Nabi ki Baatein

Hamare Nabi ﷺ Ki Pyari Baatein

Follow Us

LightBlog

Breaking

Sunday, March 05, 2017

SEERAT E MUSTAFA LADAIYO(JUNG) KA SILSILA


SEERAT E MUSTAFA 

PART:-17


LADAIYO(JUNG) KA SILSILA



Ab Tak Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) ko Khuda ki Taraf se Sirf Ye Huqm Hua tha ki Dalail Aur Moize Hasna Ke Zariye Logo ko Islam ki Dawat Dete rahe Aur Musalmano Ko Kuffar Ki Izao Par Sabr ka Huqm tha Isi liye Kafiro ne Musalmano par Bade-Bade Zulmo Sitam ke Pahad Tode Magar Musalmano ne Intiqam ke Liye Kabhi Hathiyar nahi Uthaya Balki Hamesha Sabr ke Sath Kuffar ki Izao ko Sehte rahe.
Lekin Hijrat ke Bad Jab Sara Arab Aur Yahoodi Un Muthhi Bhar Musalman ke Jani Dushman Ho Gae Aur Un Musalmano ko Fana ke Ghaat Utar dene ka Azm Kar liya To Khuda Taa'la Ne Musalmano Ko Ye Izazat di Ki jo Log Tumse Jung Ki Ibtida Kare Unse tum bhi Lad Sakte ho.
Chunache 12 Safar San 2 Hijri Tarikhe Islam Me wo Yaadgar Din hai Jisme Khuda Taa'la Ne Musalmano Ko Kuffaro Ke Muqable me Talwar Uthane ki Izazat Di Aur Ye Ayat Nazil Farmai....

TARJUMA :-

Jinse Ladai Ki Jati hai (MUSALMAN) Unko bhi Ab Ladne ki Izazat Di Jati hai Kyonki Wo (MUSALMAN) Majlus hai Aur Khuda Unki Madad Par Yaqeenan Qadir Hai.
Hazrat Imaam Muhammad Bin Shahab Zohri Aleyhirrehma ka Yahi Qoul hai ki Jihad Ki Izazat ke Bare me Yahi Wo Ayat hai Jo Sabse Pehle Nazil hui Magar Tafsir Ibne Jarir me Hai ki Jihad ke Bare me Sabse Pehle Jo Ayat utri Wo Ye hai.

TARJUMA :- 

Khuda Ki Raah me Un logo se Lado Jo Tumse Ladte hai

Sann 2 Hijri me Musalmano Ko Khuda Taa'la Ne Kuffar se Ladne ki Izazat De di Magar Ibtida me Ye Izazat Mashrut thi Yani Unhi Kafiro Se jung Karne ki Izazat thi Jo Musalmano Par Hamla Kare.
Isme Koi Shak Nahi ki Hijrat ke Bad Jitni Ladaiya hui Agar Pure Mahol Ko Ba-Gour Gehri Nigaah se Dekha jae To Yahi Zahir Hota hai ki Ye Sab Ladai Kuffar Ki Taraf se Musalmano ke ser Par Musallat Ki Gai thi Aur Gareeb Musalamn Ba-Darja-E-Majburi Talwar Uthane Par Majbur Hue Maslan Mundarja Zail Chand Waqiat Par Nigaah Dali Jaegi.

Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Apke Ashab Apna Sab kuch Makkah Me Chod kar Intihai-BeQasi Ke Aalam me Madina Chale Aaye the Hona to Ye Tha ki Kuffarre Makka Ab Itminan Se Bethe Rehte Ki Unke Dushman Yani Rehmate Aalam Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Musalman Unke Seher se Nikal Gae..

