Josh-e-Muhabbat me ki hai Jisko zyadah se zyadah Ghaloo Fil Haqeeqat se Ta’beer kiya Ja sakta hai. Aur Aap ne La’nat ki hai to Iski wajah Yehi ho sakti hai ke Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke Haasideen ne Aap ke Dil ko bohat dukhaya hoga...!
Allamah Zehbi ne Ibne Mubarak دحمت الله عليه  se Ek Qoul naqal kiya hai: “Log Jab Hazrat Imam (دض الله عنه ) ka Zikr Buraayi se karte hain to Mujhe bohat hi Sadmah hota hai aur Mujhe Andeishah hota hai ke Un per Allah ka Ghazab toot padega...!

Ref ( Manaqib Liz Zehbi Page 22 )

Firqa Ahl-e-Hadees ke Ulema’ wa Juhala’ Hamaare Saamne to kehte hain ke Hum Imam Sahab (دض الله عنه ) ka Ihtiraam karte hain Unki Izzat karte hain waghera waghera Magar Social Sites per dekha gaya hai ke Ye Log Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ko MUSHRIK tak Sabit karne se bhi peeche nahi hain aur Ye Maine Khud Mushahidah kiya hai....!

KHULASAH: Ye Qoul Hazrat Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) ka Apna ZAATI Qoul hai Jisme Unhone Un Mukhalif-e-Haqq Logo’n per LA’NAT ki hai Jo Apne Kamzor Dala’il se Imam Abu Hanifah (دض الله عنه ) ke QAWI Qur’ani wa Hadeesi Dala’il per Qayem kardah Raa’i ka RADD (inkar) kar dete hain aur.. 
Firqa Ahlul Hadees bhi Yehi karte hain Lihaaza Ye Log Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) ki LA’NAT ke Zyadah HAQQDAAR hain.
Firqa Ahl-e-Hadees ka Aitraz to Ibne Mubarak (دحمت الله عليه ) per hona Chahiye tha lekin Unke Is ZAATI Qoul ko Tamam Ahnaf per Chaspa (Fit) kar ke FAREIB wa MAKKARI dikhayi hai.
Aur Akheer me Is Ghalat Tashreeh ka Jawab dena zaroor chahunga ke likha hai: //taqleed ka taqaaza hai ki hz imam ke farman ki tahqeeq hi na karni chahiye khamosh hokar maan lo, agar na maana to laanaton ki baarish hogi, yah hai taqleed!!//

AL-JAWAB:👇🏻

Taqleed ka aisa Koi Taqaazah Nahi hai ke Imam Sahab (دض الله عنه ) ke Qoul ki Tehqeeq Nahi karni chahiye balke Qur’an wa Hadees ka Taqaazah hai ke NA-AHAL Shaqs ko Tehqeeq Nahi karni chahiye (Ya’ni Qur’an wa Hadees me apni Raai nahi chalani chahiye)
 warna wo JAHANNAM ka Mustahiq banega. Kyonke Hadees me aaya hai ke Jab Koi Shaqs Baghair Ilm ke (Ya’ni Na-Ahal Shaqs) Qur’an me Kalaam karta hai to Uska Thikana JAHANNAM hai...!

Ref ( Sunan Abu Dawood )

 Aur NA-AHAL sirf AAMI hota hai Jab ke AALIM to Ahal hota hai.. Aur Ahal Logo’n ko TEHQEEQ karne se Kisi ne bhi Nahi roka hai...!
Agar Aalim aur Mujtahid Fil Mazhab ko Tehqeeq se roka gaya hai to Humein wo Qoul dikha dein ke Kaha per Roka gaya hai…..?
Ye Sab Ghalat Fahmiya Taqleed ke Darjaat (Stages) ko Na samajhne ki wajah se Firqa Ahlul Hadees ne Paida kar rakhi hain...!
 Hamaare Nazdeek Taqleed me Darjaat maujood hain Ya’ni Alim ki Taqleed Aami se Alag hoti hai, Jiski Tafseel Maulana Taqi Usmani (DB) ki Kitab TAQLEED KI SHARA’I HAISIYAT me dekhi Ja sakti hai...!

Allah Humein DEEN ki Sahih Samajh ata farma aur Firqa Ahl-e-Hadees ke Fitna se Is Ummat ki Hifazat farma. Aameen....!

( SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB

Mai Yaha Tamheed ko halaat e jamana k maddenazar rakhte huwe bandh rha hu taaki jab koi padhe wo khud realise karle k jo likha gaya hai aaj yehi ho raha hai chunki ye sab humne aanhko se dekha hai aur hum khud in logo se bahes kar chuke hai.. 
 ye article shayad lamba ho par jarur ba jarur pura padhe ek baar save karle yaad karle In Sha ALLAH Taala Zindagi bhar aane waali naslo k liye bhi ye ek azeem ilmi sarmaya hai jisko padhne k baad aap bol padoge aisa mazmoon aaj tak nhi padha hai naa suna hai...!
Daur E Haajir Me Musalmano k darmiyan bahot se firke wajood me hai bilkhusus ek fitna awaam me failaya gaya hai Wahabio k Jariye se K Quran ko Khud Samjho Tarjuma padhke har insaan Quran Se apne matlab k Masle nikal sakta hai aur apni baat ko sahi saabit karne k liye ye jahil bewakuf group jo nahi sudhra to jahannam me jayga QURAN ki aayat bhi pesh karte hai jo ye hai..! 

وَلَقَد يَسَّرنَا القُرآنَ لِلذِّكرِ فَهَل مِن مُدَّكِرٍ

“Aur Humne Quran Ko Nasihat Hasil Karne K Waaste Aasan Kar Diya To Koi Hai Jo Nasihat Hasil Kare”

Ref ( Surah No 54 Surah Qamar Ayat 17 -Translation of Ashraf Ali Thanvi)

aur bhi is trah k ayat hai jo pesh karte hai.. 

إِنّا أَنزَلناهُ قُرآنًا عَرَبِيًّا لَعَلَّكُم تَعقِلونَ

“Aur Humne Is Kitab Ko Arabi Me Naazil Kiya Taaki Tum Samjho”

Ref ( Surah Yusuf Ayat 02 - Translation of Ashraf Ali Thanvi)

 maine translation bhi Aala Hazratرضي الله عنه Ka Nhi likha unke shaikh ka hi hai warna ye naa kahe apna translation hai aur isi trah ki kuch aur aayat e paak wo padte hai aur.. 
 khte hai dekho Quran samajhna aasan hai hume khud se samajhna chahye in Mullao k jhagde me mat pado ye maulvi log bas apna pet bharte hai kaum ko ladate hai yehi baat aaj ka nauzawan karta hai jo aapne khud dekha hoga...!
Lihaja ye horha hai har 02..04 kitab padhne waale ladke jinko thek se ye nhi pata k Quran me kitne kism ki aayat hai Naseekh Mansookh kya hai etc wo apne jaahil ustado k saath bethke 10 by 10 k kamre me Quran kholte hai English Translation + Google jo Yahudio ka banaya Search engine hai aur in jahilo ka asli ustad hai...!
uski madad se QURAN ki aayato pe Research karte hai aur unki tehkeek bas kuch aayato pe aake ruk jaati hai wo kuch aayato se apna akeeda khud banate hai....!

NOTE: IS MOZU K JAWAAB MOHAMMED AARIF WAGHOO SAHAB QIBLA K ARTICLE SE LEYE GAYE HAI JIS ME BOHUT HI KHUBSURAT TARIKE SE HAZRAT NE REHNUMAYE FARMAYYE HAI 