Magar Hua ye ki Un Kafiro ke Gaizo-Gazab Ka Para Itna Chad Gaya ki Ab Ye Log Ahle Madeena ke bhi Dushman Banjae Hijrat ke Kuch Roz Bad Kuffare Makka ne Raise Ansar"ABDULLAH BIN UBAIYY" Ke Pas Dhamkiyo Bhara Hua ek Khat Aya...
Abdullah Bin Ubayya Wo Saksh hai Ki Waqia E Hijrat Se Pehle Tamam Madina Walo ne Usko Apna Badshah Mankar Uski Taajposhi ki Taiyari Kar li thi Magar Huzoor ﷺ Ke Madina Tashrif Lane Ke bad Ye Bat Khatm ho gai Chunache Isi Ghum-Wa-Gusse me Abdullah Bin Ubaiyya Umar Bhar Munafiqo ka Sardar Bankar Islam ki Badnami Karta raha Aur Islam Wa Musalmano Ke Khilaf Tarah-Tarah Ki Sajisho me Mashroof Raha..

Ref (Bukhari Babut Taslim Fee Majjis Feehe Ikhlat- Jild, 2 Safa - 924)

Bahar-Qaif Kuffare Makka ne Is Dushmane Islam ke Naam Jo Khat Likha Uska Maznun Ye hai.
"TUMNE HUMARE ADDMI MUHAMMAD(صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Apne Yaha Panah De Rakhi hai Hum Khuda Ki Kasam Kha kar Kehte hai Ki Ya To Tum log Unko Qatl Kar do Ya Madina Se Nikal Do Warna Hum Sab Log Tum Par Hamla Kar Denge Aur Tumhare Ladne Wale Jawano ko Qatl Kar denge Aur Tumhari Aurto Par Tasarruf Karenge....

Ref (Abu Dawood , Safah 67 Baab Fee Khabrin Nafir)

Jab Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Kuffare Makka ke Is Tehdid-Aamez Aur Khoufnaak Khat ki Khabar Maloom Hui To Apne Abdullah Bin Ubaiyy Se Mulaqat Farmai Aur Irshad Farmai Aur Irshad Farmaya Ki "KYA TUM APNE BHAIYO AUR BETO KO QATL KAROGE" Chunki Aksar Ansar Damane Islam me Aa chuke the Isi Liye Abdullah Bin Ubaiyy Ne is Nuqte ko Samaj liya Aur Kuffare Makka ke Huqm Par Amal Nahi Kar saka..

Theek Isi Zameen Me Hazrate Saa'ad Bin Muaaz رضي الله تعالي عنه jo Qabeela Awas Ke Sardar the Umrah Ada Karne ke liye Madina se Makkah Gae Aur Purane Taalluqat Ki Beena par "UMAIIYA BIN KHALAF" Ke Makan Par Qayam Kiya.
Jab Umaiyya Theek Dophar Ke Waqt Unko Sath Leker Tawafe Qaba Ke liye Gaya To Ittifaq se Abu Jahal Samne Aa gaya Aur Dantkar Kaha ki Umaiyya Ye tumhare Sath Koun hai ??Umaiyya ne Kaha ki Ye Madina Ke Rehne Wale "SAA'AD BIN MUAAZ HAI" Ye Sunkar Abu Jahal ne Tadap Kar Saa'ad Bin Muaaz Se Kaha ki Tum logo ne Be Dharmo(Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Apne Yaha Panah di hai Khuda ki Kasam Agar tun Umaiyya ke Sath na hote To Bachkar Vapas Nahi Ja Sakte The.
Hazrate Saa'ad Bin Muaz رضي الله تعالي عنه Ne bhi Intihai Zurrat Aur Dileri ke Sath Jawab Diya Ki Agar tum Ne Humko Qaba ki Ziyarat se Roka to Hum Tumhari Mulke Shaam ki Tijarat ka Rasta Rok Denge...

Ref (Bukhari Kitab-Ul-Magazi, Jild-2, Safah-563)

Kuffare Makka Ne Sirf Inhi Dhamkiyo par Bas nahi kiya Balki wo Madina par Hamle ki Taiyari Karne Lage Aur Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Aur Musalmano ke Qatle Aam Ka Mansuba Banane Lage..

Chunache Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Raato ko Jaag-Jaag Kar Basar Karte The Aur Sahaba E Kiram Ka Pehra Diya Karte the Kuffare Makka ne Sare Arab Par Apne Asro Rusukh ki Vajah se Tamam Qabail Me Aag Bhadka di ki Madina Par Hamla Karke Musalmano ko Dunia Se Nesto Nabud Kar dena Zaruri hai.
Mazkura Bala Teeno Wuzuhat Ki Moujudgi Me Har Aaqil Ko Ye Kehna Hi Padega ki In Halat me Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم) Ko Hifazate Khud-Ikhtiyari Ke Lie Kuch Na Kuch Tadbeer Karni Zaruri hi thi Taki Ansar Wa Muhajireen Aur Khud Apni Zindagi Ki Baqa Aur Salamati Ka Saman ho Jae.
Chunache Kuffare Makka Ke khatarnak Irado ka Ilm Ho Jane ke bad Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Apni Aur Sahaba Ki Hifazate Khud-Ikhtiyari ke Liye Do Tadbeero Par Amal Dar-Aamad Ka Faisla Farmaya.

AWWAL 

Ye Kuffare Makka Ki Shami Tijarat Jis Par Ain Ki Zindagi Ka daro madar hai isme Rukawat Dal di jae Taki Wo Madina Par Hamle ka Khayal Chod de Aur Suleh Par Majbur Ho jae....

DUSRA 

Ye ki madina Ke Atraaf Me Jo Qabeele Aabad Hai Unse Amano-Aman Ka Muahada Ho Jae Taki Kuffar Madina par Hamla ki Niyat na Kar Sake Chunache Huzoor (صلی اللہ علیہ وسلم)Ne Inhi Do Tadbeero ke Peshe Nazar Sahaba Ke Chote-Chote Lashkaro ko Madina ke Atraaf Me Bhejna Shuru Kar diya Aur Baaz Lashkaro Ke Sath Khud bhi Tashrif Le Gae.

Sahaba e Kiram Ke Ye Chote-Chote Lashkar bhi Kuffare Makka Ki Naqal-O-Harqat Ka Pata Lagane Ke liye Jate The Aur Kahi Baaz Wabail Ke Muahida-E-Amano-Aman Karne ke Liye Rawana Hote the.

Kahin Is Maqsad Se bhi Jate the ki Kuffare Makka ki Shami Tijarat Ka Rasta Band ho Jae Isi Silsile Me Kuffare Makka Aur Unke Halifo(Madadgaro) Se Musalmano Ka Takraw Shuru Hua Aur Choti Badi Ladaiyo Ka Silsila Shru Ho gaya Inhi Ladaiyo ko Tarikhe Islam me "GAZAWAT-WA-SARAYA" Ke Unwan Se Bayan Kiya gaya hai...


👉N͢E͢X͢T͢ P͢O͢S͢T͢ I͢N͢S͢H͢A͢ A͢L͢L͢A͢H͢🔜

♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡⌒♡
🍀Allah ﻋﺰﻭﺟﻞ Aap par Fazl farmaye !
♡♡♡♡♡♡♡♡
جزاك الله خيرا... For reading
♡♡♡♡♡♡♡♡
اَشْهَدُ اَنْ لَّآ اِلٰهَ اِلَّا اللہُ وَحْدَهٗ لَا شَرِيْكَ لَهٗ وَ اَشْهَدُ اَنَّ مُحَمَّدً اعَبْدُهٗ وَرَسُوْلُه
♡♡♡♡♡♡♡♡
﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏﹏
👥PLZ SHARE TO OTHERS ALSO👥

📧Like TO FB LINK
https://www.facebook.com/zikrenabi/

🌎www.zikr-e-nabi.com

🌎www.zikr-e-rasool.com 


Download App http://goo.gl/x7SwOb

No comments:

Post a Comment