 SURAH ANAM AYAT 50 PAT WAHABIYO KO MUHTOD JAWAAB

Dekhen Ek Hota hai Quran ko Padhna Samajhna Dusra Un Ayato Pe Akeeda banana dono me fark hai bahot Quran aasan hai jarur koi shak nahi magar Hidayat aur Nasihat k liye Koi shaks Quran padhe aur usme se Namaz ki takeed waali ayat le aur namaz padhe jhut na bole acche amal kare ye hai Nasihat isliye QURAN aasan hai...!
par Maamla tab bigadta hai wo log jinka ilmi muttala fakat 04 kitabo ka bhi nahi jinko ye nhi pata hai k kis aayat se masle nikalte hai kis aayat se akeeda banta hai kis aayat ka hukm mansookh hai kiska naseekh kis aayat ko aayat ko Ayat E Mutasabihat kehte hai wagaeira wagaira unko ye lafz bhi nhi pata hota aur.. 

wo jahil 02 04 aayat ratta maare aur akeeda bana liya unko lagta hai aaj humne jo research ki QURAN ki jis aayat ko dhunda wo shayad kisi ne nahi padhi bas aaj 1400 saal baad wo mysteri humne pata ki hai..
 natiza ye hota hai wo jhola chaap log bazar me, ghar me aate hai tum shirk kar rhe ho tumhara akeeda Quran k khilaf hai saari Quran ki aayat ye kehti hai Maulvi ye kehte hai QURAN ko maan’na ya maulvi ko maanu yehi baat failate hai....!
Magar afsos un jahilo pe jinke tehkeek bas ek aayat ko padhke ruk jaati hai wo koshish bhi nhi karte k hum aage kuch padhe apne aapko bahot bada muhakkik ibadat guzar aabid aalim samajhne lagte hai jo khud gumrah hogaye ab dusro ko gumraah karne lage...!

 Par wo bhul jaate hai k 1400 saalo me Quran ki 150 se zyada Tafseer likhi jaa chuki 20 20 jildo me wo mufasireen jinki puri zindagi bas Quran ki ek ek aayat me gaur o fikr karte nikli puri zindgi apne baal tak safed kar diya raat raat Kalam e Ilahi ko padhte rhe unme se kisi ne ye maana aayat ka naa liya aur.. 

 jo samjha aaj 1400 saal baad in ko pata chala jo ye jahilo ne gada hai ye soch pe akeeda banane lage hai...!

Ye aisa fitna hai jo bahot se bilkhusus nawjawano ko khaa raha hai wo nauzawan aur kharji wahabi mullah jo chand aayat pesh krte hai.. 
unme sabse ahem ye ayaat hai unki dalil ki jo wahabi hamesha aapko sunate milenge aur apni la ilmi ka mukkamal saboot denge padte QURAN ki aayat sahi hai par akeeda aur matlab galat nikalte hai...!
Allah aise gumraho se Hamare Imaan ki hifazat farmaye....!

قُل لا أَقولُ لَكُم عِندي خَزائِنُ اللَّهِ وَلا أَعلَمُ الغَيبَ وَلا أَقولُ لَكُم إِنّي مَلَكٌ ۖ إِن أَتَّبِعُ إِلّا 

ما يوحىٰ إِلَيَّ ۚ قُل هَل يَستَوِي الأَعمىٰ وَالبَصيرُ ۚ أَفَلا تَتَفَكَّرونَ

Tum Farmado Mai Tumse Nahi Kehta K Mere Pass Allah K Khajane Hai Aur Na Ye Kahoo’n Ki Mai Aap Gaib Jaan Leta Hoon Aur Naa Mai Tumse ye Kahoon k Mai Farishta Hoon Mai To Uski Farmadari Karta Hu Jo Mujhpe Wahi Ki Jaati Hai , Tum Farmao Kya Barabar Hai Andhe Aur Aankh Waale To Kya Tum Gaur Nahi Karte...!

Ref ( Al Quran , Surah Al Anam Ayat 50)

Is aayat ko padhke wo badmazhab aksar Musalmano ko sunate hai aur ek aam musalman ko pareshan karte hai aur ek musalmaan soch me pad jaata hai....!

NOTE:QUR,AN O HADEES KI ROSHNI ME  IS SAWAL KA JAWAB AAP KO NEXT MESSAGE SE MILTA RAHEGA IN'SHA ALLAH BAS APNE DU,A ME YAAD RAKHE'N!


👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜

♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-nabi.com

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